Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #600.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 264.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan waloñ apne sadqe baatil na kar do ehsaan rakh kar aur izaa dekar.
2⃣ Uski tarah jo apnaa maal logoñ ke dikhawe ke liye kharch kare aur Allah aur qiyamat par imaan na laye to uski kahawat aisi hai jaise ek chattan ki us par mitti hai abh us par zor ka paani pada jisne use neera patthar kar chordha, apni kamayi se kisi cheez par kaabu na payenge aur Allah kaafiro ko raah nahi deta.
▶ Tafseer
1⃣ Yaani jis tarah munafiq ko Raza e Ilahi maqsood nahi hoti woh apna maal riyakari ke liye kharch karke zaaya kar deta hai is tarah tum ehsaan jata kar aur izaa dekar apne sadqaat ka ajr zaaya na karo.
2⃣ Ye munafiq riyakar ke amal ki misaal hai ki jis tarah patthar par mitti nazar aati hai lekin baarish se woh sab door ho jaati hai khaali patthar reh jaata hai yahi haal munafiq ke amal ka hai ki dekhne waloñ ko maloom hota hai ki amal hai aur Roz e qayamat woh tamaam amal baatil hoñge kyuki Raza e Ilahi ke liye na the.
Wednesday, March 9, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment