بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shaan e Imaam e Aazam رضي الله عنه
Hazrat Naufeel Ibne Hayaan Rehmatullahi Alaihi
Farmate Hai Ke Imaam e Aazam Ka Zaahiri Wisaal Hogaya Toh Maine Khawaab Me
Dekha Ki Maidaan e Qayamat Hai ! Saari Makhlook Hisaabgah Me Khadi Hai Maine
Dekha Ki Huzoor Sarwar e Aalam ﷺ
Hauz e Kauser Par Tashrif Farma Hai Aapke Daaye Baaye Bade Bade Noorani Log
Khade Hai
Maine Ek Budhe Shakhs Ko Dekha Jo Bade Saahib
e Jamaal The Aur Unki Dadhi Aur Sar Safed Tha Sarkaar ﷺ Ke
Bilkul Karib Khade the.
Maine Imaam e Aazam Ki Khidmat Me Salaam Arz
Kiya Aur Arz Ki ke Mujhe Paani Ataa Farmaiye.
Imaam e Aazam Farmaye Jabh Tak RasoolAllah ﷺ Ijazat Nahi Denge Mai Paani Nahi Dunga.
Fir Sarkaar ﷺ Ne
Farmaya Isse Paani De Do Hazrat Imaam Sahab Ne Mujhe Paani Diya Aur Maine Piya
Fir Hazrat Imaam Sahab Se Puchha Ke Yeh Jo Huzur ﷺ Ki
Daayi Taraf Saahib e Jamaal Shakhs Khade Hai Yeh Kaun Buzurg Hai ?
Imaam Sahab Ne Farmaya Yeh Hazrat Ibrahim
Khalilullah Alaihissalaam Hai Aur Baayi Aur Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه Hai Aur Isi Tarah Me Puchta Raha Aur Imaam
Sahab Batate Rahe.
سُــــبْحانَ الله سُــــبْحانَ الله
# Tazkiratul Awliyaa Page No.253