Showing posts with label Mearaj. Show all posts
Showing posts with label Mearaj. Show all posts

Saturday, April 4, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 265

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 ⏩Namaaz mai luqmah ke masaail.
▶Luqmah dene se sajda e sahw laazim nahi hota lekin agar bhul hui aur sochne mai ya bhul sudharne me itni der hui ke 3 baar SubhanAllah kaha jaye. Itni der imam  chupchaap khada raha toh is taakhir ki wajah se sajda e sahw laazim aayega.
▶Naabaalig ladka agar namaaz mai shamil ho, namaaz aur us ke masaail jaanta ho toh luqmah de sakta hai ke luqmah dene ke liye baalig hona shart nahi hai.
▶Yaad rakhe  namaaz ki jama'at me shamil ho toh hi luqmah de sakte hai.

#Fatawa e Razviya
#Bahaare Shariyat.
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 264 Namaaz mai luqmah dene aur lene ke masaail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Luqmeh ka matlab.
Imam se honewali galti par muqtadi sharai taur par imam ko galti bataye aur yeh jaiz hai.
▶Mafhume Hadees
Huzoor ﷺ ne namaaz padhai. Ek aayat chodh di. Baad me kisi ne arz kiya
Ya Rasulallahﷺ aayat to aise hai, toh Aap ne farmaya,  Tumne muje yaad kyu nahi dilaya?

سُــــبْحانَ الله
Kya nawazish aur karam hai.
Kaunain ke Maalik o Mukhtaar aur apne gulam ke tawajjo dilane par yeh hausla afzaai. Beshak Aap Rehmat Al Lil Aalameen Hai.

Wazahat :- yaha ye naa samje ke huzoor ﷺ bhul gaye
Ye sarkar ﷺ ki taraf se sahaba aur ummat ke liye dars o hidayat hai jo huzoor ﷺ ne apni hayat e zindagi se hame diya hai
Kitna karam hai hum par sarkar ﷺ ka
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 262

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Namaz mai luqmah ke masaail.
Qaide k masaail.

▶Agar bagair zarurat (be mahal) ke luqmah diya jaye toh namaaz faasid ho jayegi.
▶Jaise 2 rakat ke baad baithne ke badle imam bhul kar sidha khada ho gaya, ab muqtadi ne luqmah diya toh khud uski namaaz faasid ho jayegi.
▶Aur agar imam aise waqt luqmah qubul kar ke baith gaya toh imam aur sabki namaaz faasid ho jayegi.
▶Aur agar abhi sidha khada nahi hua tha aur luqmah diya aur imam baith gaya toh aakhir me sajda e sahw karle, namaaz kaamil ho jayegi.
Aise haalaat me palat aane ka hukm hai.
▶Agar imam baithne ke qarib tha aur muqtadi ne luqmah diya aur imam baitha nahi toh namaaz batil ho gayi.
Isliye ke imam ne luqmeh ke baad waajib choda. Lihaza firse padhe.

#Durr e Mukhtaar
#Fatawa e Razviya
#Miratul Falaah
 




This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 262

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Namaz mai luqmah dene ke masaail.
Luqmah kab?
Kaise?
Aur kaunsi namaaz mai de sakte hai?

▶Jab namaaz ya qirat me galti kare toh imam ko batane ke liye luqmah dena chahiye.
▶Muqtadi lafz Subhanallah aur AllahuAkbar keh kar luqmah de sakta hai. Yeh sunnat hai.
▶Imam ne aisi galti ki ke jisse namaaz faasid hogi toh Luqmah dena farz hai na dega toh aur galti na sudhregi toh sabki namaaz jati rahegi.
▶Har namaaz mai luqmah diya jaa sakta hai chaahe farz,waajib ya taraaweh

#Fatawa e Razviya.
#Mutarjim.
Jild 7, safa 288-289.
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 261

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



⏩ Namaz  luqmah dene ke masail.
Luqmah kab farz hai?
Kab haraam?
Kab makruh hai?

▶Imam ne aisi galti ki ke jisse namaaz faasid ho jaati ho, toh luqmah dena Farz hai.
▶Imam ko sirf pareshaan karne ki niyyat se luqmah dena Haraam hai
▶Imam ko fauran luqmah dena makrooh hai. Intezaar kare ke khud imam hee us galti se nikal aaye
▶Aur malum ho ke imam sahab jab bhi ulajhte hai toh ghabrahat me un ke munh se aise alfaz nikalte hai ke jisse namaaz faasid ho jaati hai to aisi surat me fauran luqmah dede.

#Fatawa Razviya
#Bahar e Shariat.
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 259

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz padhne wale shakhs ke saamne se guzarne ke masail.

▶ Jhaad, Aadmi, Lakdi, Lohe ki salaakh, Jaanwar, Insaan aur jo bhi upar bataye huwe sutreh ke meyaar par ho uska sutrah ho sakta hai.
▶ Aadmi ka sutrah is haalat mein kiya jaye ke jabh uski peeth namaazi ki taraf ho, Isliye ke namaazi ki taraf munh karne ki ijaazat nahi.
▶ Khaana e kaaba yaani masjid e haraam mein koi namaaz padhta ho to uske aage se Tawaaf karne wale log guzar sakte hai.
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 260

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz padhne wale shakhs ke saamne se guzarne ke masail.

▶ Namaazi ke saamne sutrah nahi aur koi uske aage se guzarna chahta hai, Ya sutrah hai magar namaazi aur sutreh ke beech se guzarna chata hai to namaazi ko ijaazat hai ke guzarne wale ko roke
Ya to "SubhanAllah" kahe ya qirat zorse kare ya haath ya sar ke ishare se roke isse zyada ki ijaazat nahi, jaise guzarne wale ke kapde pakad kar khichna Ya maarna. Agar namaaz ki haalat me aisa kiya to amal e kaseer ho jayega aur namaaz faasid ho jayegi. Phir se padhni hogi.
▶ Issi tarah koi aurat ke aage se guzarna chata hai to aurat guzarne wale ya guzarne wali ko sidhe haath ki ungliyan ulte hath ki peeth par maar kar aawaaz paida karke ussey mutanabbe karey aur guzarne se roke.
▶ Agar mard ne aurat ka tarika ya aurat ne mard ka tarika apnaya to bhi koi fasaad nahi Lekin aisa karna sunnat ke khilaaf hai.
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 256 Namaaz padhne wale shakhs ke saamne se guzarne ke masail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz padhne wale shakhs ke saamne se guzarne ke masail.

▶ Badi masjid sirf wahi masjid hai jaise masjid e khwaarizam jo 16000 sutoonon (pillars) par hai baki aam maajidein  chahe 10000 square meter ki ho choti masjid ke hukm mein hai, In masjidon mein qible ki deewar tak bagair sutrah ke namaazi ke aage se guzarna jaaiz nahi.
▶ Sutrah matlab koi aisi cheez ho jisse aadh ho jaye. Aur sutrah ek haath jitna uncha aur ungli ke baraabar mota hona chahiye.
▶ Namaaz padhne wale ke aage se sutrah ho to sutrah ke baad se guzar sakta hai, sutrah bilkul naak ki seedh mein na ho, balke siidhi ya ulti (right ya left ) aankh ki bhaon (eyebrow) ki seedh par ho, aur right side ki bhaon ke samne ho to afzal hai.

 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 256 Namaaz padhne wale shakhs ke saamne se guzarne ke masail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz padhne wale shakhs ke saamne se guzarne ke masail.

▶ Agar koi shakhs makan ya choti masjid mein namaaz padhta ho to qible ki deewar tak uske aage se nikalna jaaiz nahi jabh ke beech mein sutrah (aadh) na ho.
▶ Agar koi maidaan ya badi masjid mein namaaz padhta ho sirf sajda karne ki jagah tak nikalne ki ijaazat nahi, isse baahar ke hisse se guzar sakta hai.
▶ Sajda karne ki jagah ka matlab ye hai ke jabh namaaz mein khada rahe aur apni nazar ko sajda karne ki jagah matlab jahan sajda karta hai us jagah par jamaye aur aisi haalat mein jitni durr tak nazar khud ba khud jaati hai wahan tak ki jagah, yeh sab jagah sajda karne ki jagah kehlaaegi, Yeh jagah ke andar namaazi ke aage se nikalna haraam hai aur usse baahar se nikalna jaaiz hai.
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 256 Namaaz padhne wale shakhs ke saamne se guzarne ke masail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz padhne wale shakhs ke saamne se guzarne ke masail.

▶ Namaazi ke aage se guzarna bohot sakht gunah hai aur guzarne wala gunahgaar hota hai, lekin namaazi ki namaaz mein koi khalal nahi aata.
▶ Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiٌ Agar namaazi ke saamne se guzarnewala jaanta ke uspar kitna gunah hai to 40 saal wahi khadaa rehna, us guzar jaane se uske haq me behtar tha.
▶ Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiٌ Agar koi jaanta ke apne bhai ke saamne namaaz mein aade ho kar guzarne mein kya gunah hai, to 100 saal khade rehna us ek kadam chalne se behtar samajhta.
▶ Huzoor Sarwar e Qaunain ﷺ irshad farmate haiٌ Agar namaazi ke aage se guzarne wala jaanta ke uske guzarne par kitna azaab hai to ye chahta ke uski raan toot jaaye magar namaazi ke aage se na guzre.
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 255

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail.

▶ Miskeen woh hai jiske paas kuch na ho yahan tak ke khaane aur badan chupaane ke liye iska mohtaaj hai ke logo se bheek mange aur aise shakhs ko sawal karna, bheek mangna halaal hai, yani mang sakta hai.
▶ Fakeer ko matlab jiske paas kam az kam ek din ka khaana aur pehenne ko maujood hai, aise ko bagair zaroorat aur majboori sawal haraam hai aur aison ko sawal par dena bhi naajaiz hai aur denewala gunahgaar hai.
      # Fatawa aalamgiri Jild 1, Safah 188.
▶ Pata chala ke jo bhikari kamaane ki taaqat ke bawajood begair zaroorat o majboori bataur e pesha bheek mangte hai gunahgaar hai aur aison ke haal se baakhabar hone ke bawajood unko dene wale apni zakaat o khiraat bhi barbaad karta hai aur gunahgaar bhi hota hai.
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 254 Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail.

▶ Fakeer wo hai ke jiske paas kuch na kuch ho, yaa itna na ho k nisaab ko pahuch jaaye.
▶ Ya nisaab jitna to ho magar uski haajat e asliya me ghira phasa ho. Maslan rehne ka makaan, khaanadaari ka samaan, sawari, kaarigari k awzaar, pehenne ke kapde, ilmi masroofiyat ke liye deeni kitabein, agar qarz daar hai to qarz kamm karke uske paas nisaab baaki na rahe to woh shakhs faqeer hai.
      #Durre Mukhtaar, Jild 3, Safah 333.


💫 Urs e Razvi ke mauke par aaj raat 8 baje ki post mein tamaam ehbaab ke liye khaas tohfa💫
 
This entry was posted in

Friday, April 3, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 253

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail.

▶ Namaaz ke fidye ka hila kisine apni taraf se nahi diya, Balke hila e shar'ai ka jawaaz Quraan o Hadees aur Fiqh e Hanfi ke mautbar kitaabon mein maujood hai
▶ Hazrat e Ayub علیہ السلاام ki beemari ke zamaane mein aapki zawja e mohtarama ek baar aapki khidmat mein deir se haazir huwi to aapne qasam khaai, ke mein tandrust ho kar 100 kode marunga. Tandrust hone ke baad Allah ne 100 tiliyon ki jhaadu maarne ka hukm farmaya. Aur frmaya ke apne haath mein ek jhaadu le kar usse maar de aur apni qasam na todh
   # Paara 23. Ruku13.
▶ Aalamgiri mein hiilon ka ek mustaqil baab hai jiska naam "kitaab ul hila" hai usme hai jo hila kisi ka haq maarne ya usme shak paida karne ya baatil se fareb dene ke liye kiya jaaye wo makrooh hai aur jo hila isliye kiya jaye ke aadmi haraam se bach jaye ya halaal ko hasil karle wo accha hai.
▶ Is qism ke hilon ke jaaiz hone ki daleel Allah ﷻ ka farmaan hai, jaise ke upar para 23 ruku 13 ke hawale se bataya gaya.
     # Fatawa Aalamgiri Jild 6 Safah 390



 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 252 Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶ Aurat ki aadat e haiz agar malum ho to utne din aur agar malum na ho to 9 saal ke baad se har mahine se 3 din kamm (less) kar dein, aur nifaas ki muddat ke din bhi har hamal ke nikal dein.
        # Fatawa e Razviya Shareef Jild 8, Safah 104 (Lahore)
▶ Fitre (fidye) ki raqam ka hisab gehun ke maujooda bazaar ke bhau se lagana hoga, ke jiss rate ke gehun khud khaate hai issi tarah ek roze ka fidya bhi ek sadqa e fitar hai.
      # Durre Mukhtaar Maa Raddul Mohtaar Jild 2, Safah 644.
▶ Gareeb o maaldaar sabhi fidye ka hila kar sakte hai agar waarasdaar ye amal karein to mayyat ki kaafi imdaad hogi, aur marnewala farz ka bojh jo uske zimme baaki hai usse aazad hoga. Aur karnewale bhi iska ajr o sawaab paaega. Kuch log masjid mein ek quraan ka nuskha de kar man mana lete hai ke humne marhoom ke liye bohot kuch kar liya yeh unki galat fehmi hai.
      # Fatawa e Razviya Shareef, Jild 8, Safah 168 (Lahore)

⏩ . ....  NOTE .....
30 din ki rakam ke zariye hi karna shart nahi, kisike paas maal o zar hai to 10 saal ki raqam se 50 saal ki namaazon ka fidya bhi ada kare ada kr sakta hai. Aur Allah Ta'ala ne itna nawaza hai aue ikhtiyaar hai toh hila nahi karwa kar aise hi mukhtakif miskeen ko fidya bhi dedein toh gareeb musalmaano ki kaafi madad hojaaegi..
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 251

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail.

▶ Abh kisi mayyat ke baalig hone ke baad 10 saal tak namaaz na padhi ho to ek din ke 300rs fidye ke hisab se 30 din ke 9000rs huwe aur ek saal ke takreeban 1,08,000rs huwe.
▶ Zaahir hai ke marhoom ya marhooma ki 10 saal ki namaazein baaki hongi to 10 saal ke 10,80,000rs huwe, aur har koi itni isteta'at (taaqat) nahi rakhta. Iske liye aulma e kiraam ne shrai hila irsad farmaya. 30 din ki namaazon ka fidya 9000rs kisi shar'ai fakeer ya miskeen ko de kar ussey maalik bana dein, ye 30 din ka fidya ada ho gaya. Abh yeh faqeer ya miskeen dene wale ko hi wapas hiba karde. Yaani tohfe ke taur par dede, abh yeh ke jisko hiba kiya gaya qabza karke phir 30 din ki namaazon ki fidye ki niyyat se dede. Issi tarah laut phair karte rahein yahan tak ke tamam namaazon ka fidya ada ho jaye. Isse fidye ka hila kehte hai.
    # Fatawa e Baaziziya Maa Alamgiri Jild 4, Safah 69.
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 250

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



⏩ Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail

▶ Mayyat ki umr maloom karke uski baalig hone ki umr uss mein se nikal dein, baaki jitne saal bachey uss mein hisaab lagaiye ke marhoom ya marhooma kitne arse tak be-namaazi ya be roza raha ya kitni namaaz aur roze uske qazaa baaki reh gaye.
Baalig hone ki umr malum na ho toh mard ki balig hone ki umr 12 saal aur aurat ki 9 saal.
▶ Ek namaaz ka fidya ek sadqa e fitr ada karey, ek fitre ki miqdaar wazan mein 2 kilo 50 gram gehoon (ghaun) ya uska aata ya uski rakam hai. Ek din ke 6 fitre hote hai, 5 farz namaaz 1 witr ka.
▶ Bil farz ek namaaz ke ek fitre ki raqam ka hisab se 50rs hote hai to 6 fitre (fidya) 6 namaaz ke 300rs ek din ki namaaz ke huwe.

To Be Continued...
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 249 Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail

▶ Agar zohr ke farz se pehle sunnatein chooth gayi to farz ke baad pehle 2 sunnat padhe phir choothi huwi 4 sunnat padhe. Agar waqt e namaaz hai.
      # Fatawa Razviya Shareef Jild 8, Safah 148.
▶ Fajr ki jamat chooth jaane ka dar ho to sunnatein chodh kar jamat mein shamil ho jaye, farz ke bad jaaiz nahi sunnat padhna, Abh tulu ke baad 20minute ke baad se dahwaa e kubra (zawaal ka waqt shuru) tak kabhi bhi padhle k mustahab hai.
     # Fatawa Razviya Shareef Jild 8, Safah 424.
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 248 Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail.

▶ Agar niyyat mein lafz e qazaa kehna bhooll gaya to aulma tashreeh farmate hai, qaza ba niyyat e adaa aur adaa ba niyyat e qaza dono sahih hai.
     # Fatawa Razwiya Shareef Jild 8, Safah 161.
▶ Qaza namaaz nafl namaazon se ba darja ula ahem hai, jabh bhi nafl padhta ho to nafl na  padh kar uske badle qaza namaaz padhe ke bari uz zimma ho jaye.
▶ Taraweeh aur sunnat e muakkadah namaaz hargiz na chordhein.
▶ Fajar aur asr ki namaaz ke baad tamam nafl namaaz ada karna makrooh e tehreemi hai jaise, Tahiyatul masjid, Mannat ki namaaz, Tawaaf ki namaaz, shuru ki phir tod di, aisi namaaz chahein wo fajr aur asar ki sunnatein hi kyon na ho.
      # Durre Mukhtaar, Jild 1, Safah 61.
▶ Qaza namaaz ke liye koi waqt muta'yan nahi zindagi mein jabh chahey padhe. Lekin tulu, gurub, zawaal inn teeno waqton mein nahi padh sakta ke inn waqton mein namaaz padhna jaaiz nahi hai.
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 247 Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail.

▶ Qaza namaaz ek din ki 20 rakat hoti hai.
2 fajr ki farz
4 zohr ki farz
4 asr ki farz
3 magribh ki farz
4 isha ki farz
3 witar waajib.
▶ Qaza namaaz ki niyat is tarah karni hai, 'Sabse pehli fajr jo mujhse qaza huwi usko ada karta/karti hu' Har namaaz mein isi tarah niyyat kare.
▶ Abh jis par kayi saalon ki namaaz qaza hai woh aasaani ke liye niche bataye huwe tareeke se ada kare to bhi jaaiz hai.
▶ Har ruku mein ruku ki tasbeeh teen (3) baar padhne ke bajaye ek (1) baar hi padhe.
▶ Har sajde mein sajde ki tasbeeh teen (3) ba!r padhne ke bajay ek (1) baar hi padhe.
▶ Farz namaazon ki teesri aur chauthi rakat mein Surah Fatiha ke badle sirf teen (3) baar SubhanAllah keh kar ruku mein chala jaaye.
▶ Magar witr ki teeno rakat mein Surah Fatiha aur doosri aayat mila kar zaroor padhe.
▶ Aakhri rakat mein jabh baithte  hai usme attahiyyaat ke baad darood aur dua ke badle sirf 'Allahumma salliala muhammadiw waalihi' Keh kar salaam phair dein.
▶ Witr ki teesri rakat mein dua e qunoot ke badle takbeer keh kar sirf ek (1) ya teen (3) baar 'Rabbegh firli' padhein aur ruku karle.
      # Mulakkhas az Fatawa e Razviya Shareef Jild 8 Safah 158 (Lahore)

SubhanAllah Kitni aasaani hai.

⏩ Kuch khaas baaton ka khaas khayal rakhey.
▶ Ruku mein poora pahuch jaye fir hi tasbeeh shuru karey. Aisa na ho qiyam mein hi tasbeeh shuru karde aur ruku mein pahuche tabh tak tasbeeh puri ho jaye.
▶ Issi tarah sajde mein jaate aur uthte waqt bhi khyaal rahe ke poori tasbeeh peshaani aur naak jamne ki haalat mein padhe warna sajda ada hi na hoga.
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 245 Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail.

▶ Jisne kabhi namaaz hi na padhi ho aur abh taufeeq huwi aur qazaa e umri (tamam umr ki chooti huwi namaaz) padhna chahta hai to jabh se baalig huwa hai us waqt se namaazon ka hisaab lagaye aur agar baalig hone ki tareekh bhi malum nahi to aurat 9 saal ki umr se hisab lagaye aur mard 12 saal ki umr se namaazon ka hisab lagaye.
       #Maakhuz az Fatawa e Razviya Shareef Jild 8, Safah 104.
▶ Qazaa e umri mein aisa bhi kar sakte hai ke pehle tamam fajr ki namaaz ada kar lein, phir zohar ki, phir asr, phir magribh, phir isha o witr.
      # Fatawa Qazi khan Maa Aalamgiri, Jild 1, Safah 109.
 
This entry was posted in