Showing posts with label Aala Hazrat. Show all posts
Showing posts with label Aala Hazrat. Show all posts

Saturday, April 4, 2015

Kanzul Imaan Group - Shaan e Aala hazrat رضي الله عنه Post 256

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Gusl shareef me ulmaae izaam sadaat kiraam aur huffaz aali maqaam shareek theay.
Janab sayyed azhar ali sahab ne lehad khodi,
wasiyat ke mutabiq sadrush shariyah maulana amjad ali azmi ne gusl diya,
Hafiz ameer hasan sahab muradabadi ne madad di,
Hazrat maulana hasnain raza , sayyed mahmood jaan sahab,
Sayyed mumtaz ali wa deegar hazraat paani dene me masroof theay,
Hazrat naemuddin sahab muradabadi ne kafan shareef bichaya.
▶Aurton ko ziyarat ka mauqa diya gaya, ghar me aurto'n ki aur bahar mardo'n ki behad kasrat thi aesa josh kabhi na dekha gaya.

▶Kaandha dene ki aarzu me aadmi par aadmi girte,
jo janaaze tak pahunch gae wo hatne ka naam na lete theay janaza har waqt kam az kam 20 kaandho par raha pureay shehar me namaz padhne ki gunjaesh nahi thi.

▶Eidgah ke wasee maidan me namaze janazah hui , baad namaz eidgah me ziyarat karai gai hasbe wasiyat "Tumpe Karodo'n Durood" Waali nazm naat khwan parh rahe theay.
- Wasaya shareef.

رضي الله عنهم

Farsh se matam utha jab tum chale sooe jinaa,
Arsh par dhoome'n machi lo aagaya fakhre zaman..

Kaam woh le hi liya tumko jo raazi kiya.
Thik hai naam e Raza tumpe karooro darood..
 

Kanzul Imaan Group Shaan e Aala hazrat رضي الله عنه Post 255

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 ▶ 25 safar dophair 12 baje din mein Aala hazrat رضي الله عنه ne Hazrat Hujjat ul islam se Surah Ra'ad padhwai jisse bade itminaan aur bagaur aap sunte rahe phir yaseen shareef padhwai 2 baje paani talab farmaya jo pesh kiya gaya paani pee kar kalma e taiyyaba padhne lage kuch deir ke baad sirf isme jalalat (Allah ka naam) ka wird farmaya

▶ Yaani Allah Allah kehte rahe yaha tak ki 2 baj kar 38 min. par daai azal ko labbaik kaha aur unki rooh e paak apne rafik e aala ki bargah mein chali gayi

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

▶ Dar asal duniya se jaate waqt zaban par Allah ka naam jaari hona yeh Huzoor Saiyyade Aalam ﷺ ke farman ke mutabik hai hadees e paak mein hai Rasool e Khuda ﷺ se pucha gaya ke kaun sa amal sab se zyada fazilat wala hai to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya " tum duniya se jaate ho aur tumhari zaban Allah ﷻ ke zikr se tar ho"

# mishkaat baab zikrullah jild 2, safah 189

▶ Yeh Aala hazrat رضي الله عنه ka ishq, Aqeeda Huzoor ﷺ se muhabbta ka aalam hai jo aakhri waqt mein bhi Sarkar e Do Aalam ﷺ ke farman par amal kar rahe hai

# Tum kya gaye ke raunak e mehfil chali gayi,
Shero adab ki zulf pareshaan hain aaj bhi.

# Kyo Raza aaj gali suni hain,
Uthh mere dhoom machane waleَ.

Kanzul Imaan Group 254 Shaan e Aala hazrat رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



 ▶Saiyyadi Aala hazrat رضي الله عنه jab hajj aur ziyarat e roza e rasool ﷺ  ke liye ghar se nikle tab behtareen kalam likha jiska pehla shair kuch aise hai

# Shukre Khuda ki aaj ghadi uss safar ki hai,
Jis par nisar jaan falaho jafar ki hai

Madeena shareef mai roza e rasool e paak ﷺ aur aap ke mimber shareef ke darmiyan jo tukda jis ko huzoor ﷺ ne jannat ki kiyari farmaya hain uss mai jab Aala hazrat رضي الله عنه ko haazri naseeb hui to fouran Allah ﷻ ki yaad aai aur farmaya

# Jannat main aake naar main jaata nahi koi,
Shukre khuda navaid nazaato jafar ki hain

▶ issi tarah Aala hazrat رضي الله عنه ko peerane peer huzoor gaush e azam رضي الله عنه se be panah aqeedat aur muhabbat thhi jo aap ke kalam main jagah jagah nazar aati hain

# tu ghataye se kisi ke na ghata hai na ghate,
Jab badhaye tuje Allah ta'ala tera

# talab ka munh to kiss qabil hain ya gaush,
magar tera karam qamil hain ya gaush

▶Ye hain Aala hazrat رضي الله عنه ki sachhi Aashiqui, muhababt Allah wa rasool ﷺ aur Allah ﷻ ke nek muqarrab bando ke liye.
Issily ek shayar kya khub likhte hai

# jo sunniyat ki shaan hain jo quam ka imam hain,
Nabi ﷺ ka jo gulam hain Raza ussi ka naam hain

💫 Urs e Razvi ke mauke par aaj raat 8 baje ki post mein tamaam ehbaab ke liye khaas tohfa💫
 


Friday, April 3, 2015

Kanzul Imaan Group 252 Shaan e Aala hazrat رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Ek martaba Aala hazrat رضي الله عنه se kisi ne sawal puchha sab se afjal durood shareef kon sa hai aur uss durrod ko wazeefe ke tor padh sakte hai kya ?

Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai sab duroodo se afjal wo durood hai jo sab aamaal se afjal yaani namaz main muqarrar kiya gaya yaani durood e ibrahim

# Fatawa razviya shareef vol.6 safah 183

▶Aala hazrat رضي الله عنه ko ye durood e paak bahot pasand thha kyoki ye durood Allah ﷻ ke naam shuru hota hai

▶Aap kitne bade touheed parast thhe ke Allah wahduhu laa shareeka ki wahdaaniyat unn ke dil mai kaisi rachi basi thhi aur unn ko iss islami aqeede ki hifazat o fikr kitni thhi iss ka andaza iss shair se pata chalta hai

# Laikin Raza ne khatm e sukhan iss pe kar diya,
Khaleeq ka banda khalq ka Aaqa kahu tuje

▶Iss shair mai aap ne huzoor ﷺ ko khalq ka Aaqa to kaha aur sathh hi sathh khaleeq ka banda keh kar aqeeda e touheed ki puri tor par hifazat farmai

# Zikr e khuda aur Aala hazrat safah no. 22
 

Kanzul Imaan Group 251 Shaan e Aala hazrat رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Aap ki taqreero, tehreero aur tamaam tasannefo ka khulasa e hasb 3 batein paayi jati hain

1⃣Duniya bhar ki har ek laaeq e muhabbat wa mushtaheeq tazeem chiz se jyada Allah wa Rasool ﷺ ki muhabbat aur tazeem

2⃣Allah aur Rasool ﷺ hi ki raza ke liye Allah aur Rasool ﷺ ke dosto se dosti aur muhabbat

3⃣Allah aur Rasool ﷺ hi ki khushi ke liye Allah aur Rasool ﷺ ke dushmano se nafrat aur adaawat

Aala hazrat رضي الله عنه apni saari umr saari duniya ko yahi dars dete rahe aur batate rahe ke musalman ke dil main in teeno baato main se ek baat bhi kaamil nahi to uss ka iman kaamil nahi

#  Dushman e Ahmed pe shiddat kijiye,
Mulhidon ki kya murawwat kijiye

Gaiz mai jal jayenge be deenon ke dil,
Ya Rasoolallah ki kasrat kijiye
 


Kanzul Imaan Group 250 Shaan e Aala hazrat رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶ Aala hazrat رضي الله عنه  ne apni saari zindagi Ishq e Mustafa ﷺ ki daulat takseem karne mein laga di duniya bhar ke bade bade aulma aur fuqha ne aapko mujaddid tasleem kiya, kayi university mein aap par research ho rahi hai.
▶ Aapke natiya kalam ki  saari duniya mein dhoom hai aaj bhi aur In Sha Allah subhe qayamat tak rahegi, jo lazzat aur ishq e Rasool ﷺ ki gehraai aapke kalam mein paayi jaati hai woh be mislo misaal hai.
▶ Aapka likha huwa kalam "Mustafa ﷺ jaane rehmat par lakho salam" wo kalam hai jo aaj duniya bhar mein Azaan ke baad sabh se zyada padha jata hai.

# Paigaam e Raza

" Humne Samja na tha Aapka martaba,
Ek wali ne magar hum par ehsaan kiya,
Surma e ishq aankhon mein pehna diya,
Daal di qalb mein azmat e Mustafa ﷺ
Saiyyadi Aala hazrat رضي الله عنه par lakho salam "


Aalahazrat hai aala maqaam aapka ,
Isliye sab ke lab par hai naam aapka ,
Aap baazare taeba me jab they bikeay,
Phir lagaega kya koi daam aapka.
Mustafa jaane rehmat pe laakho salaam ,
Kitna mash'hoor hai ye salaam aapka ,
Sab se aula wo aa'la hamara nabi,
Kitna maqbool hai ye kalaam aapka..
 

Kanzul Imaan Group 249 Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan  رضي الله عنه

Imaam Ahmed Raza ne 1330H mai Quraane hakeem ka tarjuma farmaya jo Kanzul Imaan Fi Tarjamatil Quraan ke naam se mashoor hai.

Urdu tarajime Quran ki saff me kanzul imaan ko imtiyaazi haisiyat haasil hai.
Kanzul imaan ke husne tarjuma par Huzoor Muhaddise Aazam likhte hain -
"Jis ki na koi misaal arbi zubaan mai hai na faarsi mai aur na urdu mai us ka ek ek lafz aisa hai ke dusra lafz us jagah par laya nahi jaa sakta.

Ba zaahir to ek tarjuma hai magar dar haqeeqat Quraan ki sahi tafseer, balki sach to yeh hai ke urdu zaban me Quraan hai"

Maulana Kausar Niyazi -
" Imam Ahmed Raza Ne Ishq Afroz Aur adab aamoz tarjuma kiya hai. Yeh imaan parwar tarjuma ishqe Rasool ﷺ ka khazeena aur ma'aarife islami ka ganjeena hai".

⏩Khidmat quraane paak ki wo lajaawab ki,
Raazi RAZA se Saahibe Quraan hai aaj bhi.

#Sawanae Aalahazrat.


Ahle Imaan Tu Kyu Pareshaan Hai
Rehbari Ko Teri Kanzul Imaan Hai
Har Kadam Par Yeh Tera Nigehbaan hai
Ya Khuda Yeh Amaanat Salamat Rahe.

   
       آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

Kanzul Imaan Group 248 Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan  رضي الله عنه

Dusri martaba jab ziyarate haramain shareefain ke liye Madina Tayyaba mai hazir hue, to shauqe deedar mai muwajahe shareef ke saamne khade ho kar rote rahe.

Durood o salaam pesh karte rahe aur yeh ummed lagaae khade rahe ke aaj Huzoor zaroor nigaahe karam farmayenge aur apni ziyarat se zaroor musharraf farmayenge .

Lekin uss shab ziyarat na ho saki. Aapka dil bahut toota aur usi toote hue dil ke saath ek Kalaam aapne likha.
Jis ke pehle chand ash'aar yeh hain-

Wo sue lalazaar phirte hain , tere din aey bahaar phirte hain..

Us gali ka gada hu main jis mein ,
maangte taajdar phirte  hain..

Isi maqta me apni qalbi aarzu poora na hone ki taraf isharah karte hue badi aajzi wa inkisari ke sath dard bhare andaz me aap ne farmaya.
"Koi kyu puche teri baat RAZA ,
tujhse kutte hazaar phirte hain"

Ye naat likh kar muwajahe shareef ke samne dast basta khade hokar apni qalbi kaifiyat huzoor ke samne arz kardi.
Phir aaqa ne karam farmaya aur aisa karam farmaya ke aalame khawab mai nahi balke aalame mushahidah mai bachashme sar bedaari ki halat me usi raat apni ziyarat se musharraf kardiya.

SubhanAllah

Phir aalahazrat ne apne isi chain aur qaraar ko apne ek shair me yun bayan farmaya.

Ek tere rukh ki raushni chain hai do jahan ki,
Anas ka anas usi se hai jaan ki wo hi jaan hai..

#Sawanae Aalahazrat.
 

Kanzul Imaan Group 247 Shaan e Aala hazrat رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 huzzor ﷺ ki tazeem aur unki aulad se muhabbat aur unse judi har chiz se be- panah  muhabbat yahi Aala hazrat رضي الله عنه ka maqsad e zindagi thha aur yahi sachhe aashique e rasool ﷺ ki pehchan hai

Aala hazrat رضي الله عنه apne ilm, amal aur ishq e rasool ﷺ ki bina par pehchane jate hai wo aise aashique e rasool ﷺ thhe jiski misaal duniya pesh nahi kar sakti

Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai: huzoor ﷺ ki adna si gustakhi karne wala tumhara kaisa hi aziz kyo na ho usse dil se aise nikal feko jaise dudh se makhhi. Ishq e rasool ﷺ ne aap ko wo takat ataa ki thhi jisse aap kisi duniyadar se na dare na dabe jo haqq thha wo farmaya chahe achha lage ya bura
Aur farmate hai,

"Jinke talwo ko dhowan hai aabe hayat,
Hai wo jaane masiha hamara nabi ﷺ"

Aur Aala hazrat رضي الله عنه ki badmazhabo ke liye sakhti ke iss andaz ko huzoor tajushsharia  maddazillahul aali aage badhate hue apne kalam mai farmate hai,

"Nabi ﷺ se jo ho baigaana,
Usse dil se juda karde,
Pidar maadar biradar maal o jaa'n unn par fida karde"

Aur yahi maslak e ahle Sunnat hai jisse aaj ke dor mai pehchan ke liye maslak e Aala hazrat kaha jata hai


Allah rabbul izzat apne pyare habib kul jaha ke mukhtar janab  e Ahmad e mujtaba muhammed Mustafa ﷺ ke sadke hame aur hamari aane wali naslo ko issi haq maslak par zindagi de aur issi haqq maslak par hamara khatma bil khair ho

         آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ
 

Kanzul Imaan Group 246 Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat
Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan  رضي الله عنه

Allah Ta'ala ne Sarkaar Aalahazrat رضي الله عنه
ko quwwate haafiza mai bada kamaal diya tha yun toh Quraan e majeed ka aksar wa beshtar hissa aapko zubani yaad tha lekin puray Quran e Majeed ke aap hafiz nahi they.

Ek martaba kisi na waqif shaks ne apne ek areeza mai aapke alqaab ke saath Hafiz likh diya husne ittefaaq se uska woh areeza 29 shabaan ko aapki khidmat mai pahuncha.

Dusre hi din se aapne Qurane majeed hifz karna shuru farma diya aur har roz ek parah hifz karke taraweeh ki namaz me aap suna dete yaha tak ke ramzan ki 27vi ko magrib se pehle hifz e Quran e majeed pura kar liya aur sirf ek mahine ki mukhtasar muddat me aap haafiz hogaye.

SubhanAllah.

Kis Tarah Itne Ilm Ke Dariya Baha Diye ,
Ulmaa e Haqq Ki Aql To Hairaa'n Hai Aaj Bhi.
 

Kanzul Imaan Group 245 - Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan  رضي الله عنه

Aalahazrat رضي الله عنه  ki zindagi ka har gosha ittebaae sunnat ke anwaar se munawwar thhi aapki zaat ittebaa e sunnat main hazraat sahaba e kiraam ka namuna thhi.

Aapne bahut si murdah sunnaton ko zinda farmaya unhi main namaz e juma ki azaane saani hai, jisko aapne huzoor aur khulfae rashideen ki sunnat ke mutabeq khateeb ke saamne kharije masjid dilwaane ka riwaaj qaaem kiya.

Aalahazrat رضي الله عنه ne Sadrul Afaazil Maulana Sayyed Naeemuddin Muradabadi se farmaya
"Maulana tamanna to ye thi ke Ahmed Raza ke haath me talwaar hoti aur sarkar ki shaan me gustakhi karne waalo'n ki gardane hoti aur apne haath se un gustakho ka sar qalam karta , laikin talwaar se kaam lena to apne ikhtiyaar me nahi Haa Allah Taala ne Qalam ataa farmaya hai. To mai qalam se sakhti aur shiddat ke saath in be deeno ka radd is liye karta hu taake huzoore aqdas ki shaan me badzabani karne waalo ko apne khilaaf shadeed radd dekh kar unko mujh par gussa aae , phir jall bhun kar mujhe galiyan dene lagen aur mere aaqa ﷺ ki shaan me gaaliya bakna bhool jaen.

Isi tarah meri aur mere aaba o ajdaad ki izzato aabroo huzoore aqdas ki azmate jaleel ke liye qurban hojae..

To be Continued..

Mere Aala Hazrat رضي الله عنه  ko,
nisbat hai Sarkar ﷺ se,
To Kyo na khnn khnn khankega,
Sikka Aala Hazrat رضي الله عنه ka
 

Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه Day 244

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Aala hazrat رضي الله عنه 8 saal ki umr e paak mai ek arbi zabaan mai kitab likh kar sab ko hairan kar diya  aap 13 saal 10 maah aur kuch din mai mufti ban gaye

Aala Hazrat رضي الله عنه ke mijaz takreer aur tehreer mein jo sakhti thi wo Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ke gustakho ke liye thi. Wafadaro ke liye to aap abr e karam they.

Aala Hazrat رضي الله عنه ka zaahir aur baatin ek tha jo dil mein hota wahi zabaan se zaahir farmate aap ki kisi se dosti dushmani sirf Allah ﷻ aur Rasool ﷺ ke liye hoti.

Aala Hazrat رضي الله عنه ke yaha mehfil e meelad hoti to aap saadat e ikram ko dugna nazrana dete aur Saadat ka khoob ehteram karte.

Aur aap mureed bhi huwe to Marehra Shareef mein Huzoor Sayyad Aale Rasool Ahmadi رضي الله عنه se.

Sayyad Aale Rasool Ahmadi رضي الله عنه farmate hai muje badi fikr thi ke Allah Rabbul Izzat puchega ke Aale Rasool tu kya laaya hai to Main kya kahunga. Magar abh Main Maulana Ahmed Raza ko pesh kar dunga

Kisi shayar ne iss waqiye ko kya khoob bayaan kiya hai.

"Roz e mehshar agar mujse puche khuda,
Bol Aale Rasool tu laaya hai kya,
Arz kar dunga laaya hu Ahmed Raza
Ya khuda ye Amanat salamat rahe.

    آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

To be Continued...
 

Thursday, April 2, 2015

Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه Day Post 243

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


6 baras ki hee umr mai aapne maloom kar liya tha ke Baghdad Shareef kidhar hai, phir uss waqt se dameay aakhir tak Baghdad shareef  ki jaanib paaun (leg) nahi phailaya.
Jis qadar aap kafiro'n ,murtado'n, mulhido'n aur be deeno'n par sakht the yu'n hee sunni musalmano aur ulmaa e haqq ke liye abre karam the jab kisi sunni aalim se mulaaqat hoti to dekh kar baagh baagh ho jaate aur aisi izzat o qadr karte jis ke laayak woh apne aap ko na samajhta.
Jab koi sahab Hajje BaitulLLAH shareef karke apke khidmat mai haazir hote toh unse pehle yahi puchte "Sayyede Aalam Sallalahu alaihe wasallam ki baargahe bekas panah me bhi haazri di ??" Agar wo Haa kehte to fauran unke kadam choom lete aur agar kehte ke nahi to phir unki jaanib bilkul tawajjo na farmate.

#Sawaneh Aalahazrat.
 

Wednesday, April 1, 2015

Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه 242

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



 Aala Hazrat رضي الله عنه  ka pehla Fatwa

13 saal 10 maah aur 5 din ki umr shareef mai 14 shabaan 1286 hijri 19 november 1869 ko aap farig-ul-tehseel hue aur dastaar e fazeelat se nawaze gaye

Ussi din masaeel e raja'at muta'alliq ek fatwa likh kar apne walid e majid ki khidmat mein pesh kiya. Jawab bilkul sahih thha

Walid e majid ne ye dekh kar ussi waqt se fatwe nawesi ki jaleelush shaan khidmat aap ke supurd kar di.

To be Continued.
 



☆Baatil ko baatil likhha,
aur haqq likhha iss waste,
Sab fatwo par bhari hai,
Fatwa Aala Hazrat ka.☆

رضي الله عنه
 

Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه . Day Post 241 - Aala Hazrat رضي الله عنه Ki Wiladate Ba Sa'adat

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Aala Hazrat رضي الله عنه Ki Wiladate Ba Sa'adat.

Aala Hazrat رضي الله عنه ki wiladat 10 shawwal 1272 hijri bamutabiq 14 june 1856. Baroz e shumba zohar ke waqt shehair e bareilly muhalla jasooli mein huwi.

Aapka paidaishi naam Mohammad aur tareekhi naam Al-Mukhtar hai. Jadde Amjad Maulana Raza Ali ne aapka ism "Ahmed Raza" rakha.

Aapne apni 4 baras ki nanhi si umr mein Quraan Shareef nazra khatam kar liya. 6 saal ki umr mein maah e rabi ul awwal shareef ki taqreeb mein mimbar par raunaq afroz ho kar bahot bade maj'me ki maujoodgi mein zikre Meelad Shareef padha.

To Be Continued.