بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Book - TAMHEED E IMAAN by Imam Ahmed Raza Khan Alaihir Rahma
Ye log agarche qible ki taraf namaz padhe,
Musalmaan nahee aur is hadees ki bhi yahi muraad hai jis mein farmaya ke
"jo hamaari si namaz padhe aur hamare Qible ko munh kare aur hamaara
zabeeha khaaye woh musalmaan hai.”
Yaani jab ke tamaam zarooriyaat e deen par
Imaan rakhta ho aur koi baat manaafi e Imaan na kare isi mein hai:
"Yaani jaan lo ke ahle Qibla se muraad
wo log hain jo tamaam zarooriyaat e deen mein mawaafiq hain jaise aalam ka
haadis hona (Allah subhan wa Ta'ala ka paida kiya huwa), ajsaam (jism ki jamaa)
ka hashr hona, Allah subhan wa Ta'ala ka ilm tamaam kulliyaat wa juziyaat ko
muheet (ghere hue) hona aur jo muhim (ahem) mas’ale in ki Maanind hain, to jo tamaam
umr taa’ato ibaadaton mein rahe uske saath ye aitqaad rakhta ho ke aalam qadeem
(yaani aalam hamesha se hai paida kiya hua nahee) hai ya hashr na hoga ya Allah
subhan wa Ta'ala juziyaat ko nahee jaanta woh ahle Qibla se nahee
aur ahle sunnat ke nazdeek ahle qibla mein
kisi ko kaafir na kehne se ye muraad hai ke use kaafir na kahenge jab tak us
mein kufr ki koyi alaamat wa nishani na paayi jaaye aur koyi baat moazab e kufr
us se saadir na ho.”
To be Continued...
0 comments:
Post a Comment