بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Safar e Harmain Shareefain #65.
(Makroohat-e-Ehraam)
Ehraam Me Mandarja Zeel (Niche Duye Huwe)
Baatein Makrooh Hai:
1⃣ Badan Ka Mail (Dirt) Chudana.
2⃣Baal Ya Badan Bagair Khushbo Ke Saboon
(Soap) Wagairah Se Dhona.
3⃣Sar Ya Dadhi Ke Baaloñ Me Kanghi (Comb)
Karna.
4⃣ Is Tarah Khujana (Itching) Ke Baal Tootne
Ya Jooh (Lice) Ke Girne Ka Andesha Ho.
5⃣Qasdan Khushbo Sunghna Agar Che Khushbodaar
Phal Ya Pattaa Hoo Jaise Nimbu, Narangi, Phudina.
6⃣Khushbo Daar Surma Lagana.
7⃣Gilafe Ka'aba Shareef Ke Andar Is Tarah
Dakhil Hona Ke Gilaf Sar Ya Mooh Se Lage.
8⃣Chehere Ka Koi Hissa Kapde Se Chupana.
9⃣Koi Aisi Cheez Khana Ya Pina Jisme Khushbo
Dali Gayi Ho Magar Usko Na Pakaya Gayaa Ho Na Hi Uski Boo (Smell) Zaa'il
(Finish) Huwi Ho.
🔟Rafu Kiya Huwa Ya Pewand Lagaya Huwa Ehraam
Istemaal Karna.
1⃣1⃣ Takiyah (Pillow) Par Mooh Rakh Kar Ulta
Letna.
1⃣2⃣Mehekti Khushbo Haath Se Chuna Jabke
Haath Me Lag Na Jaaye Warna Haraam Hai.
1⃣3⃣Bazu Par Taweez Bandna Agar Che Bagair
Sile (Stitch) Kapde Me Lapet Kar Ho.
1⃣4⃣Chadar Odh Kar Uske Anchaloñ Me Girah
Dena Jaise Gaanthi (Knot) Bandhte Hain Is Tarah Ya Kisi Aur Tarah , Jabke Sar
Khula Hoo Warna Haraam Hai.
1⃣5⃣Yuhi Tehband (Lungi) Ke Dono Kinaroñ Me
Girah Dena.
1⃣6⃣Tehband (Lungi) Baandh Kar KamarBandh Ya
Rassi Se Kasna.
# Bahar e Hajj Page No. 35/36.
0 comments:
Post a Comment