Showing posts with label Shaan E Ahle Bait. Show all posts
Showing posts with label Shaan E Ahle Bait. Show all posts

Thursday, February 25, 2016

Shaan e Ahle Bait #546

Shaan e Ahle Bait # 546.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Jabh Abu lahab ki beti (Jo imaan wali thi ) Makkah Shareef se hijrat kar ke Madina Shareef mein aayi to kuch logoñ ne unse kaha tumhari hijrat tumhe kuch kaam na aaegi isliye ke tum jahannami ki beti ho, yeh baat unhone Huzoor ﷺ se bayan ki Aaqa ﷺ bahot naraz huwe phir mimber par jalwagar ho kar farmaye un logoñ ka kya haal hoga jo mujhe mere nasab aur rishtedaaron ke baare mein taklif dete hai, Khabardar jisne mere nasab aur rishtedaaroñ ko takleef di usne Mujhe taklif di aur jisne mujhe takleef di usne Allah ko takleef di.

Agar koi Haram Shareef ke ek kone aur Maqaam e Ibrahim ke beech mein namaz padhe aur roze rakhhe phir woh mere Ahle bait ki dushmani mein mare wo jahannam mein jaaega.

Allahu Akbar Ahlebait ki dushmani se Allah ﷻ ki panah, Masjid e haram jo sabse afzal hai aur Maqaam e Ibrahim jaisi barkat wali jagah namaz padhe aur roze rakhe phir Ahle bait se dushmani rakhe to jahannam mein jaaega aur usko koi neik Amal kaam na aayega aur na Azaab se bacha sakega.

#Tibrani Shareef.
#Barkate Aale Rasool.
#Al Sharaful Maiyyad.

Shaan e Ahle Bait #545

Shaan e Ahle Bait # 545.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Huzoor Nabi e kareem ﷺ ne irshad farmaya.

▶ Allah Ta'ala ne Hazrat Ismail علیہ سلاام ki aulaad mein se qabila e kanaana ko pasand kiya. Kanaana se Quraish ko. Quraish se Bani Hashim ko. Bani Hashim mein se mujhe muntakhab(pasand) farmaya.
▶ Hazrat e Jibreel علیہ سلاام ne mujhse arz ki Maine zameen ke mashriq o maghrib ko ulat dale (dekh liye) lekin Maine Mohammedur RasoolAllah ﷺ se afzal kisi ko na paya.
▶ Qayamat ke din Main apni ummat mein sabse pehle apne Ahle Bait ki shafa'at karunga phir dusre logon ki aur Main jiski pehle shafa'at karunga wo zyada fazilat wala hai.

⏩ Isse sabit huwa ke Huzoor ﷺ ke Ahle Bait hasab nasab mein sabse afzal o aala hai.

# Barakate Aale Rasool
# Tibraani Shareef
# Al Sharf ul Muaiyad

Wednesday, February 24, 2016

Shaan e Ahle Bait #544

Shaan e Ahle Bait # 544.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶ Aagaah ho jao ke mere Ahle bait tum logo ke liye kashtiye Nuh علیہ سلاام ki tarah hai ke jo is mein sawaar huwa usne naja'at payi aur jo is mein sawaar hone se reh gaya woh halaak huwa.
▶ Mere sahaaba رضي الله عنهم sitaron ki tarah hai in mein se tum jiski bhi iqtida karoge (naqsh e kadam par chaloge) hidaayat paoge.
Matlab yeh ke jo log Ahle bait ki kashti par sawaar nahi huwe jaise kharji (ek firqa) ke unhone mohabbat ki bajaye Ahle bait se dushmani ki toh woh halaak ho gaye.
Aur raafzi jo iss kashti mein sawaar toh huwe yani Ahle bait se mohabbat toh ki magar hidayat ke sitare matlab sahaaba se hidayat hasil na ki bal ke unki gustaki ki toh kufr o zalalat ke andheron mein kho gaye aur apna imaan tabah kar liya.

▶Allah ka fazle azeem hai ke usne hum Ahle Sunnat wal jama'at ko Ahle bait se bhi wabasta rakha aur Sahaba رضي الله عنهم ke bataye huwe raste par bhi chalne ki taufiq ata farmayi.

الحمد لله رب العلمين

Saturday, April 4, 2015

Shaan e Imam e Hasan رضي الله عنه . Day 258

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 ▶Hazrar baara bin aazib رضي الله عنه se riwayat hai ke sarkar e do aalam ﷺ apne kandhe par imam e hasan رضي الله عنه ko bethhaye hue hain aur dua farma rahe hain

▶"Aey Allah main isse muhabbat rakhta hu tu bhi isse muhabbat rakh"

Kya shaan hain imam e hasan رضي الله عنه ki ke ibadat Allah ﷻ ki ho rahi hai aur naaz bardaariya imam e hasan رضي الله عنه ki.
Kya Baat Raza Us Chamanistane Karam ki Zehra Hai Kali Jisme Hussain Aur Hasan Phool..

 

Shaan e imam e hasan رضي الله عنه Post 257 Mafhume Ahaadis

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Mafhume Ahaadis

▶Ibne Abbaas frmate hai'n  Ek bar Rasulullah ﷺ imame Hasan رضي الله عنه ko apne kandhe par bithaae huwe the,
Kisi sahabi ne kaha Aey Sahabzaade Teri Sawaari Bahut acchi hai To Aaqa ne farmaya Sawaar bhi to achcha hai.
▶Imame Hasan رضي الله عنه ne begair sawaari ke chalkar 25 hajj kiye jab ke behtarin nasl ke oont (camel) aap ke sath hote the laikin aap un pr sawaar nahi hote the or paidal chalkar hajj karte the.

▶Aap sakhawat ( khairaat ) karne me be misaal the kabhi aesa bhi huwa k ek ek aadmi ko ek ek laakh dirham ata farma dete the.
    
▶Imame Hasan رضي الله عنه ne 3 baar aadha aadha maal khuda ki raah mein dediya or 2 baar apna pura maal Allah k raaste me kharch kar diya.

Taariikhul khulfa..

Bitha Kar Shaanae Aqdas Pe Kardi Shaan Do Baala ,
Nabi Ke Laadle Par Har Fazeelat Naaz Karti Hai.


Aapka urs e paak 28 Safar ko hai.
 

Wednesday, April 1, 2015

Shaan e Ahle Bait 240 - Imaam Ke Qatilon Par Azaab

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Imaam Ke Qatilon Par Azaab.

Allama Ibne Hajar Makki kehte hai ke ek budhe ne mujhe bataaya ke usne khwaab dekha ke Aaqa ke samne khoon se bhara hua bartan hai aur logon ko laaya jaata hai aur Aaqa uss khoon ko unki aankhon mai laga rahe hai.meri baari aayi toh maine arz kiya Rasulallah ﷺ main nai tha, toh farmaya ke Tu dil mai tamanna toh rakhta tha aur mein andha ho gaya.
Hazrat Ali Asgar ko halaq mein teer marne wale ko pet ki taraf aisi garmi hoti ke jaise aag jal rahi ho aur peeth ki taraf aisi thandi ke Allah ki panah pet par baraf rakhte toh bhi sukoon na milta aur peeth par aag jalaate toh bhi fayda na hota.paani paani chillaata aur jitna paani dete pee jaata lekin pyaas na bujhti aur isi paani se uska pait phata aur mar gaya.

Hazrat e Ibne Abbaas se riwayat karte hai ke Allah Taa'aala ne Sarkaar ﷺ par wahi bheji ke maine Yahya bin Zakariya  ke badle me 70,000 ko maara tha aur tumhare Nawaase ke badle 1,40,000 ko maarunga,toh Mukhtaar ke haatho hazaaron mare, be shumaar musibaton aur aafaton se mare. phir hazaro Abbaasi saltanat ki buniyaad rakhne waale  ke haatho maare gaye.
Isi tarah 1,40,000 ke badle ka Waada e Ilaahi poora hua.

Ek aitraaz
Imaam ke muqaable par toh 22,000 the toh fir 1,40,000 kyu maare gaye baaki logo ka kya gunah???

Imaam ka qatl jin logo ne kiya woh toh mujrim hai hi aur jo Imaam ke qatal me sharik toh na hue lekin Imaam ke qatl par raazi the toh woh bhi unhi mai (Imaam ke qaatilon mai) se hai isliye maare gaye.

Abu Daawood shareef ki hadees shareef hai ke Jab kisi jagah koi gunah kiya jaa raha ho waha jo dusra haazir hai magar uss gunah se raazi nahi toh woh aisa hee hai jaise woh wahan hai hee nahi aur jo shakhs waha maujood (haazir) nahi lekin uss gunah par raazi hai toh woh aisa hee hai jaise woh waha maujood (haazir) hai.

# Noor ul Absaar.
# Tareekh ul Khulfa.
# Khasais ul Kubra.
# Sawaaiq ul Muharreqa.
# Khutbaat e Moharram.

 

Shaan e Ahle Bait 238 - Imam Hussain رضي الله عنه Ke Qatilon Par Azaab

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Imam Hussain رضي الله عنه Ke Qatilon Par Azaab.

Imam Hussain رضي الله عنه ke muqaable par jaane wale aur qatl mein shirkat karne walon mein se takreban 6000 logo ko mukhtar (murtad) ne halak kiya, aur bohot se log tarah-tarah ke azaab mein giraftaar huwe. Hazrat Abu Shaikh رضي الله عنه kehte hai ke ek jagah kuch log jamaa the aur is baat par charcha kar rahe the ke Imam Hussain رضي الله عنه ke maamle mein jisne bhi hissa liya usko marne se pehle koi na koi azaab zaroor diya gaya.

Ek budha jo wahi baitha huwa tha bol pada ke maine bhi toh hissa liya tha mujhe toh kuch bhi nai huwa yeh kehte huwe chiraagh sahi kar raha tha ke uske kapde mein aisi aag lagi ke pura jism jalne laga aur chillaate huwe furaat mein kuda phir bhi aag na bujhi aur aag se hi halaak huwa.

Imam Waaqdi kehte hai ke ek shakhs jo yazeediyon ke saath tha usne koi qatal na kiya phir bhi andha ho gaya uss ne wajah yeh bataye ke maine RasoolAllah ﷺ ko khawaab mein dekha ke haath mein talwaar hai aur Imaam e Hussain رضي الله عنه ke10 qaatileen ki laashein padi huwi hai aur meri taraf naaraazgi se dekha aur ek salaai (jisse aankh me surma lagate hai) li aur khoon mein dubaa kar meri aankh mein phair di tabhse main andha ho gaya.

Allama Ibne Hajar Asqalaani رضي الله عنه kehte hai ke Imam ke Sar e Anwar ko ghode ki gardan mein latkane waale yazeedi ka chehra kaala ho gaya wajah puchne par bataya ke jis roz maine latkaya tha usi roz se rozaana raat mein 2 log aate hai aur mujhe pakad kar ek jalti aag mein mera munh daal kar nikaalte hai is liye mera munh kaala ho gaya.

Allama Baarzi kehte hai ke Shaam (syria) mein ek aadmi ki shakal suwar ki ho gayi woh rozana Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم aur unki aulad par 1000 baar aur jummah ke din 4000 baar laanat bhejta tha ek din khawaab dekha (lambe khwaab ka kuch hissa) ke Imam e Hassan رضي الله عنه ne uske laanat bhejne ki shikaayat ki toh Aaqa ﷺ ne us par laanat ki aur uske munh par thook diya to chehra suwar jaisa ho gaya.

# Noor ul Absaar.
# Tareekh ul Khulfa.
# Khasais ul Kubra.
# Sawaaiq ul Muharreqa.
# Khutbaat e Moharram.


To Be Continued...
 

Shaan e Ahle Bait 237 - IBNE ZIYAAD OR MUKHTAAR KAA IBRAT-NAAK ANJAAM

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


IBNE ZIYAAD OR MUKHTAAR KAA IBRAT-NAAK ANJAAM

🔻Bani sada ka ek kamina ibne subih logon se kaha karta tha ke maine Hussain ke saathiyon ko teer maar maar kar zakhmi kiya tha. mukhtar ne usko giraftaar karwa kar jail mein daal diya or subha darbaare aam mein jab log jama huwe to,
Hukm diya k is bad-bakht ko nezon ki nokein chuba-chuba kar maaro, us kamine ko isi tarah nezeh ki nok chuba chuba kar halaak kar diya gaya.

🔻Dusra bani junub ka zaid bin riqaad tha jisne Hazrate Abdullah bin Muslim bin Aqiil ko aesa teer maara tha ke aap k haath ko chherta huwa aapki peshaani mein daakhil ho gaya, phir pait par maara aur aapko shahiid kar diya tha, Mukhtar ne useay bhi giraftaar karwaya or teer aur patthar maaro kaha, aesa hi kiya gaya , jab adhmuwa ho gaya to useay zinda jalaa diya gaya...

🔻Ubaidullah ibne ziyaad 30,000 k lashkar k sath mosal ( city name ) se 25 kilometre door dariyae furaat ke kinaare mukhtaar ki bheji hui 25,000 k lashkar se jang karte huwe haara or hijri 67 10 muharram ko furaat ke kinaare maara gaya.

         Ibne ziyaad ka sar jab koofa pohncha to mukhtaar ne hukm diya k koofa or daarul imaarat ko sajaya jaye aur jab log jama huwe to bola , Aye koofa walo dekh lo Husain ka khoon naa-haq bahaya to Allah ne ise zaliil kar ke halaak kar diya , aaj Hussain ki shahaadat ko 6 saal huwe hai aur ham ibne ziyaad ki zillat ki khushi mein jashn manane ke liye jama huwe hain

🔹Tirmizi sharif ki hadis hai ke Jab ibne ziyaad or us ke sathiyon ke sar mukhtaar ke samne rakkhe gaye to ek saanp zaahir huwa or saare saron par se guzar kar ibne ziyaad ki naak se sar mein daakhil ho gaya or kuch der k baad nikla. aesa 3 baar saanp ne kiya or gaaeb ho gaya.

IBRAT-NAAK ANJAAM...

🔻Mukhtaar ne Imaame Hussain ke qaatilon ko sazaaein de kar shaandaar kaam kiya. Lekin aakhir mein Us bad-bakht ne Nabi hone ka daawa kar diya or murtad ho gaya. kehne laga ke mere paas jibraiil amiin aata hai or khuda ki taraf se wahi laata hai or mein Allah ka Nabi hun..( ma-aazallah ).

      Hazrate Abdullah bin Zubair ko jab ye khabar mili to ek lashkar bhej kar mukhtaar par hamla kiya or hijri 67 ramazaan k mahine mein mukhtaar ko qatal kiya.
Imaam aur sathiyon k liye
Ridwanullahi alayhim ajmaiin
Mukhtaar aur sathiyon k liye.
La natullah alahim ajmaiin.

TAARIKHE TIBRI
NURUL ABSAAR
KHUTBAATE MUHARRAM.
 


Shaan e Ahle Bait 236

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Shimar ne jab yeh haalat dekhi ke yazeedi pakde aur maare jaa rahe hai to koofa se bhag kar kultaaniya gaaw (village) pahucha aur aage badhne ke iraade se kuch din gaaw mein thehair gaya.

Uss gaaw se 15 km kareeb hi faujiyon ki ek jungi chauki thi, jabh unko pata chala ke Imam Hussain رضي الله عنه ka qaatil yahi kareeb hai to woh kultaniya pahuche aur shimar ka kaam tamaam kar ke uski laash ko kutton ke hawaale kar diya.

Phir Abdullah bin ased jehni aur uske saathiyo ki baari aayi, yeh sab qaadsiya chale gaye the, sabko giraftaar kar ke isha ke waqt mukhtar ke paas haazir kiya gaya to mukhtar ne kaha ke mujhe Husain bin Ali رضي الله عنه ki ziyarat karao Zalimo tumne us muqaddas zaat ko qatal kiya jis par namaaz mein durood bhejne ka hukum diya gaya hai.! To kehne lage ke humko zabardasti muqaable ke liye bheja gaya, hum par ehsaan karo aur humein chorr do.

Mukhtaar ne kaha tumko Nawasa e Rasool ﷺ par rehem nahi aaya aur unpar ehsaan nahi kiya? unke bacchon ko bhooka-pyaasa rakha aur aaj humse ehsaan maangte ho? Phir hukm diya ke iske haath pair kaat kar chordh do. khud hi khoon k behne se mar jaaenge. Aur aisa hi kiya aur woh sab tadap tadap kar mar gaye.

Phir hakim bin tufel taai ki baari aayi, is kameene ne Hazrat e Abbas رضي الله عنه ke hathiyaron par qabza kiya tha, aur Imam رضي الله عنه ko teer maara tha, hakim ke ghar waalon ne Adi bin Haatim ko sifaarish ke saath bheja lekin jab giraftar karne walo ko pata chala ke shifaarish se ye bach jaaega to wo log mukhtar tak pahuche hi nahi. Ek band kamre mein haath pair baandh kar khada kiya phir poocha ke Hazrate Abbas رضي الله عنه ke kapde tune hi utaare the na? Imam ko bhi teer maare the? Yeh keh kar uske kapde utaare aur teer maar maar kar usko halaak kar diya.

# Tareekh e Tibri
# Khutbaat e Muharram.
 

Shaan e Ahle Bait 234

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Yazeed ki maut ke baad hijaaz yamen iraq kharaasaan walon ne Hazrat Abdullah bin Zubair ke haat par bai-at ki aur shaam o misr ke logo ne yazeed ke bete ke haat par bai-at ki.
Yazeed ka beta nek o saaleh tha aur apne baap ke bure kaamo se nafrat karta tha
Woh beemaari ki haalat mai takhat par betha aur 40 din ya 3 mahine ke andar hee 21 saal ki umr mai inteqaal kar gaya.
Uski maut ke baad shaam o misr walo ne bhi Hazrat e Abdullah bin Zubair ke haat par bai-at kar li.

Thode dino mai hee Marwaan ne siyaasi saazishon se misr o shaam par qabza jamaa liya aur marte marte apne bete Abdul malik ko muqarrar kar gaya.

Abdul-malik aqalmand fiqah ka jaankaar tha.
Quraan o Hadees ka janne wala tha aur takhat par bethne se pehle aabid o zaahid tha aur Madena Shareef ke nek logo mai uski ginti hoti thi magar baad mai woh bad-amal ho gaya baad mai wo sharaab khor aur khoon khwaar ho gaya.

Isi ke zamaane mai koofa par mukhtaar bin ubaid saqafi ko qabza mila aur usne kaha ke mai Hussain ke qaatilon mai se kisi ko bhi zinda nahi chodunga aur agar mai aisa na karun toh mujh par Allah aur Rasool ki laanat ho.

Fir usne Imaam e Hussain ke qaatilon ke naam o pate pochne shuru kiye aur logo ne bataane shuru kiye aur ek ek ko usne qatal karna aur sooli par latkaana shuru kiya.

#Khutbaate Moharram.
 

Shaan e Ahle Bait 233 - Qafile Ki Madine Shareef Ki Waapsi

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Qafile Ki Madine Shareef Ki Waapsi

Ek Sahaabi Hazrat e Noumaan bin Bashir رضي الله عنه ke saath yazeed ne Imam ke ahle bait ko Madine Shareef rawaana kiya aur khud ko nirdosh aur be qusoor batane ke liye Hazrat Ali Awsat رضي الله عنه (Imaam Zainul Aabideen رضي الله عنه ) se kaha ke Khuda, ibne ziyaad par laanat kare khuda ki kasam agar tumhare Abba aur meri mulaaqaat ho jaati toh jo wo kehte mein usse maan leta (sach ye hai ke karbala mein jo kuch huwa woh yazeed ke hukm aur marzi se huwa) aur unko kabhi bhi qatal na karta lekin jo khuda ko manzoor tha woh huwa abh Aap Madina Shareef jaye aur mujhse khat o kitaabat jaari rakhen aur kisi bhi cheez ki zaroorat ho to mujhe khabar karein.

Yazeed par Allah ﷻ ki laanat ho, Khabees poora kumbha katwa kar abh logo ke dar se hamdardi jata raha hai aur Imam Hussain رضي الله عنه ke qaatilon ko koi sazaa na di aur uss gharaane walo se keh raha tha ke koi zarurat ho toh bataana ke jis gharaane ke sadqe mein saari duniya balke saari qainaat ko milta hai yazeed yeh jumle bagawat ke dar se bol raha tha bad-bakht o kameena.

Hazrat e Noumaan رضي الله عنه bohot hi adab ke saath is qaafile ko lekar Madine Shareef ki taraf chale yeh khabar Madine tak pahuch gayi thi ke Imam Hussain رضي الله عنه aur saathiyo ko shaheed kar diya gaya hai.

Jabh ye qaafila Madina Shareef mein daakhil huwa to seedha Rauza e Rasool ﷺ par haazir huwa.

Imam e Zainul Aabideen jo abh tak sabr ka pahaad bane huwe the Qabre Anwar par nazar padi toh salaam arz kiya aur sabr ka paymaana chhalak pada aur iss tarah aur dukhe dil aur dard se daastaane karbala Aaqa ﷺ ki baargah mein sunaayi ke ek kohraam barpaa ho gaya aur qayamat e sughra ka manzar lagne laga. Waqiya e karbala ke baad  Imam e Zainul Aabideen رضي الله عنه ko zindagi bhar kisi ne kabhi bhi hasna to durr ki baat muskuraate huwe bhi nahi dekha.

#Khutbaat e Moharram.
 

Shaan e Ahle Bait 232 - Yazeed ki khushi damiskh mein

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Yazeed ki khushi damiskh mein.

Jabh yazeed ko pata chala ke Imam Hussain رضي الله عنه ka Sar aur loota huwa qaafila damiskh (damasscus) pahuch ne wala hai toh yazeed ne shehair ko sajane ka aur khushiya manane ka hukm diya.

Ek sahaabi Hazrat e Sohail رضي الله عنه kaaro baar ke liye mulk e shaam (syria) aaye huwe the jab damiskh mein daakhil huwe toh dekha ke log khushiya mana rahe hai dhol aur baaje baj rahe hai to Aapne pucha toh saari baat pata chali aapki aankhon se aansu nikal aaye.

Aap kisi tarah qaafile tak pahuch gaye aapko rota dekh kar Ahle Bait mein se kisine rone ki wajeh puchi to jawab diya ke mein aapke nana ka sahabi hu agar mere layek koi khidmat ho toh kaho toh Sayyeda Sakina رضي الله عنها ne kaha ke agar ho sake toh mere Abaa jaan ke Sar e Anwar ko aurton se aage karwa de ke log hum se dur rahe aur hamari be pardagi na ho aapne 400 dirham de kar ye khidmat anjaam dedi.

Yeh pata chala ke khushi mein dhol bajana aur baaje bajana yeh yazeediyo ka tareeka hai to agar koi Imam Hussain رضي الله عنه se mohabbat ka daawa karta hai aur muharram ke mahine mei  ya saal ke kisi bhi din kisi bhi khushi ke mauke par dhol aur baaje bajaye ya bajwaye to apne daawa e mohabbat par usse gaur karna chahiye.

Allah ﷻ samaj ki tofeeq de Qalb o Nazar ki paakeezgi ataa farmaye.

آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين

Shaan e Ahle Bait 231 - Imam e Aali Muqaam Hazrat e Imam Hussain رضي الله عنه ka Sar e Mubarak aur padri ka imaan

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Imam e Aali Muqaam Hazrat e Imam Hussain رضي الله عنه ka Sar e Mubarak aur padri ka imaan.

Jabh yeh qaafila yazeed ke paas jaate huwe ek girja ghar (church) ke kareeb ruka toh deewar par ek shair likha huwa tha jiska mafoom yeh tha, "Jinhone Hussain ( رضي الله عنه ) ko shaheed kiya hai kya woh yeh samajhte hai ke unke Nana Alaihi Salaam qayamat ke din unki shafa'at karenge.?

Jabh yazeediyo ne dekha to tajjub karne lage aur padri se pucha ke yeh shair kabh likha hai? toh padri bola ke yeh toh mujhe malum nahi ke kisne likha hai lekin Tumhare Nabi ﷺ ke zamane se 500 saal pehle se likha huwa hai.

Jabh padri ko pata chala ke yeh saare sar Nabi ﷺ ke ghar walo ke hai aur yeh qaidi Nabi ﷺ ke ghar waale hai to uske dil par bohot bura asar huwa ke yeh kitne bure log hai ke apne hi Nabi ﷺ ke gharwalo ke saath aisa sulook kiya.

Phir us raahib padri ne fauji se kaha ke dus hazaar (10000) dirham dunga mujhe Hussain ( رضي الله عنه ) ka sar ek raat ke liye do fauji maan gaye.

Padri ne Imam Hussain رضي الله عنه ke sar ko lekar chehre se dhool o gubaar saaf ki zulfon aur daadhi shareef ko sawaara aur itar aur kaafoor se khushboo ki aur adab se Sar e Anwar ke saamne baith kar ziyarat karne lage Allah ﷻ ko uska adab pasand aaya wo rone laga Rehmat ke darwaze khul gaye aur nigaahon se parde uth gaye Sar e Mubarak se aasmaan tak Noor ki raushni dekhi aur us padri ne yeh dekh kar Kalma padh liya aur musalmaan ho gaya. Subha Sar e Anwar wapas kar diya aur apne waade ke mutabik dus hazaar dirham bhi unko dediya. Wahi dus hazaar dirham aage chal kar jabh khole gaye to sab theekri aur mitti ho gaye the.

# Khutbaat e Karbala

 


Shaan e Ahle Bait 230 - Karbala ka manzar

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Shaan e Ahle Bait # 230.

Imam Hussain رضي الله عنه ka Sar e Anvar koofa pahucha aur bhare darbaar mein ibne ziyaad ke saamne ek thaal mein laya gaya, ibne ziyaad apne haath ki chhadi se Imam ke hothon aur daanton ko thokar maarne laga. Ek sahaabi Zaid bin Arqam jo budhe ho chuke the, tadap kar rote huwe farmaya ke apni chhadi ko hataa le Khuda ki kasam maine RasoolAllah ﷺ ko in hothon aur daanton ko choomte huwe dekha hai aur rone lage.

ibne ziyaad ne kaha agar tu buddha na hota to mein teri gardan maar deta zaid wahan se uthe aur bole ke Aye arab qaum aaj se tum sab ghulaam bana diye gaye, tumne Farzand e Rasool ko qatal kiya ar zaalim ko haakim banaya, jo acchon ko qatal aur buron ko ghulaam bana raha hai, tumne zillat ko qubool kar liya aur jo zillat ko qubool kare us par khuda ki maar ho..

Phir masjid mein jama hone ka ailaan huwa log jama ho gaye ibne ziyaad ne mimbar par khade ho kar yazeed ki tareef aur Imam e Hussain رضي الله عنه ki shaan mein naa-zaiba kalimaat kahe to ek zaeef buzurg Hazrat Abdullah رضي الله عنه jo ahle bait ke chaahne wale the aur dono aankhon se mazoor the woh is gustakhi ko na sun sake aur gazabnaak ho kar farmaya ke "Tu jhoota tera baap jhoota, Hussain رضي الله عنه sacche aur Hussain رضي الله عنه ke baap (Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم) bhi sacche aur Hussain رضي الله عنه ke Nana ﷺ bhi sacche. Tumne awlaad e Rasool ko qatal kiya aur sacchon jaisi baatein karte ho ? Yeh sun kar pakadne ka hukm diya kuch logon ke beech bachaao se woh chooth gaye lekin zaalim ibne ziyaad ne baad mein unko ghar se bulwa kar qatal kiya aur aam raaste par unke jism ko latka diya.

Imam ke Sar e Anwar ko koofa ki galiyon mein ghumaaya gaya aur wahan se shimar ke saath is bache huwe qaafle ko aur shohda ke saron ko nezon par chadha kar yazeed paleed ke paas rawaana kar diya.

# Tareekh e Tibri
# Khutbaat e Karbala
 

Shaan e Ahle Bait 229 - Imam Aali Muqaam Hazrat e Imam Hussain رضي الله عنه ka Sar e Mubarak aur Shohada e Karbala ke jism mubarak

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Imam Aali Muqaam Hazrat e Imam Hussain رضي الله عنه ka Sar e Mubarak aur Shohada e Karbala ke jism mubarak.

Imam ka Sar e Anwar ibne ziyaad ke paas bheja gaya aur baki sar shimar ke saath rawana kiye gaye khud ibne saad uss roz karbala mein thehra aur 11 moharram ko apni fauj ke murdon ko jamaa kar ke namaaze janaazah padhi aur dafan kiya.

Magar Imam ke jism mubaarak aur saathiyo ki laashon ko baghair gaur o kafan wahi maidaan mein chorr diya aur parda nasheen aurton aur beemaar Hazrat e Imaam Zainul Aabideen رضي الله عنه aur bacchon ko raat bhar khule aasmaan ke niche rahe aur subha qaidi bana kar koofa ki taraf rawaana kiya gaya.

Yazeedi fauj ke ek sipaahi ka kehna hai ke jabh Sayyeda Zainab رضي الله عنه Imam Hussain رضي الله عنه ki laash ke kareeb se guzri toh rote huwe boli Yaa RasolAllah ﷺ aap par Allah ﷻ aur Farishton ka durood o salaam ho, Imam e Hussain رضي الله عنه ki laash e mubarak maidaan e jung mein hai khoon mein doobi huwi hai. Jism mubarak ke tukde tukde hai Ya RasolAllah ﷺ Aapki betiya qaid hai aur aulaad shaheed kardi gayi aur hawa in paak jismon par dhool uda rahi hai, Sayyeda ke in jumlo par dost o dushman sab rone lage.

Phir jabh karbala se yazeedi chale gaye toh qabila e bani asad jo paas hi ghazriya naam ke gaau mein rehta tha un logon ne Imam aur saathiyo ki jismon ko dafan kiya.

# Tareekh e Tibri.
# Khutbaat e Moharram.
 

Shaan e Ahle Bait 227 - Huzoor ﷺ ka gumme Hussain

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Huzoor ﷺ ka gumme Hussain.

Hazrate Abu Raafe ki biwi Hazrate Salma kehti hain ke mai Ummul Momineen Umme Salma ke paas haazir hui toh unko rote huwe dekh kar rone ki wajeh poochi to unhone farmaya Maine Rasulallah ﷺ ko khwaab mai dekha ke Aaqa ke Sare anwar aur Daadhi mubarak ke baal bikhre huwe hai aur dhool se ate huwe hai,kehti hai maine arz kiya Ya Rasulallah ﷺ yeh aapka kya haal hai toh farmaya mai abhi karbala ke jahan Hussain ko shahid kiya gaya wahan gaya huwa tha.
Allahuakbar.

Hazrat Abdullah bin Abbas farmate hai ke maine ek dopher ko khwaab dekha ke Aaqa ke baal chehre par bikhre huwe hai aur dhool se ate huwe hai aur haat mubarak mai khoon se bhari hui khoon ki bottel hai toh maine arz kiya
Ya Rasulullah ﷺ
mai aur mere maa baap aap par qurbaan ho yeh kaisi bottel hai aur Aap ke chehra e zaibaa par ye kaisa gum aur malaal hai toh farmaaya iss bottel mai mere noor e nazar Hussain aur uss ke saathiyo ka khoon hai jo subha se jamaa kar raha hu.
Hazrat Abbas kehte hain ke maine taarikh aur waqt yaad rakha kuch din ke baad khabar aayi to malum huwa ke Imaame Hussain usi waqt shaheed kiye gaye the ke jab maine khwaab dekha tha.

#Rawahul Baihaqi
#Khutbaate Moharram.
 



HUZOOR ﷺKE FARMAAN PAR AMAL KARKE NEKIYA KAMAAO
ALLAH ﷻ KI BARGAAH MEIN
APNI IZZAT KO BARHAAO
 

Sunday, March 29, 2015

Shaan e Ahle Bait 226 - Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

Imam Hussain رضي الله عنه ne samajh liya ke abh hujjat qayem ho gayi aur yazeedi mere khoon se apne haathon ko rangeen karke hi dam lenge to aapne irshad farmaya 'tum log jo iraada rakhte ho woh poora karo aur jise chaaho mere muqaable ke liye bhejo'. ibne saad ne mashoor aur bade bade pehelwaan aur maidane jung ke maahiron ko sambhal rakha tha ke jo Shere Khuda ke Sher se muqaabla kar sake, un meinse sabse pehle Tameem bin qahtba, yazeed abtahi, badar ka beta, badar bin sohel yamani, shaam o iraq ke bade pehelwan. Yeh sab naam cheen pehelwaan the aur ye sab bade guroor se aur itraate jhoomte huwe aaye or apne anjaam ko pahuche.

 Kisi ka ek hi waar mein sar jisam se uda kar uska ghamand khaak mein mila diya to kisi ne apni badhaai maari aur Imam se badkalaami ki to ek do petre mein hi uski kamar par aisa waar kiya ke uske kamar se hi 2 tukde kar diye. Kisi pehelwaan ne apni taaqat bataane ke liye apne bete ko bheja to beta bhi kho diya aur baad mein josh mein aakar khud bhi maidaan mein aa kar apni jaan se bhi haath dho baitha. Kisiko seene mein nezah maara aur aar paar nikaal diya, To kisi ko nezeh ki nok par utha kar zameen par patak diya, To kisiko zameen par patak kar ghode ki taapon se rond daala.

 Qul milaa kar Imam ne bade bade bahadur aur naamwar pehelwaano aur unke beton ko thikaane laga kar laashon ka dhair laga diye. Aapki yeh bahaaduri shuja'at dekh kar yazeedi lashkar mein shor huwa ke is tarah to ye ham sabke hausle bhi tod denge aur humare bohot se logon ko qatl kar denge, tab in zaalimon ne hazaaron log mil kar Imam ko chaaron taraf se gher liya aur pachaaso talwaarein aur neze ek saath takraaye fir bhi Haidari Talwaar ka jalaal kam na huwa aur dushmano ke sar udte dikhayi diye.

Abh ibne saad ne teeron ki baarish karwa di aur hazaron teer ek saath Imam ki taraf barse aur Aapko aur aapke ghode ko zakhmon se choor choor kar diya, aur ek teer zeher mein dooba huwa aapki muqaddas peshaani mein laga jahan Nabi e Kareem ﷺ ﷻ chooma karte the, teer lagte hi aapka chehra e zaiba khoon se tar ho gaya aur ghode se zameen par aagaye aur phir sajde mein chale gaye aur Allah ﷻ  ka shukr ada kiya aur sayyedush Shahudah ki rooh parwaaz kar gayi.

56 saal 5 mahine 5 din ki umr shareef mein Juma ke din muharram ki 10 tareekh ko hijri 61 aur angrezi calender ke mutabiq 680 mein Imam ne is daare faani se rehlat farmaayi.

nazar bin kharsha ne Imam ka sare aqdas jisam mubarak se alag karne ke liye aage badha lekin Imam ki haibat se uske haath kaanp gaye aur haath se talwaar chooth gayi, phir azali badbakht khuli bin yazeed, sanaan bin anas, shibal bin yazeed, ya shimar ne aapke Sar e Aqdas ko jism se alag kar diya.

Shehashaah e Shaheedan Ho Anookhi Shaan Waale Ho,
Hussain Ibne Ali Tum Par Shahaadat Naaz Karti Hai.

 رضي الله عنهم

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

# Khutubaat e Muharram.
 

Shaan e Ahle Bait 225 Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

Parda nasheen hasrat o yaas ki khaamosh tasweer bani huwi khadi hai aur sabki aankhon se aaskh beh rahe hai Imam Hussain رضي الله عنه ne sab ko Allah ﷻ ke hawale kiya aur dushmano ke samne pahuch gaye. Kayi din ke bhookhe pyaase hai beton,bhaiyon,bhatijon, bhanjo, sathhiyon aur jaa-nisharon ki qurbaaniya de kar gham se nidhaal hai iske bawajood sher ki tarah datt kar khade ho gaye.

Hamd o salaat ke baad farmaya aye logo tum jis Rasool ﷺ ka kalma padhte ho ussi Rasool ka farmaan haiñ jisne Hasan o Hussain ( رضي الله عنهم ) se dushmani ki ussne mujhse dushmani ki aur jisne mujhse dushmani ki usne Allah ﷻ se dushmani ki.

Aye yazeediyo Allah ﷻ se daro aur meri dushmani chordh do agar Allah ﷻ wa Rasool ﷺ par iman rakhte ho to socho tum Khuda e Shaheed o Basheer ko kya jawab doge ? aur RasoolAllah ﷺ ko kya munh dikhaoge
Bewafao tumne mujhe baar baar khat likhe aur bulaaya aur jabh Main aagaya to mere saath aisa bura sulook kiya ke zulm ki hadon ko paar kar diya.

Zaalimon tumne mere beton, bhaiyon, bhatijon, sathhiyon ko khaak o khoon mein nehlaaya Fatema ( رضي الله عنها ) ke baagh ke ek ek phool ko kaat diya mere saathiyo ko shaheed kiya aur abh mere khoon se apne haathon ko rangne ka irada rakhte ho?

Apne Rasool ﷺ ka ghar veeran karne walon agar qayamat par imaan rakhte ho apne anjam par gaur karo  aur socho, Main kaun hu? Kiska Nawasa hu? Mere waleed kaun hai? Meri waalida kiski lakhte jigar hai?

Ussi Fatima Zehra ( رضي الله عنها )ka Main lakhte jigar hu jinke pul siraat par se guzarne ke waqt mehshar ke logon se kaha jayega ke aye ahle mehshar apne saron ko jhukalo apni aankhon ko bandh kar lo ke khatoon e jannat 70000 hooron ke saath guzarne wali hai. Phir Imam ne farmaya aye be-gairato abh bhi waqt hai sharm se kaam lo aur mere khoon se apne haathon ko na rango

Aap ki baaton ka yazeedi lashkar par aisa asar huwa ke aankhon se aansoo nikal gaye shimar ne dekha ke lashkar par asar ho raha hai to fauran shor gul machane laga aur bola yeh sabh chhoro yazeed ki ba'ait karo ya jung ke liye taiyar ho jao.

Imaam e aali maqam ne farmaya aye badbakhto Main janta tha tumhara yahi jawab hoga Maine sirf isily tumko ye baatein batayi ke tum ye na keh sako ke humne Haq aur Imam e Barhaq ko nahi pehchana tha Alhumdulilah Maine tum tak haq pahucha diya abh raha sawal yazeed ki ba'ait ka to yeh hargiz nahi ho sakta ke Main jhoot aur na-haq ke samne sar jhuka du

Allahu Akbar kya shaan hai Imam e Aali Maqam ki

~ Khutbaat e Muharram

 

Shaan e Ahle Bait 224 Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

Abh Shahenshah e karbala dilon ke chain Jannati jawaano ke sardar Sabr o raza ke paikar, Imam e Hussain رضي الله عنه ki shahaadat ka waqt aagaya jabh aapne maidaan mein jaane ka irada kiya toh Hazrat e Zainul-Aabideen رضي الله عنه apni bemaari ki kamzori ke ba'wujood nezah le kar Imam ke saamne ijaazat ke liye khade ho gaye.

Imam ne apne lakhte jigar ko seene se laga kar farmaya
Beta iss bache huwe qaafile aur aurton ko tumhe hi le kar Madina Shareef waapas lautna hai.

In maaon aur behnon ki nigeh baani tumko hi karni hai. Meri nasal ko bhi aage tumhe hi badhana hai. Mere Nana aur Dada ki saari amaanate tumko hi sambhalni hai. Beta takleef o musibat mein sabr karna aur Nanajaan ki shariat ki hamesha pairweeh karna phir Imam ne apni dastaar (amaama shareef) apne bete ke sar par rakh kar bistar par litaa diya.

Phir Imam ne khud maidaan mein jaane ki taiyaari ki
Jabh aurton ne yeh manzar dekha toh sabki aankhon se aashkon ke moti tapakne lage un mein Beti Sakina bhi hai, Zauja bhi hai, Behen Zainab bhi hai, Sab khamosh zabaan se jaise pooch rahe ho ke aye saalaar e qaafila abh hamara kya hoga.

Imam ne farmaya Allah ﷻ tumhara muhaafiz o nigehbaan hai. Mere baad sabr o shukr se rehna aur Nanajaan ki shariyat ko mazbooti se thaame rakhna phir Aap ghode par sawaar ho gaye.

Fatema k laadle ka aakhri deedaar hai,
Hashr ka hangaama barpa hai darmiyaan e Ahle-bait.

# Khutbaat e Moharram


KARLO AMAL SAHIH AUR BANO BA-AMAL
HAI BEHTAR YAHI NAA BANO BE-AMAL


Shaan e Ahle Bait 223 - Hazrat e Abbas رضي الله عنه Ki Shahadat (Manzar e Karbala)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Hazrat e Abbas رضي الله عنه Ki Shahadat.

Abh Hazrat e Abbas رضي الله عنه ijazat ke liye haazir huwe. Apne qumbe ke bacchon ko pani ke liye tadapta na dekh sake aur ba-mushkil ijazat milne par mushkizah (water bag) le kar nehr e furaat ki taraf badhe furaat ki taraf jaane se yazeediyo ne roka aur muqabla shuru huwa.

Aapne jam kar muqabla kiya aur furaat mein daakhil ho kar mushkizah bhar liya aur chand ghunt peene ka khayal aaya lekin aapko ghairat aayi ke aurtein bacche aur sabhi qumbe ke log pyaase hai to Main kaise paani pee lu. Aapne bhara huwa chullu waapas phenk diya aur mushkizah ek kandhe par latka kar waapaas jaane ke liye palte.

Ek shor utha ke roko roko pakdo maar do agar yeh paani Hussain ( رضي الله عنه ) ke khaime (tent) tak pahuch gaya toh samajh lo ke humare bacche yateem aur aurtein bewa ho jayegi.

Yazeediyo ne chaaro taraf se aapko ghair liya aur phir muqaabla shuru huwa talwaare chamki aur ladte ladte zaraarah naam ke ek zaalim ne ussi kandhe par waar kiya jis par mushkizah latka huwa tha aur woh haath kat kar gir gaya toh Aapne dusre kandhe par latka liya tab nofel bin arzuq ne doosre kandhe par waar kar ke usse bhi kaat diya toh Aapne mushkizah daanton se pakad liya lekin ek yazeedi ne aisa teer mushkizeh par maara ek saara paani beh gaya.
Fir aapko gher kar chaaron taraf se toot pade aur ghode se niche zameen par gir gaye aur Imam ko aawaaz di.
Imam aaye aur aapko tent ki taraf le jaa rahe the ke aapne jaam e shahaadat nosh farma liya.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

#Khutbaat e Moharram.