Thursday, March 19, 2015

Shab E Baraat Ki Fazeelat 66

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Shab e Baraat Special

Hazrat Abu Moosa Ashari رضي الله عنه ka bayaan hai ki RasoolAllah ِ ne irshaad farmaya,

"Allah subhan wa Ta'ala Shabaan ki 15 wi shab ko zuhoor farmata hai aur Mushrik aur chugalkhor ke alaawa sab ki bakhshish farma deta hai."

# Sunan Ibne Majah, jild 1, Baab Maaja a fi Lailatin Nisfi min Shabaan, page 399, Hadees no 1448.

➡ Shab e Baraat ko adaa karne ki khaas ibaadat.

14 rakaat namaaz. Namaaz ke baad Surah Fateha, Surah Ikhlaas, Surah Falaq, Surah Naas Har surah 14 Martaba padhi jaaye uske baad ek martaba Ayatal Kursi aur Surah Taubah ki Aayat No- 128 se Aakhir tak padhein. Phir Dua karey. Iss amal ka ajr 20 maqbool Hajj aur 20 saal ke maqbool Rozon ke barabar hai

# Baihaqi Shareef Hadees No. 3683.


0 comments:

Post a Comment