Showing posts with label Masail E Qurbani. Show all posts
Showing posts with label Masail E Qurbani. Show all posts

Friday, March 27, 2015

Qurbani Ke Masail 180



 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah


Qurbani ke janwar ko apne haath se zibaah karna afzal hai. Janwar ko qiblah rukh lita kar aur pehlu par pair rakh kar yeh dua padhni chahiye.

 "Inni Wajjahtu Waj Hi Ya Lilla Zi Fataras Sama Wati Wal Ardha Hanif Aoun Wa Ma Ana Minal Mush Ri Keena In Nas Salati Wa Nusukee Wa Mahya Ya W A Mamati Lillahi Rabbil Aalameen!
La Sharika Lahu Wa Bi Zaalikha Urritu Wa Ana Minal Muslimeen! Allah Humma Ma La Ka Wa Minka."

Yahan tak dua padh kar "Bismillahi Allahu Akbar" Keh kar janwar ko zibaah karey. Zibaah karne ke baad aage ki dua padhe.

"Allah Humma Ma Ta Kabbal Minni (Doosre Ki Taraf Se Kar Rahe Ho To Uska Naam Lo Minni Ki Jagah) Kama Ta Kabba La Ta Min Khalil I Ka Ibrahima Alaihis Salaama Wa Habeebi Ka Muhammedin Sallallahu Alaihi Wa Sallam"
Oct 5, 2014, 5:49 PM - Bmy Mustafa bhai.: ●Pichle Message Mein Kuch Typing Mistake Huwi thi Usko Durust Karke Phirse Post Kar Rahe Hai●

Qurbani Ke Masail 180



 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah


 Aaqa e kareem ﷺ farmate hai ke jabh bakra eid ke mahine ka pehla ashrah ajaaye yaani pehle dus din aur jo koi qurbani karna chahe to apne baal aur khaal ko bilkul haath na lagaye..

 Is hadees ki shrah me Mufti Ahmed yaar khan naeemi alaihir rehman farmate hai "Jo maaldaar waajib aur gareeb nafl qurbani ka iraada kare woh zulhijja ka chand dekhne se qurbani karne tak nakhoon baal apne badan ki murdaar khaal na kaate na katwaye taa'ke haajiyon ki thodi nakal ho jaye ke haaji ehraam mein hajamat nahi kara sakte.

 Aur doosri baat yeh ke jiss kadar baal zyada aur nakhoon hai woh qurbani ka fidya ban jaaye yani jahannam se azaadi ka.

Yeh hukm mustahab hai wajib nahi agar kisi ne kaat liye to koi gunah nahi aur aisa karne se qurbani mein bhi koi khalal nahi aata qurbani ho jati hai na tarashe to behtar hai zaroori nahi. Aur aage phir farmate hai jo qurbani na kar sake wo bhi in 10 dino mein hajaamat na karaye bakra eid ke din namaze eid ke bad karaye to InshaAllah qurbani ka sawaab paaega.

# Miratul Manaaji Jild 2 safah 38

⏩ Sayyadi Sarkar Aala Hazrat رضي الله عنه farmate hai Yeh hukm e mustahab hai kare to behtar na kare to muzaiqa nahi na ye nafarmani hai na isse qurbani mein koi khaami aayegi haan agar kisine 31 din se na taraashe ho aur chand ho gaya to is mustahab amal ke liye gunah nahi karna chahiye abh 31 din ke baad nahi taraashega bakra eid tak 41 din ho jayenge aur ye gunah hai Mustahab kaam ke liye gunah nahi karna chahiye isi liye aise halaat me tarashna zaroori hai gunah se bachne ke liye.

# Fatawa e razwiya shareef Jild 20 safah 353-54

 

Qurbani Ke Masail 179



 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah


 Qurbani ke janwar ki umr mein shak ho saal bhar se kam ke bakre ki qurbani ya aqeeqah nahi ho sakta.
 Aur  agar shak ho to woh bhi aisa hi hai jaise saal bhar ka nahi hai. Janwar bechne wale ka kehna kaafi nahi ke bikne mein uska nafa hai.

# Fatawa razviya shareef
Jild 20  safah 583-84

 Agar ek saal ka bakra jo daant todta hai wo daant tode hai to ho jayegi.
 

Qurbani Ke Masail 177

 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah


⏩  Qurbani ki woh cheezein jo nahi khaani chahiye aaj kal bekhabri mein pakaayi aur khaayi jaati hai.

 Zabah ke waqt jo khoon nikalta hai usko dame masfooh kehte hai yeh napaak hota hai iska khaana haraam.
 Zabah ke baad jo khoon gosht mein reh jaata hai jaise gardan ke kate huwe hisse par dil ke andar kaleji aur tilli mein aur gosht ke andar ki choti choti ragon mein yeh napaak to nahi magar is khoon ka bhi khaana mamnu hai isliye pakaane se pehle khoob acchi tarah safaai kar le.
 Pakane ke baad woh ragein kali dori ki tarah ho jaati hai khaas kar bheje sirri paaye aur murgi ki raan aur par ke gosht me baarik kaali doriyaan dekhi jaati hai khaate waqt inko nikaal de Murgi ka dil bhi pura na pakaaye lambayi mein chaar chire kar ke iska khoon saaf kar le.
 Haraam magz yeh safed doori ki tarah hota hai jo bheje se shuru ho kar gardan ke andar se guzarta huwa puri reedh ki haddi mein aakhir tak jaata hai.
 Aksar maahir cutting karne wale ise nikaal lete hai magar yeh bhi dekha gaya ke be ehtiyati ki wajah se thoda bohot reh jaata hai aur pak bhi jaata hai.
 Chaanp gardan aur kamar ka gosht dhote waqt haraam magz talash kar ke nikal diya kare.
 yeh cheez murgi aur dusre parindon ki gardan aur reedh ki haddi me bhi hoti hai pakaane se pehle isko nikaalna muskil hai isliye khaate waqt nikaal dena chahiye.
 

Qurbani Ke Masail 176



 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah

⏩ Qurbani ke jaanwar ya koi bhi halaal jaanwar ki woh cheezein ke kuch haraam Kuch mamnu Kuch makrooh hai unki tafseel.

 Ragon ka khoon
 Pitta
 Phukna masaana
 Maadah ya nar hone nishani  Baide Kapoore
 Guduud
 Haraam magaz
 Gardan ke do putthe jo shaano khiche hote hai
 Gosht ka khoon ke zabah hone ke baad nikalta hai.
 Dil ka khoon
 Peet wo pila paani jo pitte mein hota hai
 Naak ki ratubat reenth
 Paakhaane ka maqaam
 Ojhadi
 Aantein
 Nutfaa manee
 Woh nutfa jo khoon ho gaya
 Woh nutfaa jo gosht ka lothda ho gaya
 Woh nutfaa ke poora jaanwar ban gaya aur murda nikla ya zabah kiye bagair mar gaya.

To Be Continued...
 

Qurbani Ke Masail 175



 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah

 Hazrat Allama Haskafi Alaihir Rehmah Tehreer Farmate Hai

"ان کان شریک الستة نصرانيا او مريد اللحم لم یجز عن واحد"
Saabit huwa ke nasraani ki shirkat ke saath qurbani ja'iz nahi aur jabh nasraani ki shirkat ke saath qurbani ja'iz nahi to ghair muqallid, deobandi jo ke nasraani se badtar aur khabees tar hai uski shirkat ke saath badarja E oola ja'iz nahi.

Sayyidina Aala Hazrat Fazil E Barelvi رضي الله عنه tehreer farmate Hai, "kufr e asli ki ek sakht qism nasraaniyat hai aur usse badtar majoosiyat usse badtar butparasti usse badtar wahabiyat aur in sabse badtar aur khabees tar deobandiyat..."

# Fatawa E Razviyah Shareef Jild 6  Safah 3.

Lihaza ghair muqallid aur deobandi ki shirkat ke saath bade jaanwar ki qurbani karna ja'iz nahi.

# Fatawa E Faqeeh E Millat Jild 2, Safah 249

RAUZA MUBARAK KI ZIYARAT
MADINA KI SHAAN
DIL MEIN EK HI NIYYAT
HONTHO PAR EK HI NAAM
ASSALAATU WASALAAMU
ALAYKA YA RASOOLALLAH
SALALLAHU ALAYHI WA SALAM