بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Ahadees e Mubaraka
Huzoor purnoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate hai jo shakhs jiss kisi qaum se mushabahat
ikhtiyar karey woh unhi mein se hai.
# Abu Dawood hadees no.4033
Shariát e mutahera Musalmaan aur ghair muslim
ke darmiyaan ek khaas qism ka imtiyaaz chahti hai, ke Musalmaan apna rahen
sahen aur chaal dhaal me ghair muslim par ghalib aur us se mumtaaz ho.
Nabi e Akram ﷺ ne
mauka ba mauka apne ashaabe kiraam Ridwanullahe Alaihim Ajmain ko ghair
musalmnao ke mushabahat ikhtiyaar karne se mana farmaya hai.
humare haq mazhab Islam ka taqaaza bhi yahi
hai ke hum apne mehboob ﷺ ki soorat aur seerat se muhabbat karte
huwe unki mubaarak sunnato ko apni zindagi me jagah dekar Allah taála ke saamne
uss khaufnaak din ki dushwaariyon se bach sake.
آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ
0 comments:
Post a Comment