Showing posts with label Kanzul Imaan. Show all posts
Showing posts with label Kanzul Imaan. Show all posts

Wednesday, April 13, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan#730

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 730.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 118.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan walo gairoñ ko apna raazdaar na banao
2⃣ Wo tumhari burayi mein kami nahi karte unki aarzu hai jitni izaa tumhe pahuñche bair unki baatoñ se jhalak utha aur wo
3⃣ Jo seene mein chhupaye hai aur bada hai humne nishaniyañ tumhe khol kar suna di agar tumhe aql ho

▶ Tafseer
1⃣ Unse dosti na karo muhabbat ke ta'alluqaat na rakho wo kaabile aitemaad nahi hai Shaane nuzool baaz Musalman Yahood se karabat aur dosti aur padaus waghairah ta'alluqaat ke bina par mel jhol rakhte the unke haq mein ye aayat naazil huwiñ
▶ Masla - Kuffar se dosti wa muhabbat karna aur unhe apna raazdaar banana Naa jayazo mamnu'u hai
2⃣ Gaizo Ainaad
3⃣ To unse dosti na karo

Monday, April 11, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #729

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 729.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 117.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Kahawat uski jo is duniya ki zindagi mein
2⃣ Kharch karte hai Us hawa ki si hai jisme paala ho wo ek aisi qaum ki kheti par padi jo apna hi bura karte the to use bilkul maar gayi Aur Allah ne un par zulm na kiya haañ wo khud apni jaan par zulm karte hai

▶ Tafseer
1⃣ Mufassireen ka qaul hai ki isse Yahood ka wo kharch muraad hai jo Apne olma aur ru'saa par karte the ek qaul ye hai ki kuffar ke tamaam nafaqaat wa sadaqaat muraad hai ek qaul ye hai ki riyaakaar ka kharch karna muraad hai kyuñ ki un sab logo ka kharch karna ya nafa e duniyawi ke liye hoga ya nafa e ukhrawi ke liye agar mahaz nafa e duniyawi ke liye ho to aakhirat mein usse kya fayeda aur riyaakaar ko to aakhirat aur Raza e Ilahi maqsood hi nahi hoti uska amal dikhawe aur numood ke liye hota hai aise amal ka aakhirat mein kya nafa aur kaafir ke tamaam amal akaarat hai wo agar aakhirat ki niyyat se bhi kharch kare to nafa nahi paa sakta un logo ke liye wo misaal bilkul mutabiq hai jo aayat mein zikr farmayi jaati hai
2⃣ Yaani jis tarah ki barfaani hawa kheti ko barbaad kar deti hai usi tarah kufr infaaq ko baatil kar deta hai

Sunday, April 10, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #728

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 728.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 116.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Wo jo kaafir huwe unke maal aur aulaad
2⃣ Unko Allah se kuchh na bacha lenge aur wo jahannami haiñ unko hamesha usme rehna

▶ Tafseer
1⃣ Jin par unhe bohat naaz hai
2⃣ Shaane nuzool ye Aayat Bani Quraiza wa Nazeer ke haq mein naazil huwi Yahood ke ru'saa ne tehseele riyasato maal ki garaz se Rasoole Kareem ﷺ ke saath dushmani ki thi Allah Ta'ala ne is aayat mein irshaad farmaya ki unke maalo aulaad kuch kaam na aayenge wo Rasool ki dushmani mein naahaq apni aaqibat barbaad kar rahe hai ek qaul ye hai ki ye aayat Mushrikeene Quraish ke haq mein naazil huwi kyuñ ki Abu Jahal ko apni daulato maal par bada fakhr tha aur Abu Sufiyan رضي الله عنه ne Badro Uhad mein mushrikeen par bohat kaseer maal kharch kiya tha ek qaul ye hai ki ye aayat tamaam kuffar ke haq mein aam hai un sab ko bataya gaya ki maalo aulaad mein se koi bhi kaam aane wala aur Azaabe Ilaahi se bachane wala nahi

Saturday, April 9, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #727

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 727.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 114 & 115.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Allah aur pichhle din par Imaan laate haiñ aur bhalayi ka huqm detey aur burayi se manaa karte haiñ
2⃣ Aur nek kaamoñ par daudte haiñ aur ye log layak haiñ ○ Aur wo jo bhalayi kareñ unka haq na maara jayega aur Allah ko maloom haiñ darr waale

▶ Tafseer
1⃣ Aur deen mein mudahanat nahi karte
2⃣ Yahood ne Abdullah Bin Salaam رضي لله عنه aur unke as'haab se kaha tha ki tum deene islam qubool karke tote mein pade to Allah Ta'ala ne unhe khabar di ki wo darjaate Aaliya ke mustahiq huwe aur apni nekiyoñ ki jazaa paayenge Yahood ki bakwaas behuda hai

Friday, April 8, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #726

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 726.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 725
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 112 & 113.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
5⃣ Ye isliye ki wo Allah ki aayatoñ se kufr karte aur paigambaroñ ko naa haq shaheed karte ye isliye ki naa farmañbardar aur sarkash the ○ Sab ek se nahi Kitabiyoñ mein kuch wo haiñ ki haq par qaayam haiñ
6⃣ Allah ki aayate padhte haiñ raat ki ghadiyoñ mein aur sajda karte haiñ

▶ Tafseer
5⃣ Shaane nuzool jabh Hazrat Abdullah Bin Salaam رضي لله عنه aur unke as'haab Imaan laaye to ahbaar Yahood ne jal kar kaha ki Muhammed Mustafa ﷺ par hum mein se jo Imaan laaye haiñ wo burey log haiñ aur agar burey na hote to apne baap daada ka deen na chhodte is par ye aayat naazil farmayi gayi Ataa ka qaul hai ki "Min Ahlil kitaabi ummtun qaayima'h" se 40 mard Ahle Nazraan ke 32 Habsha ke 8 Room ke muraad haiñ jo deen e Isawi par the phir Sayyade Aalam ﷺ par imaan laaye
6⃣ Yaani namaz padhte haiñ is se yaa to Namaze Isha muraad hai jo ahle kitaab nahi padhte ya Namaze Tahajjud

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #725

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 725.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 112 & 113.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Fir unki madad na hogi unpar jamaa di gayi khwaari jahaañ ho , Amaan na paaye
2⃣ Magar Allah ki dor
3⃣ Aur Aadmiyoñ ki dor se
4⃣ Aur gazabe Ilaahi ke sazawaar huwe aur un par jamaa di gayi mohtaaji

▶ Tafseer
1⃣ Hamesha zaleel hi rahenge izzat kabhi na payenge usi ka asar hai ki aaj tak Yahood ko kahiñ ki saltanat mayassar na aayi jahaañ rahe riaa'ya wa Gulam hi ban kar rahe
2⃣ Thaam kar yaani Imaan laakar
3⃣ Yaani musalmanoñ ki panah lekar aur unhe juzya de kar
4⃣ Chunanche Yahoodi ko maaldaar hokar bhi gina e qalbi muyassar nahiñ hota

〰〰 to be contd.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #724

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 724.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No.- 04 Ruku - 03
Aayat No. 111.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Wo tumhara kuchh na bigadenge magar yahi satana
2⃣ Aur agar tumse ladeñ to tumhare saamne se peeth pher jayenge

▶ Tafseer
1⃣ Zabaani ta'ano tashni aur dhamki waghairah se . Yahood mein se jo log Islaam laaye the jaise Hazrat Abdullah Bin Salaam رضي لله عنه aur unke humraahi rua'saa Yahoodaan ke dushman ho gaye aur unhe izaa dene ki fikr mein rehne lage is par ye aayat naazil huwi aur Allah Ta'ala ne Imaan laane waloñ ko mutmayin kar diya ki zabani qeel qaal ke siwa wo musalmanoñ ko koi aazar nahi pahoñcha sakenge galba musalmanoñ ko hi rahega aur Yahood ka anjaam zillat wa ruswayi hai
2⃣ Aur tumhare muqable ki taab na laa sakenge ye gaibi khabareñ aisi hi waaqe huwiñ

Tuesday, April 5, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #723

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 723.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 109 & 110

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Allah hi ka hai jo kuch aasmanoñ meiñ hai aur jo kuch zameen meiñ hai aur Allah hi ki taraf sab kaamoñ ki ruju'u hai ○ Tum behtar ho
2⃣ Un sab ummatoñ mein jo logoñ meiñ zaahir huwiñ bhalayi ka huqm dete ho aur burayi se mana karte ho aur Allah par Imaan rakhte ho aur agar kitaabi Imaan late
3⃣ to unka bhala tha unme kuch musalman haiñ aur zyada kaafir

▶ Tafseer
1⃣ Aye ummate Muhammed ﷺ shaane nuzool Yahoodiyoñ meiñ se Maalik Bin Saif aur Wahab Bin Yahooda ne Hazrat Abdullah Bin Mas'uud رضي الله عنه wagairah As'haabe Rasoolullah ﷺ se kaha hum tumse afzal haiñ aur hamara deen tumhare deen se behtar hai jiski tum hameñ daawat dete ho is par ye aayat naazil huwi Tirmizi ki hadees meiñ hai Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya Allah Ta'ala meri ummat ko gumrahi par jamaa na karega aur Allah Ta'ala ka daste rehmat jama'at par hai jo jama'at se juda ho dozakh mein gaya
2⃣ Sayyade Ambiya Muhammed Mustafa ﷺ par
3⃣ Jaise ki Hazrat Abdullah Bin Salaam رضي الله عنه aur unke as'haab Yahood meiñ se aur najaashi aur unke as'haab Nasaara meiñ se

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #722

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 722.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - Ruku -
Aayat No. 107 & 108

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur wo jinke muñh ujaale huwe
2⃣ Wo Allah ki rehmat mein haiñ wo hamesha usme rahenge ○ Ye Allah ki aayateñ haiñ ki hum theek theek tum par parhte haiñ aur Allah jahaan waloñ par zulm nahi chahta

▶ Tafseer
1⃣ Yaani ahle Imaan ki is roz bi'karamihi ta'ala wo farhaano shaadañ hoñge aur unke chehre chamakte damakte hoñge daahine baaye aur saamne noor hoga
2⃣ Aur kisi ko be jurm azaab nahi deta aur kisi ki neki ka sawab kam nahi karta




Sent from my iPhone

Monday, April 4, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #721

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 721.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 02
Aayat No. 106

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jis din kuchh muñh ujaale honge aur kuchh muñh kaale to wo jinke muñh kaale huwe
2⃣ Kya tum Imaan laakar kaafir huwe to ab azaab chakho apne kufr ka badla

▶ Tafseer
1⃣ Yaani kuffar unse taubikhan kaha jayega
2⃣ Iske mukhatab yaa to tamaam kuffar hai is soorat mein Imaan se roze misaaq ka Imaan muraad hai jabh Allah Ta'ala ne unse farmaya tha Kya main tumhara Rab nahi hooñ sabne bala kaha tha aur imaan laaye the ab jo duniya mein kaafir huwe to unse farmaya jaata hai ki roze misaaq Imaan laane ke baad tum kaafir ho gaye Hasan ka qaul hai ki isse munafiqeen muraad hai jinhone zabaan se izhaare Imaan kiya tha aur unke dil munkir the Ikrama ne kaha ki wo Ahle kitaab hai jo Sayyade Aalam ﷺ ki be'asat ke qabl to Huzoor ﷺ par Imaan laaye aur Huzoor ﷺ ke zuhoor ke baad Aap ka inkaar karke kaafir ho gaye ek qaul ye hai ki uske mukhatab murtaddeen hai jo Islaam laakar fir gaye aur kaafir ho gaye

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #720

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 720.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 02
Aayat No. 105

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur un jaise na hona jo aapas mein phatt gaye aur unme phoot pad gayi
2⃣ Baad iske ki roushan nishaniyañ unhe aa chuki thi Aur unke liye bada azaab hai

▶ Tafseer
1⃣ Jaisa ki Yahoodo Nasaara aapas mein mukhtalif huwe aur unme ek dusre ke saath ainaado dushmani raasikh ho gai yaa jaisa ki khud tum zamana e Islam se pehle jahiliyat ke waqt mein mutafarriq the tumhare darmiyan bugzo ainaad tha
▶ Masla - Is aayat mein musalmanoñ ko aapas mein ittefaaqo ijtemaa ka huqm diya gaya aur ikhtilaaf aur uske asbaab paidah karne ki mumana'at farmayi gayi Ahaadees mein bhi iski bohat taqeedeñ waarid haiñ aur jamaate muslimeen se juda hone ki sakhti se mumana'at farmayi gayi hai jo firqa paida hota hai us huqm ki mukhalifat karke hi paida hota hai aur jamaate muslimeen mein tafarqa andaazi ke jurm ka murtakib hota hai aur hasbe irshaade Hadees wo Shaitan ka shikaar hai 'A'Aazan-Allahu ta'ala minhu '
2⃣ aur haq waazeh ho chuka tha

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #719

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 719.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 02
Aayat No. 104.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur tum mein ek giroh aisa hona chahiye ki bhalayi ki taraf bulayeñ aur achhi baat ka huqm deñ aur buri se mana kareñ
2⃣ Aur yahi log muraad ko pahoñche

▶ Tafseer
1⃣ Is aayat se Amr maroofo nahi munkar ki farziyat aur ijma'a ke hujjat hone par istidlaal kiya gaya hai
2⃣ Hazrate Ali Murtaza رضي الله عنه ne farmaya ki nekiyoñ ka huqm karna aur badiyoñ se rokna behtareen jehaad hai

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #718

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 718.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 717.
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 02
Aayat No. 102 & 103

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ Aur Allah ka ehsaan apne upar yaad karo jabh tum mein bair tha usne tumhare diloñ mein milaap kar diya to uske fazl se tum aapas mein bhai hogae
4⃣ Aur tum ek ghaare dozakh ke kinaare par the
5⃣ to usne tumhe usse bacha diya Allah tumse yuñ hi apni aayateñ bayaan farmata hai ki kahiñ tum hidayat pao

▶ Tafseer
3⃣ Aur Islam ki badaulat adawat door hokar aapas mein deeni muhabbat paida huwi hatta ki Auso Khazraj ki wo mash'hoor ladayi jo 120 saal se jaari thi aur uske sabab raat din qatlo gaarat ki garm baazaari rehti thi Sayyade Aalam ﷺ ke zariye Allah Ta'ala ne mitaa di aur jung ki aag thandi kar di aur jangzu qabeeloñ mein ulfato muhabbat ke jazbaat paida kar diye
4⃣ Yaani haalate kufr mein ki agar usi haal par mar jaate to dozakh mein pahoñchte
5⃣ Daulate Imaan ataa kar ke

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #717

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 717.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 02
Aayat No. 102 & 103

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan walo Allah se daro jaisa usse darne ka haq hai aur hargiz na marna magar musalman ○ Aur Allah ki rassi mazboot thaam lo
2⃣ Sab milkar aur aapas mein phatt na jaana

▶ Tafseer
1⃣ Habullahi ki tafseer mein mufassireen ke chand qaul haiñ baaz kehte haiñ isse Quraan muraad hai Muslim ki hadees shareef mein waarid huwa ki Quraan paak Hubbullah hai jisne iska itteba'a kiya wo hidayat par hai jisne usko chhoda wo gumrahi par Hazrat Ibne Mas'uud رضي الله عنه ne farmaya ki Hubbullah se jama'at muraad hai aur farmaya ki tum jama'at ko laazim kar lo ki wo Hubbullah hai jisko mazboot thaamne ka huqm diya gaya hai
2⃣ Jaise ki Yahoodo Nasaara mutafarriq ho gaye is aayat mein un af'aalo harakaat ki mumana'at ki gayi jo musalmanoñ ke darmiyan tafarruq ka sabab ho tareeqa e muslimeen Mazhabe Ahle Sunnat hai iske siwa koi raah ikhtiyaar karna deen mein tafreeqo mamnu'u hai

〰〰 to be contd.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #716

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 716.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 01
Aayat No. 100 & 101

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aye Imaan walo agar tum kuchh kitabiyoñ ke kahe par chale to wo tumhare Imaan ke baad tumhe kaafir kar chhodenge ○
Aur tum kyuñ kar kufr karoge tum par Allah ki aayate padhi jaati haiñ aur tum me uska Rasool tashreef laaya aur jisne Allah ka sahara liya to zarur wo seedhi raah dikhaya gaya

▶ Tafseer
▶ Shaane nuzool Aus wa Khazraj ke qabeeloñ mein pehle badi adawat thi aur mudaatoñ unke darmiyan jung jaari rahi Sayyade Aalam ﷺ ke sadqe mein un qabeeloñ ke log Islam laakar baaham sheero shakar huwe ek roz wo ek majlis mein baithe huwe unso muhabbat ki baate kar rahe the Shaas Bin Qaid Yahoodi jo bada dushmane Islaam tha us taraf se guzra unke bahami rawabit dekh kar jal gaya aur kehne laga jabh ye log aapas mein mil gaye to hamara kya thikana hai ek jawan ko muqarrar kiya ki unki majlis mein baith kar unki pichli ladaiyoñ ka zikr chede aur us zamana mein har ek qabeela jo apni madah aur dusroñ ki hiqaarat ke ash'aar likhta tha padhe chunanche us yahoodi ne aisa hi kiya aur uski sharar angezi se dono qabeeloñ ke log tesh mein aa gaye aur hathiyar utha liye kareeb tha ki khooñrezi ho jaaye Sayyade Aalam ﷺ ye khabar paakar muhajireen ke saath tashreef laaye aur farmaya ki Aye Jamaate Ahle Islaam ye kya jahiliyat ke harakaat haiñ main tumhare darmiyan hooñ Allah Ta'ala ne tumko Islaam ki izzat di jahiliyat ki balaa se najaat di tumhare darmiyan ulfato muhabbat daali tum fir zamana e kufr ki taraf laut te ho Huzoor ke irshaad ne inke diloñ par asar kiya aur unhone samjha ki ye shaitan ka fareb aur dushman ka maqr tha unhone haatho se hathiyar feñk diye aur rote huwe ek dusre se lipat gaye aur Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ke saath farmabardaraana chale aaye unke haq mein ye aayat naazil huwi

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #715

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #715.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. -04 Ruku - 01
Aayat No. 98 & 99.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tum farmaao Aye kitabiyoñ Allah ki Aayateñ kyuñ nahi maante.
2⃣ Aur tumhare kaam Allah ke samne hai ○ Tum farmao
aye kitabiyoñ kyuñ Allah ki raah se rokte ho.
3⃣ Usse jo Imaan laaye usse tedha kiya chahte ho aur tum khud us par gawah ho aur Allah tumhare kotako (Boore Amal) se bekhabar nahiñ.

▶ Tafseer
1⃣ Jo Sayyade Aalam ﷺ ke Sidqe Nabuwwat par dalalat karti hai.
2⃣ Nabi ﷺ ki takzeeb karke aur Aapki naat wa sifa'at chhupakar jo Tauret mein mazkoor hai.
3⃣ Ki Sayyade Aalam ﷺ ki naat Tauret mein maqtub hai aur Allah ko jo deen maqbool hai wo sirf deen e Islam hi hai.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #714

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #714.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 712 & 713.
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 01
Aayat No. 97

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur Allah ke liye logoñ par is ghar ka Hajj karna hai jo us tak chal sake.
5⃣ Aur jo munkir ho to Allah saare jahaañ se be parwaah hai.

▶ Tafseer
4⃣ Masla – Is Aayat mein Hajj ki farziyat ka bayan hai aur iska ki isteta'at shart hai Hadees Shareef mein Sayyade Aalam ﷺ ne iski tafseer zaad wa raahila se farmayi zaad yaani tosha khaane peene ka intezaam is qadar hona chahiye ki jaakar wapas aane tak ke liye kaafi ho aur yeh wapasi ke waqt ahal wa ayaal ke nafqa ke alawa hona chahiye raah ki aman bhi zaroori hai kyuñ ki baghair iske isteta'at saabit nahiñ hoti
5⃣ Isse Allah Ta'ala ki naarzgi saabit hoti hai aur yeh masla bhi saabit hota hai ki Farze qatayi ka munkir kaafir hai.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #713

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #713.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 712.
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 01
Aayat No. 97

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Ibraheem ke khade hone ki jagah.
3⃣ Aur jo usmein aaye amaan mein ho.

▶ Tafseer
2⃣ Makaame Ibraheem woh patthar hai jis par Hazrate Ibraheem عليه لسلام Kaaba Shareef ki taameer ke waqt khade hote the aur usmein Aapke qadame mubarak ke nishaan the jo bawajood taweel zamana guzarne aur ba kasrat haatho se mas hone ke abhi tak kuch baaki hai.
3⃣ Yahaan tak ki agar koi shakhs Qatl wa Zanayat karke Haram mein daakhil ho to wahañ na usko qatl kiya jaaye na us par hadd qayam ki jaaye Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه ne farmaya agar Maiñ apne waalid Khattab ke qaatil ko bhi Haram shareef mein paau to usko haath na lagau yahañ tak ki woh wahañ se baahar aaye.

〰〰 to be contd.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #712

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #712.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 01
Aayat No. 97

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Usmein khuli nishaniyañ hai.

▶ Tafseer
1⃣ Jo uski hurmat wa fazeelat par dalaalat karti hai un nishaniyoñ mein se baaz yeh hai ki Parind Kaaba Shareef ke upar nahi baithte aur uske upar se parwaaz nahi karte balki parwaaz karte huwe aate hai to idhar udhar hat jaate hai aur jo parind beemar ho jaate hai wo Apna ilaaj yahi karte hai ki hawa e Kaaba mein ho kar guzar jaaye isi se unhein shifa hoti hai aur woohush ek doosre ko Haram mein izaa nahi dete Hatta ki kutte us sarzameen mein hiran par nahi daudte aur wahañ shikar nahi karte aur logoñ ke dil Kaaba Mu'azzama ki taraf khichte hai aur uski taraf nazar karne se aañsu jaari hote hai aur har shabe jumma ko Arwaahe Auliya uske gird haazir hoti hai aur jo koi uski be hurmati ka qasd karta hai barbaad ho jaata hai inhi Aayaat mein se makaame Ibraheem waghairah woh cheezeiñ hai jinka Aayat mein bayan farmaya gaya. (#Madarik wa Khaajin wa Ahemadi)

〰〰 to be contd.

Sunday, April 3, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #711

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #711.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 01
Aayat No. 96.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Beshak sab mein pehla ghar jo logoñ ki ibadat ko muqarrar huwa woh hai jo Makkah mein hai barkat wala aur saare jahaañ ka raahnuma.

▶ Tafseer
▶ Shaane nuzool yahood ne Musalmanoñ se kaha tha ki Baitul Muqaddas hamara Qibla hai Kaaba se afzal aur usse pehla hai Ambiya ka maqaame hijrat wa qibla e ibadat hai Musalmanoñ ne kaha ki Kaaba afzal hai is par yeh Aayate Kareema naazil huwi aur isme bataya gaya ki sabse pehla makaan jisko Allah Ta'ala ne Ta'at wa ibadat ke liye muqarrar kiya Namaz ka qibla aur Tawaf ka mauja'a banaya jisme nekiyoñ ke sawab zyada hote hai wo Kaaba Mu'azzama hai jo shahre Makkah Mu'azzama mein waaqe hai Hadees Shareef mein hai ki Kaaba Mu'azzama Baitul Muqaddas se 40 saal qabl banaya gaya.