بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Safar e Harmain Shareefain
(Safah Wa Marwaah Ki Sa'ee #2)
Sa'ee Ke Qabl Ehraam Hona Shart Hai Khuwah
Hajj Ka Ehram Ho Ya Umraah Ka , Ehram Se Qabl Sa'ee Nahi Ho Sakti...
Umraah Ki Sa'ee Me Ehram Wajib Hai Yani Agar
Tawaaf Ke Baad Sar Munda Liya Phir Sa'ee Ki To Sa'ee Ho Gayi Magar Chuu Ke
Wajib Tark Hoga Lihaza Dam Wajib Hoga.
Sa'ee Me Paidal Chalna Wajib Hai Jab Uzar Na
Ho...
Agar Kisi Ne Sawari Ya Doli Wagarirah Par
Sa'ee Ki Ya Pawse Na Chala Balke Ghasitta Huwa Gayaa To Haalate Uzar Me Mauf
Hai Aur Bagair Uzar Esa Kiya To Dam Wajib Hai...
Sa'ee Ke Saatho Phere Pai Dar Pai Kareñ Agar
Mutfarrik Taur Par Kiye To E'aadah Kareñ Aur Phir Se 7 Phere Kareñ Ke Pai Dar
Pai Na Hone Se Sunnat Tark Ho Gayi...
Mustahab Yeh Hai Ke Baa Wuzu Sa'ee Kare Aur
Kapda Bhi Paak Ho Aur Badan Bhi Har Qism Ki Nijasat Ke Paak Ho Aur Sa'ee Shuru
Karte Waqt Niyyat Kar Leñ....
# Bahar e Hajj Page No. 62
To Be Continued..
0 comments:
Post a Comment