Wednesday, March 9, 2016

Tarjuma e Khazaain Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #599

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #599.

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 263.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Acchi baat kehna aur darguzar karna.
2⃣ Us khairat se behtar hai jiske baad sataana ho aur Allah be parwah hilm wala hai.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani agar saayil ko kuch na diya to usse acchi baat kehna aur khush khalqi ke saath jawab dena jo usko na gawaar na guzare aur wo sawal mein israr kare ya zaban darazi kare to usse darguzar karna.
2⃣ Aar dila kar ya ehsaan jata kar ya aur koi takleef pahucha kar.

0 comments:

Post a Comment