بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shab e Baraat Special
Hazrat Abu Moosa Ashari رضي الله عنه ka bayaan hai ki RasoolAllah ِﷺ ne irshaad farmaya,
"Allah subhan wa Ta'ala Shabaan ki 15 wi
shab ko zuhoor farmata hai aur Mushrik aur chugalkhor ke alaawa sab ki bakhshish
farma deta hai."
# Sunan Ibne Majah, jild 1, Baab Maaja a fi
Lailatin Nisfi min Shabaan, page 399, Hadees no 1448.
➡ Shab e Baraat ko adaa karne ki khaas
ibaadat.
14 rakaat namaaz. Namaaz ke baad Surah
Fateha, Surah Ikhlaas, Surah Falaq, Surah Naas Har surah 14 Martaba padhi jaaye
uske baad ek martaba Ayatal Kursi aur Surah Taubah ki Aayat No- 128 se Aakhir
tak padhein. Phir Dua karey. Iss amal ka ajr 20 maqbool Hajj aur 20 saal ke
maqbool Rozon ke barabar hai
# Baihaqi Shareef Hadees No. 3683.