Showing posts with label Hazrat Usman E Ghani Radiallahu Anh. Show all posts
Showing posts with label Hazrat Usman E Ghani Radiallahu Anh. Show all posts

Wednesday, February 24, 2016

Shaan e Hazrat Usman e Gani ‎رضي الله عنه #538

Shaan e Hazrat Usman e Gani رضي الله عنه
#538.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Riwayat hai ke baaghiyo ki hiladbaziyoñ ke sabab 3 din tak aapka muqaddas jism be gaur o kafan pada raha, phir chand jaanisaaroñ ne raat ki tareeki me aapke janazah mubaraka ko uthakar jannatul baqee mein pahuncha diya, aur aapki muqaddas qabr khodne lage achanak un logon ne dekha ke sawaroñ ki ek bahut badi jama'at unke peeche peeche jannatul baqee mein dakhil huwi un sawaroñ ko dekh kar logoñ par aisa khauf taari huwa ke kuch logoñ ne janazah mubarak ko chod kar bhaag jaane ka irada karliya, yeh dekh kar sawaroñ ne ba-Awaaze buland kaha aap log thehre raheñ aur bilkul na darey humlog bhi in ki tadfeen mein shirkat ke liye yahañ haazir huwe hai yeh awaaz sun kar logoñ ka khauf door hogaya aur itminaano sukoon ke saath logon ne aap ko dafn kiya.

Qabrastan se laut kar un sahabiyo ne kasam khaakar logon se kaha ke yaqeenan yeh farishton ki jama'at thi.

Aap is haal mein shaheed huwe ke tilawate Quran farma rahe the aur aapke khoon ka pehla qatra Quran ki aayat par gira.

Aap 18 zilhijja 35Hijri baroze jumu'ah ko martabae shahadat par faaez huwe aap ki khilafat ka daur kamobesh 12 saal raha.




Sent from my iPhone

Tuesday, February 23, 2016

Shaan e Hazrat Usman e Gani رضي الله عنه #537


Shaan e Hazrat Usman e Gani رضي الله عنه
#537.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah

Nabi e kareem Rauf o Raheem ﷺ ne Hazrate Usman Gani رضي الله عنه ke baare mein farmaya ke roz e qayamat yeh aise sattar hazar (70,000) logoñ ki shafa'at karaeñge jo dozakh ke mustahiq ho chuke hoñge, Aapse mazeed marwi hai ke qayamat ke din Usman qabeela e Rabeea aur misr ke logoñ ki tadaad ke barabar shafa'at karaeñge.

Ummul Momineen Hazrat e Aaesha Siddiqa رضي الله عنها ne farmaya ke Hazrat e Usman jabh RasoolAllah ﷺ ki khidmat mein haazir hote to aap simat kar baith jaate aur apne kapdo ko bhi samet lete.
Ek roz kisine pucha Ya RasoolAllah ﷺ aap par mere maa baap qurban aap Usman ke aane par iss qadar simat kyuñ jaate haiñ to aapne jawab diya Maiñ aise aadmi se kyu na sharm karu jisse Khuda ﷻ ke Farishte bhi sharm karte hai.

Wahi Hai Paikar e Sharm o Hayaa o Zunnoorain,
Maqaam Unki Hayaa Ka Huzoor ﷺ Jaante Haiñ..


Shaan e Hazrat Usman e Gani ‎رضي الله عنه #536

Shaan e Hazrat Usman e Gani رضي الله عنه
#536.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Aapka naam Usman hai kunniyat Abu Umar aur laqab Zunnurain hai, kyuke Huzoor e Pak ﷺ ki 2 sahabzadiya Hazrate Ruqayya رضي الله عنها aur Hazrate umme Kulsoom رضي الله عنها aapke nikah mein aayi aur aulade aadam mein kisike nikah mein Nabi ki 2 betiyan nahi aayi.

Aapki wiladat aamulfeel se chate (6th) saal mein hai aap chauthe (4) musalman hai, Aap Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه ki dawat par Islam laaye.

Aap se pehle Hazrat Abu Baqr Siddique Hazrat Zaid bin Haarsa aur Hazrat Ali e Murtuza رضي الله عنهم Sharf e Islam pe Faeez the.



Sent from my iPhone