Showing posts with label Al Quran. Show all posts
Showing posts with label Al Quran. Show all posts

Wednesday, March 25, 2015

Quran e Majeed Ke Fazail 136

 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Quran e Majeed padhne ke qabil na rahe to kya kare?

# Jabh Quran shareef padne ke qabil na rahe purana ho jaye uss ke waraq idhar udhar ho jaane ka dar ho. Tilaawat ke qabil na ho toh kisi paak kapde mein lapet kar aysi jaga dafan kare ke us jagah kisika pair na pade.

# Dafan karne mai bhi lahad banayi jaye ta'ke Quran par mitti na pade.

⏩Quran e Majeed kya hai?

# Quran e Majeed Allah ﷻ ka kalaam hai jo usne sabse afzal Rasool Huzoor Shafi ul Muznibeen ﷺ par nazil kiya.

# Quran Shareef mein jo kuch bhi likha hai us par Imaan lana zururi hai.

Quraan e majeed ke fazaeel 135

 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

# Kamobesh 23 saal ki muddat mein pura Quraan e Majeed naazil huwa.

# Quraan e Karim ki surtein aur aayatein zarurat ke mutabiq ek ek do do kar ke utarti thi

⏩ Quraan E Majeed padne mein kitna sawab milta hai?

# Hadees e Paak mai Sarkaar ﷺ farmate hai ke jo shakhs kitabullah ka ek harf  padega usko ek neki milegi jo dus nekiyon ke barabar hogi Aur farmate hai
Mai yeh nahi kehta ke "alif..laam..meem" ek harf hai bal ke "alif" ek harf "laam" dusra aur "meem" teesra harf hai.

Aayat e Quran Al kareem 134

 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah Subhan wa Ta'ala Qur'an e Majeed mein irshad farmata hai:

"Tum behtar ho unn sab ummaton mein jo logo mein zaahir huwi, Bhalaayi ka hukm dete ho aur burayi se rokte ho"

# Surah Aal e Imraan , Aayat no. 110

SONA KITNA HI CHAMAKTA HO
HUZOOR ﷺ KI BAAT YAAD RAKHO
HARAAM KA RASTA MAT CHUNO
BURE AMAL SE BACH KE RAHO

Quraan E Majeed Ke Fazaeel 134

 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

# Allah ﷻ ne apne bandon ki hidayat o rehnumaai ke liye Quraan e azeem utara.

# Iss liye bande Allah ﷻ aur uske Rasool ﷺ ko jane aur unke ahkaam ko pehchane

# Allah ﷻ ki marzi ke mutaabiq kaam kare aur un kaamo se bache jo Allah ﷻ aur uske Rasool ﷺ  ko pasand nahi.

Sunday, March 22, 2015

Aayat e Quran Al Kareem 133

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Aayat e Quran Al Kareem

Allah subhan wa Ta'ala Quran e majeed mein irshad farmata hai:

"Aur jabh baat kaho to insaaf ki kaho, Agarche tumhare rishtedaar ka muamla ho"

# Surah Ana'am , Aayat No.152

Quraan E Majeed Ke Fazaeel 133

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Quraan E Majeed Ke Fazaeel 

Quraan e Majeed Allah Ta'ala ka kalam hone par apne aap mein daleel hai
Aur khud ailaan ke saath keh raha hai ke

"Agar tum iss kitab mein jo hum ne apne khaas bande Mohammed   par utari hai is par shak ho toh iss jaisi koi choti surat laao "

Lihaza kaafiron ne iss ke muqable me ji tod koshisein ki magar iss ke jaisi surat to kya ek aayat bhi na bata sake

  سُــــبْحانَ الله                      سُــــبْحانَ الله

Aayat e Quran Al Kareem 132

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Aayat e Quran Al Kareem

Allah subhan wa Ta'ala Quran e majeed me irshad farmata hai:

لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ وَمَا بَيْنَهُمَا وَمَا تَحْتَ الثَّرَىٰ

"usi ka hai jo aasmano mein hain aur jo kuch zameen mein aur jo kuch unke beech mein aur jo kuch us gili mitti ke neeche hai."

# Surah Ta-Ha, Aayat no. 6

Aayat e Quran Al Kareem 131

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah subhan wa Ta'ala Quran e majeed me irshad farmata hai:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُونُوا قَوَّامِينَ لِلَّهِ شُهَدَاءَ بِالْقِسْطِ ۖ وَلَا يَجْرِمَنَّكُمْ شَنَآنُ قَوْمٍ عَلَىٰ أَلَّا تَعْدِلُوا ۚ اعْدِلُوا هُوَ أَقْرَبُ لِلتَّقْوَىٰ ۖ وَاتَّقُوا اللَّهَ ۚ إِنَّ اللَّهَ خَبِيرٌ بِمَا تَعْمَلُونَ

"E Imaan walo Allah ke huqm par khoob qayim ho jawo Insaf ke saath gawahi dete aur tum ko kisi qaum ki adaawat is par na ubhare ke Insaf na karo, woh parhezgaar se ziada kareeb hai, aur Allah se daro, beshak Allah ko tumhare kaamo ki khabar hai. "

# Surah Al-Maeda, Aayat no. 8

KISI KA KARZ MAAF KARDO
APNE AAMAL KA PALDA
AAKHIRAT KE LIYE BHAR DO

Aayat e Quran Al Kareem 130

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah subhan wa Ta'ala Quran e majeed me irshad farmata hai:

قُلْ إِن كُنتُمْ تُحِبُّونَ اللَّهَ فَاتَّبِعُونِي يُحْبِبْكُمُ اللَّهُ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ ۗ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَّحِيمٌ

" E mehboob! tum farmado ke logo agar tum Allah ko dost rakhte ho to mere farma-bardaar ho jawo, Allah tumhe dost rakhhega aur tumhare gunaah bakhsh dega aur Allah bakhshne wala mehrbaan hai. "

# Surah Aal-E-Imran, Aayat no. 31

APNI NAZREIN
JUKAYE RAKHO
SHAITAAN KA KAAM
KARNE SE DARO

Aayat e Quran Al Kareem 127

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah subhan wa Ta'ala Quran e majeed me irshad farmata hai:

ذَٰلِكَ أَمْرُ اللَّهِ أَنزَلَهُ إِلَيْكُمْ ۚ وَمَن يَتَّقِ اللَّهَ يُكَفِّرْ عَنْهُ سَيِّئَاتِهِ وَيُعْظِمْ لَهُ أَجْرًا

"ye Allah ka huqm hain ke us ne tumhari taraf utara, aur jo Allah se dare Allah uski buraiya utaar dega aur use badaa sawaab dega."

Surah At-Talaaq, Aayat no.5

SAB NAAMO MEIN SE
HAI KHUBSURAT EK HI
JIS NAAM SE ALLAH KI REHMAT
UMMAT PAR HAI REHTI

Aayat e Quran Al Kareem 124

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah subhan wa Ta'ala Quran e majeed me irshad farmata hai:

وَلَا تَلْبِسُوا الْحَقَّ بِالْبَاطِلِ وَتَكْتُمُوا الْحَقَّ وَأَنتُمْ تَعْلَمُونَ - وَأَقِيمُوا الصَّلَاةَ وَآتُوا الزَّكَاةَ وَارْكَعُوا مَعَ الرَّاكِعِينَ

" Aur haqq se baatil ko na milawo aur deedah wa danista haqq na chupawo. Aur namaaz qayim rakhho aur zakaat do aur rukoo karne waalo ke saath rukoo karo. "

# Surah Al Baqrah, Aayat no. 42-43

Aayat e Quran Al Kareem 123

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah Subhan Wa Ta'ala Quran E Majeed Me Irshad Farmata Hai:

وَالنَّجْمِ إِذَا هَوَىٰ - مَا ضَلَّ صَاحِبُكُمْ وَمَا غَوَىٰ - وَمَا يَنطِقُ عَنِ الْهَوَىٰ

'' Uss Pyaare Chamakte Taare Muhammad Ki Qasam! Jab Ye Me'raj Se Utre, Tumhare Sahib Na Behke Na Be-raah Chale, Aur Woh Koi Baat Apni Khwahish Se Nahee Karte ''

# Surah An-najm, Aayat No. 1-3

Aayat e Quran Al Kareem 122

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah subhan wa Ta'ala Quran e majeed me irshad farmata hai:

مَا كَانَ لِلْمُشْرِكِينَ أَن يَعْمُرُوا مَسَاجِدَ اللَّهِ شَاهِدِينَ عَلَىٰ أَنفُسِهِم بِالْكُفْرِ ۚ أُولَٰئِكَ حَبِطَتْ أَعْمَالُهُمْ وَفِي النَّارِ هُمْ خَالِدُونَ

" mushriko ko nahee pahonchta ke Allah ki masjide aabad kare, khud apne kufr ki gawahi de kar unka to sab kiya dharaa ekaarat hai aur woh humesha aag me rahe ge. "

# Surah At-Tawba , Aayat no. 17

ISS AMAAL PAR
DHIYAAN DO
JANNAT KE DARWAZE
APNE LIYE KHULWADO

Aayat e Quran Al Kareem 121

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah subhan wa Ta'ala Quran e majeed me irshad farmata hai:

 لِيَجْزِيَهُمُ اللَّهُ أَحْسَنَ مَا عَمِلُوا وَيَزِيدَهُم مِّن فَضْلِهِ ۗ وَاللَّهُ يَرْزُقُ مَن يَشَاءُ بِغَيْرِ حِسَابٍ

" Taake Allah unhe badla de unke sab se behtar kaam ka aur apne fazl se unhe inaam ziada de, aur Allah rozi deta hai jise chahe be-ginti "

# Surah Al-Furqan, Aayat no. 38

Aayat e Quran Al Kareem 119

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah subhan wa Ta'ala Qur'an e majeed me irshad farmata hai:

 يَحْلِفُونَ بِاللَّهِ لَكُمْ لِيُرْضُوكُمْ وَاللَّهُ وَرَسُولُهُ أَحَقُّ أَن يُرْضُوهُ إِن كَانُوا مُؤْمِنِينَ

 " Tumhare saamne Allah ki qasam khate hain ke tumhe raazi kar lein aur Allah wa rasool ka haqq zaid tha ke use raazi karte agar imaan rakhte the "

# Surah at Tawba, Aayat no. 62

AANE WALI NISHAANIYO SE
BACHKE RAHO
IS SE PEHLE KE IMAAN KHATRE MEIN HO
HUZOOR ﷺ KI BAAT PAR
GAUR KARO

Qur'an e Majeed ka irshad 118

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah subhan wa Ta'ala Qur'an e majeed me irshad farmata hai:

 وَإِن كَذَّبُوكَ فَقُل لِّي عَمَلِي وَلَكُمْ عَمَلُكُمْ ۖ أَنتُم بَرِيئُونَ مِمَّا أَعْمَلُ وَأَنَا بَرِيءٌ مِّمَّا تَعْمَلُونَ

" Aur agar woh tumhe juthlaye to farma do ke mere liye meri karni aur tumhare liye tumhari karni (aamal). Tumhe mere kaam se ilaqa nahee aur mujhe tumhare kaam se taalluq nahee "

# Surah Yunus Aayat no. 41

KISI KO TAKLEEF DENE SE PEHLE
EK BAAR SOCHLO SABHI
IS HADEES PAR GAUR KARO
KYA KEHTE HAI HUMARE NABI ﷺ

Qur'an e paak ka irshad 117

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah subhan wa Ta'ala Qur'an e majeed me irshad farmata hai:

" Aur wahi hai jo Apne bando ki tauba qabool farmata hai aur gunaaho se darguzar farmata hai aur janta hai jo kuch tum karte ho. "

# Surah As-Shua'ra, Aayat no. 25

EK SAHABI KO JAWAAB MILA
JAB POOCHA YE SAWAAL
HUMARE NABI ﷺ KI
KHOOBSURAT BAAT PAR
KARLO AAMAAL

Quraan e paak ka irshad 116

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah subhan wa ta'ala quraan e majeed mai irshad farmata hai:

" (Aye mehbub) aur Allah ne tum par kitab aur hikmat utaari aur tumhe shikha diya jo kuch tum na jante the aur Allah ka tum par bada fazl hai. "

# Surah An-Nisa, Aayat no. 113

KYA HOGA UN LOGO KA ANJAAM
JO KARTE HAI AISE KALAAM
AISE AMAL SE BACHTE RAHO
AUR BAN JAO NEK INSAAN

Quraan e paak ka irshad 115

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 Quraan e majeed mai Allah ta'ala farmata hai:

" Aur tum israaf(fuzul kharchi) mat karo !
Beshak Allah israaf karne walo ko pasand nahi karta "

# Surah Ana'am aayat no. 141

WOH JAHANNAM MEIN GAYA, JO UNSE MUSTAGNI HUWA ;
HAI KHALEELULLAH KO, HAJAT RASOOLALLAH ﷺ KI.

~ Imam e Ahle Sunnat
Aala Hazrat رضي الله عنه