بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Zakaat ka Bayan
Zakaat wagaira sadkaat mein afzal hai yeh ki
pehle apne bhaiyo ko de fir unki aulaad ko fir chacha aur fufiyon ko fir unki
aulaad fir mamu aur khaala ko fir unki aulaad ko fir apne gaon ya shaher walon
ko.
Hadees mein hai ki
Allah Ta'ala uss shakhs ke sadke ko kabul
nahi farmata jiske rishtedaar uske sulook karne ke mohtaaj ho aur yeh gairo ko
de.
#Badmazhab ko zakaat dena jaiz nahi aur isi
tarah unn murtadeen ko bhi dene se adaa na hogi jo zabaan se toh islam ka daawa
karte hai lekin khuda ﷻ wa Rasool ﷺ ki shaan ghatate ya kisi aur zaruri deeni
baat ka inkaar karte hai.
~ Qanoon e Shariat Page no 238/239