Showing posts with label Tafseer E Quran. Show all posts
Showing posts with label Tafseer E Quran. Show all posts

Thursday, February 25, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #546

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #546.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 224.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur Allah ko apni kasamo ka nishana na bana lo ki ehsaan aur parhezgaari aur logoñ mein sulah karne ki kasam kar lo aur Allah sunta aur jaanta hai.

▶ Tafseer
▶ Hazrate Abdullah bin Rawaha رضي الله عنه ne apne bahnoyi No'maan Bin Basheer ke ghar jaane aur unse kalaam karne aur unke khusoom ke saath unki sulah karane se kasam kha li thi jabh uske muta'alliq un se kaha jaata tha to keh dete the ki maiñ kasam kha chuka hu isliye yeh kaam kar hi nahi sakta is baab mein yeh Aayat naazil huwi aur neik kaam karne se kasam kha lene ki mumana'at farmayi gayi.
▶ Masla – Agar koi shakhs neki se baaz rehne ki kasam kha le to usko chahiye ki kasam ko poora na kare balki woh neik kaam kare aur kasam ka kaffara de Muslim Shareef ki Hadees mein hai Rasool e Akram ﷺ ne farmaya jis shakhs ne jis shakhs ne kisi amr par kasam kha li phir maloom huwa ki khair aur behtari uske khilaaf mein hai to chahiye ki us amre khair ko kare aur kasam ka kaffara de.
▶ Masla- Baaz mufassareen ne yeh bhi kaha hai ki is Aayat se ba-kasrat kasam khaane ki mumana'at saabit hoti hai.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan#545

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #545.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 223

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tumhari Aurateiñ tumhare liye khetiyañ hai to aao apni khetiyoñ mein jis tarah chaho.
2⃣ Aur apne bhale ka kaam pehle karo aur Allah se darte raho aur jaan rakho ki tumhe usse milna hai aur aye Mehboob basharat do Imaan waloñ ko.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani Auratoñ ki qurbat se nasl ka qasd karo na qaza e shahwat ka
.
2⃣ Yaani aamale saaliha ya jimaa se qabl Bismillah Padhna.

Wednesday, February 24, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #544

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #544.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 222.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur tumse puchhte hai haiz ka hukm tum farmao wo naa paaki hai to auratoñ se alag raho haiz ke dino aur unse nazdeeki na karo jabh tak paak na ho leiñ phir jabh paak ho jaye to unke paas jaao jahan tumhe Allah ne hukm diya beshak Allah pasand rakhta hai bahot taubah karne walo ko aur pasand rakhta hai suthroñ ko.
▶ Tafseer

▶ Shaane Nuzool Arab ke log yahood wa majoos ki tarah Haayeza aurato se kamala nafrat karte the saath khana peena ek makaan mein rehna garawa na tha balki shiddat yahañ tak pahuch gayi thi ki unki taraf dekhna aur unse kalaam karna bhi haraam samajhte the aur Nasaara uske bar-aks Haiz ke ayaam mein aurato ke saath badi mohabbat se mashgul hote the aur ikhtelaat mein bahot mubalga karte the Musalmano ne Huzoor ﷺ se Haiz ka hukm dariyaft kiya is par yeh aayat naazil huwi aur Ifraat wa tafreet ki raahe chhod kar aitedaal ki taalim farmayi gayi aur bata diya gaya ki halate haiz mein aurato se mujama'at mamnoo hai.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #543

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #543.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 541 & 542.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 221.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ Agarche woh tumhe bhaati ho aur mushriko ke nikaah mein na do jabh tak woh Imaan na laaye.
4⃣ Aur beshak Musalman gulam mushrik se accha agarche woh tumhe bhaata ho woh dozakh ki taraf bulaate hai aur Allah Jannat aur Bakhshish ki taraf bulaata hai, Apne hukm se aur Apni Aayateiñ logoñ ke liye bayaan karta hai ki kahi woh nasihat maane.

▶ Tafseer
3⃣ Ye aurat ke awliya ko khitaab hai.
▶ Masla – Musalman aurat ka nikaah mushrik wa kaafir ke saath baatil wa haraam hai.
4⃣ To unse ijtenaab zaruri aur unke saath dosti wa karabat na-rawan.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #542

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #542.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 541.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 221.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Aur beshak Musalman Laundi mushrika se acchi.

▶ Tafseer
2⃣ Shaane Nuzool ek roz Hazrate Abdullah Bin Rawaha ne kisi khata par apni baandi ko tamaacha maara phir khidmate Aqdas mein haazir ho kar uska zikr kiya Sayyade Aalam ﷺ ne uska haal dariyaft kiya arz kiya ki wo Allah Ta'ala ki wahdaniyat aur Huzoor ki risalat ki gawahi deti hai Razman ke roze rakhti hai khoob wuzoo karti hai aur Namaz parhti hai Huzoor ﷺ ne farmaya woh momina hai aapne arz kiya to uski kasam jisne Aapko Saccha Nabi banakar mab'uus farmaya hai usko aazad kar ke uske saath nikaah karunga aur Aapne aisa hi kiya is par logoñ ne ta'ana zani ki tumne ek siyah faam bandi ke saath nikah kiya bawajood ki falañ mushrika hoori aurat tumhare liye haazir hai woh haseen bhi hai maaldar bhi hai is par naazil huwa ki musalmaan baandi mushrika se behtar hai khwaah wo mushrika aazad ho aur husn wa maal ki wajah se acchi maloom hoti ho.

〰〰 to be contd. .

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #541

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #541.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 221.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur shirk wali auratoñ se nikaah na karo jabh tak musalman na ho jaaye.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool Hazrate Mursad ganawi ek bahadur shakhs the Sayyade Aalam ﷺ ne unhein Makkah Mukarrama rawana farmaya taaki waha se tadbeer ke saath musalmano ko nikaal laaye waha Anaaq naami ek mushriqa aurat thi jo zamana e jahiliyat mein unke saath mohabbat rakhti thi haseen aur maaldaar thi jabh usko unki aamad ki khabar huwi to woh aapke paas aayi aur taalibe wisaal huwi Aapne Bakhaufe Ilaahi us par airaaj kiya aur farmaya ki Islam iski ijazat nahi deta tabh usne nikah ki darkhwast ki Aap ne farmaya ki yeh bhi Rasoole Khuda ﷺ ki ijazat par mauquf hai apne kaam se faarig ho kar jabh Aap Khidmate Aqdas mein haazir huwe to haal arz karke Nikah ki babat dariyaft kiya is par yeh aayat naazil huwi (#Tafseer Ahemadi) Baaz Aulma ne farmaya jo koi Nabi ﷺ ke saath kufr kare wo mushrik hai khwaah Allah ko waahid hi kehta ho aur tauheed ka muddayi ho. ( #Khaazin )

〰〰 to be contd.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfan #540

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #540.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 220

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Duniya aur aakhirat ke kaam soch kar karo.
2⃣ Aur tum se yateemo ka masla puchte hai tum farmao unka bhala karna behtar hai aur agar apna kharch mila lo to woh tumhare bhai hai aur Khuda khoob jaanta hai bigaadne wale ko sawaarne wale se aur Allah chahta to tumhe mashakkat mein daalta beshak Allah zabardast hikmat wala hai.

▶ Tafseer
1⃣ Ki jitna tumhari duniyawi zarurat ke liye kaafi ho woh lekar baaki sab Apne nafa e Aakhirat ke liye khairat kar do ( #Khaazin )
2⃣ Ki unke amwaal ko apne maal se milane ka kya hum hai, Shaane Nuzool " Surah Nisaa ki Aayat No. 10 ( Innallazi na ya....)" ke nuzool ke baad logoñ ne yateemo ke maal jooda kar diye aur unka khana peena alaahida kar diya isme ye surate bhi pesh aayi ki jo khana yateem ke liye pakaya aur usme se kuch bach raha woh kharab ho gaya aur kisi ke kaam na aaya isme yateemo ka nuksaan huwa yeh surate dekh kar Hazrate Abdullah Bin Rawaha رضي الله عنه ne Huzoor Sayyade Aalam ﷺ se arz kiya ki agar yateem ke maal ki hifazat ki nazar se uska khana uske awliya apne khaane ke saath mila le to uska kya hukm hai is par yeh aayat naazil huwi aur yateemo ke fayede ke liye milane ki ijazat di gayi.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #539

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #539.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 538.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 219.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Aur tum se puchhte hai kya kharch kare.
3⃣ Tum farmao jo faazil bache isi tarah Allah tum se Aayatein bayaan farmaya hai ki kahi tum.

▶ Tafseer

2⃣ Shaane Nuzool Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ne musalmano ko sadqa dene ki ragbat dilayi to aapse dariyaft kiya gaya ki miqdaar irshad farmaye kitna maal raahe Khuda mein diya jaaye is par ye aayat naazil huwi. ( #Khaazin )
3⃣ Yaani jitna tumhari haajat se zayed ho ibtedaye Islam mein Haajat se zayed maal ka kharch karna farz tha sahaba kiraab apne maal mein se apni zarurat ki qadr lekar baaki sab raahe khuda mein tasadduq kar dete the yeh hukm aayate zakaat se mansukh ho gaya.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain uk Irfaan #538

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #538.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 219.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tumse sharab aur juwe ka hukm puchte hai tum farma do ki in dono mein bada gunah hai aur logoñ ke kuch dunyawi nafa bhi aur unka gunah unke nafaa se bada hai.

▶ Tafseer
1⃣ Hazrat e Ali Murtaza رضي الله عنه ne farmaya ki agar sharaab ka ek qatra quwe (well) mein gir jaaye phir us jagah minaara ban jaaye to Maiñ us par azaan na kahu aur Agar duniya mein sharaab ka qatra pade phir duniya khushk ho aur woh ghaas paida ho usme apne jaanwaro ko na charaau! سُــــبْحانَ الله gunaah se kis qadr nafrat hai Razak'nallahu Ta'ala Ittaba-ahuum, sharaab san 3 hijri mein gazwaye Ahzaab se chand roz baad haraam ki gayi isse qabl ye bataya gaya tha ki juwe aur Sharaab ka gunah unke nafaa se zyada hai nafa to yahi hai ki sharaab se kuch suroor paida hota hai ya uski kharid wa farokht se tijarati fayda hota hai aur juwe mein kabhi muft ka maal haath aata hai aur gunahoñ aur mufsido ka kya shumaar aql ka jawaal gairat wa hammiyat ka jawaal ibaadat se mahroomi logoñ se adawate sab ki nazar mein khwaar hona daulat wa maal ki ija'at ek riwayat mein hai ki Jibareel e Ameen علیہ السلام ne Huzoor purnoor Sayyade Aalam ﷺ ke huzoor mein arz kiya ki Allah Ta'ala ko ja'afar tayyar ki 4 khasalate pasand hai Huzoor ﷺ ne hazarate Ja'afar رضي الله عنه se dariyaft farmaya unhone arz kiya ki ek to yeh ki Maiñe sharab kabhi nahi pi yani hukme hurmat se pehle bhi aur uski wajah ye thi ki Maiñ jaanta tha ki isse aql zayel hoti hai aur Maiñ chahta tha ki aql aur bhi tez ho doosri khaslat yeh hai ki zamana e jahiliyat mein bhi maine kabhi boot ki pooja nahi ki kyuki Maiñ jaanta tha ki yeh patthar hai na nafa de sake na zarar teesri khaslat ye hai ki kabhi Maiñ zeena mein mubtala na huwa isko begairati samajhta tha chawthi khaslat yeh ki Maiñ kabhi jhoot nahi bola kyuki Maiñ isko kaminapan khayal karta tha.
▶ Masla- Shatranj taash waghairah haar jeet ke khel aur jin par baazi lagayi jaaye sab juwe mein daakhil aur Haraam hai. ( #Ruhool Bayan )

〰〰 to be contd.

Tuesday, February 23, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #537

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #537.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 218.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Woh jo Imaan laaye aur woh jinhone Allah ke liye apne ghar baar chhode aur Allah ki raah mein lade woh Rehmat e Ilaahi ke umeedwar hai aur Allah Bakshne wala meherbaan hai.

▶ Tafseer
▶ Shaane Nuzool Abdullah Bin Jahash ki sarkardagi mein jo mujahideen bheje gaye the unki nisbat baaz logoñe kaha ki chuñki unhe khabar na thi ki yeh din Rajjab ka hai isliye us roz qitaal karna gunah to na huwa lekin uska kuch sawab bhi na milega is par yeh Aayat naazil huwi aur bataya gaya ki unka yeh Amale Jihaad maqbool hai aur us par unhein Umeedwar e Rehmat e Ilaahi rehna chahiye aur ye umeed qat'an poori hogi. (# Khaazin )
▶ Masla – Zaahir huwa ki amal se ajro sawaab nahi hota balki sawab e duniya mahaz fazl e Ilaahi hai.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain uk Irfaan #536

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #536.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd Post # 534 & 535.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 217

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
6⃣ Aur Hamesha tumse ladte raheñge yahañ tak ki tumhe tumhare deen se phair de agar ban pade.
7⃣ Aur tum jo koi Apne deen se phere, phir kaafir ho kar mare to un logoñ ka kiya aqarat gaya duniya mein aur aakhirat mein aur woh dozakh wale hai unhe usme hamesha rehna.

▶ Tafseer

6⃣ Isme khabar di gayi ki kuffar musalmano se hamesha adawat rakhnege kabhi uske khilaf na hoga aur jahañ tak unse mumkin hoga woh musalmano ko deen se munharif karne ki sayi karte rahenge inistataau se mustafaad hota hai ki bekarmeehi Ta'ala woh apni is muraad mein nakaam rahenge.
7⃣ Masla – Is aayat mein maloom huwa ki irtedaad se tamaam amal baatil ho jaate hai aur aakhirat mein to is tarah ki un par koi ajro sawaab nahi aur duniya mein is tarah se shari'at murtad ke qatl ka hukm deti hai uski aurat us par halaal nahi rehti wo apne akaarib ka warsa paane ka mustahik nahi rehta uska maal maasoom nahi rehta uski madah wa sanaa wa imdaad jayaz nahi. (#Ruhool Bayaan Waghairah)

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain Ul irfaan #535

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #535.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 534.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 217

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Allah ke nazdeek yeh gunaah usse bhi bade hai aur unka fasaad.
5⃣ Qatl se sakht tar hai.

▶ Tafseer
4⃣ Yaani Mushrikeen ka ki woh shirk karte hai aur Sayyade Aalam ﷺ aur momineen ko Masjide Haraam se rokte aur tarah tarah ki izaaye dete hai.
5⃣ Kyuki qatl to baaz haalaat mein mubaah hota hai aur kufr kisi haal mein mubaah nahi aur yahañ tarikh ka mashkuq hona uzr maaqul aur kuffar ke kufr ke liye to koi uzr hi nahi

〰〰 to be contd..

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #534

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #534.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 217

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tumse puchhte hai maahe haraam mein ladne ka hukm.
2⃣ Tum farmao isme ladna bada gunaah hai.
3⃣ Aur Allah ki raah se rokna aur us par Imaan na laana aur Masjid e Haraam se rokna aur uske badne walo ko nikaal dena.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool Sayyade Aalam ﷺ ne Abdulllah bin jahash ki Sarkardagi mein mujahideen ki ek jama'at rawana farmayi thi usne mushrikeen se qitaal kiya unka khayal tha ki wo roz jamadil Ukhra ka aakhir din hai magar dar haqeeqat chaand 29 ko ho gaya tha aur wo Rajjab ki pehli taarikh thi is par kuffar ne musalmano ko aar dilayi ki tumne Maahe Haraam haram mein jungi ki aur Huzoor ﷺ se uske muta'alliiq sawal hone lage is par yeh Aayat Naazil huwi.
2⃣ Magar Sahaba se yeh gunah waaqe na huwa kyuki inhe chaand hone ki khabar na thi unke nazdeek woh din Maahe Haraam Rajjab ka na tha.
▶ Masla – Maah-haye Haraam mein jung ki hurmat ka hukm Aayat "Uqtulool Mushriqi-na- haisu wajattumuhum " se mansukh ho gaya.
3⃣ Jo mushrikeen se waaqe huwa ki unhone Huzoor Sayyade Aalam ﷺ aur Aapke As'haab ko saale Hudaibiya Kaaba Mu'azzama se roka aur Aapne Zamana e Kiyaam Makkah Mu'azzama mein Aap ko aur Aap ke As'haab ko itni izaaye di ki wahañ se hijrat karni padi.

〰〰 to be contd..

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #533

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #533

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 216.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tum par Farz huwa Khuda ki raah mein ladna aur woh tumhe naa gawaar hai.
2⃣ Aur kareeb hai ki koi baat tumhe buri lage aur woh tumhare haq mein behtar ho aur qareeb hai ki koi baat tumhe pasand aaye aur woh tumhare haq mein buri ho aur Allah jaanta hai aur tum nahi jaante.

▶ Tafseer
1⃣ Masla- Jihaad farz hai jabh uske sharait paaye jaaye agar kaafir musalmano ke mulq par chadhayi kare to Jihaad farz e ain hota hai warna farz e kifaya.
2⃣ Ki Tumhare haq mein kya behtar hai to tum par laazim hai Hukm e Ilaahi ki Ita'at karo aur usko behtar samjho chahe woh tumhare nafs par girañ ho.

Monday, February 22, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #529

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #529.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 215.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tum se puchte hai.
2⃣ kya kharch kare tum farmao jo kuch maal neki mein kharch karo to woh maa baap ke kareeb ke rishtedaaro aur yateemo aur mohataajo aur raahgir ke liye hai aur jo bhalayi karo.
3⃣ Beshak Allah use jaanta hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat Amr Bin Jamooh ke jawab mein naazil huwi jo budhe shakhs the aur bade maaldaar the unhone Huzoor Sayyade Aalam ﷺ se sawal kiya tha ki kya kharch kare aur kis par kharch kare is aayat mein unhe bata diya gaya ki jis qism ka aur jis qadr maale qaleel ya maale qaseer kharch karo usme sawab hai aur masarif uske yeh hai.
▶ Masla – Aayat mein Sadqa e Nafeela ka bayaan hai maa baap ko zakaat aur sadqaate waajibaat dena jayaz nahi. (#Jumal waghairah)
2⃣ Ye har neki ko Aam hai Infaaq ho ya kuch aur baaki masarif bhi usme aa gaye.
3⃣ Uski jazaa ataa farmayega.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer w Khazaain Ul Irfaan #528

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #528.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 214.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Kya is gumaan mein ho ki Jannat mein chale jaaoge aur abhi tum par Agaloñ ki si rudaad (Haalat)na aayi.
2⃣ Pahuchi unhe sakhti aur shiddat aur hila hila daale gaye yaha tak ki keh utha Rasool.
3⃣ Aur uske saath ke Imaan wale kabh aayegi Allah ki madad sun lo beshak Allah ki madad kareeb hai.

▶ Tafseer
1⃣ Aur jaisi sakhtiya un par guzar chuñki abhi tak tumhe pesh na aayi. Shaane Nuzool yeh Aayat gazwaye ahzaab ke muta'alliq naazil huwi jahañ musalmano ko sardi aur bhook wagairah ki sakht takleefe pahuchi thi isme unhe sabr ki talqeen farmayi gayi aur bataya gaya ki raahe
Khuda mein takaaleef bardasht karna qadeem se khaasane Khuda ka mamool raha hai abhi to tumhe pehlo ki si takleefe pahochi bhi nahi hai Bukhari Shareef mein Hazrate Khubaab Bin Arat رضي الله عنه se marwi hai ki Huzoor Sayyade Aalam ﷺ Saya e Kaaba mein Apni chadar mubarak se taqiya kiye huwe tashreef farma the Humne Huzoor ﷺ se arz ki Huzoor hamare liye kyu dua nahi farmate hamari kyu madad nahi karte farmaya tum se pehle log giraftaar kye jaate the zameen mein gadha khod kar usme dabaye jaate the aur cheer kar do tukde kar daale jaate the aur lohe ki kanghiyon se unke gosht noche jaate the aur unme ki koi musibat unhe unke Deen se rok nahi sakti thi.
2⃣ Yaani Shiddat is nihayat ko pahuch gayi ki un ummatoñ ke Rasool aur unke farmabardar momin bhi talab e madad mein jaldi karne lage bawajood ki Rasool bade saabir hote hai aur unke haal ko mutagayyar na kar saki.
3⃣ Iske jawab mein unhe tasalli di gayi aur yeh irshaad huwa.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa tafseer e Khazaain ul Irfaan #527

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 527.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 213.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Log ek deen par the.
2⃣ Phir Allah ne Ambiya bheje khush khabari dete.
3⃣ Aur darr sunate.
4⃣ Aur Unke saath sacchi kitaab utaari.
5⃣ Ki woh logoñ mein unke ikhtilaafo ka faisla kar de aur kitaab mein ikhtilaaf unhone daala jinko di gayi thi.
6⃣ Baad iske ki unke paas raushan hukm aa chuke aapas ki sarkashi se to Allah ne Imaan waloñ ko woh haq baat sujha di jis mein jhagad rahe the apne hukm se aur Allah jise chaahe seedhi raah dikhaye.

▶ Tafseer
1⃣ Hazrate Aadam عليه السلام ke zamana se ahade Nooh tak sab log ek deen aur ek shariat par the phir unme ikhtilaaf huwa to Allah Ta'ala ne Hazrate Nooh عليه السلام ko Mab'uus farmaya yeh bo'asat mein pehle Rasool hai. (#Khaazin)
2⃣ Imaandaro aur Farmabardaro ko sawab ki.(#Madarik wa Khaazin)
3⃣ Kaafiro aur naa farmano ko Azaab ka.(#Khaazin)
4⃣ Jaisa ki Hazrate Aadam wa Sheesh wa Idrees par sahaeef aur Hazrate Moosa par Tauret, Hazrate Dawood par Zuboor, Hazrate Isaa par Injeel aur Khaatamul Ambiya Mohammed Mustafa ﷺ par Quraan e Hakeem.
5⃣ Yeh ikhtilaaf tabdeel wa tahreef aur Imaan wa kufr ke saath tha jaisa ki Yahood wa Nasaara se waaqe huwa. (#Khaazin)
6⃣ Yaani yeh ikhtilaaf nadani se na tha balki.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #526

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #526.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 212.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Kaafiroñ ki nigah mein duniya ki zindagi aarasta ki gayi.
2⃣ Aur Musalmano se hañste hai.
3⃣ Aur dar wale un se upar hoñge qiyamat ke din aur Khuda jise chahe be ginti de.

▶ Tafseer
1⃣ Woh usi ki qadar karte aur usi par marte hai.
2⃣ Aur saamne duniyawi se unki be ragbati dekh kar unki tahqeer karte hai jaisa ki Hazrat Abdullah Bin Mas'ood aur Ammar Bin Yaasir aur Soheb wa Bilal رضي الله عنهم ko dekh kar kuffar tamaskhur karte the aur daulate duniya ke guroor mein apne aapko ooñcha samajhte the.
3⃣ Yaani Imaandaar Roze Qiyaat Janaabe Aaliya mein hoñge aur magroor kuffar jahannam mein zaleel wa Khwaar.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #525

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #525.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 211.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Bani israeel se pucho humne kitni raushan nishaniyañ unhein di.
2⃣ Aur jo Allah ki aayi huwi nea'mat ko badal de to beshak Allah ka azaab sakht hai.

▶ Tafseer
1⃣ Ki unke Ambiya ke mauje'zaat ko unke Sidqe Nubuwaat ki daleel banaya unke irshaad aur unki kitaaboñ ko deen e Islam ki haqqaniyyat ka shaahid kiya.
2⃣ Allah Ki Nea'mat se Aayat e Ilahiya muraad hai jo sababe rushd wa hidayat hai aur unki badaulat gumrahi se naja'at haasil hoti hai unhi mein se woh Aayat hai jin mein Sayyade Aalam ﷺ ki Naat wa Sifaat aur Huzoor ﷺ ki Nubuwwat wa Risalat ka bayaan hai yahood wa nasaar ki tahreefe us Nea'mat ki tabdeel hai.

Sunday, February 21, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #524

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #524.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 210.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Kaahe ke intezaar mein hai.
2⃣ Magar yahi ki Allah ka azaab aaye chaaye huwe baadaloñ mein aur Farishte utare aur kaam ho chuke aur sab kaamo ki ruju'u Allah hi ki taraf hai.

▶Tafseer
1⃣ Millate Islam ke chhorne aur shaitan ki farmabardari karne wale.
2⃣ Jo Azaab par mamoor hai.