Showing posts with label Tamheed E Imaan. Show all posts
Showing posts with label Tamheed E Imaan. Show all posts

Thursday, March 19, 2015

Tamheed E Imaan 60

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Book - TAMHEED E IMAAN

Issi ko hamare Ulema e hanfiya se Imaam Bazaazi, wa Imaam Mohaqqiq alal Itlaaq ibn ul humaam, wa Allama Maula khusr, wa Saahib e durar, wa ghurar, wa Allama Zain bin Najeem saahib bahrul raiq, wa Ashbah un nazaayer, wa Allama Umar bin Najeem saahib e nehrul faiq, wa Allama  abu Abdullah Muhammad ibn e Abdullah ghazali saahib e tanveer ul absaar, wa Allama khairud deen Ramli saahib e Fatawa e khairiya, wa Allama shaikhi zaada saahib e majma ul anhar, wa Allama Mudaqqiq Muhammad bin Ali haskafi saahib e durr e mukhtaar waghairhum amaaed e kibaar alaihim rehmatullaahil aziz ul gaffaar ne ikhtiyaar farmaya.

Isliye ke Adam e qubool tauba sirf haakim e Islam ke Yahan hai ke wo is Maamle mein baad tauba bhi saza e maut de warna agar tauba sidq e dil se hai to Indallaah ( ALLAH ke nazdeeq) maqbool hai, kahin ye badgo is mas’ale ko dastaawez na bana le ke aakhir to tauba qubool nahee phir kyun taayeb ho?

Nahee nahee tauba se kufr mit jaayega, musalmaan ho jaoge, Jahaannam e abdi se najaat paoge, is qadar par Ijmaa hai.

yaani Ala Hazrat farmaate hai ke Khuda ke alaawa kisi ko sajda karnewala yeh keh sakta hai ke main taazeeman sajda kar raha hun aur aisa sajda haraam hai, kufr nahi lekin Huzoor SallAllahu Alaihi Wasallam ki tauheen karne me koi bahaana na chalega jaisa ke peeche aayi aayat se bhi saabit hua yaani Huzoor SllAllahu Alaihi Wasallam ki tauheen karnewala kaafir wa murtad hai.

Allah ke alaawa kisi ko sajda karne waale ki tauba qubool magar Huzoor ki tauheen karnewale ki tauba qubool nahee. is par bhi agar koi shakhs Huzoor ki tauheen karne ke baad sachhi tauba karta hai to usey tauba ke baad qatl kiya jayega.
[ Durr e Mukhtaar ]


To be Continued...

Tamheed E Imaan 58

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Book - TAMHEED E IMAAN by Sayyadi Aala Hazrat Rehmatullah Alaih

Imaam e Ajal Sayyedi Abdul Aziz bin Muhammad Bukhari Hanafi Rehmatullaahe ta’ala tehqeeq e sharah Usool e Husaami me farmaate hain: Ummat e Musalmaan ka naam, na ke Qibla rukh namaazi. 

“Yaani bad mazhab agar apni bad mazhabi mein gaali (gulu karne waala) ho jis ke sabab use kaafir kehna waajib ho to Ijmaa mein uski mukhaalifat mawaafiqat ka kuch aitbaar na hoga kyonki khata se Maasoom hone ki shahaadat to ummat ke liye aayi hai aur woh ummat hi se nahee.

agarche Qibla ki taraf namaaz parhta aur apne aap ko musalmaan aiteqaad karta ho is liye ke ummat Qibla ki taraf namaaz parhne waalon ka naam nahee balke Musalmaan ka naam hai aur ye shakhs kaafir hai, agarche apni jaan ko kaafir na jaane.”

Raddul Mukhtaar me hai: " Yaani zarooriyaat e Islam se kisi cheez mein khilaaf karne waala bil Ijmaa kaafir hai agarche ahle Qibla se ho aur umr bhar ta’aat mein basar kare jaisa ke sarah e tehreer Imam ibn ul humaam mein farmaya.”

Kutub e aqaaid wa fiqah wa usool in tasreehaat se maalaamaal hain.


To be continued...

Tamheed E Imaan 57

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Book - TAMHEED E IMAAN by Imam Ahmed Raza Khan Alaihir Rahma


Ye log agarche qible ki taraf namaz padhe, Musalmaan nahee aur is hadees ki bhi yahi muraad hai jis mein farmaya ke "jo hamaari si namaz padhe aur hamare Qible ko munh kare aur hamaara zabeeha khaaye woh musalmaan hai.”

Yaani jab ke tamaam zarooriyaat e deen par Imaan rakhta ho aur koi baat manaafi e Imaan na kare isi mein hai:

"Yaani jaan lo ke ahle Qibla se muraad wo log hain jo tamaam zarooriyaat e deen mein mawaafiq hain jaise aalam ka haadis hona (Allah subhan wa Ta'ala ka paida kiya huwa), ajsaam (jism ki jamaa) ka hashr hona, Allah subhan wa Ta'ala ka ilm tamaam kulliyaat wa juziyaat ko muheet (ghere hue) hona aur jo muhim (ahem) mas’ale in ki Maanind hain, to jo tamaam umr taa’ato ibaadaton mein rahe uske saath ye aitqaad rakhta ho ke aalam qadeem (yaani aalam hamesha se hai paida kiya hua nahee) hai ya hashr na hoga ya Allah subhan wa Ta'ala juziyaat ko nahee jaanta woh ahle Qibla se nahee

aur ahle sunnat ke nazdeek ahle qibla mein kisi ko kaafir na kehne se ye muraad hai ke use kaafir na kahenge jab tak us mein kufr ki koyi alaamat wa nishani na paayi jaaye aur koyi baat moazab e kufr us se saadir na ho.”

To be Continued...


Tamheed E Imaan by Imam Ahmed Raza Khan Alaihir Rahma 56

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Book - TAMHEED E IMAAN

Sarah e Fiqh e Akbar mein Hain : Yaani mawaaqif mein hai ke ahle qibla ko kaafir na kaha jayega magar jab zarooriyaat e deen ya ijmaayi baaton se kisi baat ka inkaar Karein jaise haraam ko halaal jaan na aur makhfi
(chupa hua)  nahee ke hamare Ulema jo farmaate hain ke kisi gunaah ke ba’is ahle qibla ki takfeer rawa Nahin.

Usey nira qibla ko munh karna muraad nahee ke ghaali raafzee jo bakte hain ke Jibraeel Alaihis Salaatu Wassalaam ko wahi mein dhoka hua.
Allah subhan wa Ta'ala ne unhein Maula Ali karamallahu wajhul kareem ki taraf bheja tha aur baaz to Maula Ali ko Khuda kehte hain.

aayiye yahan batata chalun ke baaz raafziyon ka ye kehna hai ke Hazrat e Jibraeel Maula Ali ke liye wahi laaye the aur dhoke se Huzoor ko de gaye. Ma'azAllah. Aur baaz raafzi to Maula Ali ko Ma'azAllah Khuda kehte hain. Allah mehfooz rakhein. Aameen

To be Continued...

AAPAS MEIN PYAR
BARHAA LIJIYE
SALAAM SE SUNNAH
NIBHAA LIJIYE


Wednesday, March 18, 2015

Tamheed E Imaan 55

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Book - TAMHEED E IMAAN

Kya Musalmaan ahl-e-Qibla nahi hota?  Ya ahl-e-kalima nahi hota?

Sab kuch hota hai magar RasoolAllah sallallahu Ta’ala Alaihi wa Aalihii wasallam ki shaan mein gustaakhi ke saath na Qibla qabool na kalima maqbool, Wal-a’yaaz billaah-e-Rabbil A’alameen.

Saalisan asl baat ye hai ke istelaah-e-aimma mein (yaani Imaamon ki bhaasha me) ahl-e-Qibla woh hai ke tamaam zarooriyaat-e-deen par Imaan rakhta ho, un mein se ek ka bhi munkir ho to qat’an yaqeenan ijma’an (yaani sab Imaamo wagairah ki nazar me) kaafir murtad hai, aisa ke jo usey kaafir na kahe khud kaafir hai.

To be Continued...

JO HO CHUKA HAI JO HOGA HUZOOR JAANTE HAIÑ,
TERI ATAA SE KHUDAAYA

HUZOOR JANTE HAIÑ...

Tamheed E Imaan By Sayyadi Aala Hazrat Radiallahu Anh 53


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Book - TAMHEED E IMAAN 

FIQH-E-AKBAR

Saaniyan is weham shanee (bura wahem) ko mazhabe Sayyedina Imaam e Aazam Radiyallahu ta’ala anhu se bataana Hazrat e Imaam par sakht iftera wa itihaam (tohmat lagaana) hai

Imaam RadiAllahu anhu apne aqaaid e kareema ki kitaab e mutahhar fiqhe Akbar mein farmate hain: "Allah ta’ala ki sifatein qadeem hain (yaani hamesha se hain) na to paida hain, na kisi ki banaayi huwi, to jo inhe makhlooq ya haadis (jo paida hui ho)  kahe ya is baab mein tawaqquf (khaamosh rehna) kare ya shak laaye wo kaafir hai aur Khuda ka munkir.

Neez Imaam e Humaam Radi Allahu ta’ala anhu "kitaabul wasiya" mein farmate hain: “Jo shakhs Kalaamullaah ko makhlooq kahe usne azmat waale Khuda ke saath kufr kiya.”

To be Continued...


SUBHAAN'ALLAH!
IN SAHABIO NE
HUZOOR KI DUA PAYI AUR
HUZOOR KI EK HI DU'A SE

KITNI BARKAT AAYI

Tamheed E Imaan By Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alaih 52

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ 


Book - TAMHEED E IMAAN

PEHLUDAAR BAAT DEEN ME TA'ANA:
Part 2/2

Jab pehludaar baat Deen mein ta’ana huwi to “sareeh wa saaf kitna sakht ta’ana” hogi. Balke insaaf kijiye to un baaton mein ka sareeh bhi in kalmaat ki shana’at ( buraayi) ko nahin pahonchta.

Behra hone ki dua ya raoonat ya bakriyaan charaane ki taraf nisbat ko in alfaaz se kya nisbat? ke “shaitaan se ilm mein kamtar” ya “paagalon chaopaayon se ilm mein humsar” aur KHUDA ki nisbat hai ki woh “jhoota hai, jhoot bolta” hai. Aur Jo use jhoota bataaye Musalmaan Sunni Suaaleh hai.


Wal ayaaz billaahi Rabbil Aalameen.


HASAD AUR DOKHE SE
KOI AAGE NAHI BADHTA
GHALAT RAASTA APNAANE SE
 ALLAH RAAZI NAHI HOTA
HAR KAAM IMAANDARI KE SAATH KARO

HAR DIN HAR WAQT ALLAH SE DARO

Tamheed E Imaan 51

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Book - TAMHEED E IMAAN by Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alaih

PEHLUDAAR BAAT DEEN ME TA'ANA:
Part 1/2

Kuch yahoodi jab darbaar e Nabuwat mein haazir hote aur HUZOOR E AQDAS sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam se kuch arz karna chaahte to yun kehte suniye,

"Aap sunaate na jaayein", jis se zaahir to dua hoti yaani HUZOOR ko koi na-gawaar baat na sunaate aur dil mein bad-dua ka iraada karte ke sunaayi na de aur jab HUZOOR E AQDAS sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam kuch irshaad farmate aur ye baat samajh lene ke liye mohlat chaahte to raa’ina kehte,

jis ka ek pehlu e zaahir ye ke “hamaari riaayat farmaiye” aur muraad e khafi
(chupi hui) rakhte “raoonat waala” aur baaz kehte hain zabaan dabaakar raeeena kehte yani “hamara charwaaha”.

Yaani yahoodi dil hi dil me HUZOOR ke liye raa'ina shabd ko tauheen ke taur par istemaal karte to ALLAH TA'ALA ne aayat naazil farmaayi ki raa'ina na kaho balke unzurna kaho. 

To be Continued...

WOH AULAAD HI KYA
JO WALIDEIN KI KHIDMAT NA KARE
WOH NAMAZ HI KYA

JISME WAQT KI PABANDI NA RAHE

Tuesday, March 17, 2015

Tamheed E Imaan 50 Makar E Duwwam

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Book - TAMHEED E IMAAN by Imam Ahmed Raza Khan Alaihir Rahma

MAKAR E DUWWAM
PART 3/3


Dekho Namaz wa zakaat wale agar Deen par ta’ana karein to unhein kufr ka peshwa Kaafiron ka sargana farmaya. Kya KHUDA aur RASOOL ki shaan mein wo gustakhiyaan Deen par Ta’ana Nahin? Iska bayaan bhi suniye:

TUMHARA RAB AZZ WA JALL FARMATA HAI:
“Kuch yahoodi baat ko us jagah se badalte hain aur kehte hain hum ne suna aur na Maana, aur suniye aap sunaaye na jaaye aur raaeena kehte hain zabaan pher kar aur deen par ta’ana karne ko aur agar woh kehte hum ne “suna” aur “Maana” aur “suniye” aur hame “mohlat” dijiye to unke liye behtar aur bohat theek hota lekin unke kufr ke sabab ALLAH ne un par laa’nat ki hai to Imaan nahi laate magar kam.” 

(para 5, surah nisa, ruku 4)

Allah ki panaah


EK HAATH BARHAWO
PADOSI KI MADAD MAI
UNKi TAKLEEF, HAR DUKH
AUR HAR DARD MAI
JISNE UNKI TAKLIF KO

BARHAWA DIYA WO SHAKHS KABHI MOMIN NAHI HO SAKTA

Sunday, March 15, 2015

Book - TAMHEED E IMAAN 49 MAKAR E DUWWAM PART 2/3


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Dekho saaf farma diya ke zarooriyaat e Deen par Imaan laana hi asal kaam hai bagair is ke namaz mein Qibla ko munh karna koi cheez nahin,

AUR FARMATA HAI:
“Wo jo kharch karte hain uska qubool hona band na hua, magar is liye ke unhon ne ALLAH  aur RASOOL ke saath Kufr kiya aur namaz ko nahee aate magar ji haare aur kharch nahin karte magar bure dil se.”
( para 10, surah tauba, ruku 13)


Dekho inka namaz parhna bayaan kiya aur phir unhe kaafir farmaya. Kya woh Qible ko namaz nahin parhte the? faqat Qibla kaisa? Qibla e dil o jaan, Kaaba e Deen o Imaan , Sarwar e Aalamiyaan ( tamaam Aalam ke Baadshah) sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ke peeche jaanib e Qibla namaz padhte the.

AUR FARMATA HAI:
“phir agar woh tauba kare aur namaz barpa rakhe aur zakaat de to hamare Deeni bhai hain aur hum pate ki baat saaf bayaan karte hain ilm waalon ke liye, aur agar qaul o iqraar karke phir apni qasmein tode aur tumhare Deen par ta’an kare to kufr ke peshwaon se ladon, unki qasmein kuch nahin shaayed woh baaz aaye.”
(para 10, surah tauba, ruku 8)

Continued....




بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Book TAMHEED E IMAAN 48 MAKAR E DUWWAM PART 1/3


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

MAKAR E DUWWAM
PART 1/3

Is firqa e baatila ka makr e duwwam yeh hai ke Imam e Aazam radiyallahu ta’ala anhu ka maz’hab hai ke,
Hum ahle Qibla mein se kisi ko kaafir nahee kehte aur Hadees mein hain jo hamaari si namaz padhe aur hamare Qible ko munh kare aur hamara zabeeha khaaye, woh musalmaan hai.

Musalmaanon! Is makr e khabees mein un logon ne niri kalma goyi se udool (khilaaf) kar ke sirf Qibla rui ka naam Imaan rakh diya, yaani jo Qibla ru ho kar namaz parh le musalmaan hai agarcha ALLAH azz wa jall ko jhoota kahe, MUHAMMAD RASOOLULLAH sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ko gaaliyaan de, kisi soorat kisi tarah Imaan nahin talta. 

"Chu wu zoo e mohkam bi bi tameez,"

Awwalan is makar ka jawab:

TUMHARA RAB AZZ WA JALL FARMATA HAI:
"Asal neki ye nahi ke apna munh namaz mein mashriq wa magrib ko karo balke asal neki ye hai ke aadmi Imaan laaye, ALLAH aur Qayamat aur Farishton aur Qur’an aur tamaam Ambiya par”
(para 2, surah bakrah, ruku 6)

Continued...

Book TAMHEED E IMAAN 47


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

...Continued

Haan be Khuda ke bataaye kisi ko zarra bhar ka ilm maan na zaroor kufr hai aur Jamie maaloomaat e Ilaahiya ko ilm makhlooq ka muheet hona bhi baatil aur aksar Ulema ke khilaaf hai lekin roz e azal ( pehle din) se roz e aakhir tak ka maa kaana wa ma yakoon ( jo hua aur jo hoga) Allah subhan wa  ta’ala ke maaloomaat se woh nisbat bhi nahin rakhta jo ek zarre ke laakhwein karodwein hisse ke baraabar yaa tari ( baraabari) ko karor ha karor samundaron se ho balke yeh khud uloom e Mohammediya sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ka ek chhota sa tukra hai.

(yaani Ala hazrat farma rahe hain ke Allah ta'ala ke ilm ki kisi ek ke ilm se koi baraa-bari nahi yahan tak roz e azal se roze aakhir tak ka maa kaana wa ma yakoon ka tamaam ilm ki baraa-bari Allah ta'ala ke ilm ki baraa-bari aisi bhi nahi ki ja sakti jo ek zarre ke karorwein hisse ko karor ha samandar se hai balke ye maa kaana wa maa yakoon ka ilm to hamaare Huzoor ke ilm ka ek tukda hai aur Allah ke ilm ki baraa-bari kisi ke ilm se nahi 

aur phir Allah ta'ala ka ilm to zaati hai yaani Use kisi se mila nahi balke khud se hai aur hamaare Huzoor ko jitna bhi ilm mila ya jise bhi mila Allah hi se mila hai. Haan RasoolAllah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ilm ke baantne waale hain.

In tamaam umoor ki tafseel “AL Dawl tul Makkiya” (Aalahazrat Mujaddide deen o millat Imam Ahmed Raza Khan ki ek kitaab ka naam hai) wagaira mein hai. Khair yeh to jumla e muatariza (aisi baat jo beech me aarzi taur par ho) tha aur In sha Allah ul azeem bahot mufeed ( faayidemand) tha, ab bahes saabiq ki taraf aaud kijiye.

To be continued....

Book TAMHEED E IMAAN 46


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

...Continued

Yahan se wo hazraat bhi sabaq lein Jo RasoolAllah sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ke uloom e ghaib se mutlaqan munkir hain. Dekho yeh qaul munaafiq ka hai aur is ke qaail  ko Allah subhan wa ta’ala ne Allah wa Qur’an wa Rasool se thattha karne wala bataaya aur saaf saaf kaafir murtad thehraya .

(balke us kehne ko ke “Mohammed ghaib kya jaane”? Allah subhan wa ta’ala ne pehle apni tauheen, Aayaton ki tauheen phir Rasool ki tauheen shumaar ki) 

aur kyun na ho ke “ghaib ki baat jaan ni shaan e Nabuwat hai". Jaisa ke Imaam Hujjatul islam Muhammad Gazaali, Imaam Ahmed Qastalaani, Maulana Ali Qaari, Allama Muhammad Zarqaani wagairhum akaabir ne tasreeh farmayi jis ki tafseel e risaail e ilm e ghaib mein ba-fazal e ta’ala baroza e a’la mazkoor huwi.

Phir us ki sakht shaamat e kamaala e dalaalat (gumraahi)  ka kya poochna jo ghaib ki ek baat bhi khuda ke bataaye se bhi nabi ko maaloom hona muhaal wa na mumkin bataata hai, us ke nazdeeq Allah subhan wa taála se sab cheezein gaayab hain. Aur Allah ko itni qudrat nahi ke kisi ko ek ghaib ka ilm de sake, Allah subhan wa ta’ala shaitaan ke dhokon se panaah de.

Aameen.

To be Continued...

Book TAMHEED E IMAAN 45.


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

AUR FARMATA HAI :
“Aur agar tum un se poochho to beshak zaroor kahein ge ke hum to yun hi hansi khel mein the, Tum farma do kya Allah aur us ki Aayaton aur us ke Rasool se thattha karte the, bahaane na banao tum kaafir ho chuke apne Imaan ke baad.”
{ para 10, Surah Tauba, Ruku 14 }

Ibn abi Shaiba wa ibn Jareer wa ibn Almanzar wa ibn abi Hatim wa abu Alshaikh Imaam Mujahid talmiz e khaas Sayyedna Abdullah bin Abbas radiyallahu ta’ala anhum se riwaayat farmaate hain,

"Yaani kisi shakhs ki oontni gum ho gayi, us ki talaash thi, RasoolAllah sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ne farmaya oontni falaan jungle mein falaan jagah hai, is par ek munaafiq bola Mohammed sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam batate hain ke oontni falaan jagah hai, Mohammed ghaib kya jaane?"

Is par Allah azz wa jall ne yeh aayat e kareema utaari ke kya Allah wa Rasool se thattha karte ho, bahaane na banao tum musalmaan kehlaakar is lafz ke kehne se kaafir ho gaye.

[ Tafseer e Imam ibn Jareer matbaa Misr, jild dahum safaa 105 ] 
[ Tafseer Durre Mansoor e Imaam Jalaaluddin suyuti jild suwam safha 254]

Musalmaano! dekho Mohammed RasoolAllah sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ki shaan mein itni gustaakhi karne se ke "woh Ghaib kya jaane" kalma goi kaam na aayi aur Allah subahn wa ta’ala ne saaf farma diya ke bahaane na banao, tum Islam ke baad kaafir hogaye. 

to be continued...

Book TAMHEED E IMAAN 44


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

... Continued

KALMA E KUFR - MUHAMMAD (SallAllaho Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam) GAIB KYA JAANEIN?

Tumhara Rabb Azz Wa Jall Farmata Hain, "KHUDA ki qasam Khaate Hain ke Unhon ne NABI ki Shaan mein Gustaakhi Na ki aur Albatta beshak Woh yeh Kufr ka bol Bole aur Musalmaan ho kar kaafir ho gaye."
{ para 10, surah tauba, ruku 16}

Ibn e Jareer o Tibraani o Abu al Shaikh o ibn e Mardoya Abdullah bin Abbas Radi Allahu Ta’ala Anhuma se riwaayat Karte hain RASOOLALLAH sallAllahu Ta’ala Alaihi wa aalihi Wasallam ek Darakht ke Saaye mein Tashreef farma the, irshaad farmaya anqareeb ek shakhs aayega ke tumhein shaitaan ki aankhon se dekhega woh aaye to us se baat na karna.

Kuch der Na Huwi thi Ke ek karanji aankhon waala saamne se guzra RASOOLALLAH sallAllahu Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam ne Use Bulaakar farmaya Tu aur Tere Rafeeq kis Baat par Meri Shaan mein Gustaakhi ke lafz Bolte hain Woh gaya Aur apne Rafeeqon ko bula laya.

Sab ne aakar Qasmein khaayi Ke Hum ne koi Kalma HUZOOR ki shaan mein be Adabi ka Ma kaha, is par ALLAH azz wa jall ne Yeh Aayat utaari Ke KHUDA ki Qasam khate Hain ke Unhon ne Gustaakhi na Ki aur Beshak zaroor Woh yeh Kufr ka Kalma Bole aur Teri Shaan mein Be adabi Kar ke Islam ke Baad kaafir Ho gaye.

Dekho ALLAH gawaahi Deta hai ke NABI ki shaan Mein be Adabi ka lafz Kalma e Kufr hai Aur uska Kehne wala Agarche laakh Musalmaani ka Muddaee karor baar ka Kalma go ho Kaafir ho jaata hai.

To be Continued...

Saturday, March 14, 2015

Book - TAMHEED E IMAAN 43


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

... Continued

is makar ka Jawab aik to isi Aayate kareema mein guzra “Kya log is ghamand mein Hain ke nire Addaaye islam [islaami daawa] par chhor diye jaayenge aur imtehaan na hoga?"
{ Surah Anqaboot }

Islam agar Faqat Kalma goyi ka naam Tha to beshak Haasil thi Phir Logon Ka ghamand Kyun Galat Tha? Jise Qur’an e Azeem radd farma raha hai, neez: Tumhara RAB azz a jall Farmaata hai: “Yeh gawaar Kehte hain hum Imaan laaye Tum farma do Imaan to tum na laaye haan yun kaho hum mutiul islam huye Imaan abhi Tumhare dilon Mein kahaa daakhil hua”
{ Surah Hujraat }

aur Farmaata hai : “Munaafiqeen jab Tumhare huzoor Haazir hote hain Kehte hai hum Gawaahi dete Hain ke beshak HUZOOR  yaqeenan KHUDA ke RASOOL hain aur ALLAH khoob jaanta hai ke beshak tum zaroor Uske RASOOL ho aur ALLAH gawaahi deta hai ke beshak yeh munaafiq zaroor jhoote hain”
{ Surah Munaafiqoon }

Dekho kaisi lambi chauri kalma goi, kaisi kaisi taa’keedon se moaqqad, kaisi kaisi qasmon se moaiyyed (taaeed kiya hua) hargiz moajjib e islam na huwi aur ALLAH Waahid Qahhaar ne unke jhoote kazzaab hone ki gawaahi di to "Man qaala La ilaaha illallaah dakhalal Jannata" ka yeh matlab nikaalna sarahatan Qur’an e Azeem ka radd karna hai.

Haan jo kalma padhta ho apne aap ko Musalmaan kehta ho hum use musalmaan jaanenge jab tak use koi kalma, koi harqat, koi fail manaafi e islam [ islaam ke khilaaf ] na saadir ho, baad sudoor e manaafi hargiz kalma goi kaam na degi. (Yaani jo shakhs kalma parhta hai aur kabhi ALLAH wa RASOOL ki tauheen nahee karta wo musalmaan hai magar agar usne adna si bhi ALLAH ya RASOOL ki tauheen ki aur tauba na ki to wo Kaafir hai, kalma padhna uska bekaar hai.)

To be continued ...

Book - TAMHEED E IMAAN 42


 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


FIRQA E DUWWAM:

Mua’andeen (Mukhaalifeen) o dushmanaan-e-deen ki khud inkaar e zarooriyaat e deen rakhte hain aur sareeh kufr karke apne upar se naam e kufr mitaane ko Islam o Qur’an o KHUDA wa RASOOL wa Imaan ke saath tamasskhar ( mazaak ) karte aur baraahe agwa o talbees o shewa e iblees ( iblees ke taur tareeqe ki tarah) woh baatein banaate hain ke kisi tarah Zarooriyat-e-Deen maanne ki qaid uth jaaye. Islam faqt tote ki tarah zabaan se kalma rat lene ka naam reh jaaye, bas kalme ka naam leta ho phir chaahe KHUDA ko jhoota kazzaab kahe, chaahe RASOOL ko sadi sadi gaaliyan de, Islam kisi tarah na jaye.
Yeh musalmaanon ke dushman, islam ke adu, awaam ko chilne aur KHUDA e Waahid e Qahhaar ka Deen badalne ke liye chand shaitaani makar pesh karte hain.
MAKAR E AWWAL:
Islam naam kalma goi ka hai.
Hadees mein farmaya jis ne La ilaaha illallaah keh liya Jannat mein jayega. “phir kisi qaul ya fail ki wajah se kaafir kaise ho sakta hai”?
Na uzoo billaahi min zaalika.
Musalmaanon! Zara hoshiyaar. Khabardaar, is makar e maloon ka haasil yeh hai ke zabaan se La ilaaha illallaah keh lena goya KHUDA ka beta ban jaana hai.( goya in deobandiyon ke nazdeek)
Jis tarah kisi Aadmi ka (apna) beta agar use gaaliyaan de, jootiyaan Maare, kuch kare uske bete hone se nahi nikal sakta, yun hi jis ne La ilaaha illallaah keh liya, ab woh chaahe KHUDA ko jhoota kazzaab kahe chaahe RASOOL ko sadi sadi gaaliyaan de, us ka islam nahi badal sakta?
(MA’AZALLAH)

To Be Contd...

Book - TAMHEED E IMAAN 41

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


FARISHTON KA APNE ILM WAALE USTAAD SE BARTAAO.

Iblees kitna bada aalim tha phir kya koi musalmaan uski ta’zeem karega?
Use to muallim ul malqoot ( farishton ka ustaad ) kehte hain. yani farishton ko ilm sikha ta tha. Jab se usne MUHAMMAD RASOOLALLAH ﷺ ki ta’zeem se munh moda, HUZOOR ka Noor peshaani e AADAM alaihis salaam mein rakha gaya. Use sajda na kiya, us waqt se la’nat e abadi ka tauq us ke gale mein pada. Dekho jab se uske shaagirdaan e rasheed (farishte) uske saath kya bartao karte hain, Hamesha us par la’nat bhejte hain, har ramzaan mein mahina bhar use zanjeeron mein jakadte hain, qayamat ke din kheench kar Jahaannam mein dhakeleinge. Yahan se ilm ka jawab bhi waazeh hogaya aur ustaadi ka bhi.
Yaani yeh baat saaf ho gayi ke ilm waala ho ya ustaad agar wo ALLAH wa RASOOL ki tauheen karta hai to us se nafrat rakhi jaaye, yahi ALLAH ka hukm hai jo Qur'an se saabit hai.
Bhaiyyon! karod karod afsos hai, is daawa e musalmaani par ke ALLAH Waahid e Qahhaar aur MUHAMMAD RASOOLULLAH ﷺ se zyada ustaad ki waqat ho, ALLAH wa RASOOL se badh kar bhai ya dost, ya duniya mein kisi ki mohabbat ho.
Aye RAB! hamein sachcha Imaan de, sadqa Apne HABEEB ﷺ ki sachchi izzat sachchi rehmat ka.
Aameen.

To Be Contd...









Book - TAMHEED E IMAAN 40


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ



IZZAT O TAAZEEM KA HAQDAAR KAUN??
Bhaiyyon! Aalim ki izzat to is bina par thi ke woh NABI ka waaris hai, NABI ka waaris woh jo hidaayat par ho aur jab gumraahi par hai to NABI ka waaris hua ya shaitaan ka?
Us waqt uski taa’zeem NABI ki taa’zeem hoti.
Ab uski ta’zeem, shaitaan ki ta’zeem hogi.
Yeh is soorat mein hai ke aalim-e-kufr se neeche kisi gumraahi mein ho jaise bad mazhabon ke Ulemaa, phir uska kya poochna jo khud kufr-e-shadeed mein ho use Aalim-e-deen jaanna hi kufr hai na ke Aalim-e-deen jaan kar uski ta’zeem.
Bhaiyyon! Ilm us waqt nafaa deta hai ke deen ke saath ho warna pandit ya paadri kya apne yahan ke aalim nahin?

Book TAMHEED E IMAAN 39


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ



 Aur Farmaata hai:
2.
“Woh jin par taurait ka bojh rakha gaya magar unho ne usey na uthaya unka haal us gadhe ke jaisa hai jis par kitaabein ladi hon, kya buri misaal hai unki jinhone KHUDA ki aayatein jhutlaayin aur ALLAH zaalimon ko hidaayat nahi karta.”
(para 28, surah Juma, ruku 11)

3.
Aur Farmaata hai:
“Unhe padh kar suna khabar uski jise humne apni aayaton ka ilm diya tha, woh unse nikal gaya to shaitaan uske peeche laga ke gumraah hogaya aur hum chaahte to us ilm ke ba’is usey gire se utha lete magar woh to zameen pakad gaya aur apni khwaahish ka pairo ho gaya to uska haal kutte ki tarah hai tu us par hamla kare to zabaan nikaal kar haanpe aur chhod de to haanpe, yeh unka haal hai jinhon ne hamaari aayatein jhutlaeen to hamara yeh irshad bayaan kar yeh shaayad log sochein, kya bura haal hai unka jinhone hamaari aayatein jhutlaayin aur apni hi jaanon par sitam dhaate they jise KHUDA hidaayat kare wohi raah paaye aur jise gumraah kare to wohi saraasar nuqsaan mein hain”
( Para 9, surah Airaaf, ruku 12)

“Yaani hidaayat kuch ilm par nahi KHUDA ke ikhtiyaar me hai.
Yeh aayatein hain aur hadeesein hain jo gumraah aalimon ki mazammat mein hain. Inka to shumaar hi nahi yahan tak ke ek hadees mein hai, dozakh ke farishtey but paraston se pehle unhein pakdenge, yeh kahenge kya hamein but poojne waalon se bhi pehle lete ho, jawab milega
" Jaanne wale aur anjaan baraabar nahi."

to Be Contd....