Saturday, March 14, 2015

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz Radiallahu Anh 41

SHARE
 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ



Sarkaar e Gareeb Nawaz رضي الله عنه Ke Dil Me Apne Peer o Murshid Ke Liye Badi Qadr o Azmat Thi
Ek Din Ki Baat Hai Aap Apne Sathhiyo Ke Saath Tashrif Farma They Aur Kuch Guftagu Chal Rahi Thi Uss Dauran Jabh Aap Daahini Taraf Chehra Mubarak Karte To Adab Ke Saath Khade Ho Jaate. Haazireen Aapke Is Amal Se Hairaan The Aur Samaj Nahi Paa Rahe The Ke Baar Baar Kiski Tazeem Ke Liye Khade Ho jaate Hai. Jabh Is Muta'allik Aapse Daryaft Kiya Gaya Toh Irshad Farmaya Ki : Iss Taraf Mere Peero Murshid Ka Rouza Hai Aur Jabh Mai Is Taraf Dekhta Hu Toh Woh Nazar Aane Lagta Hai Isilye Mai Unki Tazeem Ke Liye Khada Ho Jata Hu. (Moinul Arwah)

Is Wakiye Se Andaza Lagaya Ja Sakta Hai Ke Peer o Murshid Ka Rouza e Mubarak Tasawwur Me Nazar Aa Jaane Par Uski Tazeem Ka Yeh Aalam Hai Toh Jabh Peero Murshid Ke Aastana e Pak Par Jismo Jismaniyat Ke Saath Haazir Hote Honge Uski Tazeem Ka Kya Aalam hoga.
Aur Khud Peer o Murshid Ki Hayaat e Zaahiri Mai Unse Mulakat Ke Waqt Kiss Qadr Tazeem o Taukeer Farmate Hoge.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.283

0 comments:

Post a Comment