بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Safar e Harmain Shareefain
(Ehraam Ka Tariqah)
1⃣ Ehraam Bandhne Se Pehle Aap Miswaak Kareñ
Aur Wazu Kareñ Aur Khub Mal Kar Nahaayeñ, Na Naha Sake Toh Sirf Wazu Kareñ
Yahan Tak Ke Haizo Nifaas Wali Aurtein Aur Bacche Bhi Nahayeñ Aur Ba Taharat
Ehraam Bandhe.
2⃣Agar Mard Chaheñ To Apna Sar Munda Leñ Ke
Ehraam Me Baaloñ Ki Hifazat Se Nijaat Milegi Warna Kangha (Comb) Kar Ke
Khushudaar Tel Daaleñ.
3⃣Gusl Se Pehle Nakhon Katreñ Khat Banwaayeñ
Mooe Bagal Wa Zere Naaf Duur Kareñ Balke Piche Ke Bhi.
4⃣ Badan Aur Kapdoñ Par Khushbo Lagayeñ Ke
Yeh Sunnat Hai Agar Khushbo Aisi Hoo Ke Uska Jirm Baqi Rahegaa Jaise Mushk
Wagairah To Kapdoñ Me Na Lagayeñ.
# Bahar e Hajj page 31.
To Be Continued...
0 comments:
Post a Comment