Saturday, April 4, 2015

Namaz e jumma ke fazaeel aur masaeel 269 - Namaaz jumaah ke fazaail

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Namaaz jumaah ke fazaail.

▶Allama Amjad Ali aazmi alaihi Rehmah farmate hai ke, Hadise paak me hai ke jo shaks jumaah ke din naakhun tarashwaye, Allah usko dusre jumeh tak balaaon se mehfooz rakhega aur 3 din zyada yani 10 din tak aur ek riwayat me hai ke jo jumaah ke din naakhun tarashwaaye toh rehmat aayegi gunah jayenge.

Note - Hajaamat banwana aur naakhun tarashwana jumaah ke baad afzal hai.

▶ Allama sahab farmate hai, Jumaah ke din naakhun tarashwana mustahab hai. Haa agar zyada badh gaye ho toh jumeh ka intezaar na kare ke naakhun bada hona acha nahi kyun ki naakunon ka bada hona rozi, rizq me kami lata hai.

#Tazkiratul Mawzuaat
#Tanziyatus Shariyah
#Durre Mukhtaar Maa Raddul Mohtaar
#Bahaare Shariyat
 

0 comments:

Post a Comment