Showing posts with label Islamic Knowledge. Show all posts
Showing posts with label Islamic Knowledge. Show all posts

Saturday, April 2, 2016

Imaan aur kufr ka bayaan #699

Bahar e Shari'at
Imaan aur kufr ka bayaan #699.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Imaan aur kufr ke beech ki koi kadi nahi yaani aadmi ya toh musalman hoga ya kafir teesri koi soorat nahi ki na musalman ho na kafir.

● Note - Haan yeh mumkin hai ki hum shubah ki wajeh se kisi ko na musalman kahe na kafir jaise yazeed paleed aur ismail dehlvi jaise log in jaise logoñ ke baarein mein hamare aulma ne khamoshi ka hukm farmaya ki na toh hum inhe musalman kahenge na kafir hamare saamne agar koi musalman kahe toh bhi hum khamosh rahenge aur kafir kahe toh bhi khamoshi ikhtiyaar karenge yeh shak ki wajeh se hai. yazeed ke baare mein Imam e Aazam Abu Hanifa رضي الله عنه ka yahi hukm hai ki shak ki wajeh se ussey na musalman kahenge na kafir balki khamoshi ikhtiyaar karenge.

● Aqeeda - Jis musalman ne gunaah e kabeera kiya ho woh musalman jannat mein jaaega chahe Allah Ta'ala apne karam se ussey baksh de ya Huzoor e Akram ﷺ uski shafa'at karde ya apne kiye ki saza paakar jannat mein jaaega phir kabhi na niklega.

● Aqeeda - jo koi kisi kafir ke liye maghfirat ki dua kare ya kisi mare huwe murtad ko marhoom ya maghfoor ya kisi mare huwe hindu ko bekundwaasi (swargwaasi) kahe woh khud kafir hai.

▶ Is zamaane mein kuch log yeh kehte hai jitni deir kafir ko kafir kehne mein lagaoge utni der Allah Allah karo toh sawaab milega.
Iska jawaab yeh hai ki hum kabh kehte hai ki kafir kafir ka wazeefa kar lo balki matlab yeh hai ki kafir ko dil se kafir jaano aur uske baare mein agar koi pucha jaaye toh usey be jhijak saaf saaf kafir kehdo. Sulah kulliyon ki tarah uske kufr par parda daalne ki zaroorat nahi.

Imaan aur kufr ka bayaan #698

Bahar e Shari'at
Imaan aur kufr ka bayaan #698.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Imaan isse kehte hai ki sacche dil se un tamaam baatoñ ki tasdeek kare jo deen ki zarooriyat mein se hai, aur kisi ek zaroori deeni cheez ke inkaar ko kufr kehte hai agarche baaki tamaam zarooriyat ko haq aur sach maanta ho matlab yeh ki agar koi saari zaroori deeni baatoñ ko maanta ho lekin kisi ek ka inkaar kar baitha toh agar jihalat aur nadaani ki wajeh se hai toh kufr hai aur jaan bujhkar inkaar kare toh kaafir hai. Deen ki zarooriyat mein woh baatein hai jinko har khaas aur aam log jaante ho jaise Allah Ta'ala ki wahdaniyat yaani Allah Ta'ala ko ek manna, Nabiyon ki Nabuwat, Jannat, Dozakh, Hashr, Nashr wagaira.

Misaal ke taur par eatikaad rakhta ho ki Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ Khatimun Nabbiyeen hai yaani Huzoor ﷺ ke baad abh koi naya Nabi kabhi nahi aaega.

▶ Musalman hone ke liye yeh bhi zaroori shart hai ki zubaan se kisi aisi cheez ka inkaar na kare jo deen ki zarooriyat se hai agarche baaki baatoñ ka ikraar karta ho aur agar koi yeh kahe ki sirf zubaan se inkaar hai aur dil mein inkaar nahi toh woh bhi musalman nahi kyuki bina kisi khaas sharayi majboori ke koi musalman kufr ka kalima nikaal hi nahi sakta isiliye ki aisi baat wahi muñh par la sakta hai jiske dil mein islaam aur deen ki itni hi jagah ho ki jabh chaha inkaar kar diya aur islaam aisi tasdeek ka naam hai jiske khilaaf hargiz koi gunjaish nahi.

Monday, February 15, 2016

Momin ka Momin par haq. #487

Momin ka Momin par haq. #487.
Mayyat ka Qarz

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate hai momin ki rooh qarz ki wajah se muallaq (latki huwi) rehti hai yahan tak ke uski taraf se qarz adaa kar diya jaaye.

#Tirmizi_Shareef.

Momin ka Momin par haq. #486.

Momin ka Momin par haq. #486.
Dafn karne ke baad dua karo.
Quran e Pak ki tilawat karo

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ mayyat ki tadfeen ke baad wahan khade reh kar irshad farmate apne bhai ke liye maggfirat ki dua maango aur saabit qadami ka sawaal karo kyuki abh usse sawaal hoñge.

Huzoor ﷺ irshad farmate haiñ apne murdoñ par Surah Yaseen parha karo.

#Abu_Dawood_Shareef.

Momin ka Momin par haq. #485.

Momin ka Momin par haq. #485.
Naz'aa ka waqt.
Dafan mein jaldi karo.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ apne murdoñ ko لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّه ﷺ ki talkeen karo (yaani unke kareeb kalma parho)
#Muslim_Shareef.


Huzoor sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ jabh koi inteqal farma jaaye to usko roko mat, uski qabr tak jaldi pahuchaao phir uske sar ke pass Surah Baqarah ka shuru ka hissa aur pairoñ ki taraf aakhiri ruku parho.
#Baihaqi_Shareef.

Momin ka Momin par haq. #484

Momin ka Momin par haq. #484.
Mayyat par rona.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor ﷺ ke nawase Hazrat Ali bin Zainab ka janaza jabh aapki taraf le jaaya gaya, Aapki aankhon se aansu jaari hogaye Hazrat e Saad رضي الله عنه ne arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ yeh kya aap ro rahe hai.

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ yeh Rehm hai jo Allah ﷻ ne apne bandoñ ke diloñ mein daal diya hai, Allah Ta'ala apne mein se Rehm dil bandoñ par Rehm farmata hai.
#Bukhari_Shareef.

Kapde faadna, muñh noochna, baal kholna, sar par mitti daalna, raan par haath maarna, aur seena kootna sab jahaaliyat ke kaam hai, naajaaiz aur gunaah hai.

#Fatawa_Aalamgiri Jild 1 Safah 157.

Aawaaz se rona mana hai aur aawaaz uñchi na ho to wo mana nahi.

#Bahar_e_Shari'at

Momin ka Momin par haq. #483

Momin ka Momin par haq. #483
Beemar ki Iyaadat karna.
Miskeen ko khana khilaana.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Sarwar e Kaunaain ﷺ irshad farmate haiñ Allah ﷻ qayamat ke din farmaega aye Ibne Adam Maiñ beemar huwa tha tune meri iyadat nahi ki, banda arz karega maiñ teri iyaadat kaise karta tu to saare jahaanoñ ka Rab hai. Allah ﷻ farmaega tujhe malum nahi ke mera falañ banda beemar huwa aur tune uski iyaadat na ki, agar tu iyaadat karta to mujhe uske pass paata.

Phir farmaega Maiñe aaye Ibne Adam Maiñe tujhse khana maanga tha tune mujhe na khilaya banda arz karega maiñ tujhe kaise khilaata ke tu saare jahaan ka Rab hai, Irshad hoga kya tujhe malum nahi ke mere falañ bande ne tujhse khaana maanga aur tune usse na khilaya hota to mujhe uske pass pata.

Phir farmaega aye insaan Maiñe tujhse paani maanga aur tune Mujhe paani na pilaaya, arz karega maiñ tujhe kaise pilaata tu saare jahaano ka Rab hai, Irshad farmaega kya tu nahi jaanta mere falaañ bande ne tujhse paani maanga aur tune usse na pilaya agar tu usse pila deta to Mujhe uske pass paata.

#Muslim_Shareef.

Sunday, February 14, 2016

Momin ka Momin par haq. #482.

Momin ka Momin par haq. #482.
Beemar ki Iyaadat karna.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jabh tum kisi beemar shakhs ke paas jaao, to uski lambi umr (age) ki baatein karke uska gamm durr karo, Agarche aisa kehne se taqdeer nahi badlegi magar uska dil khush ho jayega.

#Ibne Maaja Shareef.

Saturday, April 4, 2015

Namaz e jumma ke fazaeel aur masaeel 287

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Maazoor matlab woh jis ke paas koi jumaah na padhne ka sharai majburi hai us ke liye bhi behtar yeh hai ke woh zohar ki namaaz jumaah ki jamaat ke baad padhe ke jumaah se pehle padhna makruh hai.
▶ Jumaah ki namaaz ke liye jaldi jana, miswaak karna,achche safed kapde pehenna,tel aur khushbu lagaana mustahab hai.Jumaah ke din gusl karna sunnat hai.
▶ Hajaamat banwana aur naakhun tarashwana jumaah ki namaaz ke baad afzal hai.

#Aalamgiri
#Durre mukhtaar
#Ghuniyah
#Bahaare shriyat
#Jild 4 safa 102
 

Namaz e jumma ke fazaeel aur masaeel 285

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Jumeh ki namaaz me agar sajd e sahw waajib huwa aur agar imam ye sajda karta hai toh muqtadiyon mai gadbadi aur fitna phelne ka dar hai toh ulma ne in sajdon ko  chodne (na karne ki) ki ijaazat di hai bal ke jumah mein sajda e sahw chodna behtar hai.

⏩Jumah ki pehli 4 sunnat chut gayi toh jamaat ke baad wali sunnat ke bad yeh 4 sunnat padhe yeh adaa hogi qazaa nahi.

⏩Jin masjidon mai jumah nahi hota un masjidon ko zohar ke waqt band rakkha jaye

⏩Gaanw me jumah ke din masjid mein zohar ki namaaz azaan o iqaamat ke sath bajamaat padhe.

#Aalamgiri
#Bahrur Raaiq
#Durre Mukhtaar
#Raddul Mohtaar
#Bahaar e Shariyat
Jild:3,4  Safa:99,102
#Fatawa razviya
Jild:3 Safa:689,619,461,611.
 


Namaz e jummah ke fazaeel aur masaeel 283 Namaaz jumaah ke fazaail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz jumaah ke fazaail.

▶ Jo kaam namaaz ki haalat mein karna haraam o mana hai woh khutbe mein bhi karna manaa o haraam hai.
▶ Khutba sunna farz hai aur is tarha sunna farz hai ke poore taur par dhyaan ussi taraf ho kisi kaam ki taraf naa ho. jism ke tamam aaza ussi taraf mutawajjeh rakhe yeh waajib hai. Agar kisi khutba sunnewale tak awaaz na pahuchti ho jabh bhi ussey chup rehna aur mutawajjeh rehna waajib hai. kisi bhi kaam me mashgul rehna haraam hai.
▶ Khutbe ke waqt khutba sunnewala do zaanu (namaaz mein baithte hai waise) ho kar baithe. Aur aalti paalti (palaathi falaati) se bhi baith sakte hai.
▶ Khutbe ke waqt sunnewale ko ek ghunt paani pina bhi haraam hai aur kisi taraf garden ghuma kar dekhna bhi haraam hai.

# Jaame ur Ramuuz
# Aalamgiri
# Fathul Qadiir
# Raddul mohtaar
# Ghuniyah
# Fatawa Razviya Shareef, Jild 3, Safah 695 698 696.
 


Namaz e jumma ke fazaeel aur masaeel 282 ** CORRECTION OF 281 **

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


** CORRECTION OF 281 **

Mearaj ka tohfa namaaz jisme abhi jummah ke fazaael aur masail ka topic chal raha hai uski post number #280 mein mistake thi.

Jummah ki 2 rakat farz ke baad 2 rakat Sunnat jo ke muaqida hai ussey typing mistake ke sabab gair muaqida likh diya gaya tha.

Hum Allah ﷻ se tauba karte hai uske Habeeb e Aazam ﷺ ke wasile se.

استغفروالله ربى من كل ذنب واتوب اليو

Aap mein se jo members humare post ko aage forward karte hai yaa save karte hai posts woh members aage yeh post forward kar dein yaa apni saved notes mein durust kar lijiye.

جَــزَاك اللــه خَيــرَالْجــزَاء

Namaz e jumma ke fazaeel aur masaeel 281 - Namaaz jumaah ke fazaail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Namaaz jumaah ke fazaail.

⏩Jumaah ki  sharto ki tafseel.

▶mard hona ke aurat par jumaah farz nahi hai.jumah ke din aurat zohar padhe.
▶baalig hona ke naabaalig par jumeh ki namaaz farz nahi.
▶jumaah pagal par farz nahi. Shart number 3 aur 4  aaqil aur baalig hona ,Yeh sharte har ibaadat ke waajib hone ke liye zaruri hai. Naabaalig jumeh me sharik ho sakta hai. Naabaaligh jumeh ki namaaz ki imaamat bhi nahi kar sakta aur khutba bhi nahi padh sakta.
▶Muqeem hona ke musafir par jumaah farz nahi.
▶tandrust hona, bimaar na ho. Woh bimaar ke masjid tak na jaa sake ya gaya toh bimari badhegi ya der me achchi hogi.
▶agar jumaah padhne jata hai toh pichhese maal saamaan chori hone ka yaqin ho aur aisa koi maujud nahi ke jisko saunp kar jaa sake toh jumaah farz nahi. Yani aisa koi amr (kaam) na ho jo shadid nuqsaan se do chaar kr de. Jaise qaid hona,zaalim haakim ka dar, kisi ne zabardasti roka ho,aandhi tufaan ke
Masjid tak jaa na sake.

#Aalamgiri
#Bahaare shariyat
#Fatawa razviya
#Raddul mohtaar


Namaz e jumma ke fazaeel aur masaeel 280 Namaaz jumaah ke fazaail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Namaaz jumaah ke fazaail.

▶Jumaah ki azaan hote hee kharid o farokht (karobari len den) haraam ho jata hai aur duniya ke woh tamaam kaam jo Allah ke zikr se beparwah kare sab kaam isme aagaye.
Un tamaham kaamo ko chhod dena zaruri hai.
▶Jumaah farze aain hai aur iski farziyat zohar se zyada hai.
Iske farz hone ka inkaar karnewala kaafir hai.
▶Jis desh mai musalmano ki hukumat hai ya thi aur ab gairin ka qabza hai aur islaam ki pehchan ke kaam bagair kisi taklif ke chal rahe hai jaise hindustaan aur bangladesh ke tamam sheher hai ye sab islami cities hai in me jumaah farz hai.

⏩Jummah ki rakaate
▶4 rakaat sunnate muakkadah.
▶2 rakat farz.
▶4 rakat sunnate muakkadah
▶2 rakat sunnate gair muakkadah
▶2 rakat nafl kul 14 rakatein hai.

#Kanzul Imaan
#Tafsire Khazaainul Irfan
#Abu Daud Sharif
#Tirmizi Sharif
#Nisaai Sharif
#Ibne Maaja Sharif
#Bahrur Raaiq.



Namaz e jumma ke fazaeel aur masaeel 279 Namaaz jumaah ke fazaail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Namaaz jumaah ke fazaail.

▶Aye imaanwalo jab namaaz ki azaan ho jumaah ka din ho toh Allah ke zikr ki taraf daudo aur kharid o farokht chodo.
#Kanzul imaan
Para 28
Surah jumaah aayat no.9

▶Jisne achi tarah wuzu kiya fir jumaah padha, khutba suna, chup raha uske woh gunaah maaf kar diye jayenge jo is jumaah aur isse pehle ke jumaah ke beech hue.

⏩Mafhoome Hadees
Maine socha ke ek aadmi ko namaaz e jumaah padhane ka hukm du aur jo jumaah ke liye na aaye un ke gharo ko jala du.
 


Namaz e jumaah ke fazaeel aur masaeel 278 Namaaz jumaah ke fazaail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Namaaz jumaah ke fazaail.

▶ Jo log shehair ke kareeb gaau (dehat, Jahan jumaah ki namaaz na hoti ho aisi jagah) mein rehte ho unko chahiye ke shehair (city) mein aakar jumaah padhe.
▶ Masjid mein jo khatib o imam mutayan hai unki ijaazat ke bagair koi doosra khutba nahi padh sakta, agar padhega toh khutba jaaiz na hoga aur khutba na hoga toh namaaz bhi na huwi ke khutba shart e jumaah hai.

# Bahaar e Shari'at
# Aalamgiri
# Durr e Mukhtaar
# Fatawa e Razviya Shareef, Jild 3, Safah 728.
 



Namaz e jumma ke fazaeel aur masaeel 277 Namaaz e jumaah ke fazaail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Namaaz e jumaah ke fazaail.

➡7 sharte jinme paayi jaayegi un par jumaah farz hai.
▶Huriyat (aazadi).
▶Zakurat (mard hona).
▶Aql hona.
▶Baaligh hona.
▶Muqeem hona (musafir na ho)
▶Itna tandrust ke haazir hokar jamaat mai shamil ho sake.
▶Dushman ka khauf,zaalim haakim ka darr,khoob zordaar baarish,aandhi toofan.
Yeh saari baatein na ho.
➡Yeh tamam sharte jin mein paayi gayi unpar jumaah farz hai.

#Durre Mukhtaar
#Fatawa e Razviya
Jild:3 ,Safa:746.
 


Namaz e jumma ke fazaeel aur masaeel 274 Namaaz jumaah ke fazaail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 ⏩Namaaz jumaah ke fazaail.

▶Jumeh ke khutbe aur namaaz ke liye zohar ka waqt hona shart hai.
Agar zohar ka waqt shuru hone se pehle khutba padh liya toh khutba na hua aur jab khutba na hua toh jumaah na hua.
▶Agar jumeh ki namaaz mai itni der kardi ke zohar ka waqt khatam ho gaya toh jumaah baatil (na hona)hua.
Baad mai Zohar padhni hogi.
▶Khutba zikre Ilaahi ka naam hai. Agar ek baar khutbe ki niyyat se Alhamdulillah ya SubhanAllah ya La Ilaaha Ilallah  kaha toh khutbe ka farz adaa hojayega magar aisa karna makruh hai.
▶Jumaah ki namaaz ke liye khutba shart hai. Khutbe ke bagair namaaz e jumaah baatil(na hona)hai.

#Bahaare Shariyat
#Durre Mukhtaar
#Raddul Mohtaar
#Fatawa e Razviya


Namaz e jumma ke fazaeel aur masaeel 273 Namaaz jumaah ke fazaail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Namaaz jumaah ke fazaail.

▶Masjid mai 5 waqt ki namaazo ke liye jo imam hota hai woh jumaah ke liye bhi muqarrar hote hai. Jinhe aam log imaamat ke liye rakhte hai ya trust ke rakhe hue par razamand hote hai isliye unko jumaah ka khutbe aur imaamat ka haq hasil hai.
▶Jis tarha namaaz ke liye wuzu zaruri hai lekin paani par qudrat naa ho toh tayammum uska badal hai. Isi tarha Sultane islam ke badle jumaah ke liye musalmano ka kisi ko tay karna Sultan ke tay karne jaisa hai.
Aise imam ka qayam kiya hua jumaah jaaiz hai.

#Fatawa e Razviya
#Jild:3, Safa:718-682