بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Aaqa e kareem ﷺ farmate hai ke jabh bakra eid ke mahine ka pehla ashrah ajaaye yaani pehle dus din aur jo koi qurbani karna chahe to apne baal aur khaal ko bilkul haath na lagaye..
Is hadees ki shrah me Mufti Ahmed yaar khan naeemi alaihir rehman farmate hai "Jo maaldaar waajib aur gareeb nafl qurbani ka iraada kare woh zulhijja ka chand dekhne se qurbani karne tak nakhoon baal apne badan ki murdaar khaal na kaate na katwaye taa'ke haajiyon ki thodi nakal ho jaye ke haaji ehraam mein hajamat nahi kara sakte.
Aur doosri baat yeh ke jiss kadar baal zyada aur nakhoon hai woh qurbani ka fidya ban jaaye yani jahannam se azaadi ka.
Yeh hukm mustahab hai wajib nahi agar kisi ne kaat liye to koi gunah nahi aur aisa karne se qurbani mein bhi koi khalal nahi aata qurbani ho jati hai na tarashe to behtar hai zaroori nahi. Aur aage phir farmate hai jo qurbani na kar sake wo bhi in 10 dino mein hajaamat na karaye bakra eid ke din namaze eid ke bad karaye to InshaAllah qurbani ka sawaab paaega.
# Miratul Manaaji Jild 2 safah 38
⏩ Sayyadi Sarkar Aala Hazrat رضي الله عنه farmate hai Yeh hukm e mustahab hai kare to behtar na kare to muzaiqa nahi na ye nafarmani hai na isse qurbani mein koi khaami aayegi haan agar kisine 31 din se na taraashe ho aur chand ho gaya to is mustahab amal ke liye gunah nahi karna chahiye abh 31 din ke baad nahi taraashega bakra eid tak 41 din ho jayenge aur ye gunah hai Mustahab kaam ke liye gunah nahi karna chahiye isi liye aise halaat me tarashna zaroori hai gunah se bachne ke liye.
# Fatawa e razwiya shareef Jild 20 safah 353-54

0 comments:
Post a Comment