Thursday, March 19, 2015

Safar e Harmain Shareefain 69

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Safar e Harmain Shareefain

(Multazim Par Hazri)

Hamare Aaqa Hazrat Muhammad Mustafa  Ne Farmaaye Ke
"Jab Me Chahta Hu Jibrail Ko Dekhta Hu Ke Multazim Se Lipte Huwe Yeh Dua Kar Rahe Hain.."
(Tarjuma)
(Aye Qudrat Wale, Aye Buzurg, Tune Mujhe Jo Ne'amat Di Usko Mujhse Zaail Na Kar)

Multazim Ke Paas Namaaz E Tawaaf Ke Baad Aana Us Tawaaf Me Hai Jiske Baad Sa'ee Hai.
Aur Jiske Baad Sa'ee Na Ho Usme Namaaz Se Pehle Multazim Se Lipte, fir Maqaame Ibrahim Ke Paas Jaa Kar 2 Raka'at Namaaz Padheñ..

Tambi (Note):  Ramzan-Ul-Mubarak Aur Mausam e Hajj Me Darwaza Shareef,  Multazim Aur Hajre Aswad Ke Qareeb Zabarbast Bheed Hoti Hai, Lihaza Khawateen Wahan Jaane Se Aiteraaz (Guraiz) Kareñ Ke Mardoñ Ki Bheed Me Auratoñ Ka Ghusna Sakht Gunaah Hai...

# Bahar e Hajj Page No. 58


To be continued .....

0 comments:

Post a Comment