بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Fatawa e Razviya Shareef
Masla - Kitabul qazi ilal qaazi (shariat ka
qazi) aur jahan shariat ka qazi na ho wahan shahair ke sabse bade sunni sahi ul
aqeeda wale aalim ke saamne se shariat wali gawaahi guzare. Woh dusre shahair
ke sabse bade sunni sahi ul aqeeda waale aalim ke naam khat likhe ki mere
saamne iss mazmoon par sharai gawahi guzri aur uss khat mein apna naam aur
jiske pass khat bhejna ho uska pura naam wa pata likhe aur woh khat do (2)
aadil muttaki parhaizgar ko de woh log dusre shahair ke uss aalim ke pass laaye
aur gawahi de ki yeh khat fhula shahair ke fhula aalim ka hai toh dusre shahair
ka aalim agar iss gawahi ko apne mazhab ke lihaaz se saboot ke liye kaafi
samjhe toh uspar amal kar sakta hai.
# fatawa e Razviya Shareef Jild 4 Safah 551.
Agar shahair ke sabse bade sunni sahi ul
aqeeda waale aalim ka khat na ho kisi dusre ka khat ho ya do (2) gawaah lekar
na jaaye yaa dono aadil wa parhaizgar na ho toh inn suraton mein dusre shahair
ke aalim ko khat par amal karna jaaiz nahi.
0 comments:
Post a Comment