Showing posts with label Bahaar E Shariat. Show all posts
Showing posts with label Bahaar E Shariat. Show all posts

Monday, April 4, 2016

Bahar e Shari'at #716

Bahar e Shari'at
Qaza e umri ke masaail #716

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Jiske zimme qaza namazein ho agarche unka padhna jald se jald wajib hai magar baal bacchoñ ki parvarish wagaira aur apni zarooriyat ki farahmi ke sabab takheer (deir) jayez hai toh karobaar bhi kare aur jo waqt fursatka mile usmein qaza padhta rahe yahañ tak ki poori ho jaaye.
● Masla - Qaza namaazein nawafil se ahem hai yaani jiss waqt nafl padhta hai uneiñ chordh kar unke badle qazayein padhe ki bariuzzimma ho jaaye albatta taraweeh aur 12 rakatein sunnatein mua'kaddah ki na chordhe.
● Masla - jiski namaazein qaza ho gayi aur inteqaal hogaya toh agar wasiyat kar gaya aur maal bhi chordha toh uski tihaayi se har farz wa witr ke badle nisf sa'a gehu ya ek sa'a jau tasadduq (sadqa) kare aur maal na chordha aur wursa fidya dena chahe toh kuch maal apne paas se ya qarz lekar miskeen par tasadduq karke uske kabze mein de aur miskeen apni taraf se usey hiba karde aur yeh kabza bhi karle phir yeh miskeen ko de yuñhi lot pher karte rahe.
● Masla - qazaein umri ki shab e qadr ya ramzan ke akhri jumma mein jamaat se padhte hai aur yeh samajhte hai ki umr bhar ki qazayein isi ek namaaz mein se adaa hogayi yeh sirf ghalat aqeeda hai.

#Durre Mukhtaar.

Bahar e Shari'at #715

Bahar e Shari'at
Namaaz ke masaail #715

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

3⃣ Qiraat - Qiraat iska naam hai ki tamaam huroof makharij se adaa kiye jaaye ki har harf ghaur se sahi taur par mumtaz ho jaaye matlab yeh hai ki har harf ko unke sahi makharij se padhe aur ahista padhne mein bhi itna hona zaroori hai ki khud sune agar huroof ko tasheeh toh ki magar iss qadr ahista ki khud na suna aur koi baat aisi bhi nahi jo sunne mein rukawat hoti maslan shor gul toh namaaz na hogi.
4⃣ Ruku - Itna jhukna ki haath badhaye toh ghutnon ko pahuch jaaye yeh ruku ka adna darja hai aur pura yeh ki peeth seedhi bicha do.
5⃣ Sujood - Hadees Shareef mein hai sabse zyada qurb bande ko khuda se uss halat mein hai ki sajda mein ho lihaaza dua zyada karo. peshaani ka zameen par jamna sajde ki haqeeqat hai aur pau ki ek ungli ka pet lagna shart toh agar kisi ne iss tarah sajda kiya ki dono pau zameen se uth rahe namaaz na huwi balki agar sirf ungli ki noke zameen se lagi jabh bhi na huwi iss masle se bohet log ghafil hai har rakaat mein do sajde farz hai kisi narm cheez maslan ghaas rooee ghalin wagaira par sajda kiya toh agar peshaani jam gayi yaani itni dabi ki abh dabaane se na dabe toh jayez hai warna nahi.
6⃣ Qada e Skhira - Namaaz ki rakat poori karne ke baad itni deir tak baithna ki puri attahiyyat yani rasooluhu tak padhli jaaye farz hai.
7⃣ Khurooj Bisuna'ehi (yaani apne iraade se namaaz khatm karna) - Yaani qada e akhira ke baad salaam kalaam wagaira koi aisa fel jisse namaaz jaati rahe baqasd yaani jaan bojhkar karna magar salaam ke alawa koi dusra munaafi qasdan paya gaya toh namaaz wajib ul ia'ada huwi.
● Masla - Muqtadi ke liye yeh bhi farz hai ki imaam ki namaaz ko apne khayal se sahih tasavvur karta ho aur agar apne nazdeek imaam ki namaaz baatil samajhta hai toh uski na huwi agarche imaam ki namaaz sahi ho.

#Durre Mukhtaar

Bahar e Shari'at #714

Bahar e Shari'at
Namaaz ke masaail #714

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Faraiz e Namaaz - saañt (7) cheezein namaaz mein farz hai.
1⃣ Takbeer e Tehreema (namaaz shuru karne ke liye takbeer kehte hai usey takbeere e tehreema kehte hai)
2⃣ Qiyaam(namaaz mein khade hone ki haalat ko qiyaam kehte hai)
3⃣ Qiraat
4⃣ Ruku
5⃣ Sajda
6⃣ Qa'ada akheera (namaaz mein baithne ki haalat ko qa'ada kehte hai woh do hote hai ek qa'ada e ula doosra qa'ada e akheera jiss qa'ad ke baad salaam pherna ho ussey qa'ada e akhira aur jiske baad salaam nahi pherna ho usey qa'ada e ula kehte hai.
7⃣ Khurooj bisuna'ehi (yaani apne iraade se namaaz khatm karna)
1⃣ Takbeer e Tehreema -haqeeqatan yeh sharait e namaaz se hai magar chuki afaale namaaz se isko bohet zyada nazdeeki haasil hai yaani takbeere tehreema namaaz se bohat kareeb aur bilkul mili huwi hai iss wajeh se faraiz e namaaz mein iska shumaar huwa.

Masla - muqtadi ne lafz e Allah imaam ke saath kaha magar akbar ko imaam se pehle khatm kar chuka namaaz na huwi.
2⃣ Qiyaam - kami ki janib iski hadd yeh hai ki haath phailaaye toh ghutnoo tak na pahuche aur pura qiyaam yeh hai ki seedha khada ho.
Masla - farz wa witr wa eidain wa sunnate fajr mein qiyaam farz hai ki bila sahih uzr ke baith kar yeh namazein padhega na hogi.

Tambeeh e zaroori - aaj kal amooman yeh baat dekhi jaati hai ki jahañ zara bukhaar aya ya khafeef si takleef huwi baith kar namaaz shuru kar di halaanki wahi log usi halat mein dus dus minute balki zyada khade ho kar idhar udhar ki baatein kar liya karte hai unko chahiye ki inn masaail se aagaah ho aur jitni namazein bawajood e qudrat e qiyaam baith kar padhi ho unko lautana farz hai yuñhi agar waise khada na ho sakta tha magar laathi ya deewar ya aadmi ke sahaare se khada hona mumkin tha toh woh namazein bhi na huwi unka pherna farz hai Allah Ta'ala taufeeq ata farmaye.

Bahar e Shari'at #713

Bahar e Shari'at
Namaaz ke masaail #713.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

5⃣ Paañchvi shart niyyat hai - Niyyat dil ke pakke irade ko kehte hai sirf jaanna niyyat nahi jabh tak ki irada na ho. niyyat mein zubaan ka aitbaar nahi yaani agar dil mein maslan zohr ka irada kiya aur zubaan se lafze asr nikla zohr ki namaaz ho gayi. zubaan se keh lena mustahab hai aur ismein kuch arabi ki taqsees nahi faarsi wagaira mein bhi ho sakti hai aur talaffuz mein maazi ka seegha (aisa lafz jis se guzre hue waqt mein kaam ka zahir ho) ho maslan navaitu'ya niyyat ki maine behtar yeh hai ki Allahu Akbar kehte waqt niyyat hazir ho.
Farz mein yeh bhi zaroori hai ki uss khaas namaaz maslan zohr ya asr ki niyyat kare ya maslan aaj ke zohr ya farz waqt ki niyyat waqt mein kare magar jumu'ah mein farz waqt ki niyyat kaafi nahi khusoosiyat jumu'ah ki niyyat zaroori hai.

6⃣ Chatti shart takbeere tehreema hai
Ahadees is baare mein bohat hai ki Huzoor e Aqdas ﷺ Allahu Akbar se namaaz shuru farmate.

Bahar e Shari'at #712

Bahar e Shari'at
Namaaz ke masaail #712

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

4⃣ Chauthi shart waqt hai.
▶ Namaaz ke mustahab waqtoñ ka bayaan - fajr mein taakheer mustahab hai yaani isfaar (jabh khoob ujala ho yaani zameen raushan ho jaaye) mein shuru kare magar aisa waqt hona mustahab hai ki 40 se 60 Aayat tak tarteel ke saath padh sake phir salaam karne ke baad itna waqt baaki rahe ki agar namaaz dohraana padhe toh tahaarat karke tarteel ke saath 40 se 60 ayatein dobara padh sake aur itni deir karna makrooh hai ki tuloo'e aaftaab ka shak ho jaaye.
▶ Aurton ke liye hamesha fajr ki namaaz awwal waqt yaani tareeki (andhere) mein padhna mustahab hai aur baaki namazon mein yeh behtar hai ki mardoñ ki jamaat ka intezaar kare jabh jamaat ho chuke toh padhe.
▶ Jadon (sardiyon) ki zohar jaldi aur garmiyon mein takheer khwaah padhe ya jamaat ke saath.
▶ Asar ki namaaz mein hamesha takheer mustahab hai.
▶ Maghrib mein hamesha jaldi karna mustahab hai.
▶ Isha mein tihaayi raat tak takheer mustahab hai aur aadhi raat tak takheer mubaah yaani jabki aadhi raat tak hone se pehle farz padh chuke aur itni takheer ki ke raat dhal gayi makrooh hai isha ki namaaz se pehle sona aur isha ke baad duniya ki baatein karna kisse kahaani kehna sunna makrooh hai.
▶ Namaaz ke makrooh waqton ka bayaan - Tuloo wa guroob wa nisf un nahaar in teeno waqtoñ mein koi namaaz jayez nahi na farz na wajib na nafl na ada na qaza yuñhi sajda e tilawat wa sajda e sahw bhi najayez hai albaata uss roz agar asr ki namaaz nahi padhi toh agarche aaftaab doobta ho padhle magar itni takheer karna haraam hai hadees mein isko munafiq ki namaaz farmaya.

Sunday, April 3, 2016

Bahar e Shari'at #711

Bahar e Shari'at
Namaaz ke masaail #711.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

2⃣Dusri shart satre awrat yaani badan ka woh hissa jiska chhupaana farz hai
Satre awrat har haal mein wajib yaani farz hai khwah namaaz mein ho ya nahi tanha ho ya kisi ke samne bila kisi sahi garz ke tanhaayi mein bhi kholna jayez nahi aur logon ke saamne ya namaaz mein toh satr bil'ijmae farz hai yaha tak ki agar andhere makaan mein namaaz padhi agarche waha koi na ho aur uske paas itna paak kapda maujood hai ki satr ka kaam de aur nange padhi bil'ijmae namaaz na hogi magar aurat ke liye tanhaayi mein jabki namaaz mein na ho toh saara badan chhupaana wajib nahi balki sirf naaf se ghutne tak aur muharim ke saamne pet aur peeth ka chhupana bhi wajib hai aur gair mehram ke saamne aur namaz ke liye agarche tanha andheri kothri mein ho tamaam badan siva paanch uzv ke chhupaana farz hai balki jawaan aurat ko gair mardon ke samne mooh kholna bhi mana hai.itna barik kapda jisse badan chamatka ho satre ke liye kaafi nahi usse namaaz padhi toh na hui
3⃣ Teesri shart istiqbaal e qibla:- yaani namaaz mein qibla yaani kaaba ki taraf mooh karna.namaaz Allah taala he ke liye padhi jaaye aur usi ke liye sajda ho agar kisi ne ma'azAllah kaabe ke liye sajda kiya haraam wa gunaahe kabira aur ibaadate kaaba ki niyyat ki jab toh khula kafir hai ki gair e khuda ki ibadat kufr hai.
▶Jehte(dishaa)kaaba ko mooh hone ke yeh maana hai ki mooh satah ka koi juz kaabe ki simt mein waqe'a ho toh agar qibla se kuch phira hua hai magar mooh ka koi juz kaabe ke muwajiha(muqabil)mein hai namaaz hojayegi iski miqdaar 45degree rakhi gayi hai toh agar 45degree se zayed mooh phira hua hai istiqbaal na paya gaya namaz na hui

# bahaare shariat

Bahar e Shari'at #710

Bahar e Shari'at
Namaaz ke masaail #710.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Namaaz ke sahi hone ki 6 shartein hai.
1⃣ Tahaarat. (paaki)
2⃣ Satre Aurat. (badan ka woh hissa jiska dhakna farz hai.
3⃣ Istiqbaale Qibla.
4⃣ Waqt.
5⃣ Niyyat.
6⃣Tehreema.

▶ Pehli shart tahaarat yaani namaazi ke badan ka hadase akbar wa asghar aur najaasate haqeeqiya qadre mane'a se yaani najaasat ki woh miqdaar jiske lage rehne se namaaz na ho usse paak hona uske kapde aur uss jagah ka jiss par namaaz padhe najaasate haqeeqiya qadre mane'a se paak hona. hadase akbar yaani woh kaam jinse gusl farz hojaaye, aur hadase asghar yaani woh kaam jinse wazu jaata raha. Pehli namaaz shart ka matlab yeh hai ki iss qadr najasat se paak hona hai ki bagair paak kiye namaaz hogi hi nahi maslan khafifa kapde ya badan ke uss hisse ki chauthai se zyada jiss mein lagi ho uska naam qadre mane'a hai aur agar isse kam hai toh iska zaail karna sunnat hai alaur najasat qadre mane'a se kam hai jabh bhi makrooh hai phir najaasate ghaliza dirham ke barabar hai toh makrooh tehreemi aur usse kam toh khilaaf e sunnat hai.

#Durre Mukhtaar.

Bahar e Shari'at #709

Bahar e Shari'at
Tayamum ke masaail #709.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Jiska wazu na ho ya nahaane ki zaroorat ho aur paani par qudrat na ho toh wazu aur gusl ki jagah tayamum kare.
▶ Wazu aur gusl dono ka tayamum ek hi tarah hai tayamum mein teen(3) farz hai.
1⃣ Niyyat karna - agar kisi ne haath mitti par maar kar muñh aur haathoñ par phair liya aur niyyat na ki toh tayamum na hoga.
2⃣ Saare muñh par haath pherna - saare muñh par iss tarah haath phera jayega ki tayamum ki jagah ka koi hissa baaki na reh jaaye agar baal barabar bhi koi jagah rehgayi tayamum na hoga.

Masla:- dadhi muchon aur bhavon ke baalon par haath phir jaana zaroori hai. muñh kaha se kaha tak hai humne wazu mein bayaan kar diya hai bhavon ke neeche aur ankhon ke upar jo jagah hai aur naak ke nichle hisse ka dhyaan rakhe ki agar inn par dhyaan na diya gaya toh unpar haath na phirega aur aisi haalat mein tayamum na hoga.
3⃣ Dono haathoñ ka kohniyoñ samet masah karna - isme bhi dhyaan rahe ki dono haathoñ ki zarra barabar koi jagah baaki na rahe nahi toh tayamum na hoga.

Masla - Tayamum mein sar aur paa'u ka masaah nahi hai.
▶ Ek hi baar haath maar kar muñh aur haathoñ par masah kar liya toh tayamum na huwa haan agar ek haath se saare muñh ka masah kiya aur doosre se ek haath ka aur ek haath jo bach gaya raha hai uske liye phir haath mara aur uss par masah kar liya toh hogaya magar sunnat ke khilaaf hai.

Bahar e Shari'at #708

Bahar e Shari'at
Gusl ke masaail #708.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

2⃣ Naak mein paani daalna - yaani dono nathoñ mein jahañ tak narm jagah hai dhulna ki paani ko soonghkar upar chadaye, baal barabar bhi dhulne se na reh jaaye nahi toh gusl nahi hoga agar naak ke andar renth sookh gayi hai toh uska chhudana farz hai.

3⃣ Tamaam badan par paani bahaana - Yaani sar ke baaloñ se pau'oñ ke talwoñ tak jism ke har purze har rongte par paani behjaana farz hai aksar log balki kuch padhe likhe log yeh karte hai aur samajhte hai ki gusl hogaya halaanki kuch uzv aise hai ki jabh tak unki khaas taur par ehtiyaat na ki jaaye toh nahi dhulenge aur gusl na hoga.

● Masla - kisi zakhm par patti wagaira baandhi ho ki uss ke kholne mein harj ho ya kisi jagah marz ya dard ki wajeh se paani behne se nuksaan hoga toh uss purey uzv ko masaah kare aur na ho sake toh patti par masaah kaafi hai aur patti zaroorat ki jagah se zyada na rakhi jaaye nahi toh masaah kaafi na hoga aur agar patti zaroorat ki he jagah par baandhi ho jaise bazu par ek taraf zakhm hai aur patti bandhne ke liye bazu ki utni saari golaayi par hona uska zaroori hai toh uske neeche badan ka woh hissa bhi ayega jise paani nuksaan nahi karta toh agar kholna mumkin na ho agarche yuñhi ke khol kar phirse waise na bandh sakega aur usmein nuksan ka khatra hai toh saari patti par masaah karle kaafi hai badan ka woh accha hissa bhi dhone se saaf ho jayega.

Bahar e Shari'at #707

Bahar e Shari'at
Gusl ke masaail #707.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Gusl ke teen juz hai agar unmein se ek mein bhi kami hui gusl na hoga chahe yuñ kaho ki gusl ke teen farz hai.
1⃣ Kulli karna:- Muñh ke har purze goshe hoñth se halaq ki jadd tak har jagah paani beh jaaye aksar log yeh jaante hai ki thoda sa paani muñh mein lekar ugal dene ko kulli kehte hai agarche zubaan ki jadd aur halq ke kinaare tak na pahuche aise gusl na hoga na iss tarah nahaane ke baad namaz jayez balki farz hai ki dadhoñ ke peeche gaalon ki teh mein daatoñ ki jad aur khidkiyon mein zubaan ki har karvat mein halaq ke kinaare tak paani bahe.

Masla - Daatoñ ki jadhon ya khidkiyon mein koi aisi cheez jami ho jo paani behne se roke toh uska chhudana zaroori hai agar chhudane mein nuksaan na ho jaise chaliyon ke daane, gosht ke reshe aur chhudane mein nuksaan aur harj ho jaise bohet paan khane se daanton ki jadhon mein chuna jam jaata hai ya aurton ke daanton mein missi ki rekhe ki unke cheelne mein daanton ya masoodon ke nuksaan ka khatra hai toh maaf hai.

Bahar e Shari'at #706

Bahar e Shari'at
Wazu ke masaail #706.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

3⃣ Sar ka masaah karna - chauthaayi sar ka masaah karna farz hai masaah karne ke liye haath tar hona chahiye chahe saath mein tari uzv ke dhone ke baad reh gayi ho ya naye paani se haath tar kar diya ho. Kisi uzv ke masaah ke baad jo haath mein tari baaki reh jayegi woh doosre uzv ke masaah ke liye kaafi na hogi.
4⃣ Pau dhona - chautha farz pau ko gatton samet ek baar dhona hai challe aur pau ke gehnoñ ka wahi hukm hai jo upar bataya gaya hai kuch log kisi bimaari ki wajeh se pau ke anguthe mein itna kheench kar dhaga baandh lete hai ki paani ka behna toh dar kinaar dhage ke neeche tar bhi nahi hota unko isse bachna zaroori hai, nahi toh aisi soorat mein wazu nahi hota. Ghaattoñ aur unglliyoñ ki karvate talwe e'diyaa koñche sabka dhona farz hai.

Bahar e Shari'at #704

Bahar e Shari'at
Tahaarat yaani paaki ka bayaan #704.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Namaaz ke liye paaki aisi zaroori cheez hai ki bina paaki ke namaaz hoti hi nahi balki jaan bujhkar bagair tahaarat namaz adaa karne ko hamare Aulma kufr likhte hai aur kyu na ho ki uss bewazu ya be gusl namaaz padhne wale ne ibaadat ki be adabi aur tauheen ki. Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya hai ki jannat ki kunji namaz hai aur namaaz ki kunji tahaarat hai. Hazrat Jabir رضي الله عنه se riwayat hai ki ek roz Nabi e Kareem ﷺ subah ki namaaz mein Surah Room padh rahe the beech mein shubah huwa namaaz ke baad irshad farmaya ki un logoñ ka kya haal hai jo hamare saath namaz padhte hai aur acchi tarah tahaarat nahi karte unhi ki wajeh se imaam ko qira'at mein shubah padhta hai. Jabh baghair kaamil tahaarat ke namaaz padhne ki yeh nahusat hai toh be tahaarat namaaz padhne ki nahusat ka kya puchna.

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne farmaya ki tahaarat nisf (aadha) imaan hai.

Tahaarat ki do qisme hai 1.sughra 2.kubra
Tahaarat e sughra wazu hai aur Tahaarat e kubra gusl hai
Jin cheezoñ mein sirf wazu laazim hota hai unko hadse asgar aur jin cheezon se nahaana farz ho unko hadse akbar kaha jaata hai.

Bahar e Shari'at #703

Bahar e Shari'at
Gair muqallideen #703.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Wahabiyon ke yahañ bidd'at ka bohat charcha hai jiss cheez ko dekhiye bidd'at hai isiliye munasib yeh hai ki bata diya jaaye ki bidd'at kise kehte hai,
Bidd'at mazmooma wa qabiha yani kharab bidd'at woh hai jo kisi sunnat ke mukhalif ho aur sunnat se takraati ho aur yeh makrooh ya haraam aur mutlaq bidd'at toh mustahab balki sunnat aur wajib tak hoti hai Hazrat e Umar Farooq رضي الله عنه Taraweeh ke baarein mein farmate hai ki yeh acchi bidd'at hai halaañki Taraweeh Sunnat e Mua'kaddah hai jis cheez ki asl shariat se sabit ho woh hargiz buri bidd'at nahi ho sakti, nahi toh khud wahabiyoñ ke madarse aur iss maujooda khaas soorat mein unke waaz ke jalse zaroor bidd'at honge phir yeh wahaabi inn bidd'aton ko kyu nahi chordh dete magar unke yahañ toh yeh thahri hai ki Allah ke mehbooboñ ki azmat ki jitni cheezein hai sab bidd'at aur jisme unka matlab ho woh halaal aur sunnat.

Saturday, April 2, 2016

Bahar e Shari'at #702

Bahar e Shari'at
Gair muqallideen #702.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Yeh bhi wahabiyat ke ek shaakh hai woh chand baatein jo haal mein wahabiyon ne Allah Ta'qla aur Nabi ﷺ ki shaan mein gustakhi ke taur par baki hai woh gair muqallideen se sabit nahi baaki doosre tamaam aqeedon mein dono shareek hai aur haal ke deobandiyoñ ki ibaraton ko dekh bhaal aur jaan boojhkar unhein kaafir tasleem nahi karte aur shari'at ka hukm hai ki jo Allah ﷻ aur Rasool ﷺ ki shaan mein ghustakhi karne waloñ ke kafir hone mein shak kare woh bhi kafir hai.
▶ Gair muqallideen ka ek bura aqeeda yeh hai ki woh chaaron mazhabon, 1)hanafi, 2) shafa'i, 3) maaliki, 4) hanbali. se alag aur tamaam musalmanoñ se alag thalag ek raasta nikal kar takhleed ko haraam aur bidd'at kehte hai aur deen ke imameen jaise Imame Aazam Abu Hanifa, Imam Shafa'i Imame Maaliki aur Imame Ahmed Ibne Hambal رضي الله عنهم ko bura bhala kehte hai yeh log Imamon ki takhleed (pairveeh) nahi karte balki shaitaan ki karte hai gair muqallideen takhleed aur qiyaas ka inkaar karte hai jabh ki mutlaq takhleed aur qiyaas ka inkaar kufr hai isiliye gair muqallideen ka mazhab baatil hai.

Note:- fara'a mein asl ki tarah hukm ko sabit karne ko qiyaas kehte hai qiyaas Quraan aur Hadees se sabit hai.

Bahar e Shari'at #701

Bahar e Shari'at
Wahaabi firqa #701

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Iss mazhab ki buniyaad Allah Ta'ala aur uske mehbooboñ ki tauheen aur tazleel par hai. yeh log har cheez mein wahi pehlu ikhtiyaar karenge jisse shaan ghat'ti ho iss mazhab ke sargirooh ke kuch qaul nakl kiye jaate hai taaki hamaare awaam bhai unke diloñ ki khabasatoñ ko jaankar unke fareb aur dhoke se bachte rahe aur unke jubbah aur dastaar par na jaaye..

▶ Abh wahabiyon ke kuch qaul pesh kiye jaate hai. takhviyatul imaan safah 19 mein hai ki hamara rab khaliq Allah hai aur usne hamko paida kiya toh humko bhi chahiye ki apne har kaamon par usi ko pukaare aur kisi se humko kya kaam jaise koi ek baadshah ka ghulam ho chuka toh woh apne har kaam ka ilaqa usise rakhta hai doosre baadshah se bhi nahi rakhta aur kisi choohde chamaar ka toh kya zikr.
Ambiya e kiraam aur auliya e azam ki shaan mein aisi ma'aloon alfaaz istemaal karna kya musalman ki shaan ho sakti hai??

استغفروالله ربى من كل ذنب واتوب اليو
لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّه ﷺ

Bahar e Shari'at #700

Bahar e Shari'at
Wahaabi firqa #700.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Yeh ek naya firqa hai jo san 1209 hijri mein paida huwa iss mazhab ka baani abdul wahaab najdi ka beta muhammed tha. Usne tamaam arab aur khaas kar harmain shareefain mein bohat zyada fitne failaye. Aalimon ko qatl kiya. Sahaba, Imamon, Aalimon aur Shaheedon ki qabr khod daali. Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ke Rauza e Mubarak ka naam sanme akbar (bada buth) rakha tha aur tarah tarah ke zulm kiye. jaise ki sahi hadees mein Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ ne khabar di thi ki najd se fitne uthenge aur shaitaan ka giroh niklega woh giroh 1200 baras baad zahir huwa. Allama Shaami علیہ رحمۃ ورضوان ne ise khaariji bataya.

▶ Iss abdul wahaab ke bete ne ek kitaab likhi jiska naam kitabut tauheed rakha, uska tarjuma hindustan mein ismail dehlvi ne kiya jiska naam takhviyatul imaan rakha aur hindustaan mein wahabiyat ussi ne phelayi. Unn wahabiyon ka ek bohat bada aqeeda yeh hai jo unke mazhab par na ho woh kafir mushrik hai. yahi wajeh hai ki baat baat par bila wajeh musalmanon par kufr aur shirk ka hukm lagate aur tamaam duniya ko mushrik batate hai, chunache takhviyatul imaan page no 45 mein woh hadees likh kar ki aakhri zamaane mein Allah Ta'ala ek hawa bhejega jo saari duniya se musalamanon ko utha legi uske baad saaf likh diya sau (100) paigambare khuda ke farmaane ke mutabik huwa yaani woh hawa chal gayi aur koi musalmaan ru'e zameen par na raha magar yeh na samjha ki iss soorat mein khud bhi kafir hogaya.

Friday, April 10, 2015

Bahar e Shari'at #365 - Qayamat ka Aagaz

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ka Aagaz.

Ab log phirte, phirate, thokare khate, rote, chillate aur duhai dete huwe uss bekas panah mein hazir honge jo Allah ﷻ ke Mehboob Hazrat Muhammed Mustafa ﷺ hai log Sarkar ﷺ ki bahot fazilat bayan karenge aur kahenge dekhiye hum kitni musibato mein hai aap Rabb ke darbar mein hamari shafa'at kar dijiye humko iss musibat se naja'at dilaiye Sarkar ﷺ musibat ke maaro ki fariyad sunenge aur farmayenge,

Tarjama - "Main iss kaam ke liye hu" Main hi wo hu jisse tum tamam jagah dhundh aaye ho"

Yeh farma kar Huzoor ﷺ Allah ﷻ ke darbar mein jaaenge aur sajda karenge Allah Ta'ala irshad farmayega,

Tarjama - "Aye Muhammed (ﷺ) apna sar uthaiye aur kahiye aap ki baat suni jayegi aur jo kuch mangege diya jaaega aur shafa'at kijiye aap ki shafa'at qabool hai"

fb.me/kanzul.imaan.group


Thursday, April 9, 2015

Bahar e Shari'at #364 - Qayamat ka Aagaz

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ka Aagaz.

Issi tarah doosri sazaeiñ hongi inn musibato mein koi puchne wala na hoga bhai bhai se bhagta hoga, maa-baap aulad se picha churaenge, har ek apni musibat mein giraftar hoga koi kisi ka madadgar na hoga.

Allah Ta'ala ka azab bahot sakht hoga aur logo ko hazaro musibat ka samna hoga aur ye musibate 2 - 4 din ya 2 - 4 mahino ki nahi hogi balki qayamat ka din pachaas (50) hazar saal ka hoga.

Hashr ke aadhe din log issi tarah musibato mein rehte huwe apne liye kisi sifarishi ki talash karenge ke woh khudaye zul-jalaal ke samne unki shafa'at kar sake.

Log  musibat ke maare sab Ambiya علیہ السلام ke paas jayenge ke wo sifarish kar de magar koi sifarish naa karenge aakhir mein log Isaa علیہ السلام ke paas jaaenge to wo farmayenge ke tum unke paas jaao jo shafa'at ka darwaza kholenge jinhe koi khauf nahi jo taman Adam ki aulad ke Sardar hai aur wahi khataman-Nabiyyinn hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Wednesday, April 8, 2015

Bahar e Shari'at #363 - Qayamat ka Aagaz

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



⏩ Qayamat ka Aagaz.

Qayamat ke din log apni qabr se nange badan nange paav uthenge, koi sawar hoga koi paidal, kafir munh ke bal chalte chalte maidan e hashr mein jaaenge kisi ko farishte ghasit kar le jaaenge kisi ko aag gher kar le jayegi ye hashr ka maidan mulk e shaam(syria) ki zameen par qayam hoga zameen tambe ki hogi uss din suraj 1 meel ki doori par hoga.

Abhi mitti ki zameen hai to pairo mein chhale parte hai to uss waqt jabh tambe ki zameen hogi aur suraj sirf 1 meel ki doori par hoga to uss garmi ka andaza kaun kar sakta hai Allah ﷻ ki panah.

Uss waqt hal yeh hoga ki sar ke bheje khaulte honge itna zyada paseena niklega paseene ko zameen 70 gaj tak sokh legi phir jo paseena zameen naa pi sakegi wo paseena zameen ke uper charte huwe kisi ke takhno, kisi ke ghutno, kisi ki kamar, kisi ke seene, aur kisi ke gale tak pahucha jaaega aur kafir ke to munh tak paseena pahuch jaaega jis mein wo dubkiya khaaega.

Iss garmi mein pyaas ka ye haal hoga ki zabane sookh kar kaanta ho jaaegi aur munh se bahar aa jayegi dil ubal kar gale ko aaenga har ek ko uske gunah ke mutabik saza milegi jisne sone chandi ki zakat naa di hogi uss maal ko garm kar ke uski karwat, peshani, aur peeth par daag diya jayega jisne janwaar ki zakat naa di hogi uske janwar uss din khoob mote taaze hokar aaenge aur uss aadmi ko waha lita kar wo janwar apne sing se marte aur apne pairo se rondhte huwe uss par se uss waqt tak guzarte rahenge jabh tak logoñ ka hisab khatm naa ho.

fb.me/kanzul.imaan.group

Bahar e Shari'at #362 - Qayamat ka Aagaz

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ka Aagaz.

Phir jab Allah ﷻ chahega Israfeel علیہ السلام zinda kiye jaaenge aur soor ko paida kar ke dubara phukne ka hukm hoga soor phukte hi tamam pehle aur baad wale insan, jinnat, haiwanat, farishte maujood ho jaaenge.

Sab se pehle Nabiyo ke Sardar Allah ke Mehboob hum sab ke Aaqa wa Maula Madeene ke Tajdar Janab e Ahmed e mujtaba Muhammed Mustafa ﷺ apne Rauza e Mubarak se iss shaan se niklenge unke dahine haath mein pehle khalifa Hazrat e Abu Bakr Siddique رضي الله عنه aur baaye haath par doosre khalifa Hazrat e Umar Farook e Aazam رضي الله عنه ka haath hoga phir Makkah Shareef aur Madeena Shareef ke qabro mein jitne ahle iman musalman dafn hai sab ko apne saath lekar hashr ke maidan mein tashreef laaenge.

⏩ Aqeeda :~ Qayamat beshak qayam hogi aur iska inkar karne wala kafir hai.

fb.me/kanzul.imaan.group