بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Safar e Harmain Shareefain
(Halq Ya Takseer)
Sa'ee Karne Se Aapka Umrah Ho Gaya Ab Aap
Halq Kareñ Yaani Sara Sar Munda De Ya Takseer Yaani Baal Katarwaayeñ Aur Ehram
Se Bahar Aayeñ.
Aurtoñ Ko Baal Mundana Haram Hai Woh Sirf
Ungli Ke 1 Poore Barabar Baal Katarwaalein..
Yahan Makkah Shareef Mein 1 Neki 1 Laakh Ke
Barabar Hai To 1 Roza 1 Laakh Rozoñ Ke Bararbar Hoga Aur Haram Shareef Me
Kam-Az- Kam 1 Baar Mukammal Quran-e-Paak Ki Tilawat Kareñ...
Ehtiyatan Aurtoñ Ko Tawaaf Aur Sa'ee Ke Liye
Raat Ke 10 , 11 Baje Jab Hujoom Kam Hota Hai Le Jaayeñ..
Aurteñ Namaaz Apni QiyaamGaah Me Padhein..
Aurteñ Namaazoñ Ke Liye Jo Harmain Sharifain
Ki Dono Masjid E Kareem Me Haazir Hoti Hain Yeh Jahalat Hai Ke Maqsood Sawaab
Hai Aur Khud Hazrate Ahmade Mujtaba Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ Irshad Farmaaya Ke Aurat Ko Meri Masjid Me Namaaz Padne Se
Ziyadah Sawaab Ghar Me Padna Hai Haan Aurateñ Makkah e Mo'azzamah Me Rozana 1
Baar Raat Me Tawaaf Kar Liya Kareñ Aur Madina Shareef Me Subaah Wa Shaam
Salatoñ Salam Ke Liye Haazir Hoti Raheñ..
# Bahar e Hajj Safah No. 63-64