Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 717.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 02
Aayat No. 102 & 103
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan walo Allah se daro jaisa usse darne ka haq hai aur hargiz na marna magar musalman ○ Aur Allah ki rassi mazboot thaam lo
2⃣ Sab milkar aur aapas mein phatt na jaana
▶ Tafseer
1⃣ Habullahi ki tafseer mein mufassireen ke chand qaul haiñ baaz kehte haiñ isse Quraan muraad hai Muslim ki hadees shareef mein waarid huwa ki Quraan paak Hubbullah hai jisne iska itteba'a kiya wo hidayat par hai jisne usko chhoda wo gumrahi par Hazrat Ibne Mas'uud رضي الله عنه ne farmaya ki Hubbullah se jama'at muraad hai aur farmaya ki tum jama'at ko laazim kar lo ki wo Hubbullah hai jisko mazboot thaamne ka huqm diya gaya hai
2⃣ Jaise ki Yahoodo Nasaara mutafarriq ho gaye is aayat mein un af'aalo harakaat ki mumana'at ki gayi jo musalmanoñ ke darmiyan tafarruq ka sabab ho tareeqa e muslimeen Mazhabe Ahle Sunnat hai iske siwa koi raah ikhtiyaar karna deen mein tafreeqo mamnu'u hai
〰〰 to be contd.
Monday, April 4, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment