بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Safar e Harmain Shareefain #66.
(Mubaahat-e-Ehraam)
Ehraam Me Mandarjah Zeel (Niche Diye Huwe)
Baateñ Jaiz Hai.
1) Be Mail (Dirt) Chudaye Nahana.
2) Pani Me Gotah Lagana.
3) Kapde Dhona Jabke Juñ (Lice) Marne Ki Garaz
Se Na Ho.
4) Miswaak Karna.
5) Kisi Cheez Ke Saaye Me Baithna Ya Chatri
(Umbrella) Lagana.
6) Angothi Pehena.
7) Be KhushboDaar Surma Lagana
8) Tute Huwe Nakhoñ (Nails) Ko Juda Kar dena.
9) Chala Ya Phansi Tood Dena.
Aankh (Eyes) Me Jo Baal Nikle Use Juda Karna.
1⃣1⃣Sar Ya Badan Is Tarah Aaaista Khujana Ke
Baal Na Tute.
1⃣2⃣Ehraam Se Pehle Jo Khushboo Lagayi Ho
Uska Laga Rehna.
1⃣3⃣Mooh Aur Sar Ke Siwa Kisi Aur Zakhm Par
Patti Bandhna.
1⃣4⃣Sar Ya Gaal Ke Niche Takkiya Rakhna.
1⃣5⃣Thuddi (Chin) Se Niche Dadhi Par Kapda
Aanaa.
1⃣6⃣Sar Par Bora Uthaana.
1⃣7⃣Deen Ke Liye Jhagarna (Jihad) Balke Jab
Haajat Ho To Farz Aur Wajeeb Hai
1⃣8⃣Besile Kapde Me Taweez Lapet Kar Gale Ma
Dalna.
1⃣9⃣Aayina Dekhna
Jo Masa'il Upar Bayaan Huwe Hai Unme Mard Aur
Aurat Barabar Hai Lekin Aurat Ko Chand Baateñ Jaiz Hai.
1⃣Sar Chupana Balke Na Mehram Ke Saamne Aur
Namaaz Me Farz Hai To Sar Par Bistar Uthaanaa Badarjaeh Aula Jaiz Hai.
2⃣Goond Wagairah Se Baal Jamaanaa
3⃣Sar Wagairah Par Patti Khuwah Bazu Ya Gale
Par Taweez Bandna Agar Che Sila Huwa Ho.
4⃣Dastane, Moze Aur Sile Kapde Pehenna.
5⃣Aurat Itni Awaaaz Se Labbaik Na Kahe Ke Na
Mehram Sune Magar Itni Awaaaz Zaror Ho Ke Usme Apne Kaan Tak Aaye.
# Bahar e Hajj Page No. 36/37.
To Be Continued..
0 comments:
Post a Comment