Saturday, March 14, 2015

Book - TAMHEED E IMAAN 41

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


FARISHTON KA APNE ILM WAALE USTAAD SE BARTAAO.

Iblees kitna bada aalim tha phir kya koi musalmaan uski ta’zeem karega?
Use to muallim ul malqoot ( farishton ka ustaad ) kehte hain. yani farishton ko ilm sikha ta tha. Jab se usne MUHAMMAD RASOOLALLAH ﷺ ki ta’zeem se munh moda, HUZOOR ka Noor peshaani e AADAM alaihis salaam mein rakha gaya. Use sajda na kiya, us waqt se la’nat e abadi ka tauq us ke gale mein pada. Dekho jab se uske shaagirdaan e rasheed (farishte) uske saath kya bartao karte hain, Hamesha us par la’nat bhejte hain, har ramzaan mein mahina bhar use zanjeeron mein jakadte hain, qayamat ke din kheench kar Jahaannam mein dhakeleinge. Yahan se ilm ka jawab bhi waazeh hogaya aur ustaadi ka bhi.
Yaani yeh baat saaf ho gayi ke ilm waala ho ya ustaad agar wo ALLAH wa RASOOL ki tauheen karta hai to us se nafrat rakhi jaaye, yahi ALLAH ka hukm hai jo Qur'an se saabit hai.
Bhaiyyon! karod karod afsos hai, is daawa e musalmaani par ke ALLAH Waahid e Qahhaar aur MUHAMMAD RASOOLULLAH ﷺ se zyada ustaad ki waqat ho, ALLAH wa RASOOL se badh kar bhai ya dost, ya duniya mein kisi ki mohabbat ho.
Aye RAB! hamein sachcha Imaan de, sadqa Apne HABEEB ﷺ ki sachchi izzat sachchi rehmat ka.
Aameen.

To Be Contd...









0 comments:

Post a Comment