Showing posts with label Masail E Wuzu. Show all posts
Showing posts with label Masail E Wuzu. Show all posts

Sunday, March 22, 2015

Wazu Ke Masaeel 133

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Wazu Ke Masaeel

⏩Wazu ka tariqa

# Pehle wuzu ki niyyat kare
Bismillah shareef padhe wuzu se pehle Bismillah wal hamdulillah keh le to jab tak wazu rahega fariste nekiyan likhte rahenge

# Dono haath pohnchon tak 3 bar dhoyein

# Miswaak kare na ho to danton par ungli malein

# 3 chillu se 3 bar kulli karein is tarah ke munh ke har purze tak pani ponhche roza na ho toh gargara kare

# Naak mai narm haddi tak pani chadha kar saaf kare 3 bar

# Chehre ko 3 bar dho le iss tarah ke sar ke  baalon ki jad se todhi tak dadhi ho to dadhi samet aur ek kaan ki lo se dusre kaan ki lo tak pure chere par se pani beh jaye

# Daadhi ho toh uska khilaal kare sidhe haath ki ungliyon ko gale ki taraf daadhi mein daakhil kar ke aage ki taraf nikaale


Continued..........

Wazu Ke Masaeel 132

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Wazu Ke Masaeel


 Wazu ke bagair namaaz hoti hi nahi

⏩ Mafhoome Ahadees

➡ Wazu kar ke sonewala roza rakh kar ibadat karne wale ki tarah hai

⏩ Mafhoome Ahadees


➡ Jisne "Bismillah Shareef" keh kar wazu kiya uska sar se pair tak sara jism paak ho gaya

Wazu Ke Masaeel 131

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩Wazu kise kehte hai?

➡Chehra dhona

➡Kohoniyon ke saat dono haath dhona

➡Takhnon ke saat dono pair dhona

➡Chauthaai 1/4 sar ka masah karna

➡Isse WUZU kehte hai


            Continue..............