Showing posts with label Ghous E Azam Radiallahu Anh. Show all posts
Showing posts with label Ghous E Azam Radiallahu Anh. Show all posts

Sunday, April 5, 2015

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 324

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Sarkar Gaus e Aazam رضي الله عنه ne apne zaahiri wisal se kuch dino pehle hi apne ghar waloñ ko bata diya ke abh meri wafat ka zamana kareeb aa gaya hai uske baad Aap beemar huwe aur 2 mahine tak Aap musalsal beemar rahe.

Jis raat Aapka zahiri wisal huwa uss din aapne farmaya tum par afsos hai mere muta'allik tumhara kya khayal hai Main naa kisi insan se darta hu naa jinn se naa malakul maut se naa kisi aur cheez se aye malakul maut mujhe uss zaat ki bargah mein pahucha do jo mujhko dost rakhta hai aur mere tamam kaamo ka waali hai yaani Rabb e Kareem ki bargah mein.

Aapne farmaya tum par salamati ho aur Allah ﷻ ki rehmate ho aur barkate nazil ho sacche dil se tauba karo aur sawaad e azam (yeh woh badi jama'at jo sahaba aur auliya ke taabe hai) mein dakhil ho jaao issi maqsad ke liye Main aaya hu taaki tum ko Nabi e Kareem ﷺ ki itteba ka hukm du aur farmaya narmi karo

Iske baad Aapne teen martaba Allah Allah Allah kaha fir "La Ilaha Il Allah Muhammed ur Rasool Allah" parha aur zaban e mubarak talu se chipak gayi aawaz kamzor hogayi aur rooh e aqdas jism e paak se parvaaz ho gayi.

    ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥ

Aap ke bade shehzade Hazrat Saiyyad Shah Abdul Wahab رضي الله عنه  ne Aapki namaz e janaza padhayi aur madrasa jamia qadiriya mein Aapko dafn farmaya gaya baghdad shareef mein aaj bhi Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ka mazar e anwar awaam wa khawaas ke liye faiz dene wala hai aur subhe qayamat tak log faiz hasil karenge إِنْ شَاءَ اللَّهُ تعالیٰ

Humare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Shah e Jeelan ki chaukhat salamat rahe taa qayamat rahey,
Naqsh e paa ka chaman pur karaamat rahe taa qayamat rahey.
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 323

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ka ye mashoor irshad e paak hai ki jab tak kisi mein ye 12 khaslate naa paida ho jaaye usko peer bana kar peero ki gaddi par baithna jaiz nahi.

1) Kisi ke Aaibo ko chupana.
2) Reham dili karna.
3) Shafkat karna.
4) Meharbaani karna.
5) Hamesha sach bolna.
6) Haqq bolna.
7) Nek baato ka hukm dena.
8) Buri baato se mana karna.
9) Gareebo ko khana khilana.
10) Ibadat ke liye raatoñ ko jaagna.
11) Zaruriyat e deen ka ilm hasil karna.
12) Sakhawat aur bahaduri ikhteyaar karna.

Aaj ke daur mein peer ke andar upar likhi huwi shartein paayi jaana bahot mushkil ho gaya hai isiliye Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai agar yeh 4 sharte bhi paayi jaaye to uss peer se mureed ho sakta hai
1) Peer ka silsila Huzoor ﷺ se mila huwa ho beech mein kahi silsila toot naa gaya ho.
2)Peer sunni sahihul aqeeda ho kyuki badmazhab gumraah ya wahabi ka silsila iblis tak pahuchega Sarkar e Do Aalam ﷺ tak hargiz naa pahuchega.
3) Itna ilm rakhta ho apni zaruriyat ke masaeel khud kitabo se nikal le aur ahle sunnat ke aqeedo se wakif ho.
4) Peer fasik e mo'allin naa ho yaani alal elan peer gunah ke kaam na karta ho jaise namaz naa padhta ho, darhi ek musht se kam rakhta ho ghar ki aurato ko pabandi karata ho qawwali taziya maatam tamam galat kaamo se bachta ho.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Sahabiyyat huwi phir Taab’iyyat,
Bas aage Quadri manzil hai Ya Gaus.
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 322

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Ek martaba Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه Shaikh Abul Hasan kanaani ki iyadat ke liye tashrif le gaye guftagu ke dauran unhone kaha Huzoor mere yaha kabutri aur ek kumri hai lekin pata nahi kyu nau mahine se kumri bolti hi nahi aur kabutri bhi ande nahi deti.

Sarkar Gaus e Pak رضي الله عنه uthe aur kabutri ke paas jakar farmaya tu apne malik ko khush kiya kar phir kumri ke paas gaye aur farmaya abh tu bhi apne Rabb ki tasbeeh shuru karde.

Allahu Akbar ussi din se kabutri bhi ande dene lagi aur bacche bhi nikalne lage aur bolna bhi shuru kar diya idhar kumri ne bhi mast ho kar bolna shuru kar diya aisi meethi aawaz mein bolne lagi ke log khade reh kar sunte rehte.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 321

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Shehzada e Gaus e Aazam Hazrate Tajul Asfiya Saiyyaduna Abdul Razzak رضي الله عنه bayan farmate hai ke ek din Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه namaz e jumma ke liye nikle saath mein mere do bhai the Saiyyad Abdul Wahhab aur Saiyyad Isaa raaste mein unhe badshah ke teen matke sharab ke mile jinki badbu bahot tez thi Allah ki panah, badshah ke aadmi jo yeh lekar jaa rahe they unhein Gaus e Pak رضي الله عنه ne farmaya thehair jao magar wo naa ruke aur janwaro ko chalane mein jaldi ki aapne janwaro ko theherne ka hukm diya janwar apni jagah aise ruke jaise pathar ho kotwal marne lage unhe magar janwar jagah se naa hile.

Kotwal aur sipahiyo ko achanak pet mein dard shuru ho gaya aur itna barha ke zameen par daaye baaye lotne lage phir tasbeeh ke chillane lage phir tauba istegfaar karne lage fir unn logo ne Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه se maafi mangi to dard khatam huwa aur Aapki tawajjoh se sharab ke matkoñ se sirke ki mahak aane lagi unn logo ne matko ko khola to wakai us mein sirka tha.

Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه to masjid chale gaye magar ye khabar badshah tak pahochi to dar ke maare rone laga aur doosri haramkariyo se bhi dar gaya aur woh Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ki ziyarat ke liye haazir huwa aur Aapse nihayat aajizi se maafi maangi.

#Behjatul Asraar Shareef.
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 320

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Shaikh Adi ibne Musfir se riwayat hai ke ek martaba Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه waaz farma rahe the ke achanak barish hone lagi logo mein becheni paida ho gayi to Aapne aasman ki janib chehra mubarak kiya aur barish se mukhatib huwe ke "Main logo ko jama karta hu aur tu unhe bikherta hai"
Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ka itna farmana tha ke barish majlis e mubarak par bandh ho gayi aur majlis ke bahar shuru rahi

Issi tarah dariya e dajla mein ek baar bahot bada sailab aaya aur paani barhne laga ke baghdad e muqaddasa dub jaane ka khatra mehsoos huwa log pareshaan hokar Aapki bargah mein aaye aur arz ki Huzoor tawazzo farmaye to Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ne fariyadiyo ki fariyad sun kar apna aasa mubarak lekar dariya e dajla pahuche aur uski purani hadd par aasa mubarak gaad diya aur farmaya khabardar aye dariya e dajla isse aage na barhna.

Sarkar Gaus e Pak رضي الله عنه ke iss farman ke baad dariya e dajla ka paani ghatne laga aur purani hadd par aakar behne laga.

 #Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Hukm naafiz hai tera khaama tera saif teri,
Damm mein jo chaahe karey daur hai Shaaha tera.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 319

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Jabh namaz se farig huwe to dua farmayi ke "Aye Rabb e Qadeer teri bargah mein Tere Mehboob ﷺ ke waste dua karta hu ke tu mere mureedo aur mureedo ke mureedo ki rooho ko jo meri taraf mansub ho bagair tauba ke qabz na farmana"

Hazrate Sahal ibne Abdullah رضي الله عنه farmate haiñ ke Aapki iss dua par hum sabhi ne firishto ki ek badi jama'at ko Aameen kehte suna dua ke baad nida e gaibi se sunai di "Aye Abdul Qadir khush khabri ho tumhare liye ke Maine tumhari dua qabool kar li "

Shaikh baqaa ibne Batoo رضي الله عنه farmate hai kisi shakhs ne Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه se pucha ki Aapke mureedo mein parhezgaar aur gunehgaar dono honge to iss sawal par aapne kitna tasalli bakhsh jawab hum gulamo ke liye inayat farmaya ke "haa acche aur bure dono honge magar parhezgaar mere liye hai aur Main gunehgaaro ke liye hu "

      سُــــبْحانَ الله سُــــبْحانَ الله

Do Aalam Mein Hai Kaun Haami Humara,
Yahan Gaus e Aazam Wahan Gaus e Aazam.
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 318

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Ek martaba Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه dariya e dajla ki janib tashreef le gaye log waha pahuche aur dekha ke aap pani par chal rahe hai aur dariya e dajla ki saari machliya nikal nikal kar Aapko salam karti hai aur qadam mubarak choomti hai phir dekhte hi dekhte ek behtareen musalla fazaa mein bichh gaya uspar likha tha,

Tarjama- " Sunlo beshak Allah ke waliyo par naa kuch khauf hai aur naa kuch gamm"

Aur likha tha

Tarjama- "Salamati ho tum par aye ahle ba'ait beshak wo hameed aur buzurg hai "

Itne mein bahot se log uss musalle ke karib jama ho gaye zohr ka waqt tha taqbeer kahi gayi Aapne imamat farmayi jabh Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه taqbeer kehte to arsh uthane wale farishte bhi Aapke saath taqbeer kehte aur jabh aap tasbeeh parhte to aasman ke firishte bhi Aapke saath tasbeeh parhte.

Jabh namaz se farig huwe to dua farmayi ke "Aye Rabb e Qadeer teri bargah mein tere Mehboob ﷺ ke waste dua karta hu ke tu mere mureedo aur mureedo ke mureedo ki rooho ko jo meri taraf mansub ho bagair tauba ke qabz na farmana"

To Be Contd....

Mureedi la takhaf Allahu Rabbi,
Ataani rif atan niltul munaali.

Mere mureed tu kisi se khauf na kar Allah mera maalik hai.; Usne Mujhe woh bulandi di hai jisse Main apne maqsad ko pahuch gaya.
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 317

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Aap ke shehzade Hazrat Abu Bakr Abdul Razzak رضي الله عنه farmate haiñ ke Maine apne walid se suna ke ek raat woh namaz parh rahe the ke kisi cheez ke chalne ki aahat suni phir ek bada saanp aaya aur usne mere sajde ki jagah munh khola jabh Main sajde mein gaya to usko haath se hata diya phir jabh Attahiyaat ke liye baitha to Meri raan par charha aur Meri gardan par pahuch kar lipat gaya jabh Maine salam faira to gayab ho gaya.

Doosre roz jabh Main jaama masjid se bahar veerane mein gaya to Maine ek shakhs ko dekha ke jiski aankhein lambai se fati huwi hai Main samaj gaya ki yeh koi jinn hai usne mujhse kaha ke main wahi hu jise aapne kal raat saanp ki shakl mein dekha tha maine iss tarah bahot Awliya e kiram ko aazmaya hai un mein se koi bhi mere aage aap ki tarah sabit qadam nahi raha.

Baaz Hazraat ka zaahir bechain ho gaya baaz Hazraat ka baatin bechain ho gaya magar Aapko dekha ki naa Aapka zaahir bechain huwa ke naa Aapka baatin phir usne mujhse ilteja ki ke mujhe apne haath par tauba karaye chunache Maine usse tauba karayi

# Humare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Http://fb.me/kanzul.imaan.group
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 316

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Sarkar e Gaus e Aazam رضي الله عنه qaseeda e gausiya mein farmate hai Allah ke tamam shehairon par mera qabza wa tasarruf hai aur tamam shehair meri hukumat mein hai.

Ek martaba Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne irshad farmaya ke Main tamam Qutboñ par wali hu tabhi to bade bade Buzurgaane Deen Hazrate Shaikh Abu Saeed, Shaikh Ali ibne heeti رضي الله عنهم wagairah farmate hai ke hum Aapke madarse mein jhadu aur paani ka intezam kiya karte the jabh khidmat mein hazir hote to adab se kahde rehte,

Jab Tajdare Wilayat farmate baith jaao to arz karte kya hamare liye amaan hai ? Irshad hota amaan hai tab baithte.

Shaikh Ibne Naqta farmate hai ke Maine khud dekha ki iraq ke bade bade Buzurgaane Deen jabh Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ke madarse mein hazir hote to sabse pehle chaukhat chumte

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Tujhse aur dehair ke aqtaab se nisbat kaisi,
Qutb khud kaun hai khadim tera chela tera.
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 315

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Sheikh Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه irshad farmate haiñ ke tumhara zaahir wa baatin mere samne aaina hai agar meri zaban par shari'at ki rok na hoti toh Main bat'lata ke tum kya khate ho kya peete ho aur kya jama karte ho.

# Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Kunjiyañ dil ki khuda ne tujhe di aisi kar,

Ki yeh seena ho muhabbat ka khazeena tera.

Http://fb.me/kanzul.imaan.group

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 314

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Shaikh Ahmed Kabir Rifaee رضي الله عنه farmate hai ke Shaikh Abdul Qadir رضي الله عنه ke martabe ko kaun pehchan sakta hai aapke dahini taraf shari'at ka samandar hai aur ba'yee taraf tariqat ka samandar hai jisse chahe bhare iss waqt koi unke barabar nahi,

Jab Aapke bhateeje baghdad shareef jane lage to aapne taqeed farmayi ke dekho jis waqt baghdad shareef mein dakhil hona to sabse pehle Gausus Saqalain Shaikh Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه ki khidmat mein hazri dena kyuki unke muta'allik yeh ahad liya jaa chuka hai ke jo shakhsh baghdad shareef mein aaye to pehle unki ziyarat ko hazir ho warna uska silsila cheen liya jayega.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Ye Chishti Soharwardi Naqshbandi,
Har ek teri taraf maa’il hai Ya Gaus.
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 313

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Ek shakhsh Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ki bargah mein hazir huwa aur arz ki meri biwi ko jinn bahot satate hai bahot daure padte hai bade bade aalim aajiz aa gaye hai aapne farmaya woh sarandeep ke jungle ka sarkash jin hai aur farmaya jaao apni biwi ke kaan mein keh dena ki baghdad wale Shaikh Abdul Qadir رضي الله عنه ne farmaya hai aainda kabhi mat aana warna halaaq kar diye jaaoge usne aakar issi tarah kaha ussi waqt se aaram ho gaya aur kabhi yeh shikayat naa huwi.

Abu Nazar baghdadi bayan karte hai mere walid bahot bade aamil the ek martaba jinno ko hazir hone ke liye dua parhi lekin waqt par koi bhi jinn naa aaya sab waqt guzarne ke baad aaye,

Walid sahab ne pucha tum log waqt par kyu nahi aaye? to kaha hum Gausus saqalain (insan aur jinnat ke gaus) ki mehfil e waaz mein the jabh unki majlis ka waqt aata hai to hum sab waha hazir hote hai aise waqt humein naa bulaya kijiye.

Mere walid sahab ne jinno se pucha kya tum log bhi  Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ki majlis wa waaz mein jaate ho to jawab diya ke hamari tadaad Gausus Saqalain ki majlis mein insaano se zyada hoti hai.

# Humare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Ba kasam kehte hai shah ane shareefain e haram,
Ki huwa hai, na wali ho koi hamta tera..

Karte hai jinn o bashar har waqt charcha Gaus ka.
Baj raha hai chaar su aalam mein danka Gaus ka.

Http://fb.me/kanzul.imaan.group
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 312

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Talkhisul qalaeed mein Shaikh Abu Muhammed  Ahmed ibne Abubakr se riwayata hai ki shaikh Ahmed Jaam zindafil sher par sawar ho kar safar kiya karte the aur jiss shehair mein pahuchte waha se ek gaay apne sher ki khuraak ke liye talab karte log pesh kar diya karte ittefakan ek shaher mein pahuch kar ek wali se gaay mangwayi unhone gaay to bhej di aur saath hi saath ye bhi kehla diya ke agar aap baghdad shareef tashreef le jaaye to aap ke sher ko bahot acchi dawat milegi.

Shaikh Ahmed Jaam kuch dino ke baad baghdad shareef ke liye ravana ho gaye jabh baghdad e muqaddas pahuche to shaher ke bahar padav daal diya aur Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ke paas paigaam bheja ki Aapke shaher mein ek buzurg sher par sawar ho kar aaye hai unke sher ki khuraak ke liye ek gaay bhej dijiye aapne khadim ke zariye jawaab diya ke theek hai gaay bhej deta hu to Shaikh Ahmed Jaam bahot khush huwe aur kehne lage dekh liya tum logo ne hamara dabdaba

Bahrhal Sarkar Gaus e Pak رضي الله عنه ne apne khadim ke saath gaay bhej di aur Aapke langarkhaane ke paas ek kutta pada rehta tha jo langarkhaane ki haddiyo par guzar basar karta tha woh bhi gaay ke saath ho liya jab woh gaay Shaikh Ahmed jaam ke samne pahochi to aapne apne sher ko ishara kiya ke apni khuraak le le,

Jaise hi sher gaay par jhapta fauran kutte ne lapak kar sher ka gala apne munh se pakad liya aur uska pet faad diya to sher zameen par gir gaya aur kutta gaay ko Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ki khanqah mein le aaya Shaikh Ahmed Jaam ne sher ki halat aur kutte ki jurrat dekhi to samajh gaye ke yeh aam kutta nahi balki darbar e Gaus ka kutta hai aap bahot sharminda huwe aur bargahe Gausiyat mein hazir hokar maafi talab ki aur dua ke talabgaar huwe.

# Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Tujh se Dar, Dar se Sag, Aur Sag se hai Mujhko Nisbat,
Meri Gardan meiñ bhi hai door ka Dora Tera.

Http://fb.me/kanzul.imaan.group
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 311

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ki qudrat wa taaqat ka aalam bahot hi baland wa aala tha Aapke doodh peene ke zamane mein daaee ki goddh se doodh peete peete uchal kar aaftaab(suraj) mein chhup jaate the.

Jabh Aap bade ho gaye to ek din wahi daaee Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ke paas aakar puchne lagi aye beta Abdul Qadir رضي الله عنه jabh main tumhe doodh pilati thi to kabhi kabhi tum meri goddh se uchhal kar aaftaab mein chhup jaate the kya abh bhi wahi haalat hai to Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ne faramaya aye madare mohtaram woh zamana to mere bachpan ka tha uss waqt Main aaftab mein chhup jaata tha aur abh meri taqat aur quwwat ka yeh aalam hai ke agar aise hazaaro aaftab aa jaye to mujhme gaayab ho jaye aur unka kahi pata naa chale

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Banda Qaadir ka bhi Qaadir bhi hai Abdul Qaadir,
Sirr e baatin bhi hai zaahir bhi hai Abdul Qaadir.

https://www.facebook.com/kanzul.imaan.group

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 309

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Ek riwayat mein hai ke Ramazan ka mahina tha ek khadim ne aakar Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ki bargaah mein hazir ho kar arz ki Huzoor meri tamanna hai ke aaj mere gareeb khane par Roza iftaar kare Sarkar Gaus e Aazam رضي الله عنه ne manzoor farmaya woh khadim khushi khushi wapas gaya uske baad doosre khadim ne bhi yahi khwahish zahir ki Aapne unki dawat bhi qabool farma li unke jate hi teesre khadim aaye unhone bhi aajizi ke saath yahi darkhwast ki to aapne unse bhi wada farma liya issi tarah 70 aqidatmand aaye aur sabhne yahi arz ki,

Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ne kisi ka bhi dil naa toda aur sabse wada farmate gaye  jabh iftar ka waqt aaya to Huzoor ek hi waqt mein har ek khadim ke yaha jalwa afroz huwe aur roza iftaar kiya subah jabh aqidatmand jama huwe to ek doosre se fakhr se bayan karne lage ke kal mujhpar Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ka bada karam huwa mere gareeb khane par roza iftaar farmaya doosre ne kaha tum galat kehte ho Huzoor mere yaha tashreef le gaye the aur roza iftaar farmaya.

Jitne dawat dene wale the kuch deir mein saare jama ho gaye aur aapas mein bahas hone lagi jabh sab madarse pahuche to madarse walo ne kaha ke kal to Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ne madarse se bahar qadam bhi nahi nikala yahi maujood rahe aur madarse mein iftaar kiya.

Aakhir mein sab log Sarkar e Gaus e Aazam رضي الله عنه ki khidmat mein hazir huwe aur arz ki ke Huzoor ye kya baat hai to Aapne farmaya iss mein ta'ajjub ki kya baat hai? Allah ﷻ ne Awliya Allah ko itni taqat bakhshi hai ke woh ek hi waqt mein bahot se maqamat par pahuch sakte hai.

        سُــــبْحانَ الله

Gaye ek waqt meiñ sattar(70) mureedoñ ke yahaañ Aaqa,
Samajh meiñ aa nahiñ sakta mu-amma Gaus e Aazam ka.
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 308

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Shaikh Abul baka Muhammed ibne Azhari ka bayan hai ke Main Allah Rabbul Izzat se ek muddat tak sawal karta raha ki rijalul gaib se mujhe, Khuda Ta'ala ka koi khaas banda mile Maine ek raat khawaab mein dekha ke main Imam Ahmed ibne Hambal رضي الله عنه ke mazar ki ziyarat kar raha hu aur Aapke mazar ke paas ek mard maujood hai mujhe khayal aaya ke ho na ho yeh mardane gaib se hai.

Khawab se bedaar huwa aur ussi waqt Hazrate Imam Ahmed Ibne Hambal رضي الله عنه ke mazar shareef par aaya dekha to wahi shakhsh maujood hai jise khawaab mein dekha tha woh aage nikle pichhe main chal pada woh dariya e dajla pahuche to dono kone mil gaye aur uss shakhsh ne ek kadam uthhaya aur dajla ke paar ho gaya.

Abh maine usse kasam de kar roka taaki usse kuch baat kar saku maine pucha tera mazhab kya hai? Kehne laga Hanfi Musalman hu aur mushriko mein se nahi hu maine apne taur par samjha ke wo hanfi mazhab par hai usske baad woh chal diya phir mujhe khayal aaya ke yeh wakiya Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ki hazri mein batau main Aapke madarse mein aaya aur darwaze par ruk gaya.

Aapne andar se mujhe aawaz di aye Muhammed mashrik se magrib tak roo e zameen par iss waqt usse barh kar koi aur hanfi wali nahi hai.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 306

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrate Muhammed ibne Abbas Abul Khizr husseini farmate hai mere walid e mohtaram ne khawaab mein dekha ki duniya ke tamam buzurgane deen ek bahot bade maidan mein jama hai aur un buzurgo ke beech Shaikh Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه sadar ki haisiyat se jalwa farma hai.

Unn buzurgo mein se baaz ke sar par sirf amama shareef hai aur baaz ke amame ke uper ek chadar hai aur baaz ke amame ke uper do chadare hai aur janab e Gausiyat ke amame shareef mein teen chadare hai khawaab mein khyal aaya ki Sarkar Gaus e Aazam رضي الله عنه ke amame shareef mein ye teen chadare kaisi hai?

Itne mein meri aankh khul gayi to maine dekha ki Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه mere sarhane khade hai aur farma rahe hai ek chadar Shari'at ki dusri chadar Hakikat ki aur teesri chadar Azmat ki hai.

         سُــــبْحانَ الله
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 307

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat e Mutahhar رضي الله عنه ka bayan hai ke jabh mere walid e mohtaram ka waqte aakhir huwa to Maine daryaft kiya ki Aapke baad kiski pairweeh karu to farmaya Shaikh Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Maine samja shayad marz ki wajah se aisa bol rahe hai dobara pucha phir wahi jawab diya mere dil mein abh bhi yahi khyal aaya shayad marz ki wajah se aisa bol rahe hai phir teesri baar pucha ke walid e mohtaram Aapke baad kiski pairweeh karu farmaya Shaikh Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه ki pairweeh karo kyuki ankareeb woh zamana aane wala hai ki sirf janab e Gaus e Pak رضي الله عنه ki pairweeh ki jaaegi.

Walid sahab ki wafat ke baad Main baghdad shareef aaya uss waqt sarkare Gaus Aazam رضي الله عنه waaz farma rahe the bade bade buzirgaane deen majlis mein hazir the Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ne mujhse farmaya aye Mutahhar tumhe apne walid ki wasiyyat ek martaba kafi na huwi ke teen martaba pucha, Main bilkul khaufzada ho gaya aur Aapke qadmo mein sar rakh kar maafi maangi.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Sar Bhala kya koi Jaane ke hai kaisa Tera,
Auliya malte haiñ Aankheiñ wo hai Talwa Tera.
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 305

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Sarkar e Gaus e Aazam رضي الله عنه majme mein jiss par apni nazare muqaddas aankhon se tawajjoh farmate woh kaisa hi sakht tabiyat kyuñ na hota wo Aapka farmabardar aur gulam ban jata tha.

Hazrat e Umar Bazzaz رضي الله عنه farmate haiñ ek din Main Sarkar e Gaus e Aazam رضي الله عنه ke saath jumaa ke din jaama masjid ja raha tha raaste mein kisine Aapko salam naa kiya Main hairat mein dub gaya aur khayal aaya ki har jumaa kitni bheed hoti hai ke mushkil se masjid tak pahuch paate hai malum nahi aaj kya majra hai ke koi Aapko salaam tak nahi karta.

Iss khyal ka aana tha ke Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne muskura kar meri janib dekha isske saath hi log kasrat se salam wa musafe ke liye toot pade aur issi hungame mein, Main Aapse durr ho gaya aur sochne laga ke mere liye pehle wale halaat acche the kam-az-kam Main Aapke qareeb to tha.

Ye khyal mere dil mein aate hi Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ne phir muskura kar meri janib dekha aur irshad farmaya aye Umar tumhi ne iski khwahish ki thi kya tumko malum nahi hai ke logo ke dil mere haath mein hai agar Main chahu to unhe apni taraf se phair du aur chahu to unhe apni taraf jhuka lu

#Hamare Gaus e Azam رضي الله عنه

Zi tasarruf bhi hai maazoon bhi mukhtaar bhi hai,
Kaar e Aalam ka mudabbir bhi hai Abdul Qaadir.
 

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Day Post 304

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrate Abdullah Zayyal رضي الله عنه farmate hai ek martaba raat ke waqt sarkar e Gaush e Paak رضي الله عنه ke madarse main khada thha ki Huzoor Peerane peer Dastagir Sarkar Gaush e Azam رضي الله عنه andar se apne mubarak hathh mai asaa lekar bahar tashrif laaye

Achanak mere dil mai khayal aaya ki kaash aap iss asaa se ke zariye koi karamat dikhate ye khyal mere dil mai aate hi Sarkare Gaush e Paak رضي الله عنه ne asaa ko zameen mai gaad diya bas woh asaa mashal ki tarah roshan ho gaya aur kaafi der tak roshan raha

Jab aapne usse zameen se ukhada to fir wo apni asli halat main aa gaya Sarkare Gaush e Paak رضي الله عنه ne irshad farmaya "aye Abdullah tum yahi chahte thhe"

#Farsh wale teri shaukat ka Uloo kya jaane,
Khush ravaan arsh par udta hai farera tera