Showing posts with label Ali Al Murtada Radiallahu Anh. Show all posts
Showing posts with label Ali Al Murtada Radiallahu Anh. Show all posts

Sunday, March 22, 2015

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali رضي الله عنه Day 110

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


irshadat e Hazrat Ali رضي الله عنه

⏩ Agar tum sari zindagi ke liye kisi ko dost rakhna chahte ho to apne dil mein ek Qabar bhi bana lo taake uss mein tum apne dost ki galtian dafan kar sako.

⏩ Dost chahe jitna bhi bura ho jaye usse dosti mat torna kyonki pani chahe jitna bhi ganda ho jaye aag bhujane ke Kaam aata hai.

⏩ Logo ke dilo mein apna maqaam is tarah bana lo mar jawo to tumhare liye Dua kare
Zinda raho toh milne ki justaju Kare.

⏩ Zindagi mein khud ko kabhi kisi insaan ka aadi mat banana kyonki insaan bahot Khudgarz hai, jab aapko pasand karta hai toh aapki burai bhool jata hai aur jab nafrat karta hai to aapki acchai bhool jaata hai.

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali رضي الله عنه Day 109

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩Hazrat Ali رضي الله عنه ka ilm

➡Saeed bin Musayyab farmate hai ke Sahaba ki jama'at mein Hazrat Ali ke siwa koi nahi jo yeh kahe ke jo kuch puchna hai mujse puch lo( kisi bhi masle mein kabhi bhi aapne la ilmi bekhabari ka izhaar nahi kiya.

➡Kisi faisle ke waqt Hazrat Ali na hote to Hazrat Umar Allah ki panah mangte ke kahin koi galti na ho jaye.

➡Ek baar Hazrat Umar ke paas ek aisi aurat layi gayi jis ke pet me zina ka hamal tha. Sharaai saboot ke baad sangsaar ka hukm diya..
Hazrat Ali ne yaad dilaya ke Aaqa ﷺ farmate hai k haamela aurat ko baccha paida hone ke baad sangsaar kiya jaye ke aurat gunahgaar hai lekin pet ka baccha to be kasoor hai. Hazrat Umar ne fauran apne faisle se ruju kiya aur farmaya ke agr Ali na hote to Umar halak ho jata Ali ki hazri ne Umar ko bacha liya.

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali رضي الله عنه Day 108

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩Hazrat Ali رضي الله عنه ka ilm

➡Ilm ke aitbaar se bhi Hazrat Ali رضي الله عنه   ka aulma e sahaba mein bhi bohot uncha makaam rakhte hai.

➡Aap ke faisle islaami malumaat ke anmol hire(daimond) hai.

➡Ibne Abbas farmate hai ke humne jab bhi aapse kisi bhi masle mein sawal kiya bilkul sahi jawab paya.

➡Sayyeda Ayesha رضی اللہ عنہا farmati hai ke Ali se zyada sharai masaail janne wala koi nahi.

➡Ibne Masood farmate hai ke Madina Tayyiba mein Ilme Faraaiz aur muqaddamaat (logon k mamlaat) ke faisle karne mein Hazrat Ali رضي الله عنه se zyada ilm rakhnewala koi dusra nahi.

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali رضي الله عنه Day 107

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarkar ﷺ Irshad farmate hai

➡Mai Ilm ka sheher hu aur Ali uske darwaza hai.

➡Mai Hikmat ka ghar hu aur Ali uske darwaza hai.

➡Hasan o Hussain Jannati nawjawanon ke Sardaar hai aur in dono k waalid ( Ali ) inse behtar hai.

➡Munafiq Ali se muhabbat nahi karta aur momin unse bugz nahi rakhta.

➡ Tamam Nabiyon ki zurriyat (nasab/awlaad) unki sulb mein hai aur Meri zurriyat Ali ibne abu talib ki sulb mein hai.

➡Ali ko dekhna Ibadat hai

# Al Mustadrak.

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali رضي الله عنه Day 106

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarkaar ﷺ Irshaad farmaate hai

#Jisne Meri itaa'at ki usne Allah ki itaa'at ki aur
Jisne Meri nafarmani ki usne Allah ki nafarmani ki..
Or jisne Ali ki itaa'at ki usne Meri itaa'at ki aur jisne Ali ki nafarmani ki usne Meri nafarmani ki

➡Kuch Aqwaal O Irshadaat Maula e Kainaat رضي الله عنه ke

#Khush akhlaqi (achcha bartao) behtarin dost hai or adab behtarin miraas (warsa) hai

#Jahilon ki dosti se bacho ke bohot se aqalmandon ko jaahilon ne tabah kar diya
Jaahil matlab wo ke jo dini islami malumaat se or dini ilm se mehroom hai

#Al Mustadrak

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali رضي الله عنه Day 103

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Huzoor ﷺ farmate hai jo Munafiq hai wo Ali Se muhabbat nahee karta aur jo Momin hai wo Ali se bugz o Adawaat nahee karta. (matlab Hazrat Ali رضي الله عنه se muhabbat momin hi karega aur Dushmani munafiq karega)

Jis ne Ali ko bura bhala kaha to goya usne mujhe bura bhala kaha aur Huzoor e Akdas ﷺ Dua farmate hai Ya Ilaahal Aalameen (aye Allah) Jo bhi Ali se muhabbat rakhe tu bhi usse muhabbat rakh aur jo Ali se dushmani rakhe tu bhi usse dushmani rakh.

Aur farmate hai jisne Ali se muhabbat ki usne mujhse muhabbat ki aur jisne mujhse muhabbat ki ussne Allah ﷻ se muhabbat ki. (matlab Hazrat Ali رضي الله عنه se muhabbat Allah wa Rasool se muhabbat hai aur dushmani rakhne wala Allah wa Rasool ka dushman)

Jab koi Aap ko Abu Turaab  keh kar pukarta to aap bade khush hote kyuki ye kunniyat Aap ko Sarkaar ﷺ ne ataa ki thi.

# Tirmizi Shareef.
# Mishkaat Shareef.
# Tarikh ul Khulfa.
# Tibraani Shareef.

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali رضي الله عنه Day 102

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Sahl bin Saad رضي الله عنه se riwayat hai ke Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه ke ghar Hazrat e Fatima رضی اللہ عنہا ke pass tashreef le gaye the. Huzoor ﷺ pahonchte us se pehle Hazrat Ali رضي الله عنه ghar se bahar tashreef le jaa kar masjid mein so gaye the.

Huzoor ﷺ ne Sayyeda Fatima رضی اللہ عنہا se farmaya "Tumhare Ibne Amm yaani Ali Murtuza kahan hai?" Hazrat  Fatima رضی اللہ عنہا ne arz kiya "mere aur unke darmiyan ranjish si ho gayi hai aur woh gusse mein bahar chale gaye hai."

Iske baad Huzoor ﷺ ne kisi se farmaya ke dekho Ali kahaa hai to uss shakhs ne aakar arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه masjid mein aaram kar rahe hai. Huzoor ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه ke sirhane tashreef laaye aur unko pehlu par sota huwa dekh mulahiza farmaya. Unke pehlu par nishanaat padey huwe they aur unka badan khaak aluda hogaya tha.

Iss par Huzoor ﷺ ne farmaya "KUM ABAA TURAAB" yaani Abu Turab Utho. Aur ussi din se Maula e Kainaat ki kunniyat Abu Turab hogayi.

# Bukhari Shareef.
# Muslim Shareef.
# Madarijun Nabuwwat 2/136



ALLAH ﷻ KI IBADAT MEIN
KUCH LAMHE GUZAAR LO
ISS KHUBSOORAT  SUNNAT SE
APNI AAKHIRAT SAWAAR LO


Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali رضي الله عنه Day 101

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Jabh khabar e wiladat e Hazrat Ali رضي الله عنه Sarwar e Aalam ﷺ ko pahuchi to farmaya uska kya naam rakha.? Abu talib ne kaha maine uska naam zaidar rakha hai aur uski maa ne asdar rakha hai.

Huzoor ﷺ ne farmaya uss bacche ka naam Ali rakho jo aali himmati ki khabar de. Aapki walida ne arz ki khuda ki kasam mujhe gaib se aawaz aati thi ke fatima iska naam Ali rakho magar meine iss baat ko chupaya tha.

Wiladat ke baad aapne apni aankhein nahi kholi tamaam haazireen ko laga jaise abu talib ke ghar na beena baccha paida huwa hai poore makkah shehair mein yeh khabar phail gayi. Phir Nabi e Kareem ﷺ tashreef laaye aur Hazrat Ali ko apni godh mein liya. Godh mein lete hi maula e kainaat ne apni aankhein kholi aur RasoolAllah ﷺ ke chehre mubarak ko dekh kar muskuraye.

Abu yaa'ala ne hazrat Ali رضي الله عنه se riwayat ki hai ke unhone farmaya ki huzoor ﷺ ne peer ke din Elaan e nabuwat kiya aur main peer hi ke din islam laaya. Islaam laane ke waqt aapki umr shareef kitni thi isme ikhtelaf hai.
Allama suyuti رحمۃ اللہ علیہ naql karte hai ke aapki umr 8 ya 10 saal thi.
Baaz aulma ka qaul hai ki aapki umr 14 ya 15 ya 16 saal thi.

# Awrak e Gamm 149.
# Madarijun Nabuwwat 2/917.
# Asmaau Rijaal Mishkaat 602.

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali رضي الله عنه Day 100

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Maula e kainaat Ali e Murtuza رضي الله عنه ki wiladat Makkah Muazzama mein jumma ke din 13 Rajjab ke din huwi. Aapke walid ka naam Abu Talib aur waleda ka naam Fatima binte Asad hai.

Aapki wiladat ka waqiya khud aapki walida yun bayaan karti hai ke "main khana e kaaba ke tawaaf mein mashgool thi 3 chakkar ho chuke the ke chauthe chakkar mein mujhe dard mehsoos huwa. Huzoor ﷺ ne mere chehre ke badlaaw se mujhe pehchana aur farmaya! Kya baat hai jo aap ka rang badal raha hai? maine arz e haal kiya toh farmaya. Fatima tawaf pura karlo agar isi haal mein dard barh gaya jaaye toh andruni kaaba mein chali jaane ke ismein koi hikmat e ilahi hai."

# Nuzhatul Majalis 11/5.
# Madarijun Nabuwaat 2/917