بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Safah Wa Marwah Ki Sa'ee
Sa'ee Shuru Karne Se Pehle Yeh Niyyat Kare...
Tarjuma :↘
Aye Allah paak mene Safah wa Marwaah ke
darmiyaan Sa'ee karne ka irada kiya tu isse mere liyee aasan farma de aur meri
taraf se qubool farma.
آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ
Sa'ee me agar koi dono meelon ke darmiyaan
bhaag kar na chala ya Safah se Marwaah tak bhaag kar gaya to bura kiya, Sunnat
tark ho gayi magar daam ya sadqa wajib nahee.
Agar hujoom ki wajeh se meelon ke darmiyaan
bhaagne se aajiz (na-qabil) hai to kuch der ruk jaaye ke bheed kam ho jaaye aur
bhaagne ka mauqa mil jaaye. aur agar kuch rukne se hujoom kam na hoga to
bhaagne walo ki tarah chale. aur agar kisi uzr ki wajah se sawari par baith kar
Sa'ee karta hai to uss darmiyaan me sawari ko tez chalaye magar iska khayaal
rakhe ke kisi ko izaa na ho ke yeh Haraam hai.
Sa'ee ki shuruat safah se hoti hai, agar
Marwaah se shuru ki to pehla phera jo Marwaah se Safa ko huwa shumaar na kiyaa
jayega. Ab jab woh Safah se Marwaah ko jaayega yeh pehla phera hoga.
Sa'ee ke liye shart yeh hai ke pure tawaaf ya
tawaaf ke aksar hisse ke baad ho lihaza agar tawaaf ke 3 phere ke baad Sa'ee ki
to na hogi.
# Bahar e Hajj Safah No. 60-62
To Be Continued...
0 comments:
Post a Comment