بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Safar e Harmain Shareefain
Namaaz e Tawaaf
Tawaaf Ke Baad Aap Maqaam e Ibrahim Par AaKar
Ye Aayat Muqaddasah Parhe (Aur Ibrahim Ke Khade Hone Ki Jagaah Ko Namaaz E
Maqaam Banaao)
وَإِذْ جَعَلْنَا الْبَيْتَ
مَثَابَةً لِّلنَّاسِ وَأَمْنًا وَاتَّخِذُوا مِن مَّقَامِ إِبْرَاهِيمَ مُصَلًّى ۖ
وَعَهِدْنَا إِلَىٰ إِبْرَاهِيمَ وَإِسْمَاعِيلَ أَن طَهِّرَا بَيْتِيَ
لِلطَّائِفِينَ وَالْعَاكِفِينَ وَالرُّكَّعِ السُّجُودِ
Surah Baqrah Aayat Num 125
Ab Maqaame Ibrahim Ke Nazdik Jagah Mile To Behtar
Warna Masjid e Haraam Me Jahaan Bhi Jagaah Mile 2 Raka'at Namaaz E Wajibut
Tawaaf parhe. Agar Makhrooh Waqt Na Ho To Parhe.
Afzal Yeh Hai Ke Pehli Raka'at Me Surah
Fatiha Shareef Ke Baad Surah Kafiroon Shareef Aur Dusri Raka'at Me Surah Fatiha
Shareef Ke Baad Surah Iklaas Shareef Parhe.
Hadees Shareef Me Hai Ke Jo Maqaame Ibrahim
Ke Piche 2 Raka'ate Parhe Uske Agle Pichle Gunaah Bakhs Diye Jaayenge Aur
Qayaamat Ke Din Aman Walo Me Mash'hoor Hoga.
To Be Continued....
0 comments:
Post a Comment