بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Ahadees e Mubaraka # 69
Hazrat Anas رضي الله
عنه Se Riwayat Hai
Huzoor Rehmatulil Aalameen Ahmed e
Mujtaba Muhammed Mustafa ﷺ Irshad Farmate Hai
"Jab Allah Rabbul Izzat Kisi Bande Ko
Kisi Ne'amat Se Sarfaraz Farmaye Aur Wo Uss Par "ALHUMDULILLAH" Kahe
to Jo Usne Haasil Kiya Hai Uss Se Bhi Behtar Diya Jayega. "
# Ibne Majah Hadees Shareef No.3805
Lihaza Hume Har Haal Me Allah Rabbul Izzat Ka
Shukr Adaa Karna Chahiye. Hume Sarkaar ﷺ Ki
Ummat Me Paida Kiya Yahi Sab Se Badi Ne'amat Hai.
Buzurgaane Deen Farmate Hai, "Jis Shakhs
Ne Musibat Mai Sabr Kiya Aur Khushi Ke Mauke Par Shukr Kiya Uske Liye Khair Hi
Khair hai."
0 comments:
Post a Comment