بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shaan e Ahle Bait
Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ
Hasan aur Hussain Jannati jawaanon ke
sardaar hai.
Hasan aur Hussain duniya ke mere do (2)
phool hai.
Jisne in dono se mohabbat ki toh usne mujhse
mohabbat ki aur jisne in dono se dushmani ki usne mujhse dushmani ki.(Jab
Sarkar ﷺ ne yeh farmaya tab ek kandhe par Hazrat e
Hasan aur dusre kandhe par Hazrat e Hussain رضي الله
عنهم the.)
Allama Jami Alaihi Rehma farmate haiñ ke Ek
roz Nabi e Kareem ﷺ apne seedhi taraf Imam e Hussain aur ulti
taraf apne Shehzaade Hazrat e Ibrahim Alaihirehmah ko bithaaye huwe the. Uss
waqt Hazrat e Jibraeel haazir علیہ السلاام huwe aur arz ki. Yaa RasoolAllah ﷺ Allah ﷻ in dono ko Aap ke paas jama na rakhega. Inn mein se ek ko wapas
bula lega.
Aap in dono mein se ek ko pasand farma le.
Huzoor ﷺ ne farmaya. Agar Hussain rukhsat ho jaaye
to inki judaai mein Fatema aur Ali ko takleef hogi aur meri bhi jaan sozi hogi.
Aur agar mere Shehzaade Ibrahim wafa'at pa jaye toh jyada se jyada gam mujhko
hoga isliye mujhe apna gam pasand hai.
Is waaqiye ke 3 roz ke baad wafa'at pa gaye.
Is waqiye ke baad jabh bhi Imam e Hussain Huzoor ﷺ ki khidmat mein aate to Huzoor ﷺ marhaba farmate. Fir unko chumte aur logo se farmate. Maine
Hussain par apne bete Ibrahim ko qurbaan kar diya.
# Mishkaat Shareef
# Al Sharful Muaiyad
0 comments:
Post a Comment