Showing posts with label Ramzaan. Show all posts
Showing posts with label Ramzaan. Show all posts

Sunday, March 22, 2015

Eid ul fitr 112

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Sarwar e Qaunain ﷺ irshad farmate hai jisne Eid ke din 300 martaba SUBHANALLAHI WABI HAMDIHI aur iska sawab inteqal huwe musalmaaon ko baksha toh har qabr mein 1000 anwaar daakhil honge aur jabh yeh padhne wala khud inteqal karega toh uski qabr mein bhi Allah Ta'ala 1000 anwaar daakhil karega.

# Mukaashafatul Quloob.

Tamaam members ko kanzul Imaan team ki taraf se Eid ul Fitr Mubarak ho.

MAAH E RAMZAAN HUWA ALWIDA
PAR NAMAAZ KO KARNA TUM ADA
NAMAAZ KO BHOOLNA MAT KABHI
PARHO JAISE KEHTE HAI HUMARE NABI ﷺ

Fazaeel shab e Eid ul fitr 111

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu umama رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor akram ﷺ ne Farmaya jis Shakhs ne dono Eid (Eid ul fitr - Eid ul Adha) ki raato ko sawab ka yaqeen rakhte huwe zinda rakha to uss shakhs ka dil uss din na marega jis din logo ke dil murda ho jayenge.
[ibne maza]

Eid ki raat ko Zinda rakhna matlab ye hai ke ibadate ilahi mai mashgul rahe, ghar walo ke sath muhabbat se pesh aaye, rishtedaaro se Achha sulook aur digar ibadato mai raat ko guzare.

Aur jo ye farmaya gaya ki in raato mein ibadat karne wale ka dil mudra na hoga uska matlab ye hai ki qayamat ke din har taraf khauf , dehshat, ghabhrahat hogi log badhawaas aur madhosh honge khauf e ilahi se magar uss bande ko Rabb tabarak wa ta'ala ne'amato se bharpur zindagi bakhshega.

Eid ki raat badi Mubarak aur baa barkat raat hai usme Allah ka zikr, durood e paak aur digar ibadat ziada se ziada kare saari raat ibadat na kar sake to jab tak jaag sakta hai itni hi  der ibadat kar le. aur isha aur fajr ki namaaz taqbire ulaa ke sath baa-jama'at adaa kare.

Kuch log iss Mubarak raat me bazaaro ki sajaawat, chamak damak, aur kharidaaro ki bheed dekhne bazaro mai tafreeh karte hai aur aisi mubarak raat ka  ziadatar hissa bekari mai guzarte hai.

Eid ki raat ye apne Rabb se mangne ki raat hai, inaam ki raat hai. jitna ho sake Rabb tabaarak wa ta'ala se gir-gira kar dua maange aur pichhle gunaho ki maafi talab kare aur aayinda gunaho se bachne ka ahed kare.

Maula tabarak wa ta'ala hum sab ko ye mubarak raat mai ibadat karne ka aur apne Rabb se inaam lene ka jazba ataa kare.

آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين


AAYI HAI EID
MUBARAK HO SABKO
EID KI SUNNAT KO
YAAD RAKHO

Maah e Ramzaan 111

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Nabi e kareem rauf o raheem ﷺ irshad farmate hai jab Eid-ul-Fitr ka din aata hai to farishte chauraaho par khade ho jaate hai aur nida dete hai.

“ Aye Musalmaano ki jamaat! Rabb e Kareem ki jaanib chalo jo khair se nawazta hai. Yaqeenan tumhe raat ko ibadat karne ka huqm diya gaya to tumne ibadat ki aur roza rakhne ka hukm diya gaya toh tumne roze rakhe. Tumne apne Rabb ki itaa'at ki ab apne ina'maat haasil karlo. ”

Phir jab log namaaz e eid ada karte hai to ek aawaz dene wala aawaz deta hai, “ Beshak tumhare parwardigaar ne tumhe baksh diya ab tum apne ghar laut jao iss haal mein ke tum hidaayat waale ho ke ye yaum al jaaza (inaam ka din) hai aur aasmaan mein iss din ko yaum ul jaza kaha jaata hai. ”

# Muajjam Al Kabeer Lil Tabraani. Hadees Shareef No- 616.

Maah e Ramzaan 110

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Mas'ala

Sadqa e fitr har musalmaan aazad malik e nisab par (jiska nisab haajat e asliya ke alawa ho) uspar wajib hai. Sadqa e fitr ke liye aqil (aqal wala) baligh aur maal ka naami hona shart nahee, aur maal par ek saal guzarna bhi zaroori nahee.

# Durr e Mukhtar, Jild 3, Safah 362.

 ⏩ Mas'ala

Sadqa e fitr waajib hai, iska waqt umr bhar hai. agar pehle nahee diya tha to ab de. Na dene se uska huqm saqit nahee hoga. Aur takheer se dega to qaza bhi nahee kehlayega, magar sunnat ye hai ki Namaze Eid se pehle ada kare.

# Bahar-e-Shariat, Jild 5, Safah 935.

RAMAZAN KA ROZA
BINA WAJAH MAT TORO
ISKA ANJAAM JAANKE
KOI ROZA MAT CHORO

Maah e Ramzaan 109

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Kab bin Ajrah رضي الله عنه se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne humein irshad Farmaya:

Mimbar ke paas Jama ho jao hum sab jama ho gaye, Huzoor ﷺ ne Jab Mimbar ki Pehle sidhi par kadam rakha to farmaya: "Aameen"

Dusri sidhi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen"

Jab Teesri sidhi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen"

Sahaba ne Arz kiya Ya RasoolAllah! ﷺ Aaj humne Aapse aisi baat suni hai jo pehle kabhi nahee suni, rasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya:
"Mere paas Jibraeel Alaihis Salaam Aaye the.

Jab maine pehli sidhi par Kadam rakha to unhone kaha Halak o Barbad ho jaye wo shaks jo Ramzaan ul Mubarak ka mahina paye phir bhi us ki Bakhshish na ho Maine kaha: "Aameen".

Jab Maine dusri sidhi par kadam rakha to unhone kaha Halak o Barbad ho jaye wo Shaks jiske samne Aap ka Naam Mubarak liya jaye aur wo Aap ki khidmat Aqdas mein Darood Shareef na bheje, Maine kaha: "Aameen".

Jab maine Teesri sidhi par kadam rakha to unhone kaha Halak o Barbad ho jaye wo Shaks jo Apne Waldain ko budhape ki halat mein paye lekin woh (un ki khidmat kar ke) Jannat mein dakhil na ho, Maine kaha: "Aameen".

Mustadrak Al Hakim Shareef.

Maah e Ramzaan 108

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Hazrat e Abbas رضي الله عنه se irshad farmate hai. Agar mumkin ho toh salatul tasbeeh roz ek martaba padhna. Agar roz padhna mumkin nahi toh har jummah ke din padhna. Agar har jummah ke din padhna mumkin na ho toh har mahine mein iss namaz ko padhna. Agar har mahine mein yeh namaz mumkin na ho toh iss namaz ko saal mein ek martaba padhna. Agar saal mein ek martaba padhna bhi mumkin na ho toh zindagi mein ek martaba isse zarur padhna.

# Abu Dawood Shareef. Jild 2 Safah 44-45.

https://fbcdn-sphotos-h-a.akamaihd.net/hphotos-ak-xpf1/t31.0-8/335911_10150903522070334_1239077798_o.jpg

Salat ul Tasbeeh kaise padhna hai uska tareeka aap iss link se haasil kar sakte hai.!

Shab e Qadr mubarak ho. Iss khaas shab mein Kanzul Imaan team ko apni duaon mein zaroor yaad rakhna.!
جزاک الله خیر

EK ZARIYA JO SABKO
DIKHATE HAI HUMARE NABI ﷺ
DOZAKH KI AAG SE
PAA LO HIFAZAT SABHI

Maah e Ramzaan 107

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Masla - Agar kisi masjid mein 1 khatm e Quraan hota hai toh yeh mustahab hai ke 27vi shab mein khatme Quraan karey. Aur Quraan Shareef iss shab yaa isse pehle kisi shab mein mukammal hogaya ho toh bhi Namaz e Taraweeh Maah e Ramzaan ki aakhiri shab tak padhna hai ke yeh namaz Sunnat e mu'akkadah alal kifaya hai.

# Alamgiri Jild.1 Safah.118.

Eitekaf ke Masaeel 106

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Eitekaaf ke liye agar Masjid mein parda lagaaye to kam se kam jagah ruke taaki namaziyon ko pareshaani na ho
Sayyedi Aala Hazrat Azeemul Barkat رضي الله عنه farmate hai Masjid mein cheezein rakhi huwi hai jiski badaulat Namaz ki jagah rukti hai to yeh sakht na jaiz hai.

# Fatawa Razviya Shareef jild , 8 Safah , 97

Motakif Masjid ko har kism ki Aaludgi aur gard o Gubar se bachaye

Masjid mein shor gul hasi mazak wageira hargiz na kare ki yeh Gunaah hai.


ALLAH ﷻ KI TARAF
APNE KADAM SE AAGE BARHO
IS SABR KE MAHINE MEIN
NAFL PARHA KARO

Maah e Ramzaan 101

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Eitekaf ka bayaan


Eitekaf mustahab, eitekaf waajib, aur eitekaf sunnat e moikida ke alawa jo eitekaf kiya jaye woh mustahab hai.

Eitekaf mustahab ke waaste roza shart nahee ye thodi dair ka bhi ho sakta hai Masjid mein jab jab daakhil ho eitekaf ki niyyat kar le chahe thodi hi dair masjid mein rehkar chala aaye.

Jab chala jayega eitekaf khatam ho jayega, niyyat mein sirf itna kaafi hai ki maine khuda ke waaste eitekaf mustahab ki niyyat ki.

Motakif (yaani eitekaf karne wala) raat o din masjid mein hi rahe wahi khaaye piye soye in kaamo ke liye masjid se bahar hoga to eitekaf toot jayega.

Motakif (yaani eitekaaf karne wala) na chup rahe na baat kare baaki Quran Shareef ki tilawat, Hadees ki karaat, aur Durood Shareef ki kasrat kare. ilme deen ka dars wa tadrees kare ambiya wa auliya wa swaliheen ke halaat parhe ya deeni baate kare.

# Qanoon e Shari'at! Page no 218-219


IN DUS DINO ME
YEH KHUBSOORAT SUNNAT NIBHAO
DOZAKH KI AAG SE DOORI
BARHATE HI JAAO

Maah e Ramzaan 100

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Eitekaf ka bayaan

Eitekaf sunnat e moikeda hai. Yeh Ramzan ke aakhri ashre yaani aakhir ke 10 din mein kiye jaye yaani 20vi Razman ko suraj doobte waqt eitekaf ki niyyat se masjid mein maujood ho aur 30vi ko suraj doobne ke baad ya 29 ko chaand hone ke baad nikle.

agar 20vi tarikh ko baad namaz e maghrib eitekaf ki niyyat ki toh sunnate moikida adaa na huwi.

Yeh eitekaf sunnat e moikeda kifaya hai ki agar sab chor de to sab pakde jaye aur ek ne bhi kar liya toh sab choot jaye.

is eitekaf mein bhi roza shart hai magar wahi Ramzan ke roze kafi hai.

# Qanoon e Shari'at, Page no. 218

Maahe Ramadan ke fazaeel 98

 بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

▶ Abu Huraira رضي الله عنه
Se Marwi Hai
 Nabi-E Kareem ﷺ
Ne Irshad Farmaya.
Har Shay Ke Liye Zakaat Hai aur Jism Ki Zakat Roza Hai
Aur Roza Aadha(half) Sabr Hai.

# Ibne Maazah Jild 2 Safa, 347 Hadees, 1745

▶ Hazrate Saiyyadana
Abdullah Bin Abi رضي الله عنه
se riwayat hai
Huzoor ﷺ
ne irshad farmaya
 Rozadar ka sona ibadat aur uss ki khamoshi tasbih karna aur uss ki dua qubul aur uss ka amal maqbul hota hai.

# So'abul Iman . Jild. 3 Safa. 415. Hadees No.3938


QURAN KI TILAWAT KO
AAGE BARHAIYE
JAANO KE TILAWAT
KAB TAK KARNI CHAHIYE

Maah e Ramzaan 97

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Iss zamaane mein wahabi jo ki Allah ﷻ ki tauheen karta hai aur Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki shaan mein aaib nikalta hai. Jinko Makkah Shareef wa Madina Taiyaba ke bade bade aalimo ne (Makkah shareef wa Madina shareef mein pehle sunniyo ki hukumat thi aaj wahan najdiyo ka kabza hai) bil-ittefak kaafir wa murtad kaha hai.

Agarche woh apne aapko musalmaan kahey. Unhe zakaat dena haraam hai. Aur sakth haraam hai aur agar di toh hargiz adaa na hogi.

# Bahar e Shariat.

SAFAR MEIN ROZA
RAKHNA HAI SAHI
PAR LO HADEES IS PAR
HOJAYE NA GALTI KAHI

Roza Todne Wali Cheezon Ka Bayaan 97

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Kaan mein paani gaya toh roza na toota.

Geebat ki toh roza na toota agarche geebat bohot sakht kabeera gunah hai Quraan Shareef mein geebat ke baare mein farmaya gaya jaise apne murda bhai ka ghost khaana aur Hadees mein aaya ki geebat zina se badhkar hai geebat ki wajah se roze ki nooranniyat jaati rehti hai.

Ehtelaam ho gaya toh roza na toota.

#Qanoon e Shari'at page no 208-209

Maah e Ramzaan 96

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Ikhatthe ho kar khaao, alag alag na khaao, ki barakat jamaat ke saath hai, aur khade ho kar na khaao aur na piyo.

# Ibne Majah, Jild-4 Safah-21.

QURAAN E PAAK KI AHMIYAT
KYA HAI PARHIYE SABHI
USPAR KARO AMAL
KEHTE HAI HUMARE NABI ﷺ

Roza Todne Wali Chizo Ka Bayaan 95

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Daato mein koi cheez chane barabar ya isse zyada thi usse kha gaya ya kam hi thi magar muh se nikaal kar fir khaa li toh roza tutt gaya.

Daato se khoon nikal kar halak se niche utra aur khoon thuk se zyada ya barabar tha ya kam tha magar uska maza halak mein malum huwa toh inn sab soorton mein roza jaata raha aur agar khoon kam tha aur maza bhi malum na huwa toh roza na gaya.

Naak mein dawai chadai ya kaan mai tel daala ya tel chala gaya toh roza tutt gaya aur agar paani kaan mein chala gaya ya daala toh roza nahi tutta.

Kulli kar raha tha bila kasd paani halak se utar gaya ya naak mai paani chada raha tha paani dimaag mai chad gaya toh roza tutt gaya lekin agar roza hona bhul gaya ho toh nahee tuttega.


# Qanoon e Shariat Page no 203.

UNKE PAAS TAKAT HAI PAR
MUSALMAANO KE PAAS DUA HAI
WOH KAMYAAB HONGE NAHI
KYU KI HUMARE SAATH KHUDA HAI

Maah e Ramzaan 94

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Quraan e majeed furqan e hameed mein sirf maah e Ramzaan ka naam sarahatan aaya hai.

# Tafseer e Naimi, Jild 2, Safah 217.


QURAAN TOH SABHI
PARH LETE HAI
PAR SUBSE BEHTAREEN
KISSE KEHTE HAI?

Maah e Ramzaan 93

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Allah subhan wa Ta'ala Quran e majeed furqan e hameed mein irshad farmata hai

Kuch asl neki ye nahee ke moonh mashrik ya maghrib ki taraf karo, haan asli neki ye hai ke imaan laye Allah aur qayamat aur farishto aur kitaab aur Paygambar par aur Allah ki mohabbat mein apna aziz maal dein...

... rishtedaro aur yateemo aur miskeeno raah-gir aur saailon ko, aur gardane chhurane mein aur namaaz qayim rakhhe aur zakaat dein ...

...aur apna qual pura karne wale jab ahed karein aur sabr wale museebat, aur sakhti mein aur jihaad ke waqt, yahi hain jinhone apni baat sachhi ki aur yahi parhezgaar hai.

# Surah Baqrah, Aayat 117.

Sehri Aur Iftaar Ka Bayaan 93

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Roze ke liye sehri karna baa barkat hai Sunnat hai beshumar fazilat hai magar yeh roza Sahih hone ki shart nahee! Agar kisiko Sehri karne ka mauka na mila to bagair sehri kiye roza rakh sakta hai.

Roza aur Iftaar mein uss jagah ka aitbaar hai jaha aadmi roza rakhte Aur  iftaar ke waqt maujood ho.

Agar koi shakhs arab mulk se roza rakh kar hindustaan aaya to usse hind ke waqt ke mutabik iftaar karna hoga aur jo shakhs hind se roza rakh kar arab mulk gaya to usse waha ke gurub ke baad iftaar karna hoga. uske liye ab hind ke gurub ka aitbaar nahee.

# Raddul Mohtaar Jild, 2 Safah, 419

Maah e Ramzaan 92

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Hazrat Abdullah Bin Masood رضي الله عنه se riwayat hai farmate hai Nabi e Kareem ﷺ ne humein Huqm diya,

"namaaz parhe zakaat Dein, jisne zakaat na di uski namaz qubool nahi."

# Muslim Shareef, Jild 10, Safah103.

GUNAAH KARNE SE
BACHO HAR BAR
GUNAHGAAR KO ROKO
WARNA KHUD BANJAAOGE
GUNAHGAAR

Unn Chizo Ka Bayaan Jinse Roza nahee Tut ta 92

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ



⏩ Bhool kar khaaya ya piya toh roza nahee tutega.

⏩ Makhi ya dhuwa halak mai jaane se roza nahee tutega, lekin agar qasdan khud dhuwa pahonchaya to roza tut jayega jabki rozadaar hona yaad ho. Maslan dhuwnai, agarbatti, lobaan wagaira ko moonh ke kareeb karke dhuwe ko naak se khincha to roza jaata raha.

⏩ Baat karne me thuk se honth tar ho gaye aur use pee gaya to roza nahee tutega, magar in baato se ehtiyaat chahiye.

⏩ Daant se khoon nikal kar halak tak pahoncha magar halak se niche na utra to roza nahee tutega.

⏩ Dawa, kooti, ya aata , chaana iska maza halak me malum huwa to roza nahee tutega.

⏩ Kaan me paani chala gaya to roza nahee tutega.

# Qanoon e Shari'at, Page No. - 207/208