بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Shaan e Imaam e Azam Radiallahu Anh
Hazrat Imaam e Azam رضي
الله عنه Ke Zamane Mein Ek Shakhs Jab Marne Laga To Us Ne Apne Dost Ko
Bulaya Aur Ek Theli Us Ke Supurd Ki Jis Mein 1000 Dinaar The Aur Kaha Mera
Ladka Jab Bara ho Jaye To Iss Theli Se "JO TU PASAND KARE" Use De
Dena Itna Keh Kar Uska Inteqaal Ho Gaya.
Jab Ladka Bara huwa To Uss Shakhs Ne Khali
Theli De Di Aur 1000 Dinaar Khud Rakh Liye. Ladka Hazrat Imaam e Azam Ke Pass
Pahocha Aur Saara Waqiya Sunayi.
Aap Ne Uss Shakhs Ko Bulaya Aur Farmaya Ki
1000 Dinaar Ladke Ke Hawale Kar Do Isilye Ke Iske Walid Ne Tujh Se Kaha Tha Iss
Theli Se JO TU PASAND KARE USSE DE DENA
Iss Theli Se Tumne Dinaaro Ko Pasand Kiya hai
Isilye Tumne Rakh Liya. Lihaza Wasiyyat Ke Mutabik Dinaar Jo Tune Pasand Kiye
Hai Wo Usse De Do
# Jawahirul Bayaan
Page No. 108
Sabaq : Amanat Mein Khayanat Nahi Karna
Chahiye, Yateem Ka Maal Dabaana Bade Zulm Ki Baat Hai, Aur Ye Bhi Malum Huwa Ke
Hamare Imaam Har Mushkilaat Ka Hal Farmane Wale The.
0 comments:
Post a Comment