Showing posts with label Islamic Personalities. Show all posts
Showing posts with label Islamic Personalities. Show all posts

Saturday, March 28, 2015

Shaan e Ahle Bait 203

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Shaan e Ahle Bait

Shahenshah e shaheeda (tamam shaheedon ke shahenshah) Imam e Hussain رضي الله عنه ki wiladat 5 Shabaan 4 hijri ko Madina Shareef mein huwi.

Huzoor ne aap ke kaan mein azaan di aur munh mein apna luaab e dahan (thuk mubarak) dala aur dua farmayi phir saatve (7th) din aap ka naam Hussain rakha aur aqeeqa kiya.

Aapki kunniyat Abu Abdullah aur laqab Sibte Rasool hai.

Nabi e Kareem Rauf o Raheem irshad farmate haiñ.

Hazrate Haroon علیہ السلاام ne apne beton ke naam Shabbar o Shabbir rakha aur Maine apne beto ka naam unhi ke naam par Hassan o Hussain rakha.

 Hassan o Hussain jannati naamo mein se 2 naam hai.

Husain mujhse hai aur Main Hussain se hu.

Jis ne Hussain se mohabbat ki usne Allah se mohabbat ki.

Jisse pasand ho ke kisi jannati jawaano ke sardaar ko dekhe to woh Hussain ibne Ali ko dekhe.

# Sawaaeq ul Muharreqa.
# Mishkaat Shareef.
# Mirqaat Sharh e Mishkaat

# Al Sharf ul Muaiyad

Shaan e Ahle Bait 203

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Shaan e Ahle Bait

 Ek jung se wapas hote huwe Hazrate Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم karbala se guzar rahe the toh thehair gaye aur uss zameen ka naam pucha toh logo ne kaha ke iss zameen ka naam karbala hai.  Karbala ka naam sun kar aap iss qadar roye ke zameen aashkon  se tar ho gayi. Fir Aapne farmaya ke Huzoor ki khidmat mein ek baar hazir huwa to dekha ke aap ro rahe hai. Maine arz ki Yaa Rasulallah aap kyu ro rahe hai? Farmaya "Abhi jibraeel aaye the aur khabar de gaye ke mera beta Hussain dariya e furaat ke kinaare uss jagah shaheed kiya jayega jisko karbala kehte hai.

Abu Naeem Asbagh kehte hai ek hum Hazrat e Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم ke saat karbala se guzre toh aapne farmaya.
Yeh shaheedon ke oont bithane ki jagah hai aur iss jagah par unke kujawe (oont ki kaathi jis par do log baithte hai) rakhe jayenge. Aur yahan unke khoon bahaye jayenge.

Aale Mohammed ke bohot se jawaan iss maidaan mein shaheed kiye jayenge aur unpar zameen o aasmaan royenge.

 In ahaadees se yeh malum huwa ke Imam e Hussain رضي الله عنه ki shahadat ki khabar Huzoor ko pehle se hi di gayi thi aur Huzoor ne bhi baar baar iska zikr farmaya.
Bachpan se ho mashoor ho gayi thi. Bal ke shaheed hone ki jagah samaan ki jagah sab kuch jante the.

KHULAASA.

Huzoor ke Ilm e Gaib ka inkaar karne walo ke liye iss mein ibrat hai ke Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم ke ilm ko dekho. Jabh in ke ilm ka yeh aalam hai to inke Aaqa Yani Huzoor ke ilm ka kya aalam hoga.

# Sawaaeq ul Muharreqa.

# Khasais ul Kubra.

Shaan e Ahle Bait 202

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Shaan e Ahle Bait

 Khatoon e Jannat Hazrat e Sayyeda Fatima رضي الله عنها farmati haiñ Main Hasan o Hussain ko lekar Huzoor Nabi e Kareem ki khidmat mein haazir huwi aur arz ki 'Huzoor yeh dono Aapke nawaase hai inhe ataa farmayein. Huzoor ne farmaya. Hasan ke liye meri Haibat o Siyaadat. Aur Hussain ke liye meri jurrat (himmat) o sakhaawat hai.

 Ek martaba Huzoor ke  saamne bachpane ke dino mein Hasan o Hussain ek dusre se kushti lad rahe the. Huzoor tashreef farma they aur kushti dekh rahe they. Imam e Hasan se Huzoor ne farmaya. Hussain ko pakad lo. Sayyeda Fatima رضي الله عنها farmati haiñ mujhe bada tajjub huwa aur arz ki. Abba Huzoor  Aap bade se keh rahe hai ke chote ko pakad lo. Huzoor ne farmaya. Doosri taraf  Jibraeel علیہ السلاام hai jo Hussain se keh rahe hai ke Hasan ko pakad lo.

Kya shaan hai.
Ek taraf Sayyedul Mursaleen aur Dusri taraf Sayyedul Malaaika علیہ السلاام .


# Al Sharf ul Muaiyad.

# Noor ul Absaar.

Shaan e Ahle Bait 202

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Shaan e Ahle Bait

Nabi e Kareem Rauf o Raheem irshad farmate haiñ

 Hasan aur Hussain Jannati jawaanon ke sardaar hai.

 Hasan aur Hussain duniya ke mere do (2) phool hai.

Jisne in dono se mohabbat ki toh usne mujhse mohabbat ki aur jisne in dono se dushmani ki usne mujhse dushmani ki.(Jab Sarkar ne yeh farmaya tab ek kandhe par Hazrat e Hasan aur dusre kandhe par Hazrat e Hussain رضي الله عنهم the.)

 Allama Jami Alaihi Rehma farmate haiñ ke Ek roz Nabi e Kareem apne seedhi taraf Imam e Hussain aur ulti taraf apne Shehzaade Hazrat e Ibrahim Alaihirehmah ko bithaaye huwe the. Uss waqt Hazrat e Jibraeel  haazir علیہ السلاام huwe aur arz ki. Yaa RasoolAllah Allah in dono ko Aap ke paas jama na rakhega. Inn mein se ek ko wapas bula lega.

Aap in dono mein se ek ko pasand farma le. Huzoor ne farmaya. Agar Hussain rukhsat ho jaaye to inki judaai mein Fatema aur Ali ko takleef hogi aur meri bhi jaan sozi hogi. Aur agar mere Shehzaade Ibrahim wafa'at pa jaye toh jyada se jyada gam mujhko hoga isliye mujhe apna gam pasand hai.
Is waaqiye ke 3 roz ke baad wafa'at pa gaye. Is waqiye ke baad jabh bhi Imam e Hussain Huzoor ki khidmat mein aate to Huzoor marhaba farmate. Fir unko chumte aur logo se farmate. Maine Hussain par apne bete Ibrahim ko qurbaan kar diya.

# Mishkaat Shareef

# Al Sharful Muaiyad

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam 192

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه  .

"Ladki bhi hogi"

Jaleel Ahmed Sahab Bombay waalo ne Faqeer Raaqimul Huroof Muhammad Amanat Rasool Razvi se bayan kiya ke mere Pehle 3 awlaad Narenah (ladka) ho chuki thi. 4th ve Hamal Par Aala Hazrat Sarkar ka likha huwa amal Shikam e Maadar par likhne wala baraye Awlaad narenah likh Chuka tha. Sarkar Mufti e Azam Hind Qibla ki khidmat mein hazir huwe to arz ki keh Huzoor! Teen Ladke Ho chuke hai. Abh ladki ki Dua Farmadein. Sarkar Mufti e Azam e Hind ne barjasta Farmaya. “ INSHA ALLAH! LADKI BHI HOGI “ Alhaasil jab ayaam poore huwe To Pehle Ladka Paida Huwa. Phir Kuch Deir baad ek Ladki Paida Huwi.. Aur yuh Huzoor Mufti e Alam e Azam alairehmah ki Karamat zaahir huwi. Jaleel Bhai ne yeh bhi kaha keh bataya Gaya hai ke Bacche Judwa Jab paida hote hai amooman Ladke hi ladke Ya Ladki hi ladki. Yahan ek Ladka aur ek Ladki huwi. Aur Yeh bhi bataya gaya ki ek hinaad se Dono hi bacche paida hote hai. Lekin yeh Alahidah Alahidah (alag alag) naad se Paida Huwe. Patah yeh chala ke woh amal Mubarak. Jaleel bhai likh chuke the. Yuh Ladka Huwa. Aur Qutbe Alam Huzoor Mufti e Azam Hind ne Farmaya tha keh. “ INSHA ALLAH LADKI BHI HOGI “ To Allah ne yeh Ek Ladki bhi Ata Farmayi. Aur apne Wali ki yeh Karamat zaahir Farmaya. Phir Huzur Mufti e Azam ki bargah mein Hazir huwe. Aur sayeed bhai Noori ne Naam Rakhne ke liye kaha. To Huzoor ne Farmaya. Ladke ka Naam Muhammad Noor aur Ladki ka Naam Noor Fatimah Rakhen. isse yeh bhi pata chala. Huzoor Aala Hazrat ka diya hua amal bhi poora huwa aur Sarkar Mufti e Azam ka yeh farmana. Ke InshaAllah “ladkhi bhi hogi. Yaani who jaante the woh ilm rakhte the. Ke Pehle Ladka hoga. Phir Ladki.. SubhanAllah


# Tajalliyat e Mustafa Raza. pg no 78

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam 191

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه  .

Abhi yeh soch hi rahe the ke saamne se guard sahab laalten (lamp) liye bhaage aa rahe hai, unke peeche pachason aadmi bhaage aa rahe hai. Guard ne aa kar kaha Huzoor Gaadi ruk gayi hai. Hazrat ne kaha gaadi ruk gayi hai ya engine kharaab huwa? Guard ne gir gira kar kaha ke Hazrat Engine hi nahi chalta, Hamlogo se bari gustaakhi huwi muaf farma dein. Yeh mail train hai ham rok nahi sakte hum majboor they. Hazrat ne farmaya mere dabbe me ek falan naam ka musalmaan baitha hai, kehta hai Namaz ke liye gaari kya intezaar karegi. Station master ne kaha abh dusra engine lagaya jaaye ? Hazrat ne farmaya Agar peeche laao to engine chalega. Waisa hi huwa gaari peeche laayi gayi aur engine ki kharaabi door ho gayi. Tamaan musafiron ko yeh waqiya dekh kar badi hairat bhi aur ibrat bhi huwi. In dino modern musalmaani ki  aankhein khul chuki thi. Jaisa hi Hazrat ko dekha un logon ne muafi maangi aur Hazrat ne Muaf farma diya. Is waqiye se islaam ki haqqaniyat ka mushahida hai.


To be continued...

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam 189

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه  .

Karamat e Huzoor Mufti E Aazam رضي الله عنه

Ek martaba Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه mail train se nagpur se Akola tashreef le jaa rahe the raaste mein ek jagah chand lamhe ke liye train ruki. Aap musalla aur lota le kar train se namaz parhne utar gaye, Kayi Aadmi ne kaha Huzoor Yeh Mail train hai aapke kiye nahi rukegi. Mumkin hai aapki gaadi chooth jayegi lekin Huzoor Mufti e Aazam, Allah Ta'ala par bhaorsa karke niche utar gaye aur wazu bana kar namaz parhne lage aur jamaat qayem ho gayi. Jaise hi magribh ki niyyat ki gayi train chooth gayi Hazrat ka saara samaan aur saath walon ka saara samaan train mein reh gaya tha. Jab gaari chalne lagi  to kisi ne dabbe se kaha "miya gaari gayi" "miya gaari gayi" Magar us na samajh ko kya maloom tha yeh kaun hai?

Namaz jamaat se parhi gayi aur sunnat adaa ki gayi nafl namaz parh chuke plat form khaali tha magar log Hazrat ko dekh rahe the Aur Aapas mein baat kar rahe the ke dekho mawlana Sahab Namaz ke liye Utre aur Gaari chali gayi, Magar Hazrat is tarah Mutmayeen the jaise kuch huwa hi nahi magar log pareshaan the ke sab ka samaan gaya..

To be continued...


Friday, March 27, 2015

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam 188

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه  .

Huzoor Mufti E Aazam رضي الله عنه ka Bachpan Aur Jawaani Huzoor Qutb E Madina رضي الله عنه Ki Zabaani.

Yeh wahi Qutb E Madina hain jin ka naam Ziyauddin Ahemad Madani hai Aur jin ki zahd o Taqwa irshaad aur tableeg riyazat o mujahida ikhlaas o lillahiyat aur kamalaat e baitini ke sababa ahle wafa ne qutb e Madina ka khitaab diya hai. Aap Mufti E Aazam ke bachpan aur jawaani ka Aankho dekha haal bayan farmaate hain, "Mufti Aazam qibla ki paidaish ke waqt main 16 saal ka tha maine Mufti E Aazam ka bachpan dekha, Jawaani dekhi aur abh burhapa bhi dekha, Log Burhaape mein Amal ki taraf tawajjoh karte hain. Burhape mein amal ki taraf tawajjoh karna koi kamaal ki baat nahi hai. Jawaani mein munhiyaat e shariya se mehfooz rehna shariyat e mustafwiya par amal karna kamaal hai.

Ziyauddin ahemad ne apni aankho se dekha Wallahil azeem Mufti e Aazam Bachpan hi se paikar e Ilm O Amal hai, Jaam e zehd aur taqwa hai. Is waqt unke ilm aur fazl, zehd aur taqwa, buzurgi aur parehzgaari, Fiqr aur Irfaan ka koi kya andaza laga sakta hai ? Ziyauddin Ahemad Madani Umr mein to Mufti e Aazam Hind se zaroor bara hai lekin Maratib mein Mufti E Aazam Hind Faqeer se bohot bare hai"


To be continued...

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam 187

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه  .

Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه ka pehla Fatwa.

Mawlana Zafaruddin bihari aur Mawlana Abdul Rasheed Darul Iftaa mein Kaam kar rahe the Aap darul iftaa mein pahuche, Mawlana zafarruddin bihari almaari se Fatawa Razviya Shareef utha rahe the, Aapne irshaad farmaya yeh dekh kar jawaab likhte ho ??

Mawlana ne famaya tum bagair dekhe likh do to jaanu, Aapne fauran woh jawaab likh diya. Woh Raza'at ka masla tha. Yeh Aapka pehla jawaab tha islaah ke liye Aala Hazrat رضي الله عنه ki baargaah mein pesh kiya gaya. Sehet E jawaab par Imaam E ahle Sunnat(Aala Hazrat) bohot Khush huwe aur "Sahil jawaab bi aunil malikil wahaab" Likh kar Tasdeeqi dastakhat sabt farma diya Aur Abul Barkaat Muhiyoddin Jilaani Aal E Rehmaan urf Mustafa Raza ki Muhar Mawlana Hafiz yaqeenoddeen se banwa kar Ataa farmayi..


To be continued...

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam 185

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه  .

Gaus ul Waqt Huzoor Mufti e Aazam Hind رضي الله عنه ne apni ibtidayi taleem apne khandaan se haasil ki, Aapke waalid Ash Shah Imaam Ahmad Raza Khan Al Qadiri Mujaddid E Islaam ke pass. Aapne kuch taleem apne bade bhai se bhi haasil ki hai Mawlana Hamid Raza Khan. Aur Aapke ustaad Mawlana Shaah Maglori, Mawlana Sayyid Basheer Ahmad, Mawlana Zahurul Hussaim Rampuri.

Aap Ilm E Deen mein Apne waalid se jo maharat haasil ki woh kuch yeh hai Tafseer, Hadith, Usool E fiqah, Fiqah, Sarf, Nahw, Tajweed, Falsafa , Mantiq, Aqaid, Tasawwuf wagerah wagerah.


To be continued...

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam 184

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه .

22 Zulhijjah yaani 18 Oct baroz hafta (saturday) ko Sarkaar Tajdaar e Ahle Sunnat Saiyyadi wa Murshidi Huzoor Mufti e Aazam wa Aalam, Ash shah Muhammad Mustafa Raza khan Qaadri Barkaati Razvi Noorie رضي الله عنه ki 125vin yaum e walaadat hai.

 Tamaam Members guzaarish hai ke is monogram ko apni DP bana kar khiraaj e aqeedat pesh karen.

~ Shabeeh e Hazrat e Gaus ul Wara Ibne Raza Tum Ho; Jahaan e Ilm Ke Mufti e Aazam Mustafa Tum Ho.


Tumhari Zaat Mein Jalwe Raza Haamid Raza Ke Hai; Mere Haamid Raza Tum Ho Mere Ahmed Raza Tum Ho.

Huzoor Mufti E Azam E Hind Radiallahu Anh 183

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

22 Zulhijja Wiladat E Huzoor Mufti E Aazam رضي الله عنه  .

Aapki wiladat ke baad, Aala Hazrat ki maujoodgi mein Hazrat Shaah Abul Hussain Ahmad E Noori ne Musalle par baithe baithe Huzoor Mufti e Aazam ko Gaibana dakhil e Silsila farmaya aur Aapke liye apna amama ataa farmaya. Aur irshaad farmate haiñ, Mujhe is bacche ko dekhne ki badi tamanna hai, woh bara hi feroz bakht aur Mubarak baccha hai. Mai pehli fursat mein Bareilly hazir ho kar roohani amanatein supurd karunga"

Hasb e waada 6 maah baad Huzoor Noori Miya Bareilly Shareef tashreef laaye aur "Aale Rehmaan" ( Mufti e Aazam) ko apni aagosh mubarak mein le kar deir tak dekhte rahe. Phir  peshani choom kar irshad farmaya, "Mawlana yeh to maadarzaad wali hai" aur phir 6 maah 3 din ki umr mein Huzoor Noori Miya ne Daakhil e silsila farmaya or tamaam salasil ki ijazat o Khikafat se nawaza. Or farmaate hain " Yeh Baccha DEEN O MILLAT Ki Badi Khidmat Karega Aur Makhlooq e Khuda Ko Iski Zaat Se Bohat Faiz Pahuchega, Yeh Baccha Wali Hai, Iski Nigaahon Se Lakhon Gumraah Insaan Deen e Haq Par Qayem Honge, Yeh Faiz Ka Dariya Bahaega"


Sunday, March 22, 2015

Shaan e Hazrat e Sayyadina Ameer e Hamza رضي الله عنه Day 125.

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Kya Aap Jaante Hai

Hazrat e Saiyyadina Ameer e Hamza رضي الله عنه ke haatho jung e uhad mein 31 mushrikeen fin naare jahannam huwe.


HAI EK KHUBSOORAT SEEKH
HUZOOR KI HAR BAAT MEIN
AMAL KARO AUR CHALO
JANNAT SABHI SAATH MEIN
IN SHA ALLAH
AMEEN

Shaane Hazrate Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha 101

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah Subhan wa Ta'ala ne 17 ya 18 aayatien aapke daamane izzat ki baraat wa taharat aur jamaa'at munafiqeen ki majammat wa kahabasat mai nazil farmayi.

Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha ki umr sharif 18 saal ki thi uss waqt Huzoor ﷺ ne zahiri wisaal farmaya.

Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha ne baroz mangal 17 Ramzan san 58 hijri mein duniya se rahlat farmayi dusre qaul ke mutabik san 57 hijri ko.

Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha  ki namaze janaza Hazrate Abu Huraira  RadiyAllahu Ta'ala Anhu ne parhayi.

Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha ki wasiyat ke mutabik aapko Jannatul Baqi mein dafan kiya gaya.

#Aapki umr shareef 66 saal huwi.

#Madarij Jun Nabuwaah
#Khazainul Irfan
#Assdul gaaba

Shaane Hazrate Aisha Siddiqa Radi Allahu Taa'ala Anha 100

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

➡ 10 Nabwi mai aapka nikaah huwa uss waqt aapki umr 6 ya 7 saal ki thi aur Huzoor ﷺ ki umr sharif 50 saal ki thi.

➡ Aap Huzoor ﷺ ki sohbat wa ma'aashraat mai 9 saal rahi.

➡ Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa Radi Allahu Taa'ala Anha ka nikaah Hazrat e Abu Bakr Siddiq Radi Allahu Taa'ala Anhu ne karaya tha.

➡ Aapka maher 400 dirham muqarrar huwa.
➡ Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa Radi Allahu Taa'ala Anha walime ke baare mai khud farmati hai
koi oont ya bakri zibah karke walime ka khaana tayyar na huwa balki ek pyaala doodh jo Saad Bin Ubada Radi Allahu Anhu ke ghar se aaya huwa tha wahi walima tha.

➡ Ummul momineen
Hazrate Aisha Siddiqa Radi Allahu Taa'ala Anha ki rukhsati pehli san hijri mai 9 mahine baad shawwal me huwi uss waqt Hazrate Aisha Siddiqa Radi Allahu Taa'ala Anha ki umr 9 saal ki thi. Dusri riwayat ke mutabik 2 hijri me aathwe mahine ki aakhir me huwi.

# Madarij Jun Nabuwaah
# Seerat ibne Hashim

Shaan e Hazrat e Aisha Siddiqa RadiyAllahu Ta'ala Anha 99

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrate Aisha RadiyAllahu Ta'ala Anha farmaya karti thi ki mujhe tamaam ummahatul momineen par kuch aisi fazilate hasil hai jo kisi aur azwaaje mutaharaat ko hasil nahi hui
Maslan

1⃣Huzoor ﷺ ne mere siwa kisi kunwaari se shaadi nahee farmayi.

2⃣Isse pehle ki Huzoor ﷺ mere nikaah ka payaam de Jibrael Alaihissalam ne reshmi kapde par meri surat Huzoor ﷺ dikha di aur kaha ki yeh aapki zohza mutahira  hai. Isi tarah aap 3 raate khawaab mein mujhe mulahiza farmate rahe.

3⃣Mere siwa azwaaj mein se koi bhi aisi nahi jinke Maa-Baap dono muhajir ho.

4⃣Allah ﷻ ne meri baraat wa taharat ka bayaan aasman se Quraan Paak mein naazil farmaya.

5⃣Huzoor ﷺ namaz e tahhajud adaa farmate aur mein aapke aage sidhi letey rehti thi aur yeh sulook mere saat hi khaas tha.

6⃣Mai aur Huzoor ﷺ ek hee bartan se paani le lekar gusl kiya karte the. Yeh sharf kisi aur azwaaj ko hasil nahi.

7⃣Kisi zohja mutahira ke jamaye khawaab mein
Huzoor ﷺ par wahee nahi aayi siwaye mere jamaye khawaab ke.

8⃣Huzoor ﷺ ne mere hi ghar mein bimari ka zamana guzara aur meri hi baari ke din aapki Rooh Muqaddas kabz ki gayi.

9⃣Huzoor ﷺ ki iss haal mein Rooh kabz huwi ki aap mere seene aur chaati par aaram farma rahe the.

🔟Aur Huzoor ﷺ mere hujre mein hi madafan huwe.

#Madaarijun Nabbuwah 2/802 - 804

Friday, March 13, 2015

Shaan E Siddeeq E Akbar Radiallahu Anh 22

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah


Shaan e Siddique e Akbar Radiallahu Anh

Hazrat Abu bakar Siddique Radiallahu Anh Ne Mimbar Par Char Kar Allah Ki Hamd o Sana Ke Baad Bayaan Farmaya.

Allah Ki Kasam Main Kabhi Imarat (Khilafat) Ka Khawaishmand Na Tha Na Mujhe Iski Ragbat Thi Aur Na Hi Khufiya Ya Alainiya Allah Ta'ala Se Maine Kabhi Iska Sawal(Dua) Kiya.

Sidq Ek Amanat Hai Aur Jhoot Ek Khayanat Hai. Tum Me Se Kamzoor Aadmi Mere Nazdeek Taqatwar Hai Jabh Tak Main Uska Haq Na Le Kar Du. Aur Takatwar Mere Nazdeek Kamzoor Hai Jabh Tak Ussey Main Haq Wasool Na Kar Lu.


# Aswarequl Mubarraqa 58.

Thursday, March 12, 2015

Shaan E Siddeeq E Akbar Radiallahu Anh 21

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah



Shaan e Siddique e Akbar Radiallahu Anh.

Khulfa e Rashideen ki Khilafat Ba Tarteeb e Fazilat Hai Yaani Jo Allah Ta'ala Ke Nazdik Afzal Wa Aala Wa Akram Tha. Wahi Pehle Khilafat Pata Gaya Yani Afzal Woh Jo Mulk Dadri Wa Mulkgiri Me Zyada Salika Rakhta Ho.

# Bahar e Shari'at

Is Aqeede Ka Matlab Yeh Hai Ke Sab Logo Me Saiyyiduna Siddique e Akbar Radiallahu Anh Allah Ta'ala Ke Nazdik Sabse Zyada Fazilat Rakhte They Isiliye Unhe Pehle Khalifa Banaya Gaya. Issi Tarah Hazrat e Siddique e Akbar Radiallahu Anh Ke Wisaal Farmane Ke Baad Hazrat Umar Faruque Radiallahu Anh Unke baad Hazrat Usmaan e Gani Radiallahu Anh Unke Baad Hazrat Ali Radiallahu Anh. Is Tarah Allah Ta'ala Ke Nazdik Fazilat Ke Mutabik Khalifa Baney.

Ahle Sunnat Wal Jama'at Ke Iss Aqeede ki Tasdik Karte Huwe Khud Gaus ul Aazam Dastageer Hazrat Shaykh Abdul Qadir Jilani Radiallahu Anh Ke Hawale Se  kitab Gunniyatut Talebeen Me Likha Hai Ke Khulfa e Rashedeen Ne Khilafat BAA ZORE SHAMSHEER YA JABR HAASIL NAHI KI BALKI MU'ASHEERIN (Apne Zamaane Me) PAR INKO FAZILAT HAASIL THI.


# Seerat e Mustafa Jaane Rehmat

Shaan E Siddeeq E Akbar Radiallahu Anh 20

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah


Shaan e Siddique e Akbar Radiallahu Anh

Iss Hadees e  Pak Ko Taweel Sanad Ke Saath Zikr ki Gayi Hai Jiske Aakhir Raavi Khud Saiyyadi Aala Hazrat Faazil e Bareily Radiallahu Anh Hai. Hazrat E Anas Radiallahu Anh Farmate Ke Rasoolallah  Ne Hazrat e Abu Bakr Radiallahu Anh Se Farmaya. Tumhara Maal Kitna Suthhra Hai Ussise Mere Mo'azzin Bilal Hai. Aur Meri Oonthni Hai Jiss Par Maine Hijrat Ki. Aur Tumne Apni Dukhtar Mere Nikah Me Di Aur Apni Jaan Wa Maal Se Meri Madad Ki Goya Mai Tumhe Dekh Raha Hu Ke Jannat Ke Darwaze Par Khade Ho Aur Meri Ummat Ke Liye Shafa'at Kar Rahe Ho.

# Seerat Mustafa Jane Rehmat