Friday, March 27, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 182

SHARE
 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz.

Namaaz ke sahih hone ke liye tajweed ka fan janna zaroori nahi bas harf sahih ada hona zaroori hai. bohot se aise log bhi hote hai jo sun sun kar sahih padhte hai agr unse harf kd makhaarij ke baare mein pucha jaye to makhaarij bata nahi sakte lekin woh quraan sahih padte hai.
Surah fateha yani Alhamdu Shareef padhne mein agar ek lafz bhi bhoole se reh jaye sajda e sahw kare agar sajda e sahw bhi bhool jaaye to namaaz fir se padhe.
Agar koi surah fateha ke baad doosri aaytein milana bhool gaya to sajda e sahw kare aur yeh bhi bhool jaaye to namaaz fir se padhe.
Aur koi surah fateha padhna bhool jaaye baad ki aaytein padhli to bhi sajda e sahw kare aur yeh bhi bhool jaaye to namaaz firse padhe.
Jamaat ke saath namaaz padhne wale namaazi yani muqtadi ko namaaz mein qirat padhna jaaiz nahi na surah fateha na koi doosri aayat padhe aur zohar asar mein aur magribh isha ki teesri aur chauthi rakat mein bhi na padhe imam ki qirat muqtadi ke liye kaafi hai.
Imam ne zor se qirat shuru kardi ho to muqtadi sana na pade bal ke chup reh kar qirat sune kyuke qirat ka sunna farz hai.

# Fatawa e Razviya Shareef Jild 3 Safah 61/62/88/125/128.

0 comments:

Post a Comment