Saturday, April 4, 2015

Saiyyadul Mursaleen Muhammed ur RasoolAllahﷺ ke Mo'ajizaat 269

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 ▶Hazrat Jabir رضي الله عنه se riwayat hai ke hum log ek safar mai RasoolAllah ﷺ ke sath thhe Huzoor ﷺ ek khajoor ke darakht ke niche tashrif farma thhe ki achanak ek bahot bade kaale saanp ne aap ki taraf rukh kiya logo ne usse maar daalne ka irada kiya lekin Sarkar ﷺ ne farmaya isse mere paas aane do
▶Jab wo  kaala saanp huzoor ﷺ ke paas pahoch gaya to apna sar huzoor ﷺ ke kaan mubarak ke paas kar diya  fir Sarkar ﷺ ne uss saanp ke munh ke karib apna munh karke chupke chupke kuch irshad farma diya isske baad wo saanp achanak gayab ho gaya ki goya zameen usse kha gai ho
▶Hazrat Jabir رضي الله عنه kehte hai hum logo ne arz ki ya RasoolAllah ﷺ aap ne saanp ko apne kaano tak pahochne diya ye manzar dekh kar hum log darr gaye ke kahi saanp aap ko kaat naa le to huzoor Rehmatu lil Aalameen ﷺ farmate hai ye saanp nahi thha balki jinno ki jama'at ka bheja hua ek jinn thha falaa surah mai se kuch aayate ye bhul gaya thha unn aayato ko daryaft karne ke liye jinno ne isse mere paas bheja thha maine usse wo aayate bata di aur wo unko yaad karta hua chala gaya

# Jinno Malaik Tere Gulam
Sabse siwa hai tera maqaam
Yaseen o taha tere hee naam
Khairul bashar par laakhon salaam
Laakhon durood aur laakhon salaam
 

0 comments:

Post a Comment