Showing posts with label Hadeeth Shareef. Show all posts
Showing posts with label Hadeeth Shareef. Show all posts

Wednesday, April 13, 2016

Hadees e Mubaraka #731

NA KARO HALAAL KO HARAAM
NA KARO BURAYI KA KAAM
RAKHO BHAROSA ALLAH PAR
HAI USKE DAST E QUDRAT HAR KAAM


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 731
5 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Amr Ibne Saad رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ki jo aadmi Allah Taala ﷻ par bharosa karle aur apne sab kaamo'ñ ko Khuda e Taala ﷻ ke supurd kar de toh Allah Taala ﷻ uske liye kaafi hai.

#Ibne Majha Sharif.

Hadees e Mubaraka #730

APNE GUNAHO SE AZAADI PAAO
NAMAZ SE APNI AAKHIRAT SAWAROÑ
HAR DIN YEH SUNNAT NIBHATHE JAAO
JAMA'AT KI PABANDI SAKHTI SE APNAO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 730
4 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Darda رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ ke jis aabadi ya jungle mein teen (3) aadmi ho aur un mein namaz jama'at se na padhi jaae toh shaitaan un par kaabu paa leta hai lihaza jama'at ko laazim jaano.

#Abu Dawood Sharif.

Monday, April 11, 2016

Hadees e Mubaraka #729

AALIM KA MARTABA
HOTA HAI KYA
INKE BAAREIN MEIN
NABI ﷺ NE FARMAYA KYA


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 729
3 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke ek faqeeh yani ek deen ka Aalim shaitaan par hazaro ibadat karne walo se zyada bhaari hai.

#Tirmizi Sharif.

Note -: Iss hadees e pak mein ye farmaya gaya hai ke Sharayee masa'il ki barikiyoñ ko janne wala (faqeeh ) tanha 1000 an-padh ibadat guzaroñ se zyada shaitan ke liye taqatwar hai yani hazaar gair aalim milkar shaitan ki bareek shararatoñ ko utna nahi samjh sakte jitna ke sirf ek aalim e deen samajh lete hai

Sunday, April 10, 2016

Hadees e Mubaraka #728

LAAJ RAKHLE GUNAAH GAAROÑ KI
NAAM REHMAAN HAI TERA YAA RAB
MUJHE AISE AMAL KI DE TAUFEEQ
KE HO RAAZI TERI RAZA YAA RAB

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 728
2 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Anas رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ki maiñe Me'araj ki raat me dekha ki kuch logoñ ke hoñth aag ki kainchiyo se kaate jaa rahe hai Maiñe pucha Jibreel yeh kaun log hai? Unhone kaha yeh Aap ki ummat ke waaiz hai jo logo ko neki ki hidayat karte the aur apne aap ko bhool jaate the yaani khud nek kaam na karte the.

#Mishkat Sharif.

Saturday, April 9, 2016

Hadees e Mubaraka #727

SONA KITNA HI CHAMAKTA HO
HUZOOR ﷺ KI BAAT YAAD RAKHO
HARAAM KA RASTA MAT CHUNO
BURE AMAL SE BACH KE RAHO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 727
30 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ ne mardoñ ko sone ki angoothi se manaa farmaya hai.

#Muslim Sharif.

Friday, April 8, 2016

Hadees e Mubaraka #726

SAAF SUTHRE LIBAS PEHNO
APNE QIRDAR KO UJLA KARO
KYA FARMATE HAI HAMARE NABI
ISS BAAT PAR AMAL KARO SABHI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 726
29 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Samura رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ ki ujle kapde pehna karo isliye ke woh bohat accha hota hai.

#Mishkat Shareef.

Hadees e Mubaraka #725

APNE LAFZO KI HIFAZAT KARO
MURDO KO BURA BHALA NAA KAHO
KYA FARMATE HAI HAMARE NABIﷺ
ISS BAAT KO GAUR SE SUNLO SABHI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 725
28 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Aisha رضي الله عنها se riwayat hai Huzoor Rasool e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ke murdo ko bhala bura na kaho.

#Bukhari Shareef.

Wednesday, April 6, 2016

Hadees e Mubaraka #724

BISMILLAH SHAREEF KI BARKAT
BISMILLAH SHAREEF KI AZMAT
HAI YEH KITNA AALA AUR AFZAL
GAUR SE PADHO AUR KARLO AMAL

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 724
27 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Huzaifa رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ki jis khane par Bismillah na padhi jaae us khaane ko shaitaan apne liye halaal samajta hai.

#Muslim Shareef.

Tuesday, April 5, 2016

Hadees e Mubaraka #723

YEH JO TUJHKO BULAATA HAI YE THAG HAI MAAR HI RAKHE GA
HAAYE MUSAFIR DUM MEIÑ NA AANA MAT KAISI MATWAALI HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 723
26 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Jabir رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sarkar e Aqdas ﷺ irshad farmate haiñ ki agar tumhari bhet (milna) badmazhab se ho toh unhein salaam na karo.

#Ibne Majha Shareef.

Monday, April 4, 2016

Hadees e Mubaraka #722

JISKE MAATHE SHAFA'AT KA SEHRA RAHA
US JABEEN E SA'AADAT PE LAAKHOÑ SALAAM

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 722
25 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Saeed رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ki meri ummat mein se kuch log kayi jama'at ki shafa'at karenge aur kuch log dus (10) se chalees (40) ki shafa'at karenge aur kuch log sirf ek aadmi ki yahañ tak ki meri kul ummat jannat mein daakhil hojaaegi.

#Tirmizi Shareef.

Hadees e Mubaraka #721

ZIYARAT KE LIYE BAN KAR MALAK ZAWWAR AATE HAIÑ
NABI KO DEKHNE YAAÑ TAALIBE DEEDAR AATE HAIÑ

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 721
24 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Ibne Umar رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ ki jo meri ziyarat ke liye aaya siwaye meri ziyarat ke aur kisi matlb ke liye na aaya toh mujh par haq hai ki qayamat ke din us ki shafa'at karu.

#Tabrani Shareef.

Hadees e Mubaraka #720

YA SIDDIQ YA UMAR YA USMAN YA HAIDER
DAF'AA SHARKUN KHAIRAAWAR YA SHABBIR YA SHABBAR

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 720
23 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Anas bin Malik رضي الله عنه se riwayat hai aapne farmaya Huzoor Nabi e Kareem ﷺ jalwagar huwe aur ek baagh mein tashreef le gaye, ek sahab haazir huwe aur darwaze par dastak di, Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne irshad farmaya aye Anas utho aur unke liye darwaza kholo aur unhein Jannat ki aur mere baad khilaafat ki basharat suna do, Maiñe arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ kya maiñ unhein yeh bhi bata du ke Aapne yeh baat irshad farmayi hai? RasoolAllah ﷺ ne ijazat ataa farmayi jabh maiñe darwaza khola toh Hazrat e Abu Bakr Siddique رضي الله عنه tashreef farma hai maiñe unse kaha aapke liye Jannat ki khushkhabri hai aur Nabi e Kareem ﷺ ke baad khilafat ki khushkhabri hai.

Phir darwaze par dastak huwi RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya aye Anas utho aur unke liye darwaza kholo aur unhein Jannat ki khushkhabri suna do aur Abu Bakr ke baad unko khilafat ki basharat suna do, maiñe arz kiya Yaa RasoolAllah ﷺ kya yeh bhi bata du ke Aapne yeh baat irshad farmayi hai? RasoolAllah ﷺ ne ijazat ataa farmayi jabh maiñe darwaza khola toh Hazrat e Umar رضي الله عنه tashreef farma hai maiñe RasoolAllah ﷺ ke hukm par amal karte huwe unhein khushkhabri suna di.

Phir ek martaba darwaze pe dastak huwi Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya aye Anas utho aur darwaza khol do aur unhein Jannat ki aur Hazrat Umar Farook رضي الله عنه ke baad khilafat ki basharat suna do aur yeh bhi basharat suna do ke woh Shaheed hone wale hai jabh maiñ bahar nikla to dekha Hazrat e Usman Gani رضي الله عنه tashreef farma haiñ.

#Kanzul Amal, Hadees No 36267.

Hadees e Mubaraka #719

JISNE APNAYI HUZOOR ﷺ KI SEEKH
ALLAH ﷻ NE BULAYA UNKO SIDDIQUE
WOH PEHLE KHALIFA KI UÑCHI HAI SHAAN
ABU BAKR SIDDIQUE رضي الله عنه HAI UNKA NAAM

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 719.
22 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه se irshad farmate haiñ Aye Abu Bakr Allah Ta'ala ne tumhara naam Siddique Rakha hai.

#Kanzul Ummal, Hadees No 32615.

Hadees e Mubaraka #718

EK THOKAR MEIÑ UHUD KA ZALZALA JAATA RAHA
RAKHTI HAIN KITNA WAQAAR ALLAHU AKBAR EDIYAAÑ



بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 718
21 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Sayyeduna Anas bin Maalik رضي الله عنه riwayat farmate hai jabh Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ Hazrat e Abu Bakr Hazrat e Umar Farooque aur Hazrat e Usman رضي الله عنهم ke humraah Uhad pahaad par tashreef farma huwe to woh apne muqaddar par naaz karte huwe far't o massarrat se jhoomne laga, Huzoor Sayyed e Aalam ne apne qadam mubarak maar kar uss pahaad se farmaya "Aye Uhad! Tham jaa tujh par ek Nabi, ek Siddique, aur do Shaheed haiñ.

#Bukhari Shareef, Hadees No 3

Hadees e Mubaraka #717

TERE CHAAROÑ HAMDAM HAIÑ YAK JAAN YAK DIL
ABOOBAKR FAROOQ USMAAN ALI HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 717
20 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ chaar (4) Aadmiyoñ ki Muhabbat, munaafiq ke dil mein jamaa nahi ho sakti aur Naa hi momin ke siwa koi unse Muhabbat karta hai. Yaani Abu Bakr, Umar, Usmaan aur Ali رضي الله عنهم

#As Sawaaeq ul Muharriqah.

Hadees e Mubaraka #716

RUSOOL AUR AMBIYA KE BAAD JO AFZAL HO AALAM SE
YE AALAM MEIÑ HAI KISKA MARTABA SIDDIQ E AKBAR KA

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 716
19 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ Abu Bakr aur Umar رضي الله عنهم Ambiya wa Mursaleen ko chordh kar awwaleen o aakhireen mein rehne waale tamaam logoñ se behtar hai.

#As Sawaaequl Muharriqah.

Hadees e Mubaraka #715

UNKA MARTABA KITNA UÑCHA
KITNI UÑCHI HAI UNKI SHAAN
UNSE MUHABBAT KARNE WALA
JANNAT MEIÑ JAYEGA WOH INSAAN


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 715
18 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat Allama Sakhawi Dailmi se riwayat hai naql farmate huwe irshad farmate hai jabh khalifa e Awwal Hazrat e Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ne muaz'zin ko "Ash Hadu An'na Muhammadur RasoolAllah ﷺ" kehte suna toh Aapne yahi kalimaat dohraaye aur apni Shahadat ki ungli ko choom kar apni aankhon par lagaye. Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ apne Habeeb ke iss amal ko dekh kar irshad farmate haiñ jo momin yeh amal karega jo mere Habeeb ne kiya hai meri Shafa'at uss shakhs ke liye halal hojaaegi.

#Maqasid e Husna Safah 384.

Hadees e Mubaraka #714

KOI UNKO SIDDIQUE MAANE NA MAANE
DIYA HAI MAGAR UNKO RUTBA KHUDA NE
HAI WOH SIDDIQUE E AKBAR LAQAB JINKA
WOH PEHLE KHALIFA JINKI SHAAN HAI ALAG

بسمالله الرحمن رحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 714
17 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Maula e Kainaat كرم الله تعالٰی وجهه الكريم riwayat farmate hai Allah Ta'ala ne Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ka naam siddique aasmaan se naazil Farmaya hai.

#Tareekh e Damishq, Jild 13, Safah 52.

Hadees e Mubaraka #713

NAA PHOOÑKO APNE KHAANE PEENE PE NAA SAANS LO BARTAN MEIN
IRSHAD HAI YEH RASOOL E RABB E KAABA KA AMAL KARO SABHI

بسمالله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 713
16 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rasool e Kareem ﷺ ne bartan mein saas lene aur phooñkne se manaa farmaya hai.

#Abu Dawood Shareef.

Hadees e Mubaraka #712

UNKE NAAM E PAAK PAR DIL JAAN O MAAL
NAJDIYA SAB TAJDIYA PHIR TUJHKO KYA
NAJDI MARTA HAI KE KYU TAAZEEM KI
YEH HAMARA DEEN THA PHIR TUJH KO KYA

بسمالله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 712
15 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه riwayat farmate haiñ Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ meri ummat mein mujhse zyada muhabbat rakhne waale logoñ mein woh hai jo mere baad aaeñge unki yeh aarzu hogi ke kaash woh apna ghar'baar sab qurbaan karke kisi tarah Mujhe dekh lete.

#Muslim Shareef