Showing posts with label Khwaja Garib Nawaz. Show all posts
Showing posts with label Khwaja Garib Nawaz. Show all posts

Wednesday, April 13, 2016

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #731

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#731
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Nabi e Kareem ﷺ ne ek anaar Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke haath ata kiya aur farmaya isme dekhlo aur jaan lo tumhe kaha jaana hai. Hukm ke mutabik Sultan ul Hind Gareeb Nawaz رضي الله عنه ne anaar ke andar nigah ki to mashrik se magribh tak jo kuch tha woh sab raushan ho gaya. Shehair e Ajmer aur uski pahadiya wagairah bhi nazar aa gayi.

سُــــبْحانَ الله سُــــبْحانَ الله

# Sairul Aqtaab, Safah No, 123/124.

Makhdoom Jahaaniya Jahaa Gasht ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ne apne safarname mein likha hai ke:- Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke Mazaar Shareef ke paas anaar ka ek darakht meri haziri ke waqt tha. Rozana saat (7) phal uss darakht se utarte the. jo shakhs uss anaar ko apne yahan farzand hone ki niyat se kha leta Ba-Hukm e Rabbi woh saahib e aulaad ho jata tha.

( Iqtebaas Az-Hashiyaa Moinul Arvah Safah No, 79)

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No.213/ 215.




Sent from my iPhone

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #730

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#730
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه adaeegi e hajj ke baad Madeena Munawwara haazir huwe aur ek arse tak waha ibadat mein mashgul rahe ussi mauke par aapko Darbar e Risalat ﷺ se basharat huwi Aye Moinuddin! Tu mere deen ka Moin(madadgar) hai Maiñe wilayat e hindustan tujko ataa ki waha kufr o shirk ki zulmat phaili huwi hai tu Ajmer jaa tere wajood se waha ki zulmat e kufr durr hogi aur islam ka ujala failegaa"

Aap iss basharat se bahot khush huwe ke ilahi ajmer kaha hai aur kaunsa maqaam hai ussi aalam mein aapki aankh lag gayi aur Huzoor Sarwar e Kainaat ﷺ ne aapko apni ziyarat se musharraf farmaya turfatul aain(palak jhapakte) mein aap ko tamaam shehairo qilla aur kohistan dikhla diye.

Aur ek bahishti anaar ataa farma diya.

(Anaar ki tafseel In Sha Allah kal post hogi)

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No 213.




Sent from my iPhone

Monday, April 11, 2016

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #729

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#729

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Jabh Sarkaar Garib Nawaz رضي الله عنه Madina Munawwara pahuche aur Rauza e Huzoor e Akdas ﷺ par gulamana hazri ki sa'adat haasil ki aur chand din wahi muqeem rahe. Ek din Rauza e Mutabbaraq e Munawwara se nida(Aawaz) aayi ke Moinuddin ko bulaya jaaye. Phir kya tha Hazrate Khawaja Moinuddin Chishty ki kaifiyat ajeeb o gareeb hogayi. Labon par Darood e Pak ke phoolon ko saja kar Rauza e Rasool ﷺ ke Muqaddas Aastane par saraapa adab o niyaz ban kar khade hogaye andar se aawaz aayi "Aaye Qutb ul Mashaaekh andar aajaao"

Aap deewangi aur adab ka daman thame andar dakhil huwe. Aapki kismat bedaar huwi ke halat e bedaari mein RasoolAllah ﷺ ke Rukh e Zebah ki ziyarat se musharraf huwe. Aaqa e Kareem ﷺ ne irshad farmaya "Moinuddin tu hamara Aaine Deen hai lekin tujhe hindustaan jaana hoga waha ek jagah Ajmer hai jahan mere farzand Sayyed Hussain Naami tableeg e deen wa jihad e fi sabilillah ki niyat se gaye they abh woh shaheed hogaye hai jiske sabab se woh jagah kaafiro ke tasallut mein aagayi hai.

Tumhare qadmo ki barkat se wahan islaam failega aur waha ke kaafir magloob honge.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No. 214.




Sent from my iPhone

Sunday, April 10, 2016

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #728

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#728

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarkaar e Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه apne Murshid se sharf e ba'it haasil karne ke baad khud Peero Murshid ke saath bhi aur uske alawa bhi muta'addid (kayi baar) bar Harmain e Shareefain ki ziyarat se mushrraf huwe
Lekin hijri 583 mein jabh aap Makkah Mo'azzama pahuche to ek din Haram e Kaabah mein mashgule ibadat they ke gaib se ek aawaz aayi "Aye Moinuddin! Hum tujhse khush hai aur Humne tujhko bakhsh diya jo kuch chahe Humse maang le Hum ataa karenge.!

Aapne arz ki "Khudawanda! Moinuddin ke mureedine silsila ko bakhsh de"

Irshad huwa "Aye Moinuddin! Tu Hamari Milak(Milkiyat) hai jo Tere mureed aur tere silsile mein ta qayamat mureed honge un sab ko hum bakhsh denge."

# Moinul Arvah Safah No.78.
# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No. 212.




Sent from my iPhone

Saturday, April 9, 2016

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #727

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#727

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Jab Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ne Hazrat Khwaja Usmaan harwani رضي الله عنه ki ziyarat ki to dekha ki Hazrat ki majlis mein bade bade Aulma aur Mashaeekh Mu'addab baithe huwe hai aur mureedo ki bheed lagi huwi hai, Aap khamoshi se ek goshe mein baith gaye usss waqt Hazrat Usmaan Harwani رضي الله عنه itteba'e sunnat ki ahamiyat samja rahe the jab baat muqammal ho gayi to aap ne farmaya, "Main baag e tauheed ke gul-e-naubahar ki khushbu mehsoos kar raha hu ye keh kar apni jagah se uthe aur safo ko cheerte huwe Sarkaar e Khwaja ka haath pakad kar unhe khada kiya aur seene se lagate hue farmaya:- Marhaba Marhaba khush aamadeed! meri aankho(n) ki thandak Allah tumhe ba-muraad kare, phir majme se farmaya ye Moinuddin Hasan hai
Uske baad Isbaat e Wujood ke mauzu par Sarkaar e Khawaja ko taqreer ka hukm de kar baith gaye.

Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ne tameel e hukm mein ek fasiho baleeg taqreer farmayi log dambakhud ho gaye aur aisa mehsoos kar rahe the jaise imaano ikaan ki baarish ho rahi hai ye silsila azaan e magribh tak chala

Namaz ke baad Hazrat Khwaja Usmaan Harwani رضي الله عنه Aapko Apne hujre mein le gaye aur Silsila e Chishtiya mein dakhil farmaya.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه, Safah 199.




Sent from my iPhone

Friday, April 8, 2016

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz #726 رضي الله عنه

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#726

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Eid ka din tha har taraf khushiyo ka mahaul tha
Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke bachpan ka zamana tha, Aap apne ghar walo ke hamraah nihayat umda aur nafees libas zeb e tan farma kar namaz e eid ke liye eid gaah jaa rahe the raaste mein ek nabeena ladke ko phate purane kapde mein malboos dekha, Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ko uss ki gareebi aur lachari dekh kar bahot dukh huwa. Natije ke taur par aapne apna khubsoorat libas uss gareeb nabeena ladke ko pehna diya aur khud doosre kapde pehan kar usey apne saath eid gaah le gaye.

Ye waqiyaat ki roshni mein ye andaza lagana aasan hai ki Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه bachpan, ahade tifli aur shirkhwargi mein hi nahi balki Khalaki aur Paidaishi Gareeb Nawaz hai.

Ye seefat khaas aap ki hayaat e zaahiri tak hi nahi balki zaahiri parda farmane ke baad bhi aapse kabhi kisi haal maiñ juda naa ho saki.

Chunache aaj bhi aap ussi tarah Gareebo, majbooro, bekaso, mazlumo aur be-saharo ko nazdiko dur se khoob khoob nawazte hai.

Aur In Sha Allah Ta'ala subhe qayamat tak hum gareebo ke liye aap Gareeb Nawaz rahenge.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه, Safah 184.

# Yahañ Bheek Milti Hai Bey'Gumaan,
Yeh Bade Sakhi Ka Hai Astaan,
Yahan Sabki Bharti Hai Jholiyan,
Yeh Dar e Gareeb Nawaz hai.




Sent from my iPhone

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #725

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#725

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ki walida farmati hai ke jiss purnoor wa darakhsha subah ko Moinuddin Hasan رضي الله عنه ki wiladat e mubaraka huwi hamare ghar mein ek ajeeb sa noor phail gaya, aur Maine apne ird-gird bahot si noorani soorateiñ dekhi.

Phir Maine apne nau-maulood bacche ki taraf nazar ki to yeh dekh kar hairaan reh gayi ke woh sajde mein pada hai Maine usse pyaar se utha kar apni godh mein le liya phir jabh upar nigah uthayi toh hazaaro noorani soorat aur haseen chehre waloñ ko pare bandhe huwe dekha jin ke libaason se suroor angez khushbu ki lapte aa rahi thi. itne mein ek shakhs ne mujhse mukhatab karte huwe kaha "Aai Khatoon! mubarak ho ki aaj tere ghar Moinuddin ki wiladat huwi hum log iss daur ke aktab-o- abdaal hai aur tujhe khush khabri aur mubarakbaad dene aaye hai." Uske baad ye hazraat nigahon se roo-posh ho gaye.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه, Safah 182.




Sent from my iPhone

Wednesday, March 18, 2015

Seerat E Sarkaar Khwaja Ghareeb Nawaz 51

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Shaan e Sarkaar Ghareeb Nawaz رضي الله عنه 

Sarkaar e Khwaja  Irshad Farmate hai Hadees Shareef Mai Hai Ke Huzur Ne Farmaya Jise Koi Mushkeli Darpesh Ho Wo Kasrat Se Surah Fateha Padhe Allah Ta'ala Uss Ki Har Mushkil Aasan Farma Dega

Fir Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه Farmate Hai Surah Fateha Tamaam Amraaz Ki Dawa Hai Jo Shakhs Kisi La-ilaz Marz Mai Mubtela Ho to Sunnat Aur Farz Namazo Ke Darmiyan 41 Martaba Padh Kar Dam Kar Le To Allah Ta'ala Usse Shifa Ataa karega

Fir Imaam Naseer Alaihirrehma Ke Hawale Se Farmate hai Ke Is Surah Mai 7 Aayate Hai Aur Insaan Ke Jism Bade Aa'aza (parts) 7 Aur Dozakh Ke Tabkaat Bhi 7 Lihaza Is Surah Ki Ba-kasrat Tilawat Karne Wale Ke Saato(n) Aa'aza Jahannam Ke Saato(n) Tabkaat Se Mehfuz Rahenge

Fir Farmaya Ke Mashaeekh e Kibaar Aur Ahle Sulook Tehrir Farmate Hai Ke Is Surah Ke 124 Huruf Hai Aur Ambiya Ki Tadaad Ek Lakh Chobis Hazaar
Goya Har Harf Ke Badle 1000 Paigambaro Ka Sawab Is Ke Padhne Wale Ke Naama e Aamaal Mai Likha jayega

SubhanAllah SubhanAllah


[ Sirat e Khwaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.460 ]

Tuesday, March 17, 2015

Shaan E Sarkaar Ghareeb Nawaz 50

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Shaan e Sarkaar Ghareeb Nawaz  رضي الله عنه # 50

5⃣ PEERO MURSHID KE CHEHRE MUBARAK KI ZIYARAT KARNA

Sarkaar e Ghareeb Nawaz رضي الله عنه Apne Peero Murshid Ke Hawale Se Farmate Hai
Maine MA'ARIFATUL MUREEDIN Mai Padha Hai Ke Hazrat Shaikh Khwaja Usman Harroni Rehmatullahi Ta'ala Alaihe Farmate Hai
 Jo Shakhs Apne Peer Ki Khidmat Dilo Jaan Se Karta Hai Allah Ta'ala Usse Bagair Hisab Ke Jannat Mai Dakhil Karega Aur Uss Ko Motiyo(n) Ke 1000 Mahal Ataa Karega , 1000 Saal Ki Ibadat Ka Sawab Ataa Karega Aur 1000 Hoore Uss Ki Khidmat par Mamoor Ki Jayegi

FAYDA: Itna Bayaan Kar Ke Sarkaar e Khwaja Ki Aankho(n) Se Ashq Behne Lage Aur Aap Ne Farmaya Ke Qayamat Ke Din Awliya , Siddiquin , Aur Mashaeekh e Tariqat Ko Kabro Se Uthhaya Jayega to Un Ke Kandho Par Kamliya Padi Hongi
Har Kamli Ke Sathh Hazaaro Reshe Latakte Honge
Un Buzurgo Ke Mureed Aur Aqeedatmand Un Resho Ko Pakad Kar Latak Jayenge Aur Un Ke Sathh Pulsirat Uboor Kar Ke Bahisht Mai Dakhil Ho Jayenge

SubhanAllah SubhanAllah

[ Sirat e Khwaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.453 ]


Sunday, March 15, 2015

Shaan e Sarkaar Ghareeb Nawaz Radiallahu Anh 49


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

KHANA E KAABA KO DEKHNA

Sarkaar e Khwaja Ne Hadees e Paak Ki Roshni Mai Irshad Farmaya Ke Khana e Kaaba Ki Taraf Dekhna Bhi Ibadat hai

Rasool e Akram ﷺ Ne Khud Iska Sawab Bayaan Farmaya hai

Farmate Hai Ke jo Shakhs Dili Khulus Aur Ahteraam Ke Sath Khana  e Kaaba Ki Ziyarat Karega Wo Ibadat Mai Shumaar Hoga Uss Ki Ziyarat Ke Badle 1000 Saal Ki Ibadat Aur Hajj e Maqbul Ka Sawab Uss Ke Naama e Aamal Mai Likha Jayega Aur Usse Awliya Ke Jumre Mai Shumaar Kiya jayega

SubhanAllah SubhanAllah

[ Sirat e Khwaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.452 ]

Shaan e Sarkaar Ghareeb Nawaz Radiallahu Anh 48


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


3⃣ ULEMA E IKRAM KI ZIYARAT KARNA

Sarkaar e Khwaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه ne irshad farmaya Jo Shakhs Kisi Aaleem e Deen Ki Taraf Mohabbat Se Dekhta hai to Allah Rabbul Izzat Ek Farishta Paida Farmata hai Jo Qayamat tak Uss Ke Liye Bakhshish Ki Dua e Maangta hai

Jis Shakhs Ke Dil Mai Ulema Wa Mashaeekh Ki Mohabbat Hoti hai Usse 1000 Saal Ki Ibadat Ka Sawab Milta hai Agar Ussi Halat Mai Uss Shakhs Ka Inteqaal Ho Jaye Allah Rabbul Izzat Usse Jannat Mai Ulema Ka Darza Ataa Farmata hai Jis Ka Naam ILLIYYIN hai

Fatawa e Jahiriya Mai Hai Ke Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya hai Ke Jo Shakhs Ulema Ke Pass Aamado Raft Rakhe Aur (Kam se Kam) 7 Din Un Ki Khidmat Kare to Allah Rabbul Izzat Uske Saare Gunah Bakhsh Deta hai Aur 7000 Saal Ki Nekiyaa Uss Ke Naama e Aamal Mai Likh Deta hai

SubhanAllah SubhanAllah

[ Sirat e Khwaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.451 ]

Shaan e Sarkaar Ghareeb Nawaz Radiallahu Anh 47


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

20 QURAN E PAAK KI TARAF DEKHNA

Sarkaar e Khwaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه ne irshad farmaya ke Sarah e Awliya me hai ke jo shakhs Quran e paak ki taraf dekhta hai ya dekh Kar parhta hai use do-guna sawaab milta hai.

Ek Quran  e paak parhne ka dusra Qur'an e paak dekhne ka aur har harf (alphabet) ke badle 10 Nekiya ataa ki jaati hai aur 10 badiyaa us ke naam e Aamal se mita di jati hai


HIQAYAT:
Fir aap ne Irshad farmaya ke jo shakhs Quran e paak dekhta hai Allah subhan wa Ta'ala ke fazlo Karam se uski aankho ki roshni barhti hai aur uski aankhe kabhi nahee dukhti is silsile mein mazeed farmaya ke....

Ek dafaa ek buzurg Quran e paak ki tilaawat Kar rahe the ke ek Na-beena unki khidmat me haazir huwa aur aankho ki basharat ke liye un se dua ki darkhwast ki. Un buzurg ne qibla rukh hokar fateha parha aur Quran e paak us shakhs ki aankho se lagaaya jis ki barkat se uski aankhe usi waqt roshan ho gayi.

[ Sirat e Khwaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.450 ]

To be Continued...

Shaan e Sarkaar Ghareeb Nawaz Radiallahu Anh 46.


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

10 WALIDAIN KA CHEHRA DEKHNA:

Aulaad Ko Apne Maa-Baap Ka Chehra Dekhna Ibadat Hai Hadeese Paak Mai Aaya Hai Ke Jo Aulaad Khuloos Aur Mohabbat Ke Sath Allah Ta'ala Ki Raza Wa Khushnudi Ke Liye Apne Maa-Baap Ki Ziyarat  Karti Hai Use Ek Hajj e Maqbul Ka Sawab Milta Hai Aur Jo Farzand Apne WALIDAIN Ke qadmo Ko Chumta Hai To Haqq Ta'ala Uss Ke Naam-e-Aamaal Mai Hazaar Saal Ki Ibadat Ka Sawab Likh Deta Hai Aur Usse Bakhsh Deta hai.

HIQAYAT: Fir Sarkaar e Khwaja Ne Hiqayat Bayaan Farmayi

Ek Shakhs Bure Kaamo Ki Wajah Se Bahot Badnaam Tha Us Ke Inteqaal Ke Baad Logo  Ne Khwab Mein Use Jannat Mai Hajiyo Ke Giroh Mai Tahelte Huwe Dekha Aur Use Puchha Ki Tuje Ye Martaba Kyo Kar Mil Gaya Halaaki Duniya Mai Tu Hameshaa Bure Kaamo Mai Mashgul Raha.

Uss Ne Jawab Diya Ke Beshak Mai Bahot Badkaar Tha Lekin Apni Burhi Maa Ka Mai Bahot ehteraam Karta Tha! Jab Mai Ghar Se Nikalta To Uss Ke Kadmo Par Sar Rakh Deta Us Waqt Meri Maa Muje Khub Dua e Deti Ke Allah Ta'ala Tuje Bakhshe Aur Tuje Hajj Ka Sawab Ataa Farma e Rabb e Karim Ne Meri Maa Ki Dua Qubul Kar Li Mere Gunah Bakhsh Diye Aur Muje Jannat Mai Hajiyo Ke Giroh Mai Jagah Di

To be Continued...

[ Sirat e Khwaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.449 ]

Is Hiqayat Se Hame Sabaq lena Hai Aur Hamara Jayeza Lena Hai Ke Aaj Hum Kya Kar Rahe Hai Hum Duniya Ki Mohabbat Mai Aage barh Rahe hai Magar Hamari Duniya Aur Aakhirat Dono WALIDAIN Ke Kadmo Mai Hai
Allah Rabbul Izzat Hum Sab Ko WALIDAIN Ka Farmabardaar Banaye
       
       آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين

Shaan e Sarkaar Ghareeb Nawaz Radiallahu Anh 45


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Khawaja Kutbuddin Bakhtiyaar Kaaki رضي الله عنه Farmate Hai Ki Ek Baar Sarkaar e Khwaja Ki Majlis Mein Is Haqeer Ke Alawa Hazrat Shaikh Jalaluddin , Hazrat Shaikh Ali Sanjari , Hazrat Shaikh Muhammed Auhad Chishti Rehmatullahi Ta'ala Alaihe Aur Digar Buzurg Bhi Shamil The

Sarkaar E Ghareeb Nawaz  رضي الله عنه Ne Farmaya Ki Ahle Sulook Ke Nazdik 5 Chizo Ki Taraf Dekhna Ibadat Hai

1⃣ Aulaad Ko Maa - Baap Ka Chehra Dekhna
2⃣ Quraan E Paak Dekhna
3⃣Ulema E Haqq Ki Taraf Dekhna
4⃣ Khana e Kaaba Dekhna
5⃣ Apne Peero Murshid Ke Chehre Mubarak Ki Ziyarat Karna

To be Continued...

[ Sirat e Khwaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.448 ]

Jo Shakhs Ye 5 Baate Apne Zahen Wa Amal Mai Le Lega Uss Ke Liye In Sha Allah  Khair Hi Khair Hai.

Saturday, March 14, 2015

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz Radiallahu Anh 44


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ek Din Khwaja Kutbuddin Bakhtiyaar Kaaki Aur Sultan Shamshuddin Altamas Shahi Qile Ki Sair Farma Rahe The Waha Bahot Se Umra Wa Arakin e Saltanat Bhi Maujood  The KeItne Mai Ek Badkaar Haamila Aurat Haazir Hokar Kehne Lagi,

"Khudara Aap Mera Nikah Kara Dijiye Mai Bade Azaab Mai Hu. " Badshah Ne Kaha, Kis Se Nikah Karau Aur Tu Kya Azaab Mai Hai ?
Uss Ne Nihayat Gustakhana Andaz Mai Kutub Sahab Ki Taraf Ishara Karte hue Kaha,, Mere Pet Mai Inka Hamal hai!

Hazrat Kutbuddin Bakhtiyaar Kaaki Rehmatullahi Alaihe Sharm Se Paseena Passena Ho Gaye ! Badshah Aur Tamaam Umra Par Sakta Taari Ho Gaya ! Hazrat Kutub Sahab Ne Fauran Apne Peero Murshid Sarkaar Khwaja Gareeb Nawaz  رضي الله عنه Ki Taraf Tawajjoh Ki ! Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه Uss Waqt Ajmer Sharif Mai Rounak Afroz The. Itne me Kya Dekhte Hai Ki Sarkaar e Khwaja Banafse Nafees  Waha Maujood  Hai Aur Hazirin Ne Badh Kar Kadambosi Ki.

Aap Ne Kutub Sahab Se Puchha Ki Tum Ne Muje Yaad Kyo Kiya ? Aap Muh Se Kuch Na Keh Sake Albatta Aankhon Se Ashk Behne Lage. Sarkaar E Khwaja Mohabbat Se Tadap Uthhe Aur Farmaya, AYE BADKAAR HAAMILA TU KHUD HI SUN
Fir Aurat Ke Shikam Ki Taraf Mutawajjoh Ho Kar Farmaya,, AYE PET K BACHHE TU HI BATA ! TERI MAA KUTUB SAHAB KO TERA BAAP BATATI HAI KYA YE SACH HAI ??

Pet Se Bachhe Ne Jawab Diya Huzur ! Ye Bilkul Galat Hai Ye Aurat Badi Makkar Aur Faahisha Hai Mai Hargiz Kutub Sahab Ka Beta Nahi Hu
       Fir Uss Badkaar Aurat Ne Qubul Kiya Ki Kutub Sahab Ke Dushmano Ne Ilzam Lagane Ke Liye Usse Bheja Thha

# Sirat e Khawaja
 Gareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.316

# Teri Shaan Shaan e Kalandari ,
Tu Bada Gareeb Nawaz hai

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz Radiallahu Anh 43


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarkaar e Gareeb Nawaz رضي الله عنه Jis Zamane Mai Samarkand Mai Muqeem The Ek Din Khwaja Samarkandi Ke Makaan Se Muttasil Masjid Par Ek Shakhs Ne Aaitraaz Kiya Ki Is Masjid Ke Qible Ki Simt Sahi Nahi hai. 

Hazrat Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Bhi Isi Masjid Mai Namaz Adaa Farmate the, Aap Ne Pehle To us Shakhs Ko Samjhaya Ki Iski Simt Bilkul Sahi hai Magar Wo Inkaar Hi Karta Raha Aur Apni Baat Par Qayam Raha

Fir Achanak Sarkaar Garib Nawaz رضي الله عنه Ne uski Gardan Pakad Kaha Dekh Samne Dekh! Us Shakhs Ne Dekha to Khana e Kaabah uski Nigaho Ke Samne Tha Jis Se use Yaqeen Ho Gaya Ki Is Masjid Ki Simt e Qibla Bilkul Durust hai.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.317

# Chahe to Ishare Se Apni Kaaya hi Palat De Duniya Ki ,
Ye Shaan Hai Hind Ke Raja Ki To Sarkaar Ka Aalam Kya Hoga

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz Radiallahu Anh 42


 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ



Sarkaar e Gareeb Nawaz رضي الله عنه  Bilkhusus Namaz Ki Ahamiyat Ki Talkeen Karte Huwe Farmate Hai:
Mera Guzar Mulk e Shaam Ke Karib Ek Shaher Mai Huwa Uss Shaher Ke Bahar Ek Gaar Tha Jis Me Ek Buzurg Sukunat Pazeer The. Khauf e Khuda Aur Haibat e Ilahi Se Unke  Badan Ka Gosht Sab Pighal Gaya Tha Poore Jism Par Sirf Haddiya Hi Reh Gayi Thi
Mai Adab Se Jakar Baith Gaya
Buzurg Ne Daryaft Kiya Kaha Se Aaye Ho.??

Mai Ne Jawab Diya Baghdad Se Haazir Huwa Hu Fir Farmaya Durvesho Ki Khidmat Karte Raho Taaki Tum Ko Zauk e Durveshi Haasil ho. Mujhe Is Gaar Me Rehte Huwe Kayi Saal Guzar Gaye Ek Baat Se Aisa Darta Hu Ki Raat Din Rote Huwe Guzar Jaate Hai
Maine Pucha Hazrat Woh Kaunsi Baat Hai ??
Farmaya Woh Namaz Hai, Jis Waqt Adaa Karta Hu Khauf Maloom Hota Hai Ki Kahi Koi Shart Faroguzasht Na Ho Gayi Ho Aur Meri Saari Ibadat Akaarat Ho Kar Yahi Namaz Mouzib e Itaabe Khudavandi  Na Ho Jaaye.
(Bazm e Sufiyaa Page No. 76)

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz Radiallahu Anh 41

 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ



Sarkaar e Gareeb Nawaz رضي الله عنه Ke Dil Me Apne Peer o Murshid Ke Liye Badi Qadr o Azmat Thi
Ek Din Ki Baat Hai Aap Apne Sathhiyo Ke Saath Tashrif Farma They Aur Kuch Guftagu Chal Rahi Thi Uss Dauran Jabh Aap Daahini Taraf Chehra Mubarak Karte To Adab Ke Saath Khade Ho Jaate. Haazireen Aapke Is Amal Se Hairaan The Aur Samaj Nahi Paa Rahe The Ke Baar Baar Kiski Tazeem Ke Liye Khade Ho jaate Hai. Jabh Is Muta'allik Aapse Daryaft Kiya Gaya Toh Irshad Farmaya Ki : Iss Taraf Mere Peero Murshid Ka Rouza Hai Aur Jabh Mai Is Taraf Dekhta Hu Toh Woh Nazar Aane Lagta Hai Isilye Mai Unki Tazeem Ke Liye Khada Ho Jata Hu. (Moinul Arwah)

Is Wakiye Se Andaza Lagaya Ja Sakta Hai Ke Peer o Murshid Ka Rouza e Mubarak Tasawwur Me Nazar Aa Jaane Par Uski Tazeem Ka Yeh Aalam Hai Toh Jabh Peero Murshid Ke Aastana e Pak Par Jismo Jismaniyat Ke Saath Haazir Hote Honge Uski Tazeem Ka Kya Aalam hoga.
Aur Khud Peer o Murshid Ki Hayaat e Zaahiri Mai Unse Mulakat Ke Waqt Kiss Qadr Tazeem o Taukeer Farmate Hoge.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.283

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz 40


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ



KHAUF E KHUDA.

Sarkaar E Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Par KHAUF E KHUDA Ka Iss Kadr Galba Tha Ke Aap Hamesha Khasiyate Ilahi Se Kaa'npte Aur Giryaa o Zaari Karte Rehte The.

Aap Is Mu'amle Me Farmaya Karte They Ki : " AYE  LOGO ! AGAR TUM KO ZEIRE KHAAK SOYE HUWE LOGON KA ZARA SA BHI HAAL MALOOM HO JAAYE TO TUM ( MAARE KHAUF O DAHESHAT KE ) KHADE KHADE PIGHAL JAO AUR NAMAK KI PAANI HO JAAO "
( Masaalik Us Salikeen)


# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.281

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz Radiallahu Anh 39


بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ



Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyaar Kaaki رضي الله عنه Ka Bayan Hai Ki : Mai Sarkaar e Gareeb Nawaz رضي الله عنه Ke Saath Takriban 20 Saal Raha. Ek Martaba Hum Aise Jungle Me Pahuche Jaha Koi Parinda Bhi Parr Nahi Maar Sakta Tha. Hum 3 Roz Tak Waha Firte Rahey Maine Suna Tha Ki Uss Jungle Ke Paas Ek Pahaad Par Koi Buzurg Rehte Hai. Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه Ne Musalle Ke Niche Se 2 Rotiyaa Nikali Aur Mujhe Di Aur Farmaya Un Buzurg Ki Khidmat Me Le Jaao Aur Mera Unse Salaam Kaho. Maine Rotiya Buzurg Ke Samne Rakhi Unhone Ek Roti Mujhe Inayat Farmayi Aur Dusri Iftaar Ke Liye Rakh Li.
Fir Musalle Ke Niche Se 4 Khajoore Nikali Aur Mujhe Dete Huwe Farmaya " YE MOINUDDIN KO DE DENA " Jabh Mai Khajoore Le Kar Aaya Toh Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه Mujhe Dekh Kar Bade Masrur Huwe Aur Farmaya " Aye Durvesh ! Peer Ka Farmaan RasollAllah ﷺ Ka Farmaan Hota Hai. Aur Jo Peer Ka Farmaan Bajaah Laata Hai Woh Goya RasollAllah ﷺ Ka Farmaan Bajaah Laata Hai.

# Tarjama Asrarul Auliya Ba Hawala Moinul Arwah.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.281