Showing posts with label Ayesha Siddeeqa Radiallahu Anh. Show all posts
Showing posts with label Ayesha Siddeeqa Radiallahu Anh. Show all posts

Sunday, March 22, 2015

Shaane Hazrate Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha 101

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah Subhan wa Ta'ala ne 17 ya 18 aayatien aapke daamane izzat ki baraat wa taharat aur jamaa'at munafiqeen ki majammat wa kahabasat mai nazil farmayi.

Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha ki umr sharif 18 saal ki thi uss waqt Huzoor ﷺ ne zahiri wisaal farmaya.

Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha ne baroz mangal 17 Ramzan san 58 hijri mein duniya se rahlat farmayi dusre qaul ke mutabik san 57 hijri ko.

Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha  ki namaze janaza Hazrate Abu Huraira  RadiyAllahu Ta'ala Anhu ne parhayi.

Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha ki wasiyat ke mutabik aapko Jannatul Baqi mein dafan kiya gaya.

#Aapki umr shareef 66 saal huwi.

#Madarij Jun Nabuwaah
#Khazainul Irfan
#Assdul gaaba

Shaane Hazrate Aisha Siddiqa Radi Allahu Taa'ala Anha 100

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

➡ 10 Nabwi mai aapka nikaah huwa uss waqt aapki umr 6 ya 7 saal ki thi aur Huzoor ﷺ ki umr sharif 50 saal ki thi.

➡ Aap Huzoor ﷺ ki sohbat wa ma'aashraat mai 9 saal rahi.

➡ Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa Radi Allahu Taa'ala Anha ka nikaah Hazrat e Abu Bakr Siddiq Radi Allahu Taa'ala Anhu ne karaya tha.

➡ Aapka maher 400 dirham muqarrar huwa.
➡ Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa Radi Allahu Taa'ala Anha walime ke baare mai khud farmati hai
koi oont ya bakri zibah karke walime ka khaana tayyar na huwa balki ek pyaala doodh jo Saad Bin Ubada Radi Allahu Anhu ke ghar se aaya huwa tha wahi walima tha.

➡ Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa Radi Allahu Taa'ala Anha ki rukhsati pehli san hijri mai 9 mahine baad shawwal me huwi uss waqt Hazrate Aisha Siddiqa Radi Allahu Taa'ala Anha ki umr 9 saal ki thi. Dusri riwayat ke mutabik 2 hijri me aathwe mahine ki aakhir me huwi.

# Madarij Jun Nabuwaah
# Seerat ibne Hashim

Shaan e Hazrat e Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha 99

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrate Aisha RadiyAllahu Ta'ala Anha farmaya karti thi ki mujhe tamaam ummahatul momineen par kuch aisi fazilate hasil hai jo kisi aur azwaaje mutaharaat ko hasil nahi hui
Maslan

1⃣Huzoor ﷺ ne mere siwa kisi kunwaari se shaadi nahee farmayi.

2⃣Isse pehle ki Huzoor ﷺ mere nikaah ka payaam de Jibrael Alaihissalam ne reshmi kapde par meri surat Huzoor ﷺ dikha di aur kaha ki yeh aapki zohza mutahira  hai. Isi tarah aap 3 raate khawaab mein mujhe mulahiza farmate rahe.

3⃣Mere siwa azwaaj mein se koi bhi aisi nahi jinke Maa-Baap dono muhajir ho.

4⃣Allah ﷻ ne meri baraat wa taharat ka bayaan aasman se Quraan Paak mein naazil farmaya.

5⃣Huzoor ﷺ namaz e tahhajud adaa farmate aur mein aapke aage sidhi letey rehti thi aur yeh sulook mere saat hi khaas tha.

6⃣Mai aur Huzoor ﷺ ek hee bartan se paani le lekar gusl kiya karte the. Yeh sharf kisi aur azwaaj ko hasil nahi.

7⃣Kisi zohja mutahira ke jamaye khawaab mein
Huzoor ﷺ par wahee nahi aayi siwaye mere jamaye khawaab ke.

8⃣Huzoor ﷺ ne mere hi ghar mein bimari ka zamana guzara aur meri hi baari ke din aapki Rooh Muqaddas kabz ki gayi.

9⃣Huzoor ﷺ ki iss haal mein Rooh kabz huwi ki aap mere seene aur chaati par aaram farma rahe the.

🔟Aur Huzoor ﷺ mere hujre mein hi madafan huwe.

#Madaarijun Nabbuwah 2/802 - 804