بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Mea'raj Ka Tohfa Namaaz.
Namaaz ke sahih hone ke liye tajweed ka fan
janna zaroori nahi bas harf sahih ada hona zaroori hai. bohot se aise log bhi
hote hai jo sun sun kar sahih padhte hai agr unse harf kd makhaarij ke baare
mein pucha jaye to makhaarij bata nahi sakte lekin woh quraan sahih padte hai.
Surah fateha yani Alhamdu Shareef padhne
mein agar ek lafz bhi bhoole se reh jaye sajda e sahw kare agar sajda e sahw
bhi bhool jaaye to namaaz fir se padhe.
Agar koi surah fateha ke baad doosri aaytein
milana bhool gaya to sajda e sahw kare aur yeh bhi bhool jaaye to namaaz fir se
padhe.
Aur koi surah fateha padhna bhool jaaye baad
ki aaytein padhli to bhi sajda e sahw kare aur yeh bhi bhool jaaye to namaaz
firse padhe.
Jamaat ke saath namaaz padhne wale namaazi
yani muqtadi ko namaaz mein qirat padhna jaaiz nahi na surah fateha na koi
doosri aayat padhe aur zohar asar mein aur magribh isha ki teesri aur chauthi
rakat mein bhi na padhe imam ki qirat muqtadi ke liye kaafi hai.
Imam ne zor se qirat shuru kardi ho to
muqtadi sana na pade bal ke chup reh kar qirat sune kyuke qirat ka sunna farz
hai.