Thursday, March 19, 2015

Shab E Baraat Ki Fazeelat 65

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Shab e Baraat Special

Nabi e kareem rauf o Raheem irshad farmate hai Shabaan ki 13vi shab ko bargaah e Khudawandi mein apni ummat ke liye shafa'at ki dua ki to 1/3 Ummatiyon ki Shafa'at Maqbool Huwi.

Phir 14vi shab mein dua ki to 2/3 ummatiyon ki shafa'at ataa ki gayi. Phir 15vi shab mein (yaani shab e baraat) mein dua ki to saari ummat ke haqq mein shafa'at qabool ho gayi.

Siwaye un na-farmaan bandon ke jo Allah subhan wa Ta'ala ki ita'at se oont (camel) ki tarah bidak kar bhaagte hai.

# Mukashifatul Quloob

Mehboob e Rabb e arsh irshad farmate hai O Ayesha! jaanti ho iss raat (15vi shabaan) mein kya hota hai?

iss raat mein bani Aadam Alaihis Salam ka har paida hone wala aur faut hone wala (is faani duniya se kuch karna) likha Jaata hai.

Iss raat mein logon ke aamal Allah subhan wa Ta'ala ki bargaah mein pesh hote hai aur iss raat mein unka rizq naazil hota hai.

# Mishkat Shareef.


NA BANO WOH LOG JINHE REHMAT MILTI NAHI.
NEKIYO KO NIBHAAO AUR KARO HAR AMAL SAHI.
ISS SHAB KITNE GUNHEGAARO KO MILTI HAI AZAADI.

ACCHE AMAL KARO NA BULAAO APNI BARBAADI.

0 comments:

Post a Comment