Showing posts with label RasoolAllah Sallallahu Alaihe Wasallam. Show all posts
Showing posts with label RasoolAllah Sallallahu Alaihe Wasallam. Show all posts

Saturday, April 4, 2015

Nabi e Kareem ﷺ ki batayi huwi Duaein 281 - Musibat par Ne'amul bad'al milne ki Dua

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Musibat par Ne'amul bad'al milne ki Dua.

▶ Hazrat e Umme Salma رضي الله عنها riwayat farmati hai Maine Huzoor e Aqdas ﷺ ko irshad farmate suna tha ke kisi musalman ko koi takleef pahuche to woh yeh dua parhle to Allah ﷻ uss musalman ko zaaya e shuda cheez se behtar cheez ataa farmaaega.

▶ Hazrat e Umme Salma رضي الله عنها farmati hai ke jabh mere shohar Hazrat e Abu Salma رضي الله عنه ka inteqaal ho gaya maine(dil mai) kaha ki bhala Abu Salma رضي الله عنه se behtar kaun musalman hoga.

Lekin fir Maine iss dua ko parh liya to Allah ﷻ ne mujhe Abu Salma رضي الله عنه se behtar shohar ataa farmaya ke Rasool e Qaunain ﷺ ne mujhse nikah farma liya.

# Muslim Shareef
Jild 1, Safah 300

▶ Inna Lillahi wa Inna Ilaihi Ra'ajioon Allahumma Ajirni fi musibati wakh-lif lee khair-am-minha.
 


Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ Day Post 279

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Hazrate Anas رضي الله عنه kehte hai ke mene kisi resham ko Huzoor ﷺ ki hathheliyo se narm wa nazuk nahi paaya jiss shakhsh se Huzoor ﷺ  musafah farmate wo din bhar apne hathho ko khushbudaar paata
▶Hazrate Jabir bin Samura رضي الله عنه ka bayan hai ke mene Huzoor ﷺ ke sathh namaz e zohr adaa ki fir aap apne ghar ki taraf ravana hue aur mai bhi aap ke sathh hi nikla
▶Sarvar e kainaat ﷺ ko dekh kar chhote chhote bachhe aap ki taraf dod pade to unn mai se har ek ke rukhsar(Gaal) par aap apna dast e rehmat ferne lage mai samne aaya to mere rukhsar par bhi aap ne apna dast e rehmat laga diya to mene apne gaalo par Sarkar ﷺ ke dast e rehmat ki thandak mehsus ki aur aisi khushboo aayi ke goya aap ne apna hathh kisi itr ki sandook se nikala ho

#Muslim Shareef
Jild 2, Safah 256

#Hathh jiss simt uthha ghani kar diya
Mouje behre sakhawat par lakho salam

#Jiss ko baare do aalam ki parva nahi
Aise bajoo ki kuwaat par lakho salam

#Noor ke chashme lehraye dariya bahe
Ungliyo ki karamat par lakho salam


Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllah ﷺ Day Post 278

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Huzoor ﷺ ki zabaan wahi e Ilahi ki tarjaman thhi Huzoor ﷺ ki shaan ka aalam ye thha arab ke bade bade log aap ke kalaam ko sun kar dang reh jate thhe

#Tere aage yu hai dabe lache,
Fusaha Arab ke bade bade,
Koi jaane munh mai zabaa nahi,
Nahi balki jism mai jaa nahi

▶Sarkar ﷺ ki muqaddas zabaan ki hukmarani aur shaan ka a'ejaj ye thha ki zabaan se jo farma dete wo pal bhar mo'ajiza ban kar nazar aata

#Woh zabaa jiss ko sab koon ki koonji kahe,
Usski naafiz hukumat par lakho salam

#Usski pyari fasahat par behad durood,
Usski dilkash balagat par lakho salam

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ . Day Post 277

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Huzoor ﷺ ka luaabe dahan(thhook mubarak) zakhmiyo aur bimaro ke liye shifa thha jab Hazrat e Abu bakr Siddik رضي الله عنه ko gaar e shhaur ke andar saanp ne kaata to usska zahar Huzoor ﷺ ke luaabe dahan se utar gaya aur zakhm achha ho gaya
▶Hazrat Ali رضي الله عنه ki Aankhon ki bimari Luaabe dahan se shifa hui Hazrat e Rifa'aa bin Rafe'a رضي الله عنه ki aankh mai jung e badr ke din teer lag gaya aur foot gai magar Huzoor ﷺ ke luaabe dahan se aisi shifa mili  ke dard bhi jaata raha aur aankh ki roshni bhi barkaraar rahi
▶Hazrat Abu Katada رضي الله عنه ke chehre par teer laga Sarkar ﷺ ne uss par apna luaabe dahan laga diya to fouran khoon bandh ho gaya aur fir zindagi bhar unko teer wa talwar ka zakhm na laga
▶Shifa ke alawa aur bhi luaabe dahan se badi badi barkat ka zahoor hua chunache hazrat Anas رضي الله عنه ke ghar mai kuwaa thha aap ne uss mai apna luaabe dahan daal diya usska paani itna shiri(meethha) ho gaya ke Madeena Munawwara mai usse barh kar koi shiri kuwaa na thha
▶Imam Baihaqi رضي الله عنه ne ye hadees e paak rivayat ki ke Rasool ﷺ Aashura ke din doodh peete bachho ko bulate thhe aur unke munh mai apna luaabe dahan daal dete thhe aur unki maa ko hukm dete thhe ke wo raat tak bachho ko doodh naa pilaye Huzoor ﷺ ka luaabe dahan bachho ko iss qadr shikam shair aur sairaab kar deta thha ke unn bachho ko din bhar bhookh naa lagti thhi
      
        سُــــبْحانَ الله

#Zurkaani Shareef
Jild 5, Safah 246

#Jisse khaari kuwe shiraa e jaa bane
Uss zulaale rehmat par lakho salam

#Jisske paani se shadab jaa(n) wa jinaa
Uss dahan ki tarawat par lakho salam

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ Day Post 276

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Imam Abu bakr رضي الله عنه kehte hai ke mai aur Imam Tabrani رضي الله عنه aur Imam Abu Shaikh رضي الله عنه teeno haram e nabvi mai faaka(bhookh) se thhe jab isha ka waqt aaya to mene qabr shareef ke paas hazir ho kar arz ki Ya Rasool Allah ﷺ "Hum Log Bhookhe hai"
▶Ye arz kar ke mai lot aaya imam Tabrani رضي الله عنه ne mujse kaha bethho ya rizk aayega ya mout
usske baad imam Abu bakr رضي الله عنه farmate hai ke mai aur Abu Shaikh رضي الله عنه to so gaye magar Imam Tabrani رضي الله عنه bethhe hue thhe ki ek Alvi ne aa kar darwaza khatkhataya humne khola to kya dekhte hai ki unn ke sathh 2 ghulam hai jin mai se dono ke hathho mai ek ek tokri hai jo kism kism ke khaano se bhari hui hai
▶Hum logo ne bethh kar khaaya aur khyal kiya ki bache hue khaane ko ghulam le lega magar wo baaki khaana bhi hamare paas chhor gaya jab hum khaane se farig hue to Alvi ne kaha humse kaha ki kya aap logo ne Huzoor Nabi ﷺ se fariyad ki thhi ?
Kyoki RasoolAllah ﷺ ne khwab mai muje hukm diya ki mai tumhare paas kuch khaana le jau

#Seeratul Mustafa ﷺ
Safah 688

#Fariyad Ummati ho kare haal e zaar mai,
Mumkin nahi ke khair e bashar ko khabar naa ho
 


Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ. Day Post 274

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Mashoor buzurg aur Sufi Hazrat e ibne jilaa رضي الله عنه ka bayan hai ke main Madeena munawwara main dakhil hua aur faake(bhookh) se thha ▶Mene qabr e Anwar par haazir ho kar arz ki Ya RasoolAllah ﷺ "Mai aap ka mehman hu" itna arz kar ke mai so gaya
▶Khwab mai Huzoor Nabi e Akram ﷺ ne ek roti inayat farmayi aur aadhi roti mene khaa li jab aankh khuli to aadhi roti mere hathh mai thhi

 #Mangta ka haath uthte hi daata ki dein thi
Doori qabool o arz mein bass haath bhar ki hai
 


Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ Day Post 273

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Hazrat Amr bin Akhtab رضي الله عنه  farmate hai ek din Huzoor ﷺ hum logo ko namaz e fajr padha kar mimbar par tashrif le gaye aur hum logo ko khutba sunate rahe yaha tak ki namaz e zohr ka waqt aa gaya fir Huzoor ﷺ ne mimber se utar kar zohr adaa padhayi fir se khutba dene mai mashgul ho gaye yaha tak ki namaz e asr ka waqt ho gaya fir Sarkar ﷺ mimber se utre aur namaz e asr padhayi fir mimber par chadh kar khutba padhne lage yaha tak ki suraj gurub ho gaya
▶Uss din  bhar ke khutba mai Rasool e do aalam ﷺ ne hum logo ko tamaam unn wakiyat ki khabar de di jo qayamat tak hone wale hai jiss shakhs ne jiss qadr jyada uss khutba ko yaad rakhha wo hum sahaba mai sab se jyada ilm wala hai

#Mishkaat Shareef Jild 2, Safah 543

▶Azal se le kar Abad tak ke tamaam uloom e gaibiya ke khazano ko Allah ﷻ ne apne habib ﷺ ke seena e nabuvvat mai ataa farma diya hai lihaza har ummati ko ye aqeeda rakhna lazeemi aur jaruri hai ke Allah ﷻ ne apne mehbub ko ilm e gaib ataa kiya hai

Wahabiyo ka aqida hai woh gaib daan nahi
Sahabiyon ka aqida Huzoor jaante hai.
 


Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ Day 272

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Hazrat e Ali رضي الله عنه farmate hai ek martaba mai Huzoor e akdas ﷺ ke sathh makkah muqarrama mai ek taraf ko nikla to mene dekha ki jo darakht aur pahad raaste mai aata hai usse "Assalaamu Alaika Ya RasoolAllah" ki awaz aati hai aur mai khud uss awaz ko sunta thha
▶ Hazrat e jabir bin samura رضي الله عنه kehte hai RasoolAllah ﷺ ne farmaya ke makkah muqarrama mai ek paththhar hai jo mujko salam kiya karta thha mai ab bhi usse pehchanta hu

# Tirmizi shareef Jild 2, Safah 203

# Ali رضي الله عنه Farmate hai Jab Hum Nabi Ke Saat Chalte The
Pahado Pattharo Ne Bhi Pukara Ya Rasulallah ﷺ
 

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ Day Post 271

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Ek baar Huzoor ﷺ ek ansari ke baagh mai tashrif le gaye waha ek oonth chilla raha thha jab ussne Huzoor ﷺ ko dekha to ek dum bilbilane laga aur usski dono aankhon se aansu zaari ho gaye
▶Sarkar ﷺ ne paas jakar apna daste shafkat uss ke sar par fera to wo tasalli pakar bilkul khamosh ho gaya fir Huzoor ﷺ ne logo se daryaft kiya ke isska malik kon hai ?
▶Logo ne ek ansari ka naam bataya fouran usse bulaya gaya aur Huzoor ﷺ ne farmaya Allah ﷻ
ne inn janvaro ko tumhare qabze mai dekar inn ko tumhara mehkum bana diya hai lihaza tum par lazeem hai ke tum janvaro par rahem karo tumhare oonth ne mujse tumhari shikayat ki hai ke tum isse bhookha rakhte ho aur isski takat se jyada isse kaam lekar issko taklif dete ho

# Abu Dawood shareef
Jild 1, Safah 352

#Apne Mawla ki hai shaan azeem,
Janvar bhi kare jinki ta'azeem,
Sang karte hai adab se taslim,
Ped sajde mai gira karte hai
 

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ ke Mo'ajizaat 269

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 ▶Hazrat Jabir رضي الله عنه se riwayat hai ke hum log ek safar mai RasoolAllah ﷺ ke sath thhe Huzoor ﷺ ek khajoor ke darakht ke niche tashrif farma thhe ki achanak ek bahot bade kaale saanp ne aap ki taraf rukh kiya logo ne usse maar daalne ka irada kiya lekin Sarkar ﷺ ne farmaya isse mere paas aane do
▶Jab wo  kaala saanp huzoor ﷺ ke paas pahoch gaya to apna sar huzoor ﷺ ke kaan mubarak ke paas kar diya  fir Sarkar ﷺ ne uss saanp ke munh ke karib apna munh karke chupke chupke kuch irshad farma diya isske baad wo saanp achanak gayab ho gaya ki goya zameen usse kha gai ho
▶Hazrat Jabir رضي الله عنه kehte hai hum logo ne arz ki ya RasoolAllah ﷺ aap ne saanp ko apne kaano tak pahochne diya ye manzar dekh kar hum log darr gaye ke kahi saanp aap ko kaat naa le to huzoor Rehmatu lil Aalameen ﷺ farmate hai ye saanp nahi thha balki jinno ki jama'at ka bheja hua ek jinn thha falaa surah mai se kuch aayate ye bhul gaya thha unn aayato ko daryaft karne ke liye jinno ne isse mere paas bheja thha maine usse wo aayate bata di aur wo unko yaad karta hua chala gaya

# Jinno Malaik Tere Gulam
Sabse siwa hai tera maqaam
Yaseen o taha tere hee naam
Khairul bashar par laakhon salaam
Laakhon durood aur laakhon salaam
 

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ ke Mo'ajizat 268

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Riwayat hai ki Huzoor ﷺ ne ek shakhs ko islam ki daawat di to ussne kaha ki mai uss waqt tak aap par iman nahi laa sakta jab tak ki meri murda bachhi zinda na ho jaye to sarkar e madeena ﷺ ne farmaya tum muje usski qabr dikhao to ussne apni ladki ki qabr dikha di
▶Huzoor Rehmatulil Aalameen ﷺ uss ladki ka naam lekar pukara to uss ladki ne qabr se nikal kar jawab diya ke Huzoor ﷺ mai aap ke darbar mai hazir hu fir huzoor ﷺ uss ladki se farmate hai "kya tum fir duniya mai lot kar aana pasand karti ho ?"
Ladki ne jawab diya ki nahi ya RasoolAllah ﷺ aur kehti hai mene Allah ﷻ ko apne maa-baap se jyada meharban paaya aur aakherat ko duniya se behtar paaya aur wo shakhs fouran iman le aaya

#Zurkani Alal Mawahib l, Jild 5, Safah 182
#Shifa Shareef, Jild 1, Safah 211

▶Kya shaan hai mere Aaqa ﷺ ki aur kya ikhteyaraat hai aap ke aur aaj ke zaahil wahabi kehte hai Ma'azAllah huzoor ﷺ ko ilm e gaib nahi

▶Ab bhi waqt hai sambhal jaye aur touba kar le aise shakhs jo huzoor ﷺ ke liye zarra barabar bhi bugz rakhte ho.

 Issily Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai

# Aaj le unki panah
Aaj madad maang unse
Fir naa manenge
Qayamat mai agar maan gaya
 

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ ke Mo'ajizat 267

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 ▶Huzoor e akdas ﷺ 1400 logo ke sath safar mai the,
Sahaba e Kiram bhookh se betaab ho kar sawari ki oonthni  ko zabah karne ka irada kiya to Sarkarﷺ ne mana farmaya aur farmate hai tamam log apna apna tosha ek dastarkhwan par jama kare chunache jiske paas jo tha rakh diya to saman itni jagah mai aa gaya jitni jagah mai ek bakri bethhe itne saman mai 1400 log khaye kaise?

▶Magar qurban jaiye do aalam ke Sarkar ﷺ par ke aap ka mo'ajiza tha ke usmai se1400 logo ne shikam sher hokar kha bhi liya aur apne toshadaan bhi bhar liye
▶Khane ke baad Huzoor ﷺ ne paani maanga to ek sahabi e Rasool ﷺ ek bartan mai paani laaye to Huzoor ﷺ ne usko ek pyale mai daal diya aur apna dast e mubarak usmai daal diya toh 1400 logo ne uss paani se wuzu kiya.

Ungliya hain faiz par toote hain pyaase jhoom kar,
Nadiya panj aabe rehmat ki hai'n jaari waah waah.
    سُــــبْحانَ الله      
سُــــبْحانَ الله
 

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ Day Post 266

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 ⏩Aap ke ummi laqab hone ka haqiqi raaz kya hai ?
Isko Khudavande Quddus ke siva aur kon bata sakta hai
Lekin bazahir iss mai chand hikmate aur fawaeed malum hote hai
▶Koi insan Huzoorﷺ ka ustad naa ho taaki kabhi koi ye na keh sake ki paigamber toh mera padhaya hua shagird hai
▶Koi shakhs ye guman na kar sake falaa aadmi Huzoorﷺ ka ustad tha toh shayad woh Huzoor ﷺ se jyada ilm wala hoga.
▶Huzoor ﷺ ke baare mai koi yeh wahem na kar sake ke Huzoor ﷺ padhe likhe the to khud hee quraan ki aayato ko apni taraf se bana kar pesh kiya hai aur quraan unhi ka banaya hua hai.
▶Jab Huzoor ﷺ saari duniya ko kitab wa hikmat ki ta'aleem de to koi yeh na keh sake purani kitabo ko dekh kar sab baate pesh kar rahe hai
▶Agar Huzoor ﷺ ka koi ustad hota toh aap ko uski tazeem karni padti aur Allahﷻ ne aap ko issi liye paida farmaya ke saara aalam aap ki tazeem kare issi liye rabb tabarak wa ta'ala ne iss ko gawara nahi farmaya ke mera mehboob kisi ke aage jaanu-e-talammuz kare aur uska koi ustad ho

# Tu kisi ke ghataye se naa ghata hai naa ghatega
jab badhaye tujhe Allah ta'ala tera.
 

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ Day 265

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Huzoor Rehmatulil Aalameen ﷺ ka laqab"UMMI" hai jiska maana hota hai ke aap ne duniya mai kisi insan se likhna padhna nahi sikha ye Huzoor ﷺ ka bahot hi azimusshan mo'ajiza hai ke duniya mai aap ko kisi ne bhi nahi padhaya likhaya magar Khudavande Quddus ne aap ko iss qadr ilm ata farmaya ki aap ka seena awwalin wa aakhireen ke uloom wa ma'arif ka khazeena ban gaya aur aap par aisi kitab nazil hui jiski shan hai ke ussmai har chiz ka roshan bayan hai.

▶Maulana Jaami Rehmatullahi Taa'ala Alaih farmate hai jiska mafhoom hai  "yaani mere Mehboob ﷺ na kabhi maqtab mai gaye na likhna sikha magar apne chashm e abru ke ishare se anginat mudarriso ko sabak padha diya"

▶Zahir hai jiska ustad aur ta'aleem dene wala Khalik e Kainaat Jalla Jalalahu ho bhala ussko kisi aur ustad se ta'aleem hasil karne ki kya jarurat hogi Aala hazrat azemul barkat رضي الله عنه farmate hai.

#Tere Aage Yuh Hai Dabe Lache
Fu Saha Arab Ke Bade Bade
Koi Jaane Munh Mai Zabaan Nahi
Nahi Bal Ke Jism Mai Jaan Nahi.
 

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ Day 264

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 ▶Hazrate halima رضي الله عنه ka bayan hai ki aap ka jhula farishto ke hilane se hilta thha aur huzoor ﷺ ussi aalam mai chand ki taraf ungli uthha kar ishara farmate thhe to chand aap ki ungli ke isharo par harkat karta thha

# chand jhuk jaata jidher ungli uthaatay mehad main
Kia hi chalta tha ishaaraon par khilona noor ka

# Khelte the bachpane me chaand se wo isliye,
Woh saraapa Noor hai aur chaand khilona Noor ka
 

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllah ﷺ Day 262

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶ Jiss muqaddas makan mein Huzoor e Akdas ﷺ ki wiladat huwi tareekh e islam mein uss maqam ka naam "Maulud un Nabi" (nabi ki wiladat ki jagah) hai.

▶ Hazrat Shah Waliullah Muhaddis e Dehalvi alaihirrehma ne apni kitab "fuyuzul harmain" mein tehrir farmaya hai ki Main ek martaba uss makan mein mehfile meelad mein hazir huwa jo makkah mukarrama mein 12 Rabbi ul Awwal shareef ko "Maulud un Nabi" mein munaqid huwi thi.

▶ Jiss waqt wiladat ka zikr padha jaa raha tha to Maine dekha ki ek bargi uss majlis mein kuch anwaar buland huwe maine unn anwaar par gaur kiya toh malum huwa ki woh Rehmat e Ilahi aur unn Farishto ke anwaar the jo aisi mehfilo mein haazir huwa karte the.

▶ Jab hijaz par najdi hukumat ka tasallut huwa toh maqabbir e jannatul mu'alah aur jannatul baqee shareef ke saath saath najdi hukumat ne iss muqaddas yaadgar ko bhi tod fod kar mismar kar diya aur saalo tak yeh maqaam veeran pada raha.

▶ Ab uss jagah par ek chhoti building hai jise najdi hukumat library aur maqtab kehte hai aur uss jagah ab meelad shareef aur salato salam bhi nahi padhne diya jata.

▶ Issi liye Sarkar Mufti e Azam e Hind Alaihirrehma apne kalam mein farmate hai.

# Tere Habeeb Ka Pyara Chaman Kiya Barbaad
Ilaahi Nikle Yeh Najdi Bala Madine Se

     آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ
 

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllah ﷺ Day 261

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 ▶Huzoor ﷺ ki wiladate baa-sa'adat wakiya e ashabe feel se 55 din ke baad 12 Rabbi ul Awwal shareef ko hui.

▶Sanadul Asfiya, Ashraful Ambiya,Ahmed e Mujtaba, Muhammed Mustafa ﷺ aalam e wajood main raunak  afroj hue aur pakiza badan, naaf burida, khatna kiye hue, khushbu main base hue, ba halat e sajda, Makkah Muqarrama ki sar jameen main apne walid e majid ke makaan main paida hue.

▶Huzoor ﷺ ke walid e majid ka pehle hee wisal ho chuka tha Huzoor ﷺ ke dada Hazrat Abdul Muttalib ko bulaya gaya jo tawaaf e kaaba mai mashgul the.

▶Yeh khushkhabri sun kar aap haram e kaaba se apne ghar aaye aur josh o muhabbat se apne pote do aalam ke tajdar ko seene se lagaya fir Kaaba Shareef mai le gaye aur khairo barkat ki dua maangi aur "Muhammed "ﷺ aap ka naam e mubarak rakha.

Saare uncho mein uncha samajiye jisse,
Hai unn uncho se uncha hamara nabi ﷺ,

Teri aamad thi ke Baitullah mujre ko jhuka,
Teri haibat thi ke har boot thar thara ke gir gaya..

Pehle sajdey pe Roz e Azal se darood
Yadgaari e ummat pe lakhooٌ salam