بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Bad Mazhabo se rishtey
Phir koi maaqool aadmi ye baat hargiz nahi kahega ke main
haq baat is liye nahi qabool karunga ke is ka pesh karne waala khud is par
nahin chal raha hai is ki misaal bilkul aisi hai jaise koi logon se hifzaan e
sehat ke usool bayaan kare aur sunne waale dekhein ke yeh shakhs khud hifzaan e
sehat ke usoolon par amal na karne ke sabab apni sehat barbaad kar raha hai to
woh log ye nahi keh sakte ke tum khud chunke in usoolon par amal na karne ke
sabab apni sehat kharaab kar rahe ho is liye hum hifzaan e sehat ke yeh usool
qabool na karenge. Albatta jise aql se koi hissa na mila ho woh aisi baat kar
sakta hai.
Hazrat Sheikh Saadi رضي الله عنه
tehreer farmaate hain:
" Guft e Aalim bagosh e jaan bu shunu, war namaand
baguftanash kirdaar
Baatil ast aan ke muddayi goyad, Khuftaraa khufta ke
kunad bedaar Masrad e baayad ki geerad andar gosh, war na bashtast pand bar
deewaar"
Dua hai ke Allah ﷻ
saare Musalmaanon ko apne Mehboob Pyare Mustafa ﷺ
aur Sahaaba e kiraam wa buzurgaan e deen ki sachchi
mohabbat ataa farmaye aur unke dushmano se door rehne ki taufeeq e rafeeq
bakhshe .
آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ
----
Jalaaluddin Ahmad Amjadi.
12 Rabiul Aakhir 1410 Hijri
12 November 1989.